SEARCH RESULTS
Showing search results for "شیطان"
Ghazal MATCHES FOR "شیطان"
Ghazal
kaakul-e-KHamdaar me.n KHam aur aate jaa.e.nge
zulf us kii aur bhii shaitaan hotii jaa.egii
Ameer Imam
Ghazal
kal raat mai.n thaa mere alaava ko.ii na thaa
shaitaan mar gayaa thaa farishte bhii so.e the
Bashir Badr
Ghazal
Shaikh Ibrahim Zauq
Ghazal
qasme.n to saarii ho chukii.n baaqii rahii hai ab
piipal tale ke bhutne kii shaitaan kii qasam
Insha Allah Khan Insha
Ghazal
KHudaa ke hukm se shaitaan bhii hai aadam bhii
vo apnaa kaam karegaa tum apnaa kaam karo
Nida Fazli
Ghazal
is shoKHii-e-guftaar par aataa hai bahut pyaar
jab pyaar se kahte hai.n vo shaitaan kahii.n kaa
Iftikhar Raghib
Ghazal
tujh ko ho jaa.e.nge shaitaan ke darshan vaa.iz
Daal kar mu.nh ko garebaa.n me.n kabhii dekhaa hai
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
is vatan me.n muqtadir hone kii pahlii shart hai
aadmii ke ruup me.n shaitaan honaa chaahiye
Fariha Naqvi
Ghazal
sirf shaitaan hii na thaa munkir-e-takriim 'nadiim'
arsh par jitne farishte the mirii ghaat me.n the
Ahmad Nadeem Qasmi
Ghazal
shaitaan ban gayaa hai farishta Guruur se
kyaa faa.eda hu.aa jo pa.Dhii jaa-ba-jaa namaaz
Ahmad Husain Mail
Ghazal
shab ko shaitaan bhii maa.nge hai panaahe.n jis se
sub.h vo saahib-e-iimaan hu.aa phirtaa hai
Jaleel Haider Lashari
Ghazal
zikr us parii-jamaal kaa jab aur jahaa.n chhi.Daa
fauran raqiib aa gayaa shaitaan kii tarah
Sarfaraz Shahid
Ghazal
shaitaan kii na maan jo raahat-nasiib ho
allaah ko pukaar musiibat agar pa.De
Akbar Allahabadi
Ghazal
daamaan-e-taqaddus par daaGo.n kii faraavaanii
ik maulvii ke ghar me.n shaitaan are tauba