SEARCH RESULTS
Showing search results for "musaavaat"
Ghazal MATCHES FOR "musaavaat"
Ghazal
bataa ai abr musaavaat kyuu.n nahii.n kartaa
hamaare gaa.nv me.n barsaat kyuu.n nahii.n kartaa
Tahzeeb Hafi
Ghazal
Danish Naqwi
Ghazal
dasht-e-fanaa me.n dekhaa musaavaat kaa uruuj
ashraf nahii.n rahaa ko.ii asfal nahii.n rahaa
Saadat Saeed
Ghazal
vo chaa.ndnii raat aur vo mulaaqaat kaa aalam
kyaa lutf me.n guzraa hai Garaz raat kaa aalam
Mushafi Ghulam Hamdani
Ghazal
unhii.n kii shah se unhe.n maat kartaa rahtaa huu.n
sitamgaro.n kii mudaaraat kartaa rahtaa huu.n
Irfan Siddiqi
Ghazal
kal baare ham se is se mulaaqaat ho ga.ii
do do bachan ke hone me.n ik baat ho ga.ii
Meer Taqi Meer
Ghazal
rahnaa hai ko.ii din to samajh jaa.iyo ai dil
yaa.n phir vahii Thahrii hai mulaaqaat kii garmii
Nazeer Akbarabadi
Ghazal
chho.Diye aap kaa is baat se kyaa lenaa hai
ik barahman ko musaavaat se kyaa lenaa hai
Aqeel Abbas
Ghazal
ab ho rahaa hai zikr-e-musaavaat har taraf
logo.n ko ilm hai ye chalan aam kab hu.aa
Sardar Asif
Ghazal
dabtaa huu.n kisii se na dabaataa huu.n kisii ko
qaa.el huu.n musaavaat-e-banii-nau-e-bashar kaa
Abdul Aziz Khalid
Ghazal
bas tiraa ism munaajaat me.n rakkhaa hu.aa hai
gardish-e-vaqt ko auqaat me.n rakkhaa hu.aa hai
Arshad Abbas Zaki
Ghazal
aisaa na ho dar-asl tumhe.n apnaa samajh le.n
is darja Gariibo.n kii mudaaraat na karnaa
Karrar Noori
Ghazal
ham se bhii gaahe gaahe mulaaqaat chaahiye
insaan hai.n sabhii to musaavaat chaahiye
Anjum Rumani
Ghazal
dil kii ho dil se mulaaqaat bahut mushkil hai
aur sab sahl hai ye baat bahut mushkil hai
Munawwar Lakhnavi
Ghazal
vo muttahid hai.n dars-e-musaavaat ke baGair
ham dars le ke baT ga.e ansaar-o-KHaan me.n
Faheem Jogapuri
Ghazal
dostii chand mulaaqaat se aage na ba.Dhii
shiddat-e-girya munaajaat se aage na ba.Dhii
Al-Haaj Al-Hafiz
Ghazal
jazbaat me.n Duubii hu.ii ye raat hai kuchh aur
be-taab nigaaho.n kii mulaaqaat hai kuchh aur