aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "bheje"
bartar az andesha-e-suud-o-ziyaa.n hai zindagiihai kabhii jaa.n aur kabhii tasliim-e-jaa.n hai zindagiituu ise paimaana-e-imroz-o-fardaa se na naapjaavedaa.n paiham davaa.n har-dam javaa.n hai zindagiiapnii duniyaa aap paidaa kar agar zindo.n me.n haisirr-e-aadam hai zamiir-e-kun-fakaa.n hai zindagiizindagaanii kii haqiiqat kohkan ke dil se puuchhjuu-e-shiir-o-tesha-o-sa.ng-e-garaa.n hai zindagiibandagii me.n ghaT ke rah jaatii hai ik juu-e-kam-aabaur aazaadii me.n bahr-e-be-karaa.n hai zindagiiaashkaaraa hai ye apnii quvvat-e-tasKHiir segarche ik miTTii ke paikar me.n nihaa.n hai zindagiiqulzum-e-hastii se to ubhraa hai maanind-e-habaabis ziyaa.n-KHaane me.n teraa imtihaa.n hai zindagiiKHaam hai jab tak tuu hai miTTii kaa ik ambaar tuupuKHta ho jaa.e tuu hai shamsher-e-be-zinhaar tuuho sadaaqat ke liye jis dil me.n marne kii ta.Dappahle apne paikar-e-KHaakii me.n jaa.n paidaa karephuu.nk Daale ye zamiin-o-aasmaan-e-musta'aaraur KHaakistar se aap apnaa jahaa.n paidaa karezindagii kii quvvat-e-pinhaa.n ko kar de aashkaartaa ye chingaarii froG-e-jaavedaa.n paidaa kareKHaak-e-mashriq par chamak jaa.e misaal-e-aaftaabtaa-badaKHshaa.n phir vahii laa'l-e-giraa.n paidaa karesuu-e-garduu.n naala-e-shab-giir kaa bheje safiirraat ke taaro.n me.n apne raaz-daa.n paidaa kareye gha.Dii mahshar kii hai tuu arsa-e-mehshar me.n haipesh kar Gaafil ‘amal ko.ii agar daftar me.n haisaltanat
aur kabhii yuu.n hu.aaaarzuu ke musaafir thejaltii sulagtii hu.ii dhuup me.nkuchh daraKHto.n ne saa.e bichhaa.e magarun ko aisaa lagaasaa.e me.n jo sukuunaur aaraam haimanzilo.n tak pahu.nchne na degaa unhe.naur yuu.n bhii hu.aamahkii kaliyo.n ne KHushbuu ke paiGaam bheje unhe.nun ko aisaa lagaachand kaliyo.n pe kaise qanaa.at kare.nun ko to Dhuu.nDhnaa haivo gulshan ki jis kokisii ne abhii tak hai dekhaa nahii.njaane kyuu.n thaa unhe.n is kaa puuraa yaqii.nder ho yaa saver un ko lekin kahii.naise gulshan ke mil jaa.e.nge raastejaane kis vaasteaarzuu ke musaafir bhaTakte rahe
qubla-KHaan tum haar ga.e ho!aur tumhaare Tuk.Do.n par palne vaalaa laalchii maarko-polo.....jiit gayaa haiakbar-e-aazam! tum ko maGrib kii jis ayyaara ne tohfe bheje theaur ba.Daa bhaa.ii likkhaa thaaus ke kutte bhii in logo.n se afzal hai.njo tumhe.n mahaa-balii aur zillullaah kahaa karte themashriq kyaa thaa?jism se uupar uThne kii ik KHvaahish thiishahvat aur jibillat kii taariikii me.nik diyaa jalaane kii koshish thii!mai.n soch rahaa huu.n, suuraj mashriq se niklaa thaa(mashriq se jaane kitne suuraj nikle the)lekin maGrib har suuraj ko nigal gayaa hai
agar sher baahar na aayaa kareto har roz parchii nikaalaa kare.nki har roz bas ek hii jaanvarKHud hii sher ke Gaar me.n bhej karchain se jii sake.n
phuuT pa.Dii.n mashriq se kirne.nhaal banaa maazii kaa fasaanaguu.njaa mustaqbil kaa taraanabheje hai.n ahbaab ne tohfeaTe pa.De hai.n mez ke konedulhan banii hu.ii hai.n raahe.njashn manaa.o saal-e-nau ke
so ab ye shart-e-hayaat Thahriiki shahar ke sab najiib afraadapne apne lahuu kii hurmat se munharif ho ke jiinaa siikhe.nvo sab aqiide ki in gharaano.n me.nun kii aa.nkho.n ke ra.ngto.n kii tarah tasalsul se chal rahe thesunaa hai baatil qaraar paa.evo sab vafaadaariyaa.n ki jin par lahuu ke va.ade halaf hu.e thevo aaj se maslahat kii gha.Diyaa.n shumaar ho.ngiibadan kii vaabastagii kaa kyaa zikrruuh ke ahd-naame tak fasKH maane jaa.e.nKHamoshii-o-maslahat-pasandii me.n KHairiyat haimagar mire shahr-e-munharif me.nabhii kuchh aise Gayyuur-o-saadiq ba-qaid-e-jaa.n hai.nki harf-e-inkaar jin kii qismat nahii.n banaa haiso haakim-e-shahr jab bhii apne Gulaam-zaadeunhe.n giraftaar karne bhejeto saath me.n ek ek kaa shajra-e-nasb bhii ravaana karnaaaur un ke hamraah sard patthar me.n chun.ne denaaki aaj se jabhazaar-haa saal baa'd ham bhiikisii zamaane ke Tekslaayaa ha.Dappa ban kar talaashe jaa.e.nto us zamaane ke logham kokahii.n bahut kam-nasab na jaane.n
shaaKH-e-zaituun par kam-suKHan faaKHtaa.o.n ke itne basere ujaa.De ga.eaur havaa chup rahiibe-karaa.n aasmaano.n kii pihnaa.iyaa.n be-nasheman shikasta paro.n kii tag-o-taaz par bain kartii rahii.naur havaa chup rahiizard parcham u.Daataa hu.aa lashkar-e-be-amaa.n gul-zamiino.n ko paamaal kartaa rahaaaur havaa chup rahiiaarzuumand aa.nkhe.n bashaarat-talab dil du.aa.o.n ko uTThe hu.e haath sab be-samar rah ga.eaur havaa chup rahiiaur tab habs ke qaharmaa.n mausamo.n ke azaab in zamiino.n pe bheje ga.eaur munaadii karaa dii ga.iijab kabhii rang kii KHushbu.o.n kii u.Daano.n kii aavaaz kii aur KHvaabo.n kii tauhiin kii jaa.egiiye azaab in zamiino.n pe aate rahe.nge
sipaahii aaj bhii ko.ii nahii.n aayaakisii ne phuul hii bhejena bastii ke gharo.n se aashnaa giito.n kii aavaaze.n sunaa.ii de.nna parcham ko.ii lahraayaasipaahii! shaam hone aa.ii aur ko.ii nahii.n aayaafanaa kii KHandaqo.n ko jaan de kar paar kar jaanaa ba.Dii baatjahaa.n jiine kii KHaatir mar rahe ho.n log us bastii me.n mar jaanaa ba.Dii baatmagar pal bhar ko ye sochaa to hotaatumhaare baa'd ghar kii muntazir dahliiz ko jaage hu.e dil kii nishaanii kaun degaahavaa.o.n se ulajhtii raushnii ko e'tibaar-e-kaamraanii kaun degaadar-o-diivaar se lipTii hu.ii belo.n ko paanii kaun degaa
mirii rago.n me.n KHunuk suu.iyaa.n pirotaa hu.aabarhana laasho.n ke ambaar par se hotaa hu.aahavaa kaa haath bahut sard, maut jaisaa sardvo jaa rahaa hai, vo darvaaze sar paTakne lagevo balb TuuT gayaa, saa.e saath chho.D ga.evo naachte hu.e bheje kisii raqiiq se tarvo re.ngte hu.e baazuu, vo chiiKHte hu.e sarvo ho.nT niim-taraashiida, daa.nt nikle hu.evo nisf dha.D chale aate hai.n raqs karte hu.evo jism sahme hu.e band martabaano.n me.njo baat kii to unhe.n tez-o-tursh zahr milaajo chup hu.e to unhe.n suuliyo.n pe Taa.ng diyaachhupii hai.n saik.Do.n bad-ruuhe.n in fazaa.o.n me.nvo ghuurtii hu.ii aa.nkhe.n kahii.n KHalaa.o.n me.nzamii.n ke maalik-e-deriina kii talaash me.n hai.njaraahato.n ke nishaa.n har KHamiida laash me.n hai.naur ik sadaa chalii aatii hai, har jaraahat seye saare zaKHm muqaddar hu.e hai.n maut ke baadsukuun-e-lafz-o-bayaan o sukuut-e-saut ke baad
ik jangal me.n hu.e ikaTThesaare jaanvaro.n ke bachchebhe.D ne apnaa lallaa bhejaagaay ne bhii bachh.Daa bhejaakutte kaa pillaa bhii aayaaulluu kaa paTThaa bhii aayaabakrii ne bhii memne bhejeaur billii ne bilauTe bhejemurGii ke chuuze bhii aa.ebataKH ke bachche bhii aa.egho.De kaa chaalaak bachheraabhai.ns ke ka.De ke saath aayaabaaz kabuutar kavvaa chi.Diyaahaathii uu.nT uqaab aur shikraabandar sher hiran aur kachhvaatiitar mor baTer aur bagulaatotaa mainaa faaKHta sab neapne apne bachche bhejekahii.n thii.n chii.n chii.n kahii.n chyaa.uu.nkahii.n thii me.n me.n kahii.n myaa.unsab ne mil kar shor machaayaaik KHiKHyaayaa ik mimyaayaako.ii chiiKHaa ko.ii bhau.nkaaulluu bhii sote me.n chau.nkaaKHuub ye jalsa chamkaa ya.aniibaat na samjhaa ko.ii kisii kii
chand saal us tarafham shanaasaa nigaaho.n se bachte-bachaateyahii.n par mile thetumhe.n yaad haikaa.enaat ek Table ke chaaro.n taraf ghuumtii thiihame.n dekh kar kitne buu.Dho.n kii aa.nkhe.nkisii yaad-e-rafta me.n nam ho rahii thiimagar mai.n ne aa.nkho.n me.napne liye aur tumhaare liyemachhliyo.n kii tarah tairte aa.nsu.o.n me.n tamannaa.e.n dekhii.nmujhe yaad haijab kisii ajnabii mehrbaa.n ne hame.n phuul bhejeto tum kitnii nervous hu.ii.njald hii KHauf, KHadshe havaa ho ga.eduusrii tablo.n par bhii gul-daste ha.nsne lageab mohabbat kaa maskan kahii.n aur haiye jagah ab zabaa.n-band dushman kaa mu.nh kholne ke liye haijahaa.n apnii Table thii ab us jagah ek phandaa lagaa haikahaa.n aa ga.ii ho mohabbat kaa katba uThaa.e hu.eaa.o aage chale.n
phuul bheje hai.n jo tuu ne paudo.n ke haathsaare din aaj khelaa huu.n mai.n un ke saathaur kaliyaa.n khilaa aur kaliyaa.n khilaaai KHudaa ai KHudaa ai KHudaa
ye tire marmarii.n baazuu pe ghanerii zulfe.naaj saakit hai.n pas-e-parda-e-tasviir magarchand mub.ham se nuquush aur ye dhu.ndle KHaaketuu ne bheje hai.n ki ho jaa.egii taskiin-e-nazar
sab aa.nkhe.n Taa.ngo.n me.n ja.Dii hai.nrii.Dh kii haDDii ke manko.n me.n kaan lage hai.nnaaf ke uupar ro.e.n ro.e.n me.n ek zabaa.n haipatluune.n saarii aavaaze.n sun letii hai.ndo patluune.n jhaga.D rahii hai.n''itnii qiimat kyuu.n letii ho tum me.n aisii kyaa KHuubii hai''kaise gaahak ho tum aaKHir mol badan kaa de sakte hopatii-vartaa kaa mol tumhaare paas nahii.n haichust nukiilaa brazier ye chiiKH rahaa haisharm nahii.n aatii kutto.n ko charch ke aage kha.De hu.e hai.nrustam Tharra piye kha.Daa hai bus-stop kii chhat ke niicheaur sohraab se puuchh rahaa hai''beTaa maal kahaa.n miltaa hai?''mandir kii chaukhaT par baiThii andhii aa.nkhe.naate jaate autaaro.n kii KHufiya jebe.n taak rahii hai.nhaspataal ke uu.nche niiche ziino.n par ik ik murde kogaa.ndhii jii dono.n haatho.n se injection dete phirte hai.nwashington vietnam me.n baiThaa barham-putr ke paanii ko whiskey ke jaam me.n ghol rahaa hailondon lanka kii sa.Dko.n pe sar niv.Dhaa.e ghuum rahaa haikaa.ngo.n aavaara phirtaa hai paris ke gande chaklo.n me.nbudh ke TuuTe-phuuTe but ke sar par buu.Dhaa kargasmurdo.n kii majlis me.n baiThaa apnii biptaa sunaa rahaa haimasjid ke saa.e me.n baiThaa kam-sin giida.Dus kii gavaahii me.n kahtaa haibechaara kam-sin hai us kii cho.nch se ab takduudh kii KHushbuu sii aatii haiuupar niile khule gagan me.nek kabuutar apnii cho.nch me.n ik zaituun kii shaaKH liye u.Dtaa phirtaa haiaur us shaaKH ke dono.n jaanibatom bomb ke paat lage hai.ninsaa.n kaa daayaa.n baazuu ik barg-e-KHizaa.n kii tarah laraz kar TuuT rahaa haiaur us ke baa.e.n baazuu par koh-e-himala dharaa hu.aa haijaane phir bhii vo talvaar kii dhaar pe kaise chal saktaa haimai.n is bhii.D me.n chauraahe par tanhaa baiThaa soch rahaa huu.nduniyaa israafiil ke pahle suur ke baa'd yuu.nhii lagtii hai''gas ke kamre me.n'' shaayad yuu.nhii hotaa haipop paal kii Topii mere bheje me.n dha.nstii jaatii hai
vo alam gir ga.e jin ke saa.e taleishq kii avvalii.n satr likhii ga.iiphuul bheje ga.edushmano.n ke liyeab milo bhii ki ai ruuh-e-asr-e-ravaa.nra.ng jalne lageruup Dhalne lageduusre pahr me.n terahvii.n zarb parkaT ga.e din ke raaje ka.Dii dhuup me.nshaaKH-taa-shaaKH murjhaa ga.ii.n raat kii raaniyaa.nab milo bhii ki ai ruuh-e-asr-e-ravaa.naa.nsu.o.n me.n sajaa aks u.Dne ko haibarf hone ko hai.n apnii hairaaniyaa.nruuh-e-asr-e-ravaa.n!!ruuh-e-asr-e-ravaa.n!!
chalo itnaa to ho paayaaki tum ne baadalo.n ke chand Tuk.Do.n ko hamaare paas bhejaa haihamaarii pyaas kii KHaatir zaraa sii aas bhejii haichaTaKHte aur pyaase niile ho.nTo.n ko tasavvur me.nKHayaalo.n me.n kisii be-vasl aur be-mausmii Gam kii namii kaa narm giilaa aur gulaabii saa ko.ii ehsaas to hogaajise mai.n ne du.aa kii shaaKH se baa.ndhaa hu.aa hai abbadan me.n kuchh tirii utre sisakte aur tapte dasht me.n u.Dtii ta.Daptii sar paTaktii ret kaa ehsaas miT jaa.eso aisaa ho gayaa abpahaa.Do.n kii sii sa.nglaaKHii KHamoshii aur maayuusii KHaraasho.n kii aziyyat miT chukii haitire bheje hu.e baadal ko chhuune sechalo itnaa to ho paayaa
sadiyaa.n qataar-dar-qataar kha.Dii hai.napnii jagah saakit-o-jaamidba.De tajassus se dekhtii hai.nek duusre se baate.n kartii hai.nusii ek mas.ale parjise hal na kar paane kaa afsos haipeshaanii pe bantii biga.Dtiilakiiro.n kii shakl me.n numaayaa.n haijise hal karne ke liye allaah nekitne hii nabii aur autaar zamiin par bhejeunho.n ne apne kalaam se is zamii.n ko sarfaraaz kiyaavaqt guzartaa rahaa guzartaa rahaa guzartaa rahaamagar mas.ala vaise kaa vaisaa hii hai ab bhiibilkul pahle kii tarahbalki pahle se bhii zyaada KHaufnaak shakl me.nvahii mas.alaaadmii ke insaan ban.ne kaa
merii KHvaahish hai har mahiine me.nraat ik is tarah kii ho jis me.nshahr kii saarii battiyaa.n ik saathek ghanTe ko chup karaa dii jaa.e.nshahr ke log chhat pe bheje jaa.e.nun kii taaro.n se jab nazar uljhetab a.ndhere kaa husn un pe khulekahkashaa.n TuuT kar gire sab pesab kii aa.nkho.n ke zaKHm bhar jaa.e.n
tuu nahii.n jaantiimai.n ne kitnii daf'atere bheje KHato.n ko mukammal pa.DhaakaaGazo.n par tirii bebasii ke nishaa.n mai.n ne azbar kiyeaise vaa'do.n pe KHud ko nichhaavar kiyaajo tire haq me.n thetujh ko ha.nste samay bhii dilaase diyeaa mirii raaz-daa.n daftar-e-vasl me.n dono.n baaham mile.naa ke yuu.n mujh se miljaise yaa'quub ko ko.ii kurtaa mile
agle janm me.nKHudaa se guzaarish karuu.ngaavo aavaaz ko tavaa.if banaa kar bhejemerii KHvaahish haimere qabiile ke logbarahna chhaatiyo.n kii justujuu me.nehtijaaj ke phuulo.n par iimaan laa.e.naur apnii jeb seduhaa.ii ke gul-daste KHariide.nmai.n koshish karuu.ngaaKHudaa KHaamoshii kohamaarii talaaq-yaafta biiviyaa.n tasliim karejin kii kokhhamaarii pukaar ke rango.n kii haamil na hois janm me.nhamaare log
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books