SEARCH RESULTS
Showing search results for "tilismaat"
Ghazal MATCHES FOR "tilismaat"
Ghazal
dekhe.n to chal ke yaar tilismaat-e-samt-e-dil
marnaa bhii pa.D gayaa to chalo mar bhii aa.e.nge
Jaun Eliya
Ghazal
Gazab hu.aa jo a.ndhere me.n jal uThii bijlii
badan kisii kaa tilismaat kuchh dikhaa bhii gayaa
Muneer Niyazi
Ghazal
jaaduugarii kaa khel adhuuraa hii rah gayaa
darvesh ne shabiih-e-tilismaat kaaT dii
Tahir Faraz
Ghazal
jab aa ga.e hai.n shahr-e-tilismaat ke qariib
kyaa chaahtii hai nargis-e-biimaar dekh le.n
Aashufta Changezi
Ghazal
ham ko ronaa hai to ro le.nge kahii.n bhii jaa kar
husn kii bazm-e-tilismaat zaruurii to nahii.n
Gopal Krishn Shafaq
Ghazal
ye mo.ajaza hai ki mai.n raat kaaT detaa huu.n
na jaane kaise tilismaat kaaT detaa huu.n
Moid Rasheedi
Ghazal
ham parii-zaado.n me.n khele shab-e-afsuu.n me.n pale
ham se bhii tere tilismaat kaa 'uqda na khulaa
Mustafa Zaidi
Ghazal
jaataa huu.n jo majlis me.n shab us rashk-e-parii kii
aataa hai nazar mujh ko tilismaat kaa aalam
Mushafi Ghulam Hamdani
Ghazal
mai.n jis ke tilismaat se baahar nikal aayaa
ik roz usii aa.ina-KHaane me.n chalaa jaa.e
Saqi Faruqi
Ghazal
parde ko ta.ayyun ke dar-e-dil se uThaa de
khultaa hai abhii pal me.n tilismaat jahaa.n kaa
Mohammad Rafi Sauda
Ghazal
ye kaar-gaah-e-tilismaat hai yahaa.n 'sayyad'
KHasaara naf.a samajh naf.a ko KHasaara samajh
Fazl Geelani
Ghazal
kis shahr-e-tilismaat me.n le aayaa taKHayyul
jis samt nazar jaa.e nazar aa.e miraa jism
Tanveer Sipra
Ghazal
aam saa shaKHs bachegaa tuu agar mai.n tere
KHaal-o-KHad se ye tilismaat uThaa letaa huu.n
Ahmad Kamran
Ghazal
jism ke apne bhii jaaduu hai.n pa kachche hai.n abhii
ruuh kii mashq-e-tilismaat me.n bah jaate hai.n
Farhat Ehsas
Ghazal
pahu.nche the ham bhii shahr-e-tilismaat me.n magar
vo ism jis se khulnaa thaa dar bhuulne lage