aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "baabat"
jab aadmii ke haal pe aatii hai muflisiikis kis tarah se us ko sataatii hai muflisiipyaasaa tamaam roz biThaatii hai muflisiibhuukaa tamaam raat sulaatii hai muflisiiye dukh vo jaane jis pe ki aatii hai muflisiikahiye to ab hakiim kii sab se ba.Dii hai shaa.nta.aziim jis kii karte hai.n to ab aur KHaa.nmuflis hu.e to hazrat-e-luqmaa.n kiyaa hai yaa.niisaa bhii ho to ko.ii nahii.n puuchhtaa miyaa.nhikmat hakiim kii bhii Dubaatii hai muflisiijo ahl-e-fazl aalim o faazil kahaate hai.nmuflis hu.e to kalma talak bhuul jaate hai.nvo jo Gariib-Gurabaa ke la.Dke pa.Dhaate hai.nun kii to umr bhar nahii.n jaatii hai muflisiimuflis kare jo aan ke mahfil ke biich haalsab jaane.n roTiyo.n kaa ye Daalaa hai is ne jaalgir gir pa.De to ko.ii na liye use sambhaalmuflis me.n hove.n laakh agar ilm aur kamaalsab KHaak bech aa ke milaatii hai muflisiijab roTiyo.n ke baTne kaa aa kar pa.De shumaarmuflis ko deve.n ek tava.ngar ko chaar chaargar aur maa.nge vo to use jhi.Dke.n baar baarmuflis kaa haal aah bayaa.n kyaa karuu.n mai.n yaarmuflis ko is jagah bhii chabaatii hai muflisiimuflis kii kuchh nazar nahii.n rahtii hai aan pardetaa hai apnii jaan vo ek ek naan parhar aan TuuT pa.Dtaa hai roTii ke KHvaan parjis tarah kutte la.Dte hai.n ik ustuKHvaan parvaisaa hii mufliso.n ko la.Daatii hai muflisiikartaa nahii.n hayaa se jo ko.ii vo kaam aahmuflis kare hai us ke ta.ii.n insiraam aahsamjhe na kuchh halaal na jaane haraam aahkahte hai.n jis ko sharm-o-hayaa na.ng-o-naam aahvo sab hayaa-o-sharm u.Daatii hai muflisiiye muflisii vo shai hai ki jis ghar me.n bhar ga.iiphir jitne ghar the sab me.n usii ghar ke dar ga.iizan bachche rote hai.n goyaa naanii guzar ga.iiham-saaya puuchhte hai.n ki kyaa daadii mar ga.iibin murde ghar me.n shor machaatii hai muflisiilaazim hai gar Gamii me.n ko.ii shor-Gul machaa.emuflis baGair Gam ke hii kartaa hai haa.e haa.emar jaave gar ko.ii to kahaa.n se use uThaa.eis muflisii kii KHvaariyaa.n kyaa kyaa kahuu.n mai.n haa.emurde ko be kafan ke ga.Daatii hai muflisiikyaa kyaa muflisii kii kahuu.n KHvaarii phaka.Diyaa.njhaa.Duu baGair ghar me.n bikhartii hai.n jhaka.Diyaa.nkone me.n jaale lapTe hai.n chhappar me.n maka.Diyaa.npaisaa na hove jin ke jalaane ko lak.Diyaa.ndariyaa me.n un ke murde bahaatii hai muflisiibiibii kii nath na la.Dko.n ke haatho.n ka.De rahekap.De miyaa.n ke baniye ke ghar me.n pa.De rahejab ka.Diyaa.n bik ga.ii.n to kha.nDar me.n pa.De rahezanjiir ne kivaa.D na patthar ga.De raheaaKHir ko ii.nT ii.nT khudaatii hai muflisiinaqqaash par bhii zor jab aa muflisii karesab rang dam me.n kar de musavvir ke kirkiresuurat bhii us kii dekh ke mu.nh khi.nch rahe paretasviir aur naqsh me.n kyaa rang vo bhareus ke to mu.nh kaa rang u.Daatii hai muflisiijab KHuub-ruu pe aan ke pa.Dtaa hai din siyaahphirtaa hai bose detaa hai har ik ko KHvaah-maKHvaahhargiz kisii ke dil ko nahii.n hotii us kii chaahgar husn ho hazaar ruupe kaa to us ko aahkyaa kau.Diyo.n ke mol bikaatii hai muflisiius KHuub-ruu ko kaun de ab daam aur diramjo kau.Dii kau.Dii bose ko raazii ho dam-ba-damTopii puraanii do to vo jaane kulaah-e-jismkyuu.nkar na jii ko us chaman-e-husn ke ho Gamjis kii bahaar muft luTaatii hai muflisiiaashiq ke haal par bhii jab aa muflisii pa.Dema.ashuuq apne paas na de us ko baiThneaave jo raat ko to nikaale vahii.n useis Dar se ya.anii raat o dhannaa kahii.n na detohmat ye aashiqo.n ko lagaatii hai muflisiikaise hii dhuum-dhaam kii ranDii ho KHush-jamaaljab muflisii ho kaan pa.De sar pe us ke jaaldete hai.n us ke naach ko ThaTThe ke biich Daalnaache hai vo to farsh ke uupar qadam sambhaalaur us ko u.ngliyo.n pe nachaatii hai muflisiius kaa to dil Thikaane nahii.n bhaav kyaa bataa.ejab ho phaTaa dupaTTa to kaahe se mu.nh chhupaa.ele shaam se vo sub.h talak go ki naache gaa.eauro.n ko aaTh saat to vo do Take hii paa.eis laaj se ise bhii lajaatii hai muflisiijis kasbii ranDii kaa ho halaakat se dil hazii.nrakhtaa hai us ko jab ko.ii aa kar tamaash-bii.nik paun paise tak bhii vo kartii nahii.n nahii.nye dukh usii se puuchhiye ab aah jis ke ta.ii.nsohbat me.n saarii raat jagaatii hai muflisiivo to ye samjhe dil me.n ki Dhelaa jo paa.uu.ngiidam.Dii ke paan dam.Dii ke missii ma.ngaa.uu.ngiibaaqii rahii chhadaam so paanii bharaa.uu.ngiiphir dil me.n sochtii hai ki kyaa KHaak khaa.uu.ngiiaaKHir chabiinaa us kaa bhunaatii hai muflisiijab muflisii se hove kalaavant kaa dil udaasphirtaa hai le tambuure ko har ghar ke aas-paasik paav ser aane kii dil me.n lagaa ke aasgorii kaa vaqt hove to gaataa hai vo babhaasyaa.n tak havaas us ke u.Daatii hai muflisiimuflis biyaah beTii kaa kartaa hai bol bolpaisaa kahaa.n jo jaa ke vo laave jahez moljoruu kaa vo galaa ki phuuTaa ho jaise Dholghar kii halaal-KHorii talak kartii hai ThiTholhaibat tamaam us kii uThaatii hai muflisiibeTe kaa biyaah ho to na byaahii na saathii haine raushnii na baaje kii aavaaz aatii haimaa.n piichhe ek mailii chadar o.Dhe jaatii haibeTaa banaa hai duulhaa to baavaa baraatii haimuflis kii ye baraat cha.Dhaatii hai muflisiigar byaah kar chalaa hai sahar ko to ye balaashahdaar naanaa hiij.Daa aur bhaaT mu.nDcha.Daakhii.nche hu.e use chale jaate hai.n jaa-ba-jaavo aage aage la.Dtaa hu.aa jaataa hai chalaaaur piichhe Tap.Diyo.n ko bajaatii hai muflisiidarvaaze par zanaane bajaate hai.n taaliyaa.naur ghar me.n baiThii Domnii detii hai.n gaaliyaa.nmaalan gale kii haar ho dau.Dii le Daaliyaa.nsaqqaa kha.Daa sunaataa hai baate.n razaaliyaa.nye KHvaarii ye KHaraabii dikhaatii hai muflisiiko.ii shuum be-hayaa ko.ii bolaa nikhaTTuu haibeTii ne jaanaa baap to meraa nikhaTTuu haibeTe pukaarte hai.n ki baabaa nikhaTTuu haibiibii ye dil mai.n kahtii hai achchhaa nikhaTTuu haiaaKHir nikhaTTuu naam dharaatii hai muflisiimuflis kaa dard dil me.n ko.ii Thaantaa nahii.nmuflis kii baat ko bhii ko.ii maantaa nahii.nzaat aur hasab-nasab ko ko.ii jaantaa nahii.nsuurat bhii us kii phir ko.ii pahchaantaa nahii.nyaa.n tak nazar se us ko giraatii hai muflisiijis vaqt muflisii se ye aa kar hu.aa tabaahphir ko.ii is ke haal pa kartaa nahii.n nigaahdaaliidarii kahe ko.ii Thahraa de ruu-siyaahjo baate.n umr bhar na sunii hove.n us ne aahvo baate.n us ko aa ke sunaatii hai.n muflisiichuulhaa tavaanaa paanii ke maTke me.n aabii haipiine ko kuchh na khaane ko aur ne rakaabii haimuflis ke saath sab ke ta.ii.n be-hijaabii haimuflis kii joruu sach hai ki yaa.n sab kii bhaabii haiizzat sab us ke dil kii ga.nvaatii hai muflisiikaisaa hii aadmii ho par iflaas ke tufailko.ii gadhaa kahe use Thahraa de ko.ii bailkap.De phaTe tamaam ba.Dhe baal phail phailmu.nh KHushk daa.nt zard badan par jamaa hai mailsab shakl qaidiyo.n kii banaatii hai muflisiihar aan dosto.n kii mohabbat ghaTaatii haijo aashnaa hai.n un kii to ulfat ghaTaatii haiapne kii mehr Gair kii chaahat ghaTaatii haisharm-o-hayaa o izzat-o-hurmat ghaTaatii haihaa.n naaKHun aur baal ba.Dhaatii hai muflisiijab muflisii hu.ii to sharaafat kahaa.n rahiivo qadr zaat kii vo najaabat kahaa.n rahiikap.De phaTe to logo.n me.n izzat kahaa.n rahiita.aziim aur tavaazo.a kii baabat kahaa.n rahiimajlis kii juutiyo.n pe biThaatii hai muflisiimuflis kisii kaa la.Dkaa jo le pyaar se uThaabaap us kaa dekhe haath kaa aur paa.nv kaa ka.Daakahtaa hai ko.ii juutii na leve kahii.n churaanaT-khaT uchakkaa chor daGaabaaz gaTh-kaTaasau sau tarah ke aib lagaatii hai muflisiirakhtii nahii.n kisii kii ye Gairat kii aan kosab KHaak me.n milaatii hai hurmat kii shaan kosau mehnato.n me.n us kii khapaatii hai jaan kochorii pe aa ke Daale hii muflis ke dhyaan koaaKHir nadaan bhiik ma.ngaatii hai muflisiiduniyaa me.n le ke shaah se ai yaar taa-faqiirKHaaliq na muflisii me.n kisii ko kare asiirashraaf ko banaatii hai ik aan me.n faqiirkyaa kyaa mai.n muflisii kii KHaraabii kahuu.n 'naziir'vo jaane jis ke dil ko jalaatii hai muflisii
log puuchhe.nge kyuu.n udaas ho tumaur jo dil me.n aa.e so kahiyo!'yuu.nhii maahaul kii giraanii hai''din KHizaa.n ke zaraa udaas se hai.n'kitne bojhal hai.n shaam ke saa.eun kii baabat KHamosh hii rahiyonaam un kaa na darmiyaa.n aa.enaam un kaa na darmiyaa.n aa.eun kii baabat KHamosh hii rahiyo'kitne bojhal hai.n shaam ke saa.e''din KHizaa.n ke zaraa udaas se hai.n''yuu.nhii maahaul kii giraanii hai'aur jo dil me.n aa.e sau kahiyo
ek qamiis chalii aatii hai jaane kahaa.n se bahtii hu.iijis me.n naaKHun gaa.D diye hai.n ab ik aabii jhaa.Dii neis kaa maalik bichha.D gayaa hai ye bhii us ke paas chaliiik bahte darvaaze par ik bhiigii billii baiThii haijo aane vaale lamho.n kii baabat sochtii jaatii haisochte sochte us kii aa.nkhe.n ho jaa.e.ngii sehr-zadaaur us ke baalo.n kaa resham paanii me.n mil jaa.egaalahar kii ik diivaar girii aur bulbule dab kar TuuT ga.ejin kii phuuTtii aa.nkho.n se kuchh KHvaab nikal kar bhaag chaleye KHvaabo.n ke dekhne vaale aaKHir kyuu.n nahii.n sochte hai.nsab afsaane jhuuTe hai.n, sab KHvaab bikharne vaale hai.nis laa-faanii jhuuT ke piichhe sach hai agar to itnaa haiye sab kuchh hotaa rahtaa hai paanii bahtaa rahtaa hai
puuchhnaa chho.D dopuuchhte puuchhtetum kisii na kisii ke banaa.e hu.ebut KHudaa yaa KHudaa.ii kii baabatko.ii baat puuchhoge to qatl ho jaa.oge
ajiib sii ittilaa.a thii vojise mai.n KHud se na jaane kab se chhupaa rahii thiiajab KHabar thii ki jis kii baabatmai.n KHud se sach bolte hu.e hichkichaa rahii thii
tirii baabat kisii se puuchhne me.n KHauf aataa haivo jaane kyaa haitire baare me.n ko.ii baat bhii kartaa huu.n to Dartaa huu.njaane guftuguu kyaa rang pak.Detirii baabat kisii se ko.ii raa.e bhii talab karte laraztaa huu.nvo jaane tujh ko kaisaa naam de
mujh ko apnii maut kii dastak ne zinda kar diyaa haidau.Dtaa phirtaa huu.nsaare kaam nipTaane kii jaldii haipahaa.Do.n aur jhiilo.n kii KHamoshii seqadiimii giit sun.ne hai.n puraane daastaanii bhed lene hai.ndaraKHto.n se numuu-kaarii kii baabat puuchhnaa hainit-na.ii shakle.n banaate baadalo.n ko dekhnaa haiKHush-navaa achchhe parindo.n seu.Dan-phal kaa pataa ma.aluum karnaa haiuruusii bel ke phuulo.n ko chhuunaa haidar-o-diivaar se baate.n bhii karnii hai.nabhii kitne mulaaqii muntazir hai.nek lambii list hai aa.nkho.n me.n naadiida nazaaro.n kiifishaar-e-KHuun ba.Dhtaa jaa rahaa haiab kisii lamhe rage.n phaTne kaa KHatra haimagar masruuf huu.n sab kaam nipTaane kii jaldii haisamundar ne bulaayaa haijaziire aur saahil bhiika.ii qarno.n se mujh ko yaad karte hai.nmachhere giit gaate bastiyo.n ko lauTtemujh ko bahut hii haa.nT karte hai.nkisii din jaa.uu.ngaa milneKHazaano.n ko ugalne ke liyebetaab hai.n raqbe tilismii sar-zamiino.n kesafar ke raaste ma.aluum hai.nnaqshe puraane kaaTh ke sanduuq me.n mahfuuz hai.n sabdev baanii bhii samajhtaa huu.nmagar masruuf huu.nbachcho.n ke kitne kaam baaqii hai.nkitaabe.n copiyaa.n school ke kap.De na.e bastekhilaune baT rocketaur bahut sii an-kahii chiize.nKHariiduu.ngaa to KHush ho.ngemagar masruuf huu.n sab kaam nipTaane kii jaldii hairago.n me.n KHuun kii raftaar ba.Dhtii jaa rahii haizindagii par ik junuun-e-marg taarii haibahut masruuf huu.nsarpaT likhe jaataa huu.n nazme.nmujh ko apnii maut kii dastak ne zinda kar diyaa hai!!
sub.h savere sa.Dko.n par jaate uu.nTo.n ke gale me.nboltii ghanTii kii aavaaz havaa ke tiiro.n se zaKHmii haiaur kisii kii nazar nahii.n haiduur safar par ga.e hu.o.n ke rasto.n par an-ginat du.aa.e.n bichhii hu.ii hai.naur kisii ko KHabar nahii.n haisab dekhe an-dekhe dukhaaseb-zada tahriiro.n ko chehre par milte phirte hai.naur ka.ii baras se yuu.n hotaa haidariyaa sonaa miTTii piichhe chho.D aate hai.nsahraa ko aabaadii ke saahil par phailaate aage ba.Dh jaate hai.nrizq ke piichhe bhaagtii aa.nkhe.n jismo.n ke Dhaa.ncho.n me.n ulajh ga.ii hai.nko.ii bisaat-e-vaqt pe rakkhe mohro.n ko chalne se pahleek nazar in sab chehro.n par Daaltaa haiphir ik mohara chal detaa haiduur pahaa.Do.n ke us jaanib jaltaa suuraj raat ke KHemo.n me.n chup baiThaaaane vaale kal kii baabat soch rahaa hai
kaun se des kii baabat puuchhevaqt ke dasht me.n phirtiiye KHunuk sard havaakin zamaano.n kii ye madfuun mahakbad-numaa shahr kii galiyo.n me.n u.Dii phirtii haiaur ye duur talak phailii hu.iinii.nd aur KHvaab se bojhal bojhale.atibaar aur yaqii.n kii manziljis kii taa.iid me.n har shai haibaqaa hai lekinapne manzar ke a.ndhero.n se pareham KHunuk sard havaa sun bhii sake.nham ki kis des kii pahchaan me.n hai.nham ki kis lams kii taa.iid me.n hai.nham ki kis zo.am kii taufiiq me.n hai.nham ki ik zabt-e-musalsal hai.nzamaano.n ke abad se larzaa.nvahm ke ghar ke makii.napne hii des me.n pardes liye phirte hai.nham ki ik bhes liye phirte hai.n
shaahii darbaar me.n mahaaraaj kaa muKHbir-e-KHaas ko hukmlahn-e-saalaar bataa haal zamaane kaa mujheus me.n bas mujh ko bataa merii KHabar kii baabatmat sunaa KHasta zamaano.n kii shikasta baate.nlafz likh mere liye nok-e-qalam se aur phirshahar-bhar me.n yahii taariiKH munaadii kar devaqt ke saare mo.arriKH kare.n bai.at us kiiphuul par KHuun nahii.n thaa vo nam-e-shabnam thaaek KHaamosh riyaazat thii ajal kaa chakkarbe-badan KHvaab the tahziib kaa nau-rafta-mizaaj
baiThaa thaa ek roz mai.n aa.ngan kii dhuup me.naalam tamaam halqa-e-daam-e-KHayaal thaasargoshiyo.n me.n vaqt sunaataa thaa baar baarqisse qadiim qaisar-o-kisraa kii shaan kekartaa thaa varq varq har ik daastaan kemai.n ne kahaa ki ham-dam-o-ham-raaz-o-diida-varmaa-qissaa-e-sikandar-o-daaraa na KHvaanda-aimkuchh zikr ho sabaa kaa gulo.n kaa shabaab kaasaaGar kaa mai-kade kaa suraahii kaa naab kaakuchh baat ho bahaar kii baaraa.n kii dhuup kiiKHushbuu kii chaa.ndnii kii fazaa.o.n kii ruup kiiho jaa.e kuchh mushaahida-e-haq kii guftuguukuchh bhuulne kii phir use paane kii justujuukuchh puuchh mujh se baabat-e-afkaar-e-dojahaa.nahvaal-o-iKHteyaar-o-shikaayaat-e-dostaa.njo jii me.n aa.e puuchhmagar itnaa yaad rakh''az maa ba-juz hikaayat-e-mehr-o-vafaa mapurs''bolaa ki tuu ''rahiin-e-sitam-haa-e-rozgaar''kyaa jaantaa hai baabat-e-imkaan-e-zindagiijiitaa hai zindagii se pashemaan-e-zindagiikuchh apne dil kaa haal bhii ma.aluum hai tujheye vahshate.n ye dard ye tanhaa.iyo.n kaa bojhye hijrate.n ye karb ye bezaariyo.n kaa rogye hasrate.n ye ranj ye afsurdagii ye sogsiina hai daaG daaG jigar laKHt laKHt haituu KHud kahaa.n hai aur kahaa.n teraa baKHt haiqulzum ko ek qatre kii KHaatir bahaa diyaajo vaqt ne diyaa tujhe sab kuchh ga.nvaa diyaaek baar mu.D ke dekh ki kyaa teraa kho gayaajaagaa tiraa nasiib to tuu KHud hii so gayaaab hijr na visaal na saudaa na suud hailamhe se bhii qaliil ye teraa vajuud haibaaqii bachaa hai aur kyaa tere hisaab me.n“nai haath baag par hai na paa hai rikaab me.n''
tumhaarii baabat mai.n sochtaa huu.nto aisaa lagtaa hai lafz saarebadan-dariida o sar-buriidabayaan-o-iz.haar ke sahaareye lafz saaremere taKHayyul kii baargaah-e-suKHan me.n jaiseqataar-andar-qataar mahjuubpaa-pyaada kha.De hu.e hai.ntumhe.n jo sochuu.n to lafz sochuu.njo lafz sochuu.n to aise paikar kaa tarjumaa.nko.ii lafz sochuu.njo aks-afgan ho Gamza-o-ishva-o-adaa kaanaziir ruu-e-nigaar-o-tal.atKHabiir-e-buu-e-bahaar-o-nik.hatjo husn-e-sarmad kaa aa.iina-garjo aariz-e-huur kaa fusuu.n-garjo lafz KHushbuu abiir-o-ambarjo lafz sandal shamiim-e-muztarjo lafz farha.ng-e-KHaamoshii hojo lafz aaha.ng-e-be-KHudii hojo lafz tandiid-gar ho aisaajo KHaal-o-KHad ko kamaal kah detumhe.n saraapaa jamaal kah dejo lafz jaaduu ho kiimiyaa hojo lafz afsuu.n ho siimiyaa hojo lafz tujh ko bayaan kar devo lafz aaKHir ko.ii to hogaavo lafz aaKHir kahii.n to hogaa
raakh raakh badan le kardhu.aa.n dhu.aa.n shagun le karraat kii a.ndherii galiyo.n me.nintizaar sulgaataa huu.nmai.n us ke aur apne vaastebaar baar dohraataa huu.nmilaataa huu.n baar baar numbermilaa kar kaaT Daaltaa huu.nmai.n us kii pinhaa.iyo.n me.n muKHil ab toho nahii.n saktaaaur apnii tanhaa.iyo.n kii baabatuse kuchh kah nahii saktaaqatra qatra Tapaktii rahtii hairaat kii chhat aurbadan kaa lahuu jaltaa haiu.ngliyo.n me.n cigarettesulagtaa rahtaa haiaurvaqt kii dahliiz pardafn shuda mai.napne marqad par chaadar cha.Dhaataa rahtaa huu.nKHud ko haqiiqat me.nbas jalaataa rahtaa huu.n
har chiiz kii baabat puuchhtii hai jaane kitnii ma.asuum hai yehaa.n is par raat ko sone se miiThii miiThii nii.nd aatii haihaa.n is ke dabaane se bijlii kii raushnii gul ho jaatii haisamjhii ki nahii.n ye kamra hai haa.n meraa drawing-room hai ye
teraa chehra mire vaaste saarii duniyaa ke phuulo.n se afzal hu.aakyaa hu.aa jo ko.ii duusraaus kii KHushbuu se maanuus ho kar use le u.Daaphuul KHushbuu to sab ke liye ek jaise magarun se mahzuuz hote har ik shaKHs kaarang bhii muKHtalif Dhang bhii muKHtaliftum hasii.n ho aur apnii nau.iyat kii vaahid hasii.ndil-nashii.nbe-zararbe-takalluf sii ma.asuum sii baKHt-varbaKHt-var kyaa tumhe.n ilm haimere dil me.n banii ik imaarat jise ham ne mil kar banaayaa larazne lagii haisutuuno.n me.n KHam aa rahaa haimujhe is imaarat ke bosiida hone kaa dukh haiaur is dukh kii baabat mirii aa.nkh kii putliyo.n me.n zaruurat se zyaada namii haimirii zindagii me.n KHudaa kaa diyaa sab haibas ik tumhaarii kamii haijo shaayad hamesha rahegii
tirii surma.ii aa.nkh se bahne vaalaa siyah ashkjis ne malaal o.Dh kar terii takmiil kiimai.n ne jo bhii kiyaaapne andar kaa vahshii jagaa kar tire saamne sar-ba-zaanuu kiyaayaa udaasii ke jab.De se chhiinii hu.ii ranj kii is Gazabnaak KHuraak se teraa dozaKH bharaaterii takmiil kiiab mujhe bhii aziyyat kii baabat me.n ko.ii sitaara badan chaahiyeapne andar ke shor-o-shaGab se nikal kar mirii baat sunshaaKH-e-ummiid par ko.ii kaa.nTaa khilaamujh ko vaapas bulaa
mere huzuurhusn ko puuchhaakahaapartav miraabe-etinaa-o-be-niyaazrang andho.n ke liyesar-basta raazmai.n ne puuchhaakyaa hai phir soz-e-jigarkah diyaataasiir-e-kul aa.iina-garjab kuredaaKHalvat-o-jalvat ke kyaa ma.anii hu.eraushnii phuuTii ki jalvatmerii bazm-e-kaa.enaatbaabat-e-KHalvatnishaan-e-tuur dekhrang-o-be-rangii kii mai.n nesar jhukaa kar baat kiiek mausam guu.nj uThaado raastemai.n ne phir puuchhaaki achchhaa taa-kujaaek kau.ndaa saa lapak uThaa ki basnaadaan tuu itnaa na samjhaamujh talakmai.n ne jhallaa karpaTaKHnaa chaahaa kashkol-e-malaallarza ik goyaa hu.aamaaluum hai mujh ko tiraa aglaa savaaltaish mat khaazaat merii nuur haimai.n labaalab tujh me.n huu.ngar mujh se tuu maamuur hai
'ajiib sii ittilaa' thii vojise mai.n KHud se na jaane kab se chhupaa rahii thii'ajab KHabar thii ki jis kii baabatmai.n KHud se sach bolte hu.e hichkichaa rahii thii'ajiib dukh thaa ki jiskaa ehsaas jaagte hiimai.n apne mahram seapne hamdam se aise nazre.n churaa rahii thiiki jaise mujh me.n kahii.n ko.ii jurm ho gayaa ho'ajab KHabar thiijise miraa dil qubuul karne se munharif thaamagar haqiiqat kaa mo'tarif thaaki shaaKH-e-jaa.n par gulaab khilne ke mausamo.n kovidaa' kahne kii saa'ate.n ab qariib-tar hai.nqariib-tar hai ki KHushk ho jaa.e.nge vo soteki jin kii tah me.nhazaar taKHliiq ke KHazaane chhupe hu.e thevo aab-e-haivaa.nvo imbisaat-o-hayaat kaa be-kanaar dariyaaki dafn ho jaa.egaa KHas-o-KHaak-e-roz-o-shab me.nyahaa.n se ‘umr-e-gurez-paa jo nikal pa.Dii aur raaste parto sochtii huu.n ki jaate jaatemai.n apne KHaaliq se ye to puuchhuu.nKHudaa-e-sattaar‘ismato.n ko hazaar pardo.n me.n rakhne vaalesifaat me.n terii 'adl bhii hai
biibiyojannatii hai vo biivii jo shauhar ke aane se pahlesaje aur sa.nvremuu-ba-muu motiyo.n ko piro.eishtihaa-KHez KHushbuu bhare qaab khaano.n ke tayyaar rakkheroTiyaa.n garm aur narm bistar kaa ho ehtimaamaaftaabesard aur garm paanii ke maujuud ho.nvahaa.n na jaane use sard paanii kii KHvaahish ho yaa garm kiius kii KHvaahish kaa ko.ii bharosaa nahii.ntaaki us kaa majaazii KHudaa us kaa maalik jo aa.ezaruurat kii har chiiz bin maa.nge paa.eaur haa.n biibiyoik chha.Dii bed kii KHuub mazbuut siivo bhii rakhnaa na bhuulekaun jaane sa'uubat ke maidaa.n kaa haaraa thakaa vo sipaahiishomii-e-baKHt senaa-muraadii ke zaKHmo.n se lith.Daa hu.aa aa rahaa hojo aa.e Dhuu.nDne kii na zahmat uThaa.enek biibii ke bechaara shaano.n se resham kaa rangii.n labaadaus chha.Dii se haTaa karapnii naakaamiyo.n kaa lahuu us ke shaffaaf naazuk badan par chhi.Dak detaaki phir chain kii nii.nd vo so sakehaa.n majaazii KHudaa hai hotaa sajda KHudaa ke sivaa gar kisii ko ravaa tousii ko ravaa hai usii ne to tum ko bachaa ke zamaane kiidhuupo.n se ghar ke hisaaro.n me.n mahfuuz rakkhaa us kii mehnatke paa.e hu.e rizq se hii to daaman tumhaaraa bharaaso mirii biibiyo jannatii hai vo biiviijo shauhar kii KHvaahish pe jiitii rahiidin ko us ne kahaa raat to us ne bhii raat samjhaaus kii KHaatir vo mar-mar ke zinda rahiius kii KHaatir mariisiidhii jannat sidhaaregii pursish na hogii gunaaho.n kiisab mu'aaf ho.ngevaa'z me.nkahne vaalii ne itnaa kahaa aur chup ho ga.iinek biibii kii baKHshish kaa muzhda sunaayaamagar aisaa shauhar kahaa.n jaa.egaa us kii baabat kisii ko na kuchh bhii bataayaaKHudaayaa KHudaayaasaf-ba-saf nasl-dar-nasl be-mol kii ye kaniize.ninhe.n un ke hone kaa ehsaastuu hii 'ataa kar
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books