SEARCH RESULTS
Showing search results for "maraz-e-ishq"
Ghazal MATCHES FOR "maraz-e-ishq"
Ghazal
kyaa daKHl kisii se maraz-e-ishq shifaa ho
mumkin hai ki is dard kii duniyaa me.n davaa ho
Mushafi Ghulam Hamdani
Ghazal
maraz-e-ishq se achchhaa nahii.n insaa.n hotaa
ye vahii dard hai jis kaa nahii.n darmaa.n hotaa
Aashiq Husain Bazm Afandi
Ghazal
maraz-e-'ishq jise ho use kyaa yaad rahe
na davaa yaad rahe aur na du'aa yaad rahe
Shaikh Ibrahim Zauq
Ghazal
maraz-e-ishq me.n mujh saa bhii giraftaar na ho
dost to dost hai dushman ko ye aazaar na ho
Syed Masood Hasan Masood
Ghazal
hai ham pe tohmat-e-maraz-e-ishq 'azfarii'
ham tum hai.n dekho tha.ii se cha.nge bhale kha.De
Mirza Zahirddin Azfari
Ghazal
jab khi.nche un se hu.e aur ziyaada muztar
maraz-e-ishq ke parhez ne maaraa ham ko
Dagh Dehlvi
Ghazal
maraz-e-ishq se bach jaa.uu.n jo tum dilvaa do
sadqa apne lab-e-jaa.n-baKHsh kaa unnaab mujhe
Haidar Ali Aatish
Ghazal
maraz-e-ishq ye mohlik hai ki us ke Dar se
charKH-e-chaarum ye jo Dhuu.nDo to masiihaa nikle
Rajab Ali Beg Suroor
Ghazal
allaah bachaa.e maraz-e-ishq se dil ko
sunte hai.n ki ye aariza achchhaa nahii.n hotaa
Akbar Allahabadi
Ghazal
mai.n sochtaa huu.n bhalaa mere jasd-e-KHaakii se
ai 'ashk' kyaa mire taar-e-nafas kaa rishta thaa
Raza Ashk
Ghazal
mire KHudaa maraz-e-'ishq to nahii.n us ko
vo ek la.Dkaa jo har dam udaas rahtaa hai
Asad Bijnori Alig
Ghazal
chaaraagar jaane de takliif-e-mudaavaa hai abas
maraz-e-ishq se hotaa kahii.n aaraam bhii hai
Aish Dehlvi
Ghazal
maraz-e-ishq se 'biimaar' jo ghabraataa hai
yaar kahtaa hai mujhe KHuub davaa aatii hai
Sheikh Bimar Ali Bakhsh
Ghazal
yaarab maraz-e-ishq hai yaa ko.ii balaa hai
chain is dil-e-betaab ko dam bhar nahii.n miltaa
Meer Shamsuddeen Faiz
Ghazal
'ranjuur' na hogaa maraz-e-ishq se jaa.n-bar
ai chaaragar ab haath uThaa chaaragarii se
Ranjoor Azimabadi
Ghazal
nahii.n bachaa maraz-e-ishq se ko.ii 'mamnuu.n'
hame.n dareG bahut hai tirii javaanii kaa