aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for ".amwe"
KHuun apnaa ho yaa paraayaa honasl-e-aadam kaa KHuun hai aaKHirjang mashriq me.n ho ki maGrib me.namn-e-aalam kaa KHuun hai aaKHir
gulshan-e-yaad me.n gar aaj dam-e-baad-e-sabaaphir se chaahe ki gul-afshaa.n ho to ho jaane doumr-e-rafta ke kisii taaq pe bisraa hu.aa dardphir se chaahe ki farozaa.n ho to ho jaane dojaise begaane se ab milte ho vaise hii sahiiaa.o do chaar gha.Dii mere muqaabil baiThogarche mil-baiThe.nge ham tum to mulaaqaat ke baa'dapnaa ehsaas-e-ziyaa.n aur ziyaada hogaaham-suKHan ho.nge jo ham dono.n to har baat ke biichan-kahii baat kaa mauhuum saa parda hogaako.ii iqraar na mai.n yaad dilaa.uu.ngaa na tumko.ii mazmuun vafaa kaa na jafaa kaa hogaagard-e-ayyaam kii tahriir ko dhone ke liyetum se goyaa ho.n dam-e-diid jo merii palke.ntum jo chaaho to suno aur jo na chaaho na sunoaur jo harf kare.n mujh se gurezaa.n aa.nkhe.ntum jo chaaho to kaho aur jo na chaaho na kaho
o des se aane vaale bataakyaa ab bhii vahaa.n melo.n me.n vahiibarsaat kaa jauban hotaa haiphaile hu.e ba.D kii shaaKHo.n me.njhuulo.n kaa nasheman hotaa haiumDe hu.e baadal hote hai.nchhaayaa hu.aa saavan hotaa haio des se aane vaale bataa
jab aadmii ke haal pe aatii hai muflisiikis kis tarah se us ko sataatii hai muflisiipyaasaa tamaam roz biThaatii hai muflisiibhuukaa tamaam raat sulaatii hai muflisiiye dukh vo jaane jis pe ki aatii hai muflisiikahiye to ab hakiim kii sab se ba.Dii hai shaa.nta.aziim jis kii karte hai.n to ab aur KHaa.nmuflis hu.e to hazrat-e-luqmaa.n kiyaa hai yaa.niisaa bhii ho to ko.ii nahii.n puuchhtaa miyaa.nhikmat hakiim kii bhii Dubaatii hai muflisiijo ahl-e-fazl aalim o faazil kahaate hai.nmuflis hu.e to kalma talak bhuul jaate hai.nvo jo Gariib-Gurabaa ke la.Dke pa.Dhaate hai.nun kii to umr bhar nahii.n jaatii hai muflisiimuflis kare jo aan ke mahfil ke biich haalsab jaane.n roTiyo.n kaa ye Daalaa hai is ne jaalgir gir pa.De to ko.ii na liye use sambhaalmuflis me.n hove.n laakh agar ilm aur kamaalsab KHaak bech aa ke milaatii hai muflisiijab roTiyo.n ke baTne kaa aa kar pa.De shumaarmuflis ko deve.n ek tava.ngar ko chaar chaargar aur maa.nge vo to use jhi.Dke.n baar baarmuflis kaa haal aah bayaa.n kyaa karuu.n mai.n yaarmuflis ko is jagah bhii chabaatii hai muflisiimuflis kii kuchh nazar nahii.n rahtii hai aan pardetaa hai apnii jaan vo ek ek naan parhar aan TuuT pa.Dtaa hai roTii ke KHvaan parjis tarah kutte la.Dte hai.n ik ustuKHvaan parvaisaa hii mufliso.n ko la.Daatii hai muflisiikartaa nahii.n hayaa se jo ko.ii vo kaam aahmuflis kare hai us ke ta.ii.n insiraam aahsamjhe na kuchh halaal na jaane haraam aahkahte hai.n jis ko sharm-o-hayaa na.ng-o-naam aahvo sab hayaa-o-sharm u.Daatii hai muflisiiye muflisii vo shai hai ki jis ghar me.n bhar ga.iiphir jitne ghar the sab me.n usii ghar ke dar ga.iizan bachche rote hai.n goyaa naanii guzar ga.iiham-saaya puuchhte hai.n ki kyaa daadii mar ga.iibin murde ghar me.n shor machaatii hai muflisiilaazim hai gar Gamii me.n ko.ii shor-Gul machaa.emuflis baGair Gam ke hii kartaa hai haa.e haa.emar jaave gar ko.ii to kahaa.n se use uThaa.eis muflisii kii KHvaariyaa.n kyaa kyaa kahuu.n mai.n haa.emurde ko be kafan ke ga.Daatii hai muflisiikyaa kyaa muflisii kii kahuu.n KHvaarii phaka.Diyaa.njhaa.Duu baGair ghar me.n bikhartii hai.n jhaka.Diyaa.nkone me.n jaale lapTe hai.n chhappar me.n maka.Diyaa.npaisaa na hove jin ke jalaane ko lak.Diyaa.ndariyaa me.n un ke murde bahaatii hai muflisiibiibii kii nath na la.Dko.n ke haatho.n ka.De rahekap.De miyaa.n ke baniye ke ghar me.n pa.De rahejab ka.Diyaa.n bik ga.ii.n to kha.nDar me.n pa.De rahezanjiir ne kivaa.D na patthar ga.De raheaaKHir ko ii.nT ii.nT khudaatii hai muflisiinaqqaash par bhii zor jab aa muflisii karesab rang dam me.n kar de musavvir ke kirkiresuurat bhii us kii dekh ke mu.nh khi.nch rahe paretasviir aur naqsh me.n kyaa rang vo bhareus ke to mu.nh kaa rang u.Daatii hai muflisiijab KHuub-ruu pe aan ke pa.Dtaa hai din siyaahphirtaa hai bose detaa hai har ik ko KHvaah-maKHvaahhargiz kisii ke dil ko nahii.n hotii us kii chaahgar husn ho hazaar ruupe kaa to us ko aahkyaa kau.Diyo.n ke mol bikaatii hai muflisiius KHuub-ruu ko kaun de ab daam aur diramjo kau.Dii kau.Dii bose ko raazii ho dam-ba-damTopii puraanii do to vo jaane kulaah-e-jismkyuu.nkar na jii ko us chaman-e-husn ke ho Gamjis kii bahaar muft luTaatii hai muflisiiaashiq ke haal par bhii jab aa muflisii pa.Dema.ashuuq apne paas na de us ko baiThneaave jo raat ko to nikaale vahii.n useis Dar se ya.anii raat o dhannaa kahii.n na detohmat ye aashiqo.n ko lagaatii hai muflisiikaise hii dhuum-dhaam kii ranDii ho KHush-jamaaljab muflisii ho kaan pa.De sar pe us ke jaaldete hai.n us ke naach ko ThaTThe ke biich Daalnaache hai vo to farsh ke uupar qadam sambhaalaur us ko u.ngliyo.n pe nachaatii hai muflisiius kaa to dil Thikaane nahii.n bhaav kyaa bataa.ejab ho phaTaa dupaTTa to kaahe se mu.nh chhupaa.ele shaam se vo sub.h talak go ki naache gaa.eauro.n ko aaTh saat to vo do Take hii paa.eis laaj se ise bhii lajaatii hai muflisiijis kasbii ranDii kaa ho halaakat se dil hazii.nrakhtaa hai us ko jab ko.ii aa kar tamaash-bii.nik paun paise tak bhii vo kartii nahii.n nahii.nye dukh usii se puuchhiye ab aah jis ke ta.ii.nsohbat me.n saarii raat jagaatii hai muflisiivo to ye samjhe dil me.n ki Dhelaa jo paa.uu.ngiidam.Dii ke paan dam.Dii ke missii ma.ngaa.uu.ngiibaaqii rahii chhadaam so paanii bharaa.uu.ngiiphir dil me.n sochtii hai ki kyaa KHaak khaa.uu.ngiiaaKHir chabiinaa us kaa bhunaatii hai muflisiijab muflisii se hove kalaavant kaa dil udaasphirtaa hai le tambuure ko har ghar ke aas-paasik paav ser aane kii dil me.n lagaa ke aasgorii kaa vaqt hove to gaataa hai vo babhaasyaa.n tak havaas us ke u.Daatii hai muflisiimuflis biyaah beTii kaa kartaa hai bol bolpaisaa kahaa.n jo jaa ke vo laave jahez moljoruu kaa vo galaa ki phuuTaa ho jaise Dholghar kii halaal-KHorii talak kartii hai ThiTholhaibat tamaam us kii uThaatii hai muflisiibeTe kaa biyaah ho to na byaahii na saathii haine raushnii na baaje kii aavaaz aatii haimaa.n piichhe ek mailii chadar o.Dhe jaatii haibeTaa banaa hai duulhaa to baavaa baraatii haimuflis kii ye baraat cha.Dhaatii hai muflisiigar byaah kar chalaa hai sahar ko to ye balaashahdaar naanaa hiij.Daa aur bhaaT mu.nDcha.Daakhii.nche hu.e use chale jaate hai.n jaa-ba-jaavo aage aage la.Dtaa hu.aa jaataa hai chalaaaur piichhe Tap.Diyo.n ko bajaatii hai muflisiidarvaaze par zanaane bajaate hai.n taaliyaa.naur ghar me.n baiThii Domnii detii hai.n gaaliyaa.nmaalan gale kii haar ho dau.Dii le Daaliyaa.nsaqqaa kha.Daa sunaataa hai baate.n razaaliyaa.nye KHvaarii ye KHaraabii dikhaatii hai muflisiiko.ii shuum be-hayaa ko.ii bolaa nikhaTTuu haibeTii ne jaanaa baap to meraa nikhaTTuu haibeTe pukaarte hai.n ki baabaa nikhaTTuu haibiibii ye dil mai.n kahtii hai achchhaa nikhaTTuu haiaaKHir nikhaTTuu naam dharaatii hai muflisiimuflis kaa dard dil me.n ko.ii Thaantaa nahii.nmuflis kii baat ko bhii ko.ii maantaa nahii.nzaat aur hasab-nasab ko ko.ii jaantaa nahii.nsuurat bhii us kii phir ko.ii pahchaantaa nahii.nyaa.n tak nazar se us ko giraatii hai muflisiijis vaqt muflisii se ye aa kar hu.aa tabaahphir ko.ii is ke haal pa kartaa nahii.n nigaahdaaliidarii kahe ko.ii Thahraa de ruu-siyaahjo baate.n umr bhar na sunii hove.n us ne aahvo baate.n us ko aa ke sunaatii hai.n muflisiichuulhaa tavaanaa paanii ke maTke me.n aabii haipiine ko kuchh na khaane ko aur ne rakaabii haimuflis ke saath sab ke ta.ii.n be-hijaabii haimuflis kii joruu sach hai ki yaa.n sab kii bhaabii haiizzat sab us ke dil kii ga.nvaatii hai muflisiikaisaa hii aadmii ho par iflaas ke tufailko.ii gadhaa kahe use Thahraa de ko.ii bailkap.De phaTe tamaam ba.Dhe baal phail phailmu.nh KHushk daa.nt zard badan par jamaa hai mailsab shakl qaidiyo.n kii banaatii hai muflisiihar aan dosto.n kii mohabbat ghaTaatii haijo aashnaa hai.n un kii to ulfat ghaTaatii haiapne kii mehr Gair kii chaahat ghaTaatii haisharm-o-hayaa o izzat-o-hurmat ghaTaatii haihaa.n naaKHun aur baal ba.Dhaatii hai muflisiijab muflisii hu.ii to sharaafat kahaa.n rahiivo qadr zaat kii vo najaabat kahaa.n rahiikap.De phaTe to logo.n me.n izzat kahaa.n rahiita.aziim aur tavaazo.a kii baabat kahaa.n rahiimajlis kii juutiyo.n pe biThaatii hai muflisiimuflis kisii kaa la.Dkaa jo le pyaar se uThaabaap us kaa dekhe haath kaa aur paa.nv kaa ka.Daakahtaa hai ko.ii juutii na leve kahii.n churaanaT-khaT uchakkaa chor daGaabaaz gaTh-kaTaasau sau tarah ke aib lagaatii hai muflisiirakhtii nahii.n kisii kii ye Gairat kii aan kosab KHaak me.n milaatii hai hurmat kii shaan kosau mehnato.n me.n us kii khapaatii hai jaan kochorii pe aa ke Daale hii muflis ke dhyaan koaaKHir nadaan bhiik ma.ngaatii hai muflisiiduniyaa me.n le ke shaah se ai yaar taa-faqiirKHaaliq na muflisii me.n kisii ko kare asiirashraaf ko banaatii hai ik aan me.n faqiirkyaa kyaa mai.n muflisii kii KHaraabii kahuu.n 'naziir'vo jaane jis ke dil ko jalaatii hai muflisii
aaj kii raat saaz-e-dard na chhe.Ddukh se bharpuur din tamaam hu.eaur kal kii KHabar kise ma.aluumdosh-o-fardaa kii miT chukii hai.n huduudho na ho ab sahar kise ma.aluumzindagii hech! lekin aaj kii raatezdiyyat hai mumkin aaj kii raataaj kii raat saaz-e-dard na chhe.Dab na dohraa fasaana-haa-e-alamapnii qismat pe sogvaar na hofikr-e-fardaa utaar de dil seumr-e-rafta pe ashk-baar na hoahd-e-Gam kii hikaayate.n mat puuchhho chukii.n sab shikaayate.n mat puuchhaaj kii raat saaz-e-dard na chhe.D
dekhe hai.n is se ba.Dh ke zamaane ne inqalaabjin se ki be-gunaaho.n kii 'umre.n hu.ii.n KHaraabsoz-e-daruu.n se qalb o jigar ho ga.e kabaabpiirii miTii kisii kii kisii kaa miTaa shabaabkuchh ban nahii.n pa.Daa jo nasiibe biga.D ga.evo bijliyaa.n girii.n ki bhare ghar uja.D ga.emaa.n baap mu.nh hii dekhte the jin kaa har gha.Diiqaa.em thii.n jin ke dam se umiide.n ba.Dii ba.Diidaaman pe jin ke gard bhii u.D kar nahii.n pa.Diimaarii na jin ko KHvaab me.n bhii phuul kii chha.Diimahruum jab vo gul hu.e ra.ng-e-hayaat seun ko jalaa ke KHaak kiyaa apne haat sekahte the log dekh ke maa.n baap kaa malaalin be-kaso.n kii jaan kaa bachnaa hai ab muhaalhai kibriyaa kii shaan guzarte hii maah-o-saalKHud dil se dard-e-hijr kaa miTtaa gayaa KHayaalhaa.n kuchh dino.n to nauha-o-maatam hu.aa kiyaaaaKHir ko ro ke baiTh rahe aur kyaa kiyaapa.Dtaa hai jis Gariib pe ra.nj-o-mehan kaa baarkartaa hai us ko sabr 'ataa aap kirdgaarmaayuus ho ke hote hai.n insaa.n gunaahgaarye jaante nahii.n vo hai daanaa-e-rozgaarinsaan us kii raah me.n saabit-qadam rahegardan vahii hai amr-e-razaa me.n jo KHam raheaur aap ko to kuchh bhii nahii.n ranj kaa maqaambaa'd-e-safar vatan me.n ham aa.e.nge shaad-kaamhote hai.n baat karne me.n chaudah baras tamaamqaa.em umiid hii se hai duniyaa hai jis kaa naam
jab aadmii ke peT me.n aatii hai.n roTiyaa.nphuulii nahii.n badan me.n samaatii hai.n roTiyaa.naa.nkhe.n parii-ruKHo.n se la.Daatii hai.n roTiyaa.nsiine upar bhii haath chalaatii hai.n roTiyaa.njitne maze hai.n sab ye dikhaatii hai.n roTiyaa.nroTii se jis kaa naak talak peT hai bharaakartaa pare hai kyaa vo uchhal kuud jaa-ba-jaadiivaar phaa.nd kar ko.ii koThaa uchhal gayaaThaTThaa ha.nsii sharaab sanam saaqii is sivaasau sau tarah kii dhuum machaatii hai.n roTiyaa.njis jaa pe haa.nDii chuulhaa tavaa aur tanuur haiKHaaliq kii qudrato.n kaa usii jaa zuhuur haichuulhe ke aage aa.nch jo chaltii huzuur haijitne hai.n nuur sab me.n yahii KHaas nuur haiis nuur ke sabab nazar aatii hai.n roTiyaa.naave tave tanuur kaa jis jaa zabaa.n pe naamyaa chakkii chuulhe ke jahaa.n gulzaar ho.n tamaamvaa.n sar jhukaa ke kiije Da.nDvat aur salaamis vaaste ki KHaas ye roTii ke hai.n maqaampahle inhii.n makaano.n me.n aatii hai.n roTiyaa.nin roTiyo.n ke nuur se sab dil hai.n bor boraaTaa nahii.n hai chhalnii se chhan-chhan gire hai nuurpe.Daa har ek us kaa hai barfii o motii chuurhargiz kisii tarah na bujhe peT kaa tanuuris aag ko magar ye bujhaatii hai.n roTiyaa.npuuchhaa kasii ne ye kisii kaamil faqiir seye mehr-o-maah haq ne banaa.e hai.n kaahe kevo sun ke bolaa baabaa KHudaa tujh ko KHair deham to na chaa.nd samjhe.n na suuraj hai.n jaantebaabaa hame.n to ye nazar aatii hai.n roTiyaa.nphir puuchhaa us ne kahiye ye hai dil kaa tuur kyaais ke mushaahide me.n hai khultaa zuhuur kyaavo bolaa sun ke teraa gayaa hai shu.uur kyaakashf-ul-quluub aur ye kashf-ul-qubuur kyaajitne hai.n kashf sab ye dikhaatii hai.n roTiyaa.nroTii jab aa.ii peT me.n sau qand ghul ga.egulzaar phuule aa.nkho.n me.n aur aish tul ga.edo tar nivaale peT me.n jab aa ke Dhul ga.echaudah tabaq ke jitne the sab bhed khul ga.eye kashf ye kamaal dikhaatii hai.n roTiyaa.nroTii na peT me.n ho to phir kuchh jatan na homele kii sair KHvaahish-e-baaG-o-chaman na hobhuuke Gariib dil kii KHudaa se lagan na hosach hai kahaa kasii ne ki bhuuke bhajan na hoallaah kii bhii yaad dilaatii hai.n roTiyaa.nab aage jis ke maal-puu.e bhar ke thaal hai.npuure bhagat unhe.n kaho saahab ke laal hai.naur jin ke aage roGnii aur shiir-maal hai.naarif vahii hai.n aur vahii saahab-kamaal hai.npakkii-pakaa.ii ab jinhe.n aatii hai.n roTiyaa.nkap.De kisii ke laal hai.n roTii ke vaastelambe kisii ke baal hai.n roTii ke vaastebaa.ndhe ko.ii rumaal hai.n roTii ke vaastesab kashf aur kamaal hai.n roTii ke vaastejitne hai.n ruup sab ye dikhaatii hai.n roTiyaa.nroTii se naache pyaada qavaa.ed dikhaa dikhaaasvaar naache gho.De ko kaava lagaa lagaaghu.nghruu ko baa.ndhe paik bhii phirtaa hai naachtaaaur is sivaa jo Gaur se dekhaa to jaa-ba-jaasau sau tarah ke naach dikhaatii hai.n roTiyaa.nroTii ke naach to hai.n sabhii KHalq me.n pa.Dekuchh bhaa.nD bhiigte ye nahii.n phirte naachteye ranDiyaa.n jo naache hai.n ghuu.nghaT ko mu.nh pe leghuu.nghaT na jaano dosto tum ziinhaar useis parde me.n ye apne kamaatii hai.n roTiyaa.nashraafo.n ne jo apnii ye zaate.n chhupaa.ii hai.nsach puuchhiye to apnii ye shaane.n ba.Dhaa.ii hai.nkahiye unho.n kii roTiyaa.n kis kis ne khaa.ii hai.nashraaf sab me.n kahiye to ab naan-baa.ii hai.njin kii dukaa.n se har kahii.n jaatii hai.n roTiyaa.nduniyaa me.n ab badii na kahii.n aur niko.ii haiyaa dushmanii o dostii yaa tund-KHuu.ii haiko.ii kisii kaa aur kisii kaa na ko.ii haisab ko.ii hai usii kaa ki jis haath Do.ii hainaukar nafar Gulaam banaatii hai.n roTiyaa.nroTii kaa ab azal se hamaaraa to hai KHamiirruukhii hii roTii haq me.n hamaare hai shahd-o-shiiryaa patlii hove moTii KHamiirii ho yaa fatiirgehuu.n javaar baajre kii jaisii ho 'naziir'ham ko to sab tarah kii KHush aatii hai.n roTiyaa.n
ai himaala ai fasiil-e-kishvar-e-hindustaanchuumtaa hai terii peshaanii ko jhuk kar aasmaa.ntujh me.n kuchh paidaa nahii.n deriina rozii ke nishaa.ntuu javaa.n hai gardish-e-shaam-o-sahar ke darmiyaa.nek jalva thaa kaliim-e-tuur-e-siinaa ke liyetuu tajallii hai saraapaa chashm-e-biinaa ke liyeimtihaan-e-diida-e-zaahir me.n kohistaa.n hai tuupaasbaa.n apnaa hai tuu diivaar-e-hindustaa.n hai tuumatla-e-avval falak jis kaa ho vo diivaa.n hai tuusuu-e-KHalvat-gaah-e-dil daaman-kash-e-insaa.n hai tuubarf ne baa.ndhii hai dastaar-e-faziilat tere sarKHanda-zan hai jo kulaah-e-mehr-e-aalam-taab parterii 'umr-e-rafta kii ik aan hai ahd-e-kuhanvaadiyo.n me.n hai.n tirii kaalii ghaTaa.e.n KHema-zanchoTiyaa.n terii surayyaa se hai.n sargarm-e-suKHantuu zamii.n par aur pahnaa-e-falak teraa vatanchashma-e-daaman tiraa aa.iina-e-sayyaal haidaaman-e-mauj-e-havaa jis ke liye ruumaal haiabr ke haatho.n me.n rahvaar-e-havaa ke vaastetaaziyaana de diyaa barq-e-sar-e-kohsaar neai himaala ko.ii baazii-gaah hai tuu bhii jisedast-e-qudrat ne banaayaa hai 'anaasir ke liyehaa.e kyaa fart-e-tarab me.n jhuumtaa jaataa hai abrfiil-e-be-zanjiir kii suurat u.Daa jaataa hai abrjumbish-e-mauj-e-nasiim-e-sub.h gahvaara baniijhuumtii hai nashsha-e-hastii me.n har gul kii kaliiyuu.n zabaan-e-barg se goyaa hai us kii KHaamushiidast-e-gul-chii.n kii jhaTak mai.n ne nahii.n dekhii kabhiikah rahii hai merii KHaamoshii hii afsaana miraakunj-e-KHalvat KHaana-e-qudrat hai kaashaana miraaaatii hai naddii faraaz-e-koh se gaatii hu.iikausar o tasniim kii maujo.n ko sharmaatii hu.iiaa.iina saa shaahid-e-qudrat ko dikhlaatii hu.iisa.ng-e-rah se gaah bachtii gaah Takraatii hu.iichhe.Dtii jaa is iraaq-e-dil-nashii.n ke saaz koai musaafir dil samajhtaa hai tirii aavaaz kolaila-e-shab kholtii hai aa ke jab zulf-e-rasaadaaman-e-dil khii.nchtii hai aabshaaro.n kii sadaavo KHamoshii shaam kii jis par takallum ho fidaavo daraKHto.n par tafakkur kaa samaa.n chhaayaa hu.aakaa.nptaa phirtaa hai kyaa rang-e-shafaq kohsaar parKHush-numaa lagtaa hai ye Gaaza tire ruKHsaar parai himaala daastaa.n us vaqt kii ko.ii sunaamaskan-e-aabaa-e-insaa.n jab banaa daaman tiraakuchh bataa us siidhii-saadhii zindagii kaa maajraadaaG jis par Gaaza-e-ra.ng-e-taklluf kaa na thaahaa.n dikhaa de ai tasavvur phir vo sub.h-o-shaam tuudau.D piichhe kii taraf ai gardish-e-ayyaam tuu
mirii sadaa hai gul-e-sham-e-shaam-e-aazaadiisunaa rahaa huu.n dilo.n ko payaam aazaadiilahuu vatan ke shahiido.n kaa rang laayaa haiuchhal rahaa hai zamaane me.n naam-e-aazaadiimujhe baqaa kii zaruurat nahii.n ki faanii huu.nmirii fanaa se hai paidaa davaam-e-aazaadiijo raaj karte hai.n jamhuuriyat ke parde me.nunhe.n bhii hai sar-o-saudaa-e-KHaam-e-aazaadiibanaa.e.nge na.ii duniyaa kisaan aur mazduuryahii sajaa.e.nge diivaan-e-aam-e-aazaadiifazaa me.n jalte dilo.n se dhu.aa.n saa uThtaa haiare ye sub.h-e-Gulaamii ye shaam-e-aazaadiiye mahr-o-maah ye taare ye baam haft-aflaakbahut buland hai in se maqaam-e-aazaadiifazaa-e-shaam-e-sahar me.n shafaq jhalaktii haiki jaam me.n hai mai-e-laala-faam-e-aazaadiisyaah-KHaana-e-duniyaa kii zulmate.n hai.n do-ra.ngnihaa.n hai sub.h-e-asiirii me.n shaam-e-aazaadiisukuu.n kaa naam na le hai vo qaid-e-be-mii.aadhai pai-ba-pai harakat me.n qayaam-e-aazaadiiye kaarvaan hai.n pasmaa.ndgaan-e-manzil keki rahravo.n me.n yahii hai.n imaam-e-aazaadiidilo.n me.n ahl-e-zamii.n ke hai niiv us kii magarqusuur-e-KHuld se uu.nchaa hai baam-e-aazaadiivahaa.n bhii KHaak-nashiino.n ne jhanDe gaa.D diyemilaa na ahl-e-duval ko maqaam-e-aazaadiihamaare zor se zanjiir-e-tiirgii TuuTiihamaaraa soz hai maah-e-tamaam-e-aazaadiitarannum-e-saharii de rahaa hai jo chhup karhariif-e-sub.h-e-vatan hai ye shaam-e-aazaadiihamaare siine me.n sho.ale bha.Dak rahe hai.n 'firaaq'hamaarii saa.ns se raushan hai naam-e-aazaadii
naujavaano.n jo tabii.at me.n tumhaarii khaTkeyaad kar lenaa kabhii ham ko bhii bhuule-bhaTkeaap ke uzv-e-badan hove.n judaa kaT kaT keaur sad-chaak ho maataa kaa kaleja phaTke
ko.ii dam me.n hayaat-e-nau kaa phir parcham uThaataa huu.nba-iima-e-hamiyyat jaan kii baazii lagaataa huu.nmai.n jaa.uu.ngaa mai.n jaa.uu.ngaa mai.n jaataa huu.n me.n jaataa huu.nmujhe jaanaa hai ik din terii bazm-e-naaz se aaKHir
mai.n ne kahaa ki yaar tumhe.n kyaa hu.aa hai yeus ne kahaa ki umr-e-ravaa.n kii ataa hai yemai.n ne kahaa ki umr-e-ravaa.n to sabhii kii haius ne kahaa ki fikr-o-nazar kii sazaa hai yemai.n ne kahaa ki sochtaa rahtaa to mai.n bhii huu.nus ne kahaa ki aa.iina rakkhaa hu.aa hai
ai mirii ummiid merii jaa.n-navaazai mirii dil-soz merii kaarsaazmerii sipar aur mire dil kii panaahdard-o-musiibat me.n mirii takiya-gaahaish me.n aur ranj mai.n merii shafiiqkoh me.n aur dasht me.n merii rafiiqkaaTne vaalii Gam-e-ayyaam kiithaamne vaalii dil-e-naakaam kiidil pa pa.Daa aan ke jab ko.ii dukhtere dilaase se milaa ham ko sukhtuu ne na chho.Daa kabhii Gurbat me.n saathtuu ne uThaayaa na kabhii sar se haathjii ko ho kabhii agar usrat kaa ra.njkhol diye tuu nai qanaa.at ke ganjtujh se hai mohtaaj kaa dil be-hiraastujh se hai biimaar ko jiine kii aasKHaatir-e-ranjuur kaa darmaa.n hai tuuaashiq-e-mahjuur kaa iimaa.n hai tuunuuh kii kashtii kaa sahaaraa thii tuuchaah me.n yuusuf kii dil-aaraa thii tuuraam ke ham-raah cha.Dhii ran me.n tuupaa.nDav ke bhii saath phirii ban me.n tuutuu ne sadaa qais kaa bahlaayaa dilthaam liyaa jab kabhii ghabraayaa dilho gayaa farhaad kaa qissa tamaampar tire fiqro.n pe rahaa KHush mudaamtuu ne hii raa.njhe kii ye ba.ndhvaaii aashiir thii furqat me.n bhii goyaa ki paashotii hai tuu pusht pe himmat kii jabmushkile.n aasaa.n nazar aatii hai.n sabhaath me.n jab aa ke liyaa tuu ne haatsaat samundar se guzarnaa hai baatsaath milaa jis ko tiraa do qadamkahtaa hai vo ye hai arab aur ajamgho.De kii lii apne jahaa.n tuu ne baagsaamne hai tere gayaa aur praagazm ko jab detii hai tuu mel jastgumbad-e-garduu.n nazar aataa hai pasttuu ne diyaa aa ke ubhaaraa jahaa.nsamjhe ki muTThii me.n hai saaraa jahaa.nzarre ko KHurshiid me.n de khapaabande ko allaah se de tuu milaadono.n jahaa.n kii hai ba.ndhii tujh se la.Ddiin kii tuu asl hai duniyaa kii ja.Dnekiyo.n kii tujh se hai qaa.em asaastuu na ho to jaa.e.n na nekii ke paasdiin kii tujh bin kahii.n pursish na hotuu na ho to haq kii parastish na hoKHushk thaa bin tere daraKHt-e-amaltuu ne lagaa.e hai.n ye sab phuul phaldil ko lubhaatii hai kabhii ban ke huurgaah dikhaatii hai sharaab-e-tahuurnaam hai sidra kabhii tuubaa tiraaroz niraalaa hai tamaashaa tiraakausar o tasniim hai yaa salsabiiljalve hai.n sab tere ye be-qaal-o-qiilruup hai.n har panth me.n tere alaghai kahii.n firdaus kahii.n hai sovargchhuuT ga.e saare qariib aur ba.iidek na chhuuTii to na chhuuTii umiidtere hii dam se kaTe jo din the saKHttere hii sadqe se milaa taaj-o-taKHtKHaakiyo.n kii tujh se hai himmat bulandtuu na ho to kaam ho.n duniyaa ke bandtujh se hii aabaad hai kaun-o-makaa.ntuu na ho to hai bhii barham jahaa.nko.ii pa.Dtaa phirtaa hai bahr-e-ma.aashhai ko.ii iksiir ko kartaa talaashik tamannaa me.n hai aulaad kiiek ko dil-daar kii hai lau lagiiek ko hai dhan jo kuchh haath aa.edhuum se aulaad kii shaadii rachaa.eek ko kuchh aaj agar mil gayaakal kii hai ye fikr ki khaa.e.nge kyaaqaum kii bahbuud kaa bhuukaa hai ekjin me.n ho un ke liye anjaam-e-nekek ko hai tishnagii-e-qurb-e-haqjis ne kiyaa dil se jigar tak hai shaqjo hai Garaz us kii na.ii justujuulaakh agar dil hai.n to laakh aarzuutujh se hai.n dil sab ke magar baaG baaGgul ko.ii hone nahii.n paataa charaaGsab ye samajhte hai.n ki paa.ii muraadkahtii hai jab tuu ki ab aa.ii muraadva.ada tiraa raast ho yaa ho daroGtuu ne diye hai.n use kyaa kyaa faroGva.ade vafaa kartii hai go chand tuurakhtii hai har ek ko KHursand tuubhaatii hai sab ko tirii lait-o-la.altuu ne kahaa.n siikhii hai ye aaj kaltalKH ko tuu chaahe to shiirii.n karebazm-e-azaa ko tarab-aagii.n kareaane na de ranj ko muflis ke paasrakhe Ganii us ko rahe jis ke paasyaas kaa paatii hai jo tuu kuchh lagaavsaik.Do.n kartii hai utaar aur cha.Dhaa.oaane nahii.n detii dilo.n par hiraasTuuTne detii nahii.n taalib kii aasjin ko mayassar na ho kamlii phaTiiKHush hai.n tavaqqo.a pe vo zar-baft kiichaTnii se roTii kaa hai jin kii banaavbaiThe pakaate hai.n KHayaalii polaavpaa.nv me.n juutii nahii.n par hai ye zauqgho.Daa jo sabza ho to niilaa ho tauqfaiz ke khole hai.n jahaa.n tuu ne baabdekhte hai.n jho.npa.De mahlo.n ke KHvaabtere karishme hai.n Gazab dil-farebdil me.n nahii.n chho.Dte sabr-o-shakebtujh se muhavvis ne jo shuuraa liyaaphuu.nk diyaa kaan me.n kyaa jaane kyaadil se bhulaayaa zan o farzand kolag gayaa ghun naKHl-e-baroma.nd kokhaane se piine se hu.aa sard jiiaisii kuchh iksiir kii hai lau lagiidiin kii hai fikr na duniyaa se kaamdhun hai yahii raat din aur sub.h shaamdho.nknii hai baiTh ke jab dho.nknaashah ko samajhtaa hai ik adnaa gadaapaise ko jab taav pe detaa hai taavpuuchhtaa yaaro.n se hai sone kaa bhaavkahtaa hai jab ha.nste hai.n sab dekh karrah ga.ii ik aa.nch kii baaqii kasarhai isii dhu.nd me.n vo aasuuda-haaltuu ne diyaa aql pe parda saa Daaltol kar gar dekhiye us kii KHushiiko.ii KHushii is ko na pahu.nche kabhiiphirte hai.n mohtaaj ka.ii tiira-baKHtjan ke pairo.n me.n thaa kabhii taaj-o-taKHtaaj jo bartan hai.n to kal ghar karomaltii hai mushkil se inhe.n naan-e-jautaire sivaa KHaak nahii.n in ke paassaarii KHudaa.ii me.n hai le de ke aasphuule samaate nahii.n is aas parsaahib-e-aalam unhe.n kahiye agarkhaate hai.n is aas pa qasme.n ajiibjhuuTe ko ho taKHt na yaa-rab nasiibhotaa hai naumiidiyo.n kaa jab hujuumaatii hai hasrat kii ghaTaa jhuum jhuumlagtii hai himmat kii kamar TuuTnehausla kaa lagtaa hai jii chhuuTnehotii hai be-sabrii o taaqat me.n ja.ngarsa-e-aalam nazar aataa hai ta.ngjii me.n ye aataa hai ki sam khaa.iyephaa.D ke yaa kap.De nikal jaa.iyebaiThne lagtaa hai dil aave kii tarahyaas Daraatii hai chhalaave kii tarahhotaa hai shikva kabhii taqdiir kaau.Dtaa hai KHaaka kabhii tadbiir kaaThantii hai garduu.n se la.Daa.ii kabhiihotii hai qismat kii ha.nsaa.ii kabhiijaataa hai qaabuu se aaKHir dil nikalkartii hai in mushkilo.n ko tuu hii halkaan me.n pahu.nchii tirii aahaT jo hai.nraKHt-e-safar yaas nai baa.ndhaa vahii.nsaath ga.ii yaas ke pazhmurdagiiho ga.ii kaafuur sab afsurdagiitujh me.n chhupaa raahat-e-jaa.n kaa hai bhedchho.Diyo 'haalii' kaa na saath ai umiid
mujh ko shikva hai mire bhaa.ii ki tum jaate hu.ele ga.e saath mirii umr-e-guzishta kii kitaabis me.n to merii bahut qiimtii tasviire.n thii.nis me.n bachpan thaa miraa aur miraa ahd-e-shabaabis ke badle mujhe tum de ga.e jaate jaateapne Gam kaa ye damaktaa hu.aa KHuu.n-ra.ng gulaabkyaa karuu.n bhaa.ii ye e.azaaz me.n kyuu.n-kar pahnuu.nmujh se le lo mirii sab chaak qamiiso.n kaa hisaabaaKHirii baar hai lo maan lo ik ye bhii savaalaaj tak tum se mai.n lauTaa nahii.n maayuus-e-javaabaa ke le jaa.o tum apnaa ye damaktaa hu.aa phuulmujh ko lauTaa do mirii umr-e-guzishta kii kitaab
ehsaas-e-avvalii.nek mauhuum iztiraab saa haiik talaatum saa pech-o-taab saa haiumDe aate hai.n KHud-ba-KHud aa.nsuudil pe qaabuu na aa.nkh par qaabuudil me.n ik dard miiThaa miiThaa saara.ng chehre kaa phiikaa phiikaa saazulf bikhrii hu.ii pareshaa.n-haalaap hii aap jii hu.aa hai niDhaalsiine me.n ik chubhan sii hotii haiaa.nkho.n me.n kyuu.n jalan sii hotii haisar me.n pinhaa.n tasavvur-e-mauhuumhaa.e ye aarzuu-e-naa-maaluumek naala saa hai baGair aavaazek halchal sii hai na soz na saazkyuu.n ye haalat hai be-qaraarii kiisaa.ns bhii khul ke aa nahii.n saktiiruuh me.n intishaar saa kyaa haidil ko ye intizaar saa kyaa hai
ab bazm-e-suKHan sohbat-e-lab-soKHtagaa.n haiab halqa-e-mai taa.efaa-e-be-talabaa.n haighar rahiye to viiraani-e-dil khaane ko aaverah chaliye to har gaam pe GauGaa-e-sagaa.n haipaivand-e-rah-e-kuucha-e-zar chashm-e-Gazaalaa.npaabos-e-havas afsar-e-shamshaad-qadaa.n haiyaa.n ahl-e-junuu.n yak-ba-digar dast-o-girebaa.nvaa.n jaish-e-havas teG-ba-kaf darpa-e-jaa.n haiab saahab-e-insaaf hai KHud taalib-e-insaafmohr us kii hai miizaan ba-dast-e-digraa.n haiham sahal-talab kaun se farhaad the lekinab shahr me.n tere ko.ii ham saa bhii kahaa.n hai
tum samajhte ho ye shab aap hii Dhal jaa.egiiKHud hii ubhregaa na.ii sub.h kaa zarrii.n parchammai.n samajhtaa huu.n kisii sub.h-e-daraKHshaa.n ke evazqahr kii ek na.ii raat ko degii ye janamaur us raat kii taariikii me.n kho jaa.e.ngemaktab o KHaanqah o dair o kaliisaa o haramdev-e-zulmaat kii Thokar se na paa.e.nge panaahye shivaale, ye masaajid, ye pujaarii, ye sanamrakh diye jaa.e.nge shamshiir ke zer-e-saayadast-e-maatam lab-e-fariyaad, zabaan o tanqiidbarf jam jaa.egii afkaar ke gulzaaro.n paryaKH havaa.o.n me.n hii jam jaa.egii kisht-e-ummiidchaa.ndnii zulmat-e-sayyaal me.n Dhal jaa.egiiraat kii maa.ng sa.nvaaregii shu.aa-e-ummiidahl-e-fan de.nge a.ndhero.n ko ujaalo.n kaa laqabzahr ko qand, moharram ko kahaa jaa.egaa iidye miraa vahm nahii.n, novel o afsaana nahii.ndosto! Gaur karo, aur nigaahe.n to uThaa.ovo jo ik surKH sitaara hai ufuq ke nazdiikkuchh tumhe.n ilm hai kis ruKH pe hai us kaa phailaa.okaash tum us kii haqiiqat pe nazar Daal sakohai ye ik aatish-e-sad-barq-badaamaa.n kaa alaavis kii kirno.n me.n hai chaltii hu.ii talvaar kii kaaTis kii surKHii me.n hai umDe hu.e dariyaa kaa bahaavis ke daaman me.n hai aasuuda vo fitna jis sejism to jism mayassar nahii.n ruuho.n ko amaa.ndil, nazar, zehn, KHayaalaat, usuul o aqdaarsab ke sab is kii tag-o-taaz se larzaa.n tarsaa.nis kii parchhaa.ii.n bhii pa.D jaa.e to sabza jal jaa.edekhte dekhte maahaul pe chhaa jaa.e dhu.aa.nis ke sho.alo.n kaa to kyaa zikr ki sho.ale Thahreis kii shabnam bhii gulistaa.n ke liye barq-e-tapaa.n
gardan me.n cha.ndan-haar hai haatho.n me.n hai ka.nganumDe hu.e ishve hai.n garajtaa hu.aa jaubanjaulaa.n hai javaanii ke dhundalke me.n la.Dakpankoraa hai jo pinDaa to junuu.n-KHez hai ubTabgul-ra.ng shaluukaa hai qabaa naardanii haikyaa gul-badanii gul-badanii gul-badanii hai
chalo tiisvaa.n saal bhii biit gayaachalo mai chalkaa.e.n jashn kare.nchalo sar ko jhukaa.e.n sajde me.nis umr-e-faromaaya kaa safaraadhe se ziyaada KHatm hu.aa
kahii.n to kaarvaan-e-dard kii manzil Thahar jaa.ekinaare aa lage umr-e-ravaa.n yaa dil Thahar jaa.e
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books