SEARCH RESULTS
Showing search results for "tag-o-dau"
Ghazal MATCHES FOR "tag-o-dau"
Ghazal
is tag-o-dau ne aaKHirash mujh ko niDhaal kar diyaa
jiine ke ehtimaam ne jiinaa muhaal kar diyaa
Rashid Jamaal Farooqi
Ghazal
vo apne aap mil gayaa taqdiir me.n jo thaa
ham ne tamaam umr-e-tag-o-dau fuzuul kii
Mehdi Pratapgarhi
Ghazal
aabaad kiyaa dil ko ha.ngaama-e-hasrat se
sahraa-e-tag-o-dau ko viiraan bahut rakkhaa
Suhail Ahmed Zaidi
Ghazal
is daur-e-tag-o-dau me.n vafaa kaun sunegaa
kitnii hii dil-aavez ho aavaaz-e-mohabbat
Mela Ram Wafa
Ghazal
taras rahaa huu.n mai.n takmiil-e-aarzuu ke liye
ye aashiqii kaa sila hai ki haasil-e-tag-o-dau
Ateeq Ahmad Ateeq
Ghazal
udaas maahaul nam faraaham kiyaa musalsal
ba.Dii tag-o-dau se zaKHm kuchh kuchh hare hu.e hai.n
Umair Najmi
Ghazal
kahte hai.n tag-o-dau me.n madad kartaa hai rab KHud
haare hu.e kirdaar ko jitvaa.e kahaanii
Zeeshaan sajid
Ghazal
hayaat-saaz tag-o-dau ke baavajuud ai dost
ba.Daa sukuun bhalaa.ii-nagar me.n rahtaa hai
Syed Inam Ashraf
Ghazal
abas pareshaa.n hai.n ta.abiir kii tag-o-dau me.n
milii hai nii.nd hame.n KHvaab dekhne ke liye
Alam Khursheed
Ghazal
jo tag-o-dau se tirii haasil hu.aa
rakh kuchh us kii bhii KHabar aahista chal
Wali Alam Shaheen
Ghazal
kaise hai.n ye armaan ye kaavish ye tag-o-dau
manzil nahii.n ma.aluum to ghar kyuu.n nahii.n jaate
Husain Taj Rizvi
Ghazal
ai 'shaan' mujhe KHud nahii.n maaluum ki aaKHir
merii ye tag-o-dau kise paane ke liye hai
Shan Bharti
Ghazal
ek lamha jo kaTe duusraa phir bhaarii hai
hu.ii ik umr ki apnii tag-o-dau jaarii hai
Manmohan Talkh
Ghazal
ko.ii jitnii bhii bachaa.o kii tag-o-dau kar le
vaqt kaa tiir kahaa.n dost KHataa hotaa hai
Mohammad Mustahsan Jami
Ghazal
is tag-o-dau me.n kahii.n kho nahii.n jaa.e 'shahzaad'
ek pahchaan ki raushan mire kirdaar me.n hai
Muslim Shahzad
Ghazal
jahaa.n nasiib ho aish-e-davaam be-tag-o-dau
jabii.n pe garm pasiina ba.Daa karishma hai
Wali Alam Shaheen
Ghazal
har ko.ii apnii tag-o-dau me.n hai masruuf yahaa.n
kaun ab kis kii udaasii kaa sabab puuchhe hai
Quaiser Khalid
Ghazal
aql kahtii hai tirii saarii tag-o-dau be-suud
dil kahe ishq me.n be-suud ziyaa.n tak jaa.uu.n
Hidayatullah
Ghazal
ik kamii merii tag-o-dau me.n kahii.n maujuud hai
ho nahii.n paa.ii abhii tak ko.ii shai kaamil mirii