aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "besvaa"
merii likhne me.n umr guzrii haiterii pa.Dhne kii umr hai la.Dkiiterii socho.n kii sab KHabar hai mujhemujh pe ye vaqt aa ke biit chukaamai.n bhii KHud se savaal kartaa thaakis kii Gazlo.n me.n kis ke jalve hai.nkis kaa chehra hai kis kii nazmo.n me.nkaun rotaa hai kis ke lahje me.nkis ke shero.n me.n kis kii baate.n hai.nphir javaabaat mil ga.e mujh koab ha.nsii aatii hai savaalo.n paraur tujh par bhii aur KHud par bhiitujhe ma.aluum kyaa ki ik aamadkitne jazbo.n se haamila ho karleT kar ek besvaa kii tarahkore kaaGaz ke sard bistar parvo haraamii kalaam jantii haijis pe fatve faqiih-e-shahr ke hai.njo KHudaa.o.n ko gaalii lagtaa haijis pe raj.at-pasand ku.Dhte hai.njis pe jiddat-parast ha.nste hai.njis kaa ThaTThaa u.Daate hai.n lau.nDejis ke fan kaa zamaana biit gayaajis se nafrat hai ilm vaalo.n kojis pe KHud mujh ko Gussa aataa haijise tuu bhii samajh nahii.n paatiinaam apnaa khurach ke jis par semai.n ne raddii me.n baarhaa bechaaaur cigarette KHariide apne liyeaur is dil ko aag me.n phuu.nkaajis ke jazbo.n se haamila ho karkore kaaGaz ke sard bistar parleT kar ek besvaa kii tarahmerii qudrat kii shaahkaar aamadvo haraamii kalaam jannatii haiterii socho.n kii sab KHabar hai mujhemere shero.n me.n kaun hai mat sochterii pa.Dhne kii umr hai la.Dkiiaur phir sochne se kyaa haasilbaarvar justujuu hu.ii bhii to kyaamerii Gazlo.n me.n tuu hu.ii bhii to kyaa
kitne bebaak hai.n shaa.ir ab kekitne uryaa.n hai.n ye afsaana-nigaarkuchh samajh me.n mire aate hii nahii.nin adab-sozo.n ke gunjalak-ash.aaryuu.n to apne ko ye kahte hai.n adiibpa.Dhte hai.n ja.ng ke lekin aKHbaarkabhii europe kaa kabhii puurab kaazikr karne me.n u.Daate hai.n sharaardaastaane.n na qasiide na Gazaladab-e-talKH kii har suu bhar maarkabhii punjab kii bho.nDii baate.nkabhii ba.ngaal ke gande afkaarKHuun-aaluuda hai.n un kii nasre.npiip bahte hu.e in ke ash.aarun ke afsaano.n ke mauzuu ajiibkaalii la.Dkii kabhii kaalii shalvaarann-daataa se kabhii la.D baiThekabhii aflaas pe khii.nchtii talvaarun kii nazmo.n me.n ko.ii lutf nahii.nna ko.ii naGma na tafsiir-e-bahaarkabhii aavaara kabhii KHaana-ba-doshkabhii aurat kabhii miinaa-baazaarbad-mazaaqii kii saraasar baate.nra.ng o buu chho.D ke aa.ndhii kii pukaarharf-e-aaKHir kii vo shamshiir do-damzahr me.n Duubii hu.ii jis kii dhaarja.ng-e-aazaadii kaa sar me.n saudaabesvaa ke liye itne iisaaraib-poshii unhe.n aatii hii nahii.nzaKHm dhote hai.n sar-e-raah-guzaar
mar ke dekhtaa huu.n mai.nzindagii kii razm-gaah sard aur bujhii hu.iijaise ek besvaa raat kii thakii hu.iiho pala.ng par udaas niim-jaa.n pa.Dii hu.iiko.ii kashmakash nahii.n ko.ii justujuu nahii.nab to duur duur tak hashr-e-haa.o-huu nahii.nchaar-suu nigaah me.n suukhe suukhe jism me.nmaut kii jabii.n pe hai.n yaa kariih tevriyaa.nchaar-suu nigaah me.n haDDiyo.n ke Dher hai.naaj bhii jhalakte hai.n jin se bhuuk ke nishaa.nzindagii giraa.n rahii maut raa.egaa.n ga.iisair ho ke jaa rahe hai.n gadho.n ke kaarvaa.nmere ham-safar tamaam saadgii shi.aar thera.nj ke shikaar the Gam se dil-figaar thephir bhii mutma.in jiye kitne vaz.a-daar thevo pa.Dii hai naazima, vo mirii rafiiq-e-kaarvo mirii shariik-e-Gam ziist kii shaguftagiisach ki Gam-zada rahii ifaaqa-kash rahii magarbhe.Diyo.n ke vaaste tar nivaala hii rahiiis kaa jism Dhaa.np duu.n ki har ik barahnagiiis fareb-zaar me.n naa-pasand kii ga.iihaalat-e-sitam-nasiib dekhtaa nahii.n ko.iikyuu.n hu.aa ko.ii Gariib dekhtaa nahii.n ko.iiaur haqaa.eq-e-muhiib dekhtaa nahii.n ko.iibaaG dekhte hai.n sab raag dekhte nahii.nchaa.nd dekhte hai.n sab daaG dekhte nahii.n
daa.ere se TuuT kar gir pa.De.nge abhiiaur ham apne hone kii paadaash me.nbuu.Dhii sadiyo.n kii TuuTii hu.ii qaus parek taariik nuqte me.n kho jaa.e.ngedaa.ero.n ke maqaabir me.n so jaa.e.ngedaa.ere KHvaahisho.n ke maqaabir sahiidaa.ere aarzuu ke miinaar hai.ndaa.ere be-sabaatii ke marqad nahii.ndaa.ere guzre vaqto.n ke aasaar hai.ndaa.ero.n kii fasiilo.n me.n lipTe hu.ean-ginat log jiivan se bezaar hai.njaane din ke lahuu se siyah-raat kohaath dhone me.n kaisii masarrat miliikaise kaise javaa.n-mard the jo kabhiichaa.ndnii ke safar par ravaana hu.emausamo.n kii tamaazat ko o.Dhe hu.enaa-rasaa.ii ke aazaar me.n kho ga.ekitne taare KHalaa.o.n kii dahliiz parraat ke dasht-e-viiraan me.n so ga.edaa.ero.n kii fasiilo.n se girtaa lahuushahr ke be-navaa.o.n kaa taavaan haijangalo.n me.n bhaTaktii sadaa kii tarahshahr kaa har sadaa-kaar be-jaan haibe-gharo.n kii tarah besvaa kii tarahkohsaaro.n se uljhii havaa kii tarahshahar ke chauk me.n naqsh-e-paa kii tarahdaa.ero.n kii fasiilo.n se Darte rahozard patto.n kii suurat havaa kii tarah
ik mahal kii aa.D se niklaa vo piilaa maahtaabjaise mullaa kaa amaama jaise baniye kii kitaabjaise muflis kii javaanii jaise beva kaa shabaabai Gam-e-dil kyaa karuu.n ai vahshat-e-dil kyaa karuu.n
daanish-var kahlaane vaalotum kyaa samjhomub.ham chiize.n kyaa hotii hai.nthal ke registaan me.n rahne vaale logotum kyaa jaanosaavan kyaa haiapne badan koraat me.n andhii taariikii sedin me.n KHud apne haatho.n seDhaa.npne vaalouryaa.n logotum kyaa jaanocholii kyaa hai daaman kyaa haishahr-badar ho jaane vaalofuTpaatho.n par sone vaalotum kyaa samjhochhat kyaa hai diivaare.n kyaa hai.naa.ngan kyaa haiik la.Dkii kaa KHizaa.n-rasiida baazuu thaamenabz ke uupar haath jamaa.eek sadaa par kaan lagaa.edha.Dkan saa.nse.n gin.ne vaalotum kyaa jaanomub.ham chiize.n kyaa hotii hai.ndha.Dkan kyaa hai jiivan kyaa haisattarah-number ke bistar parapnii qaid kaa lamha lamha gin.ne vaaliiye la.Dkii jobarso.n kii biimaar nazar aatii hai tum kosola saal kii ik beva haiha.nste ha.nste ro pa.Dtii haiandar tak se bhiig chukii haijaan chukii haisaavan kyaa haiis se puuchhokaa.nch kaa bartan kyaa hotaa haiis se puuchhomub.ham chiize.n kyaa hotii hai.nsuunaa aa.ngan tanhaa jiivan kyaa hotaa hai
(1)ai sab se avval aur aaKHirjahaa.n-tahaa.n, haazir aur naazirai sab daanaa.o.n se daanaasaare tavaanaa.o.n se tavaanaaai baalaa, har baalaa-tar sechaa.nd se suuraj se ambar seai samjhe buujhe bin suujhejaane-pahchaane bin buujhesab se anokhe sab se niraaleaa.nkh se ojhal dil ke ujaaleai andho.n kii aa.nkh ke taareai la.ng.De luulo.n ke sahaarenaatiyo.n se chhoTo.n ke naatiisaathiyo.n se bichh.Do.n ke saathiinaav jahaa.n kii khene vaaledukh me.n tasallii dene vaalejab ab tab tujh saa nahii.n ko.iitujh se hai.n sab tujh saa nahii.n ko.iijot hai terii jal aur thal me.nbaas hai terii phuul aur phal me.nhar dil me.n hai teraa baseraatuu paas aur ghar duur hai teraaraah tirii dushvaar aur suk.Diinaam tiraa rah-giir kii lak.Diituu hai Thikaanaa miskiino.n kaatuu hai sahaaraa Gamgiino.n kaatuu hai akelo.n kaa rakhvaalaatuu hai a.ndhere ghar kaa ujaalaalaaguu achchhe aur bure kaaKHvaahaa.n khoTe aur khare kaabed niraase biimaaro.n kaagaahak mande baazaaro.n kaasoch me.n dil bahlaane vaalebiptaa me.n yaad aane vaale(2)ai be-vaaris gharo.n ke vaarisbe-baazuu be-paro.n ke vaarisbe-aaso.n kii aas hai tuu hiijaagte sote paas hai tuu hiibas vaale hai.n yaa be-bas hai.ntuu nahii.n jin kaa vo be-kas hai.nsaathii jin kaa dhyaan hai teraadusraayat kii vahaa.n nahii.n parvaadil me.n hai jin ke terii ba.Daa.iiginte hai.n vo parbat ko raa.iibekas kaa Gam-KHvaar hai tuu hiiburii banii kaa yaar hai tuu hiidukhiyaa dukhii yatiim aur bevatere hii haath un sab kaa hai khevaatuu hii maraz de tuu hii davaa detuu hii davaa-daaruu me.n shifaa detuu hii pilaa.e zahr ke pyaaletuu hii phir amrit zahr me.n Daaletuu hii dilo.n me.n aag lagaa.etuu hii dilo.n kii lagii bujhaa.echumkaare chumkaar ke maaremaare maar ke phir chumkaarepyaar kaa tere puuchhnaa kyaa haimaar me.n bhii ik terii mazaa hai(3)ai rahmat aur haibat vaaleshafqat aur dabaaGat vaaleai aTkal aur dhyaan se baaharjaan se aur pahchaan se baaharaql se ko.ii paa nahii.n saktaabhed tire hukmo.n me.n hai.n kyaa kyaaek ko tuu ne shaad kiyaa haiek ke dil ko daaG diyaa haius se na teraa pyaar kuchh aisaaus se na tuu bezaar kuchh aisaahar dam terii aan na.ii haijab dekho tab shaan na.ii haiyahaa.n pachhu.aa hai vahaa.n purvaa haighar ghar teraa hukm nayaa haiphuul kahii.n kumlaa.e hu.e hai.naur kahii.n phal aa.e hu.e hai.nkhetii ek kii hai lahraatiiek kaa har dam KHuun sukhaatiiek pa.De hai.n dhan ko Dubo.eek hai.n gho.De bech ke so.eek ne jab se hosh sambhaalaara.nj se us ko pa.Daa na paalaaek ne is janjaal me.n aa karchain na dekhaa aa.nkh uThaa karme.nh kahii.n daulat kaa hai barastaahai ko.ii paanii tak ko tarastaaek ko marne tak nahii.n deteek uktaa gayaa lete letehaal Garaz duniyaa kaa yahii haiGam pahle aur baa'd KHushii haira.nj kaa hai duniyaa ke gilaa kyaatohfa yahii le de ke hai yaa.n kaayahaa.n nahii.n bantii ranj sahe binra.nj nahii.n sab ek se lekinek se yahaa.n ranj ek hai baalaaek se hai dard ek niraalaaghaav hai go naasuur kii suuratpar use kyaa naasuur se nisbattap vahii diq kii shakl hai lekindiq nahii.n rahtii jaan liye bindiq ho vo yaa naasuur ho kuchh hode na jo ab ummiid kisii koroz kaa Gam kyuu.n-kar sahe ko.iiaas na jab baaqii rahe ko.iituu hii kar insaaf ai mire maulaakaun hai jo be-aas hai jiitaago ki bahut bande hai.n pur-armaa.nkam hai.n magar maayuus hai.n jo yaa.nKHvaah dukhii hai KHvaah sukhii haijo hai ik ummiid us ko ba.ndhii haikhetiyaa.n jin kii kha.Dii hai.n suukhiiaas vo baa.ndhe baiThe hai.n me.nh kiighaTaa jin kii asaa.Dii me.n haisaavanii kii ummiid nahii.n haiDuub chukii hai un kii agetiidetii hai Dhaaras un ko pachhetiiek hai is ummiid pe jiitaaab hu.ii beTii ab hu.aa beTaaek ko jo aulaad milii haius ko uma.ng shaadiyo.n kii haira.nj hai yaa qismat me.n KHushii haikuchh hai magar ik aas ba.ndhii haiGam nahii.n un ko Gamgii.n hai.njo dil naa-umiid nahii.n hai.nkaal me.n kuchh saKHtii nahii.n aisiikaal me.n hai jab aas samay.n kiisahal hai maujo.n se chhuTkaaraajab ki nazar aataa hai kinaaraapar nahii.n uTh saktii vo musiibataa.egii jis ke baa'd na raahatshaad ho us rah-giir kaa kyaa dil?mar ke kaTegii jis kii manzilun uj.Do.n ko kal pa.De kyuu.n-karghar na basegaa jin kaa janam bharun bichh.Do.n kaa kyaa hai Thikaanaa?jin ko na milne degaa zamaanaab ye balaa Taltii nahii.n Taaliimujh pe hai jo taqdiir ne Daaliiaa.ii.n bahut duniyaa me.n bahaare.naish kii ghar ghar pa.Dii.n pukaare.npa.De bahut baaGo.n me.n jhuuleDhaak bahut jangal me.n phuulega.ii.n aur aa.e.n chaa.ndnii raate.nbarsii.n khulii.n bahut barsaate.npar na khilii hargiz na khilegiivo jo kalii murjhaa.ii thii dil kiiaas hii kaa bas naam hai duniyaajab na rahii yahii to rahaa kyaa?aise bidesii kaa nahii.n Gam kuchhjis ko na ho milne kii qasam kuchhronaa un ban-baasiyo.n kaa haides nikaalaa jin ko milaa haihukm se tere par nahii.n chaaraka.Dvii miiThii sab hai gavaaraazor hai kyaa patte kaa havaa parchaahe jidhar le jaa.e u.Daa kartinkaa ik aur saat samundarjaa.e kahaa.n maujo.n se nikal karqismat hii me.n jab thii judaa.iiphir Taltii kis tarah ye aa.ii?aaj kii big.Dii ho to bane bhiiazal kii big.Dii KHaak banegiituu jo chaahe vo nahii.n Taltaabande kaa yaa.n bas nahii.n chaltaamaare aur na de tuu ronethapke aur na de tuu soneThahre ban aatii hai na bhaageterii zabardastii ke aagetujh se kahii.n gar bhaagnaa chaahe.nband hai.n chaaro.n khuu.nT kii raahe.ntuu maare aur KHvaah navaazepa.Dii hu.ii huu.n mai.n tere darvaazetujh ko apnaa jaantii huu.n mai.ntujh se nahii.n to kis se kahuu.n mai.nmaa.n hii sadaa bachche ko maareaur bachcha maa.n maa.n hii pukaare(4)ai mire zor aur qudrat vaalehikmat aur hukuumat vaalemai.n lau.nDii terii dukhyaaredarvaaze kii terii bhikaariimaut kii KHvaahaa.n jaan kii dushmanjaan apnii hai aap ajiiranapne paraa.e kii dhutkaariimaike aur sasuraal pe bhaariisah ke bahut aazaar chalii huu.nduniyaa se bezaar chalii huu.ndil par mere daaG hai.n jitnemu.nh me.n bol nahii.n hai.n utnedukh dil kaa kuchh kah nahii.n saktiiis ke sivaa kuchh kah nahii.n saktiitujh pe hai raushan sab dukh dil kaatujh se haqiiqat apnii kahuu.n kyaabyaah ke dam paa.ii thii na lenelene ke yaa.n pa.D ga.e deneKHushii me.n bhii dukh saath na aayaaGam ke sivaa kuchh haat na aayaaek KHushii ne Gam ye dikhaa.eek ha.nsii ne gul hii khilaa.ekaisaa thaa ye byaah ninaavaa.njuu.nhii pa.Daa is kaa parchaavaa.nchain se rahne diyaa na jii kokar diyaa maliyaameT KHushii koro nahii.n saktii ta.ng huu.n yaa.n takaur ro.uu.n to ro.uu.n kahaa.n takha.ns ha.ns dil bahlaa.uu.n kyuu.n-karoso.n pyaas bujhaa.uu.n kyuu.n-karek kaa kuchh jiinaa nahii.n hotaaek na ha.nstaa bhalaa na rotaaleTe gar sone ke bahaanepaa.entii kal hai aur na sirhaanejaagiye to bhii ban nahii.n pa.Dtiijaagne kii aaKHir ko.ii had bhiiab kal ham ko pa.Degii mar kargor hai suunii sej se behtarbaat se nafrat kaam se vahshatTuuTii aas aur bujhii tabii.ataabaadii jangal kaa namuunaduniyaa suunii aur ghar suunaadin hai bhayaanak aur raat Daraaniiyuu.n guzrii saarii ye javaaniibahne.n aur bahneliyaa.n meriisaath kii jo thii.n kheliyaa.n meriimil na sakii.n jii khol ke mujh seKHush na hu.ii.n ha.ns bol ke mujh sejab aa.ii.n ro-dho ke ga.ii.n vojab ga.ii.n be-kal ho ke ga.ii.n voko.ii nahii.n dil kaa bahlaavaaaa nahii.n chuktaa meraa bulaavaaaaTh pahar kaa hai ye julaapaakaaTuu.ngii kis tarah ra.nDaapaathak ga.ii dukh sahte sahtetham ga.e aa.nsuu bahte bahteaag khulii dil kii na kisii parghul ga.ii jaan andar hii andardekh ke chup jaanaa na kisii nejaan ko phuu.nkaa dil kii lagii nedabii thii bhobhal me.n chi.ngaariilii na kisii ne KHabar hamaariiqaum me.n vo KHushiyaa.n biyaaho.n kiishahr me.n vo dho.e.n saaho.n kiityauhaaro.n kaa aa.e din aanaaaur sab kaa tyauhaar manaanaavo chait aur phaagun kii havaa.e.nvo saavan bhaado.n kii ghaTaa.e.nvo garmii kii chaa.ndnii raate.nvo armaan bharii barsaate.nkis se kahuu.n kis taur se kaaTe.nKHair kaTe.n jis taur se kaaTe.nchaav ke aur KHushiyo.n ke samay sabaate hai.n KHush kal jaan ko ho jabra.nj me.n hai.n saamaan KHushii keaur jalaane vaale hii keghar barkhaa aur piyaa bidesiiaa.iyo barkhaa kahii.n na aisiidin ye javaanii ke kaTe aisebaaG me.n panchhii qaid ho jaiserut ga.ii saarii sar Takraateu.D na sake par hote saarekisii ne hogii kuchh kal paa.iimujhe to shaadii raas na aa.iiaas ba.ndhii lekin na milaa kuchhphuul aayaa aur phal na lagaa kuchhrah gayaa de kar chaa.nd dikhaa.iichaa.nd hu.aa par iid na aa.iiphal kii KHaatir barchhii khaa.iiphal na milaa aur jaan ga.nvaa.iiret me.n zarre dekh chamaktedau.D pa.Dii me.n jhiil samajh kechaaro.n khuu.nT nazar dau.Daa.iipar paanii kii buu.nd na paa.ii
ye a.ndherii raat ye saarii fazaa so.ii hu.iipattii pattii manzar-e-KHaamosh me.n kho.ii hu.iimaujzan hai bahr-e-zulmat tiirgii kaa josh haishaam hii se aaj qindiil-e-falak KHaamosh haichand taare hai.n bhii to be-nuur pathraa.e hu.ejaise baasii haar me.n ho.n phuul kumhlaa.e hu.ekhap gayaa hai yuu.n ghaTaa me.n chaa.ndnii kaa saaf ra.ngjis tarah maayuusiyo.n me.n dab ke rah jaa.e uma.ngumDii hai kaalii ghaTaa duniyaa Dubone ke liyeyaa chalii hai baal khole raa.nD rone ke liyejitnii hai gunjaan bastii utnii hii viiraan haihar galii KHaamosh hai har raasta sunsaan haiik makaa.n se bhii makii.n kii kuchh KHabar miltii nahii.nchilmane.n uThtii nahii.n zanjiir-e-dar hiltii nahii.nso rahe hai.n mast-o-be-KHud ghar ke kul piir-o-javaa.nho ga.ii hai.n band husn-o-ishq me.n sargoshiyaa.nhaa.n magar ik samt ik goshe me.n ko.ii nauhagarle rahii hai karvaTo.n par karvaTe.n dil thaam kardil sambhaltaa hii nahi.n hai siina-e-sad-chaak me.nphuul saa chehra aTaa hai bevgii kii KHaak me.nu.D chalii hai ra.ng-e-ruKH ban kar hayaat-e-musta.aarho rahaa hai qalb-e-murda me.n javaanii kaa fishaarhasrate.n dam to.Dtii hai.n yaas kii aaGosh me.nsaik.Do.n shikve machalte hai.n lab-e-KHaamosh me.numr aamaada nahii.n murda-parastii ke liyebaar hai ye zinda mayyat dosh-e-hastii ke liyechaahtii hai laakh qaabuu dil pe paatii hii nahii.nhaa.e-re zaalim javaanii bas me.n aatii hii nahii.nthartharaa kar girtii hai jab suune bistar par nazarle ke ik karvaT paTak detii hai vo takiya pe sirjab khanak uThtii hai.n sotii la.Dkiyo.n kii chuu.Diyaa.naah ban kar uThne lagtaa hai kaleja se dhu.aa.nho ga.ii beva kii KHaatir nii.nd bhii jaise haraammuKHtasar saa ahd-e-vaslat de gayaa soz-e-davaamdopahar kii chhaa.nv daur-e-shaadmaanii ho gayaapyaas bhii bujhne na paa.ii KHatm paanii ho gayaale rahii hai karvaTo.n par karvaTe.n baa-iztiraaraag me.n paara hai yaa bistar pe jism-e-be-qaraarpa.D ga.ii ik aah kar ke ro ke uTh baiThii kabhiiu.ngliyo.n me.n le ke zulf-e-KHam-ba-KHam ai.nThii kabhiiaa ke ho.nTo.n par kabhii maayuus aahe.n tham ga.ii.naur kabhii suunii kalaa.ii par nigaahe.n jam ga.ii.nitnii duniyaa me.n kahii.n apnii jagah paatii nahii.nyaas is had kii ki shauhar kii bhii yaad aatii nahii.naa rahe hai.n yaad paiham saas nando.n ke suluukphaT rahaa hai Gam se siina uTh rahii hai dil me.n huukapnii maa.n bahno.n kaa bhii aa.nkhe.n churaanaa yaad haiaisii duniyaa me.n kisii kaa chho.D jaanaa yaad haibaaGbaa.n to qabr me.n hai kaun ab dekhe bahaarKHud usii ko tiir us ke karne vaale hai.n shikaarjab nazar aataa nahii.n detaa ko.ii bekas kaa saathzahr kii shiishii kii jaanib KHud-ba-KHud ba.Dhtaa hai haathdil ta.Dap kar kah rahaa hai jald is duniyaa ko chho.Dchuu.Diyaa.n to.Dii.n to phir zanjiir-e-hastii ko bhii to.Ddam agar niklaa to kho.ii zindagii mil jaa.egiiye nahi.n to KHair tanhaa qabr hii mil jaa.egiivaa.n tujhe zillat kii nazro.n se na dekhegaa ko.iichaahe ha.nsnaa chaahe ronaa phir na rokegaa ko.iivaa.n sab ahl-e-dard hai.n sab saahab-e-insaaf hai.nrahbar aage jaa chukaa raahe.n bhii terii saaf hai.ndil inhii.n baato.n me.n uljhaa thaa ki dam ghabraa gayaahaath le kar zahr kii shiishii labo.n tak aa gayaatilmilaatii aa.nkh jhapkaatii jhijaktii haa.nptiipii ga.ii kul zahr aaKHir thartharaatii kaa.nptiimaut ne jhaTkaa diyaa kul uzv Dhiile ho ga.esaa.ns ukh.Dii, nabz Duubii, ho.nT niile ho ga.eaa.nkh jhapkii ashk Tapkaa hichkii aa.ii kho ga.iimaut kii aaGosh me.n ik aah bhar kar so ga.iiaur kar ik aah sulge hind kii rasmo.n kaa daamai javaanaa-marg beva tujh pe 'kaifii' kaa salaam
miraa junuun-e-vafaa hai zavaal-aamaadashikast ho gayaa teraa fusuun-e-zebaa.iiun aarzuu.o.n pe chhaa.ii hai gard-e-maayuusiijinho.n ne tere tabassum me.n parvarish paa.iifareb-e-shauq ke ra.ngii.n tilism TuuT ga.ehaqiiqato.n ne havaadis se phir jilaa paa.iisukuun-o-KHvaab ke parde sarakte jaate hai.ndimaaG-o-dil me.n hai.n vahshat kii kaar-farmaa.iivo taare jinme.n mohabbat kaa nuur taabaa.n thaavo taare Duub ga.e le ke ra.ng-o-ra.anaa.iisulaa ga.ii thii.n jinhe.n terii multafit nazre.nvo dard jaag uThe phir se le ke a.ng.Daa.iiajiib aalam-e-afsurdagii hai ruu-ba-faroGna jab nazar ko taqaazaa na dil tamannaa.iitirii nazar tire gesuu tirii jabii.n tire labmirii udaas-tabii.at hai sab se uktaa.iimai.n zindagii ke haqaa.eq se bhaag aayaa thaaki mujh ko KHud me.n chhupaa.e tirii fusuu.n-zaa.iimagar yahaa.n bhii ta.aaqub kiyaa haqaa.eq neyahaa.n bhii mil na sakii jannat-e-shakebaa.iihar ek haath me.n le kar hazaar aa.iinehayaat band dariicho.n se bhii guzar aa.iimire har ek taraf ek shor guu.nj uThaaaur us me.n Duub ga.ii ishrato.n kii shahnaa.iikahaa.n talak kare chhup-chhup ke naGma-pairaa.iivo dekh saamne ke pur-shikoh aivaa.n sekisii kiraa.e kii la.Dkii kii chiiKH Takraa.iivo phir samaaj ne do pyaar karne vaalo.n kosazaa ke taur par baKHshii taviil tanhaa.iiphir ek tiira-o-taariik jho.npa.Dii ke talesisakte bachche pe beva kii aa.nkh bhar aa.iivo phir bikii kisii majbuur kii javaa.n beTiivo phir jhukaa kisii dar par Guruur-e-barnaa.iivo phir kisaano.n ke majme.a pe gun-mashiino.n sehuquuq-yaafta tabqe ne aag barsaa.iisukuut-e-halqa-e-zindaa.n se ek guu.nj uThiiaur is ke saath mire saathiyo.n kii yaad aa.iinahii.n nahii.n mujhe yuu.n multafit nazar se na dekhnahii.n nahii.n mujhe ab taab-e-naGma-pairaa.iimiraa junuun-e-vafaa hai zavaal-aamaadashikast ho gayaa teraa fusuun-e-zebaa.ii
mirii shaa.erii KHaar-zaaro.n kii duniyaatahii-dastii o pastii o KHasta-haaliibaguulo.n se ma.amuur phuulo.n se KHaaliivo besha ki hai mazra-e-KHushk-saaliijahaa.n abr bhuulaa hai dariyaa-navaaliina bhuulii use bhii mirii fikr-e-aaliimirii shaa.erii KHaarzaaro.n kii duniyaa
kaisii KHaamoshii hai viiraanii hai sannaaTaa haiko.ii aahaT hai na aavaaz na ko.ii dha.Dkandil hai yaa qabr sulagtii hu.ii tanhaa.ii kiizehan hai yaa kisii beva kaa akelaa aa.nganu.D gayaa rang har ik soch ke aa.ii.ne kaashab ke be-nuur dupaTTe se sitaare TuuTejam ga.ii gard KHayaalo.n kii hasii.n raaho.n parmuddate.n ho ga.ii.n ummiid kaa daaman chhuuTeyak-ba-yak duur bahut duur bahut duur kahii.nterii paazeb chhanakne kii sadaa aane lagiishauq ne paa.nv ba.Dhaa.e usii aavaaz kii samttujh se milne kii lagan aur bhii ta.Dpaane lagiiye kha.nDar aaj jahaa.n raat kii taariikii me.ntuu ne bhuule hu.e afsaane ko dohraayaa haiisii uj.De hu.e viiraan kha.nDar me.n ki jahaa.nkitne din baa'd tiraa saaya nazar aayaa haiisii uj.De hu.e viiraan kha.nDar me.n ham neumr bhar saath nibhaane kii qasam khaa.ii thiiisii uj.De hu.e viiraan kha.nDar me.n terethartharaate hu.e ho.nTo.n pe du.aa aa.ii thiirasm ko.ii ho magar ham ko judaa kar na sakeye rivaayaat na pahnaa.e.n kabhii zanjiire.nham ki is raaz se is baat se naa-vaaqif theki du.aa.o.n se badaltii hii nahii.n taqdiire.nlekin ab rasm ko.ii kuchh na kahegii mujh seab rivaayaat ko majbuur kiyaa hai mai.n neab na rokegaa mirii raah zamaana ba.Dh karjo bhii anjaam ho ye soch liyaa hai mai.n nemai.n muqaddar se gale mil ke nahii.n ro saktaatujh ko paanaa miraa maqsad hai tujhe paa.uu.ngaaaaj Thukraa ke har ik maslahat-andeshii kotere saa.e ke ta.aaqub me.n chalaa jaa.uu.ngaa
kisii kii yaad dil me.n hai ki jis se jii niDhaal haikahuu.n agar to kyaa kahuu.n ajab tarah kaa haal hai
raat daa.Dhii ke a.ndhere se takalluf bartearsh ke saamne rusvaa.ii kii gardan na uTheizn-e-sajda pe kamar taKHta na ho jaa.e kahii.nkhokhle lafzo.n me.n lohaa to nahii.n bhar saktesaika.Do.n saal kii tabliiG ke chaaliis samarkashtii ban jaa.e to tannuur se paanii ublesaalhaa-saal se aaraam natiija matluubtiin-sau-saaTh sanam KHaana-e-ka.aba se chalereg-zaaro.n me.n Gubaar aur khajuurii saa.euu.nT kii aa.nkh me.n tash.hiir hu.aa dard-e-safarko.ii 'hi.nda' se kahe daa.nt kahaa.n hai.n terefat.h-e-makka se magar log hidaayat paa.e.nKHuun jam jaa.e jo naalain me.n chalte chaltearsh kii aa.nkh se rahmat kaa samundar ublejibra.iil apnii hai.at me.n hai.n numaa.ish-manzarpaa.nv paataal me.n sar charKH se Takraa.e kahii.npar jo khole to har ik samt pe parde laTke.naur jaltaa hu.aa suuraj abhii kho jaa.e kahii.nqaafila aayaa hai 'buu-bakr' se mansuub magarmaal taqsiim hu.aa daaman-e-haajat-ma.nda.nnuur ka.ndhe pe uThaa.e shab-e-hijrat ke safiirGaar me.n saath rahe paas hii paivand hu.emasjid-e-nabvii me.n ambaar-e-Ganiimat raushanlog rote hu.e nikle hai.n pareshaa.n-manzarraushnii pahu.nchii 'abuu-jahl' kii diivaaro.n takghar kii taariikii me.n rasta na bane biinaa.iipe.D ke saa.e kii pahchaan yahuudii raahibruk gayaa aab-e-ravaa.n beva ke darvaaze pardast-e-zohraa me.n nishaanaat ayaa.n chakkii seilm ke baab 'alii' umr me.n sab se chhoTechaa.nd kaa naam tire chaak-garebaano.n me.nmubtadii Dhuu.nDte hai.n masjid-e-aqsaa me.n imaamsidrat-ul-muntahaa jibriil ijaazat maa.ngekaun thaa kis ne pukaaraa ki chale bhii aa.okaun maujuud thaa pahle se vahaa.n kaun gayaakaun suntaa thaa vahaa.n kis ne pukaaraa kis kokis kii aavaaz kii tanviir se aalim chamkesar-bulandii thii muqaddar me.n qalam se pahlebakriyaa.n kaun 'haliima' kii charaane jaa.e'aamina' batn se iz.haar hai aadam kaa uruujmujtam.a kis ne kiyaa logo.n ko parbat ke qariibkis ne lalkaaraa zalaalat ko musalsal tanhaajau kii roTii kabhii mil jaa.e kabhii faaqa-kashiibhuuk se peT pe patthar kabhii baa.ndhe kis netiin-sau-terah kii ta.adaad hai kis gintii me.nfikr pe daa.era-kun KHandaqe.n khodii jaa.e.nduur kii dhuup me.n hai faisla-kun rah-e-tabuuk'ha.nzala' saamne aa jaa.e.n jo chhaT jaa.e Gubaarmai.n ne pahu.nchaa diyaa tum tak jo mujhe pahu.nchaa thaamai.n ne pahu.nchaa diyaa tum tak jo mujhe pahu.nchaa thaamai.n ne pahu.nchaa diyaa tum tak jo mujhe pahu.nchaa thaako.ii pardesii hai KHeme pe pareshaa.n-surataur 'faaruuq' chale biivii ko ham-raah liyefaasle to.D kar aavaaz ke saa.e phailehaakim-e-vaqt kaa kurtaa ka.ii paivand lagaabakriyaa.n jis se sambhaalii nahii.n jaatii.n thii.n kabhiinisf duniyaa pe KHilaafat ke alam lahraa.eyaad hai saahibo KHaibar ko ukhaa.Daa kis nekis kii talvaar thii aa.iina zamaane ke liyekis ne zarKHez shujaa.at ke sitaare bo.ejaan dii jaavedaa.n lamhaat tilaavat mashGuulKHuun ke dhabbe hai.n qur.aan pe taabinda nazar
jal ke KHud sab ko jilaa denaa tiraa pesha haichhup ke baiThii hai ajal jis me.n tuu vo besha haijaan le apne hii aashiq kii jo vo tesha haitere piine se to sartaan kaa andesha haijo tujhe mu.nh se lagaa.e.nge lahuu thuuke.ngeaur bhii chiizo.n ke kash lene se kab chuuke.nge
uj.Daa khanDarsuunaa manzarbeva panchhiizaKHmii taa.iruryaa.n KHanjarKHuunii.n dhartii kaalaa suuraj giilaa ambarjangal jangal KHauf aur dahshatsahraa sahraa vahshat vahshattank kii aamadtop kii harakatjang kii la.anatqaht kaa saayabhuuk kii aa.ndhiiaur bekaariiaur bad-chalaniiaur biimaariitan kii tijaaratman kii haziimatdhan kii hukuumatbhuukii siitaa nangii mariyam murda gautampaara-paara shiisha-e-hurmatreza reza qasr-e-tamaddundhajjii dhajjii amn kaa parchambol ki lab aazaad hai.n tere
jis ghar me.n barastaa thaa jiivanchhaa.ii hai vahaa.n par viiraaniibeva hu.ii.n kitnii sundariyaa.nmaare ga.e kitne senaaniikyuu.n josh nahii.n aataa tujh kohai KHuun rago.n me.n yaa paaniiaazaadii ke din ko raat na karis vaqt Gazal kii baat na kar
dariyaa cha.Dhaav par haiaur bojh naav par haipahnaa-e-aab saaraahai kuuch kaa ishaaraahosh-aazmaa nazaaraamaujo.n ke mu.nh me.n kaf haiik shor har taraf haimarg-aafrii.n hai dhaaraaaur duur hai kinaaraako.ii nahii.n sahaaraateG-aazmaa hai.n lahre.nteGe.n hai.n yaa hai.n lahre.ntauba havaa kii teziimauj-e-fanaa kii teziihai kis balaa kii teziitadbiir-e-naaKHudaa kyaachappuu kaa aasraa kyaagirdaab pa.D rahe hai.nkashtii se la.D rahe hai.ntaKHte ukha.D rahe hai.nnaGmo.n kaa josh KHaamoshsab naav-nosh KHaamoshhai ye baraat kis kiinau-shaah aur baraatiilauTe hai.n le ke Doliimaayuus hai.n nigaahe.nraqsaa.n labo.n pe aahe.nDolii me.n huur paikarkyaa kaa.nptii hai thartharlekin hai muhr lab parduulhaa ke sar pe sahraalekin udaas chehraishrat kii aarzuu thiiulfat kii justujuu thiiummiid ruu-ba-ruu thiiye inqalaab kyaa haiaaGosh-e-marg vaa haiafsos yaa-ilaahiikyaa aa ga.ii tabaahiiqismat kii kam nigaahiidil sard ho rahe hai.nruKH zard ho rahe hai.nis mahshar-e-balaa me.nis lahja-e-fanaa me.nis sail-e-baad-paa me.nsab ahl-e-yaas gum hai.nhosh-o-havaas gum hai.nkuchh mahv hai.n du.aa me.nkuchh naala-o-bukaa me.nkuchh shikva-e-KHudaa me.nbaiThii hai ek bevahai sabr jis kaa shevadil haath se dabaa.ebachcha gale lagaa.etiir-e-umiid khaa.eye baap kii nishaaniisarmaaya-e-javaaniiik din javaan hogaaammaa.n kaa maan hogaahaq mehrbaan hogaaik naujavaa.n bad-aKHtarbhaagaa hai ghar se la.D karchho.De the baap-maa.n bhiibiivii bhii aur makaa.n bhiiab chho.Dtaa hai jaa.n bhiiai kaash mai.n na aataaai kaash lauT jaataaai tab-e-KHud-sar afsosai taish tujh par afsosafsos yaksar afsosye dev-zaad mauje.nye nau-nihaad mauje.naayaa phir ek relaakashtii banii hai tinkaabas ho chalaa safaayaatadbiir ro rahii haitaqdiir so rahii haimallaah tair nikledariyaa me.n pair nikleafsos Gair nikle
muflis yahaa.n nahii.n hai.n ki beva yahaa.n nahii.naisaa ko.ii nahii.n hai jo aafat-nishaa.n nahii.nye baat misl-e-shams ayaa.n hai nihaa.n nahii.naazaad gar nahii.n hai to hindostaa.n nahii.n
KHaatuun bolii.n itnaa to KHud maantii huu.n mai.nmai.n beva hone vaalii huu.n ye jaantii huu.n mai.n
mai.n takmiil ke sahraa me.n bhaTaktaa hu.aa zarra huu.nsuuraj hone ke gumaan se duuraur bache hu.e lamho.n ko god me.n liye zindagiihar raa.egaa.n sub.h kii chitaa parsatii ho jaane vaalii beva hai
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books