aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "chane"
hadaf ho.nge tumhaaraa kaun tum kis ke hadaf hogena jaane vaqt kii paikaar me.n tum kis taraf hogehai ran ye zindagii ik ran jo barpaa lamha lamha haihame.n is ran me.n kuchh bhii ho kisii jaanib to honaa haiso ham bhii is nafas tak hai.n sipaahii ek lashkar kehazaaro.n saal se jiite chale aa.e hai.n mar mar keshuhuud ik fan hai aur merii adaavat be-fano.n se haimirii paikaar azal seye 'KHusro' 'miir' 'Gaalib' kaa KHaraaba bechtaa kyaa haihamaaraa 'Gaalib'-e-aazam thaa chor aaqa-e-'bedil' kaaso rizq-e-faKHr ab ham khaa rahe hai.n 'miir'-e-bismil kaasidhaarat bhii thaa sharminda ki do-aabe kaa baasii thaatumhe.n ma.aluum hai urdu jo hai paalii se niklii haivo goyaa us kii hii ik pur-numuu Daalii se niklii hai
bastii pe udaasii chhaane lagii melo.n kii bahaare.n KHatm hu.ii.naamo.n kii lachaktii shaaKHo.n se jhuulo.n kii qataare.n KHatm hu.ii.n
raat bhar diida-e-namnaak me.n lahraate rahesaa.ns kii tarah se aap aate rahe jaate raheKHush the ham apnii tamannaa.o.n kaa KHvaab aa.egaaapnaa armaan bar-afganda-naqaab aa.egaanazre.n niichii kiye sharmaa.e hu.e aa.egaakaakule.n chehre pe bikhraa.e hu.e aa.egaaaa ga.ii thii dil-e-muztar me.n shakebaa.ii siibaj rahii thii mire Gam-KHaane me.n shahnaa.ii siipatiyaa.n kha.Dkii.n to samjhaa ki lo aap aa hii ga.esajde masruur ki ma.abuud ko ham paa hii ga.eshab ke jaage hu.e taaro.n ko bhii nii.nd aane lagiiaap ke aane kii ik aas thii ab jaane lagiisub.h ne sej se uThte hu.e lii a.ng.Daa.iio sabaa! tuu bhii jo aa.ii to akelii aa.iimere mahbuub mirii nii.nd u.Daane vaalemere masjuud mirii ruuh pe chhaane vaaleaa bhii jaa, taaki mire sajdo.n kaa armaa.n nikleaa bhii jaa, ki tire qadmo.n pe mirii jaa.n nikle
jab bhii chuum letaa huu.n un hasiin aa.nkho.n kosau charaaG a.ndhere me.n jhilmilaane lagte hai.nKHushk KHushk ho.nTo.n me.n jaise dil khi.nch aataa haidil me.n kitne aa.iine thartharaane lagte hai.nphuul kyaa shaguufe kyaa chaa.nd kyaa sitaare kyaasab raqiib qadmo.n par sar jhukaane lagte hai.nzehn jaag uThtaa hai ruuh jaag uThtii hainaqsh aadmiyat ke jagmagaane lagte hai.nlau nikalne lagtii hai mandiro.n ke siine sedevtaa fazaa.o.n me.n muskuraane lagte hai.nraqs karne lagtii hai.n muurate.n ajantaa kiimuddato.n ke lab-basta Gaar gaane lagte hai.nphuul khilne lagte hai.n uj.De uj.De gulshan me.ntishna tishna giitii par abr chhaane lagte hai.nlamha bhar ko ye duniyaa zulm chho.D detii hailamha bhar ko sab patthar muskuraane lagte hai.n
ek aayaa gayaa duusraa aa.egaa der se dekhtaa huu.n yuu.nhii raat us kii guzar jaa.egiimai.n kha.Daa huu.n yahaa.n kis liye mujh ko kyaa kaam hai yaad aataa nahii.n yaad bhii TimTimaataahu.aa ik diyaa ban ga.ii jis kii ruktii hu.ii aur jhijaktii hu.ii har kiran be-sadaa qahqaha haimagar mere kaano.n ne kaise use sun liyaa ek aa.ndhii chalii chal ke miTbhii ga.ii aaj tak mere kaano.n me.n maujuud hai saa.e.n saa.e.n machaltii hu.ii aurubaltii hu.ii phailtii phailtii der se mai.n kha.Daa huu.n yahaa.n ek aayaa gayaaduusraa aa.egaa raat us kii guzar jaa.egii ek ha.ngaama barpaa hai dekhe.n jidharaa rahe hai.n ka.ii log chalte hu.e aur Tahalte hu.e aur rukte hu.e phir seba.Dhte hu.e aur lapakte hu.e aa rahe jaa rahe hai.n idhar se udhar aur udhar seidhar jaise dil me.n mire dhyaan kii lahar se ek tuufaan hai vaise aa.nkhe.nmirii dekhtii hii chalii jaa rahii hai.n ki ik TimTimaate diye kii kiran zindagii ko phisaltehu.e aur girte hu.e Dhab se zaahir kiye jaa rahii hai mujhe dhyaanaataa hai ab tiirgii ik ujaalaa banii hai magar is ujaale se ristii chalii jaa rahiihai.n vo amrit kii buu.nde.n jinhe.n mai.n hathelii pe apnii sambhaale rahaa huu.n hatheliimagar TimTimaataa hu.aa ik diyaa ban ga.ii thii lapak se ujaalaa hu.aa lau girii phir a.ndheraa saachhaane lagaa baiThtaa baiThtaa baiTh kar ek hii pal me.n uThtaa hu.aa jaise aa.ndhii ketiikhe thape.Do.n se darvaaze ke taaq khulte rahe.n band hote rahe.npha.D.pha.Daate hu.e taa.ir-e-zaKHm-KHurda kii maanind mai.n dekhtaa hii rahaa ek aayaagayaa duusraa aa.egaa soch aa.ii mujhe paa.nv ba.Dhne se inkaar kartega.e mai.n kha.Daa hii rahaa dil me.n ik buu.nd ne ye kahaa raat yuu.nhii guzar jaa.egiidil kii ik buu.nd ko aa.nkh me.n le ke mai.n dekhtaa hii rahaa pha.D.pha.Daate hu.e taa.irzaKHm-KHurda kii maanind darvaaze ke taaq ik baar jab mil ga.e mujh ko aahista aahistaehsaas hone lagaa ab ye zaKHmii parinda na ta.Dpegaa lekin mire dil ko har vaqtta.Dpaa.egaa mai.n hathelii pe apnii sambhaale rahuu.ngaa vo amrit kii buu.nde.n jinhe.n aa.nkhse merii risnaa thaa lekin mirii zindagii TimTimaataa hu.aa ik diyaa ban ga.ii jis kii ruktii hu.iiaur jhijaktii hu.ii har kiran be-sadaa qahqaha hai ki is tiirgii me.n ko.ii baat aisii nahii.njis ko pahle a.ndhere me.n dekhaa ho mai.n ne safar ye ujaale a.ndhere kaa chaltaarahaa hai to chaltaa rahegaa yahii rasm hai raah kii ek aayaa gayaa duusraaaa.egaa raat aise guzar jaa.egii TimTimaate sitaare bataate the raste kiinaddii bahii jaa rahii hai bahe jaa is uljhan se aise nikal jaa ko.ii siidhaa manzil pe jaataathaa lekin ka.ii qaafile bhuul jaate the anjum ke daur-e-yagaanaa ke mub.ham ishaare magar vobhii chalte hu.e aur ba.Dhte hu.e shaam se pahle hii dekh lete the maqsuud kaa banddarvaaza khulne lagaa hai magar mai.n kha.Daa huu.n yahaa.n mujh ko kyaa kaam hai meraa darvaazakhultaa nahii.n hai mujhe phaile sahraa kii so.ii hu.ii reg kaa zarra zarra yahii kah rahaa haike aise KHaraabe me.n suukhii hathelii hai ik aisaa talvaa ke jis ko kisii KHaar kii nok chubhne pe bhiikah nahii.n saktii mujh ko ko.ii buu.nd apne lahuu kii pilaa do magar mai.n kha.Daa huu.n yahaa.n kis liyekaam ko.ii nahii.n hai to mai.n bhii in aate hu.e aur jaate hu.e ek do tiinlaakho.n baguulo.n me.n mil kar yuu.nhii chalte chalte kahii.n Duub jaataa ke jaise yahaa.nbahtii lahro.n me.n kashtii har ek mauj ko thaam letii hai apnii hathelii ke phaile ka.nvalme.n mujhe dhyaan aataa nahii.n hai ki is raah me.n to har ik jaane vaale ke basme.n hai manzil mai.n chal duu.n chaluu.n aa.iye aa.iye aap kyuu.n is jagahaise chup-chaap tanhaa kha.De hai.n agar aap kahiye to ham ik achhuutii sii Tahnii sedo phuul bas bas mujhe is kii ko.ii zaruurat nahii.n hai mai.n ikdost kaa raasta dekhtaa huu.n magar vo chalaa bhii gayaa hai mujhe phir bhiitaskiin aatii nahii.n hai ki mai.n ek sahraa kaa baashinda maaluum hone lagaa huu.n KHudapnii nazar me.n mujhe ab ko.ii band darvaaza khultaa nazar aa.e ye baat mumkin nahii.n haimai.n ik aur aa.ndhii kaa mushtaaq huu.n jo mujhe apne parde me.n yaksar chhupaa lemujhe ab ye mahsuus hone lagaa hai suhaanaa samaa.n jitnaa bas me.n thaa merevo sab ek bahtaa saa jho.nkaa banaa hai jise haath mere nahii.n rok sakteki merii hathelii me.n amrit kii buu.nde.n to baaqii nahii.n hai.n faqat ek phailaa hu.aaKHushk be-barg be-ra.ng sahraa hai jis me.n ye mumkin nahii.n mai.n kahuu.nek aayaa gayaa duusraa aa.egaa raat merii guzar jaa.egii
jab maah aghan kaa Dhaltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiiaur ha.ns ha.ns puus sambhaltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiidin jaldii jaldii chaltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiiaur paalaa barf pighaltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiichillaa Gam Tho.nk uchhaltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiitan Thokar maar pichhaa.Daa ho aur dil se hotii ho kushtii siithar-thar kaa zor ukhaa.Daa ho bajtii ho sab kii battiisiiho shor phaphuu huu-huu kaa aur dhuum ho sii-sii sii-sii kiikalle pe kallaa lag lag kar chaltii ho mu.nh me.n chakkii siihar daa.nt chane se daltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiihar ek makaa.n me.n sardii ne aa baa.ndh diyaa ho ye chakkarjo har dam kap-kap hotii ho har aan ka.Daaka.D aur thar-tharpaiThii ho sardii rag rag me.n aur barf pighaltaa ho pattharjha.D-baa.ndh mahaavaT pa.Dtii ho aur tis par lahre.n le le karsannaaTaa baav kaa chaltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiihar chaar taraf se sardii ho aur sehn khulaa ho koThe kaaaur tan me.n niimaa shabnam kaa ho jis me.n KHas kaa itr lagaachhi.Dkaav hu.aa ho paanii kaa aur KHuub pala.ng bhii ho bhiigaahaatho.n me.n piyaala sharbat kaa ho aage ik farraash kha.Daafarraash bhii pa.nkhaa jhaltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiijab aisii sardii ho ai dil tab roz maze kii ghaate.n ho.nkuchh narm bichhaune maKHmal ke kuchh aish kii lambii raate.n ho.nmahbuub gale se lipTaa ho aur kuhnii, chuTkii, laate.n ho.nkuchh bose milte jaate ho.n kuchh miiThii miiThii baate.n ho.ndil aish-o-tarab me.n paltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiiho farsh bichhaa Gaaliicho.n kaa aur parde chhoTe ho.n aa karik garm a.ngiiThii jaltii ho aur sham.a ho raushan aur tis parvo dilbar, shoKH, parii, chanchal, hai dhuum machii jis kii ghar gharresham kii narm nihaalii par sau naaz-o-adaa se ha.ns ha.ns karpahluu ke biich machaltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiitarkiib banii ho majlis kii aur kaafir naachne vaale ho.nmu.nh un ke chaa.nd ke Tuk.De ho.n tan un ke ruu.ii ke gaale ho.nposhaake.n naazuk ra.ngo.n kii aur o.Dhe shaal do-shaale ho.nkuchh naach aur rang kii dhuume.n ho.n aish me.n ham matvaale ho.npiyaale par pyaala chaltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kiihar ek makaa.n ho KHalvat kaa aur aish kii sab tayyaarii hovo jaan ki jis se jii Gash ho sau naaz se aa jhankaarii hodil dekh 'naziir' us kii chhab ko har aan adaa par vaarii hosab aish muhayyaa ho aa kar jis jis armaan kii baaii hojab sab armaan nikaltaa ho tab dekh bahaare.n jaa.De kii
vo dekho uThii kaalii kaalii ghaTaahai chaaro.n taraf chhaane vaalii ghaTaaghaTaa ke jo aane kii aahaT hu.iihavaa me.n bhii ik sansanaahaT hu.iighaTaa aan kar me.nh jo barsaa ga.iito be-jaan miTTii me.n jaan aa ga.iizamii.n sabze se lahlahaane lagiikisaano.n kii mehnat Thikaane lagiija.Dii-buuTiyaa.n pe.D aa.e nikalajab bel patte ajab phuul phalhar ik pe.D kaa yak nayaa Dha.ng haihar ik phuul kaa ik nayaa rang haiye do din me.n kyaa maajraa ho gayaaki jangal kaa jangal haraa ho gayaajahaa.n kal thaa maidaan chaTyal pa.Daavahaa.n aaj hai ghaas kaa ban pa.Daahazaaro.n phudakne lage jaanvarnikal aa.e goyaa ki miTTii ke par
barso.n kyaa kyaa chane chabaa.e, kyaa kyaa paapa.D belelahro.n ko hamraaz banaayaa, tuufaano.n se khele
zehn me.n azmat-e-ajdaad ke qisse le karapne taariik gharo.ndo.n ke KHalaa me.n kho jaa.omarmarii.n KHvaabo.n kii pariyo.n se lipaT kar so jaa.oabr paaro.n pe chalo, chaa.nd sitaaro.n me.n u.Doyahii ajdaad se virse me.n milaa hai tum koduur maGrib kii fazaa.o.n me.n dahaktii hu.ii aagahl-e-sarmaaya kii aavezish-e-baaham na sahiija.ng-e-sarmaaya o mehnat hii sahiiduur maGrib me.n hai mashriq kii fazaa me.n to nahii.ntum ko maGrib ke bakhe.Do.n se bhalaa kyaa lenaa?tiirgii KHatm hu.ii surKH shu.aa.e.n phailii.nduur maGrib kii fazaa.o.n me.n taraane guu.njefat.h-e-jamhuur ke insaaf ke aazaadii kesaahil-e-sharq pe gaiso.n kaa dhu.aa.n chhaane lagaaaag barsaane lage ajnabii topo.n ke dahanKHvaab-gaaho.n kii chhate.n girne lagii.napne bistar se uThona.e aaqaa.o.n kii ta.aziim karoaur phir apne gharo.ndo.n ke KHalaa me.n kho jaa.otum bahut der bahut der talak so.e rahe
ik parda kaalii maKHmal kaa aa.nkho.n par chhaane lagtaa haiik bha.nvar hazaaro.n shaklo.n kaa dil ko dahlaane lagtaa haiik tez hinaa.ii KHushbuu se har saa.ns chamakne lagtaa haiik phuul tilismii ra.ngo.n kaa galiyo.n me.n damakne lagtaa haisaa.npo.n se bhare ik jangal kii aavaaz sunaa.ii detii haihar ii.nT makaano.n ke chhajjo.n kii KHuun dikhaa.ii detii hai
jahaa.n se bebasii jaane lagii thiijahaa.n se zindagii gaane lagii thiijahaa.n se rashk saa aane lagaa thaajahaa.n se nashsha saa chhaane lagaa thaajahaa.n se rat-jage kii thii numaa.ishjahaa.n se diip raaho.n me.n jale thechalo ik baar phir dariyaa kinaarejahaa.n pahle-pahal ham tum mile the
kaun gustaaKH hai kyaa naam hai kyuu.n aayaa haipahre vaalo use KHanjar kii anii se rokoapnii banduuqo.n kii naalii se Daraa.o us koaur us par jo na maane use topo.n kii salaamii de dojashn kaa din hai mirii saalgirah kaa din haiaaj mahlo.n me.n jale.nge mah-o-anjum ke charaaGaaj bujhte hu.e chehro.n kii zaruurat kyaa haiaaj maayuus nigaaho.n kii zaruurat kyaa haikaun bebaak hai ba.Dhtaa hii chalaa aataa haipahre vaalo use KHanjar kii anii se rokoaadmii hai ki miraa vahm hai aaseb hai yeus ke chehre pe to zaKHmo.n ke nishaa.n tak bhii nahii.ngoliyaa.n us ke siyah siine se Takraa ke chalii aatii hai.nus ke ho.nTo.n pe tabassum hai ki mu.nh khole hu.eazhdahaa taKHt nigalne ko chalaa aataa haimaut kis bhes me.n aa.ii hai mujhe lene koaaj kyuu.n aa.ii hai kyuu.n aa.ii hai kyuu.n aa.ii haimai.n tujhe gauhar-o-almaas diye detaa huu.ntere ThiThure hu.e haatho.n ko haraarat duu.ngaajashn kaa din hai mirii saalgirah kaa din haikaun ho kaun ho tumai Gariibo.n ke KHudaavand amiiro.n ke rafiiqmai.n samajhtaa thaa mujhe aap na pahchaane.ngemai.n ne a.ngrez kii jailo.n me.n javaanii kaaTiimai.n ne ThiThure hu.e haatho.n se jalaa.e hai.n diyejin kii lau aaj bhii tuufaano.n se Takraatii haijin ko a.ngrez kii phuu.nko.n ne bujhaanaa chaahaaaur KHud un kii zabaa.n jal ke siyah-faam hu.iivo diye aaj bhii bar-lauu.n kii chiiKHo.n se la.De jaate hai.naap ko yaad na hogaa shaayadkaun ho kaun ho tummai.n ne taariiKH kii lahro.n me.n ravaanii de diimai.n ne buu.Dho.n kii rag-o-pai me.n javaanii de diimai.n ne jhukte hu.e shaano.n ko tavaanaa.ii diikaar-KHaane mirii aavaaz se bedaar hu.eaur ik merii hii aavaaz nahii.n guu.njii thiisaik.Do.n vaqt se haare hu.e insaan uThekuhra-e-vaqt pe chhaane ke liyekaun ho kaun ho tumauraaq me.n hii nahii.n aayaa huu.nsaik.Do.n vaqt ke maare hu.e insaan bhii hai.nsaik.Do.n vaqt pe chhaa.e hu.e insaan bhii hai.nkaun ho kaun ho tumaaj bhii ketiyo.n me.n bhuuk ugaa kartii haikaar-KHaano.n me.n dhu.e.n ke baadaltauq aur aahanii zanjiiro.n me.n Dhal jaate hai.nkaun ho kaun ho tumaap insaan kii azmat pe yaqii.n rakhte hai.naap ke hukm ne kitno.n kii zabaane.n sii dii.naap kii mumlikat adl me.n kitne biimaarqaid-e-tanhaa.ii me.n dam to.D chukekaun ho kaun ho tumaap kii be.Diyaa.n afraad ko paaband banaa saktii hai.naap kii be.Diyaa.n insaan ko paaband nahii.n kar saktii.nkal yahii sham.a jo siine me.n farozaa.n hai aajaap ke saare tilismaat jalaa Daalegiikal unhii.n kheto.n me.n uj.De hu.e khaliyaano.n me.nsaal-haa-saal kii paamaal zamii.napne siine ke KHazaano.n ko luTaatii hogiikaar-KHaane bhii siyahkaar KHudaa.o.n se rihaa.ii paa karlaakho.n insaano.n kii taskiin kaa saamaa.n ho.ngeik na.e ahd na.ii ziist kaa unvaa.n ho.ngeaur phir vaqt kaa bebaak mo.arriKH aa karsurKH parcham ko salaamii degaakaun ho kaun ho tumbhaardvaaj
mai.n ki ik banii-aadamaalam-e-anaasir kaaik KHamiir-e-taaza-damik hayaat mujh me.n haikaa.enaat mujh me.n haimerii saltanat hai sabmujh se hai jahaa.n qaa.emmai.n huu.n gardish-e-paihamrau me.n hai lahuu har damkyaa KHabar lahuu kyaa haiek shorish-e-hastiiek daaKHlii tuufaa.nek mahshar-e-dauraa.nkyaa KHabar lahuu kyaa haigardishe.n sitaaro.n kiigardish aasmaano.n kiigardishe.n zamiino.n kiigardishe.n zamaano.n kiikyaa KHabar lahuu kyaa haiye nizaam-e-kul jaariiya.anii harkate.n saariisab lahuu kii harakat haihai lahuu ke dam se hiiamn bhii, mohabbat bhiija.ng bhii, adaavat bhiishorish o baGaavat bhiikyaa KHabar lahuu kyaa haigardishe.n lahuu kii jabmujh me.n shor kartii hai.nbe-KHudii ke nashshe me.njism kaa har ik KHaliyaraqs karne lagtaa haiaur phir ye hotaa haiKHushkiyo.n kaa har zarrapaaniyo.n kaa har qatraek be-badan jazbaraqs karne lagtaa haiis jinno.n ke aalam me.nzaKHm jaag jaate hai.ndard chiiKH uThtaa haiaur phir ye hotaa hairuuh-o-dil kii vaadii me.nnaGme guu.nj uThte hai.nnaGma-haa-e-sehr-a.ngezbe-karaa.n fazaa.o.n me.nlaa-makaa.n KHalaa.o.n me.nsoz aur fuGaa.n ban karmiiThii lai me.n Dhal Dhal karjab bikharne lagte hai.naise sehr-aalam me.nek kaif-o-mastii kaanashsha chhaane lagtaa haiaur phir ye hotaa haikaa.enaat kii har shaigungunaane lagtii haiaur phir vahii naGmeruuh-o-dil ke chhaalo.n kotaar, taar zaKHmo.n koniim-jaa.n karaaho.n kolaala-zaar daaGo.n kojaagte phaphuulo.n komast loriyaa.n de karKHvaab ke gulistaa.n me.nlaapata zamaane takyuu.n hii chho.D dete hai.nasl me.n vahii naGmedard kaa mudaavaa hai.n!!
os kii buu.ndo.n me.n namkiinii nahii.nphuul gar chaahe ki apnii raat ke anjaam koek hii lamhe me.n yaksar jaan leus ko laazim hai havaa ke sard jho.nke se kahejaa.o us ke aa.nsu.o.n ko chuum loaa.nsu.o.n ko chuum kar mahsuus ye hone lagaaek aa.nsuu ek buu.ndek pal me.n ek bahr-e-niilguu.nban ke chhaa jaataa hai tanhaa naav parkyaa hu.aa gar os kii buu.ndo.n me.n namkiinii nahii.nos kii buu.ndo.n me.n namkiinii agar hotii to kyaaphuul is me.n tairte hii tairteapnii manzil tak pahu.nch saktaa na thaa ik naav ban saktaa na thaaphuul kyaa hai tuu ki mai.nphuul mai.n huu.n tuu nahii.ntuu to bahr-e-niilguu.n me.n ek tanhaa naav haibahtii jaatii hai zaraa ruktii nahii.ntujh ko ye ma.aluum kab hai os kii buu.ndo.n me.n namkiinii nahii.ntuu faqat baato.n ke bal par apnii raato.n kii rasiilii chhaa.nv me.nye samajhtii hai ki har lamha achaanak phail karshash-jihat par dil dha.Dakte hii me.n yuu.n chhaane lagaajaise ik Thahraav furqat kii a.ndherii raat me.ndard ke ham-dosh lazzat ko bhii uksaataa rahele piyaala thaam leis me.n baaqii hai abhii zahr-e-Gamjis ko pii kar mai.n bhii apnii zindagii se bhaagtaa phirtaa rahaaguftuguu se faa.eda kuchh bhii nahii.n lekin mujhehar ishaaraa daam hai alfaaz kaajis me.n taa.ir pha.D-pha.Daate chiiKHtechiiKHte hii chiiKHte KHaamosh ho jaate hu.ejaan lete hai.n ki ab vo raat hii darmaa.n banegii dard ke ambaar kaajis ke bikhre daaman-e-sad-chaak me.nphuul kii bhiigii hu.ii pattii pe buu.nde.n os kiisaath laatii hai.n gudaaz-e-ruuh kii halkii malaahat ko jisechakh ke kahtii hai zabaa.n kyuu.n ab kahoos kii buu.ndo.n me.n namkiinii nahii.ndekh duurek tanhaa naav bahr-e-niilguu.n pe rafta rafta ba.Dhte ba.Dhte aa rahii hai paas dekhduur kii chiize.n bhii yuu.nbaato.n baato.n me.n qariib aa jaa.e.ngii kyaa thii KHabardekh torishta-e-ahd-e-taKHayyul band thaakhulne lagaarafta rafta ik na.ii suurat nazar aane lagiiik na.ii suurat magar kuchh naqsh to maanuus hai.naur har lamhe se har aa.nsuu se qasr-e-niilguu.n istaada haiduur us kii chhat me.n do faanuus hai.n
galiyo.n kii sham.e.n bujh ga.ii.n aur shahr suunaa ho gayaabijlii kaa khambaa thaam kar baa.nkaa sipaahii so gayaataariikiyo.n kii deviyaa.n karne lagii.n sargoshiyaa.nik dhiimii dhiimii taan me.n gaane lagii.n KHaamoshiyaa.nmashriq ke parbat se vare ubhrii.n ghaTaa.e.n yak-ba-yaka.ng.Daa.iyaa.n lene lagii.n be-KHud havaa.e.n yak-ba-yaktaare nigaltii badliyaa.n chaaro.n taraf chhaane lagii.nchham-chham phuvaaro.n kii jha.Dii dhartii pe barsaane lagii.nkutte achaanak chau.nk kar bho.nke.n dubak kar so ga.ebe-ras chacho.Dii haDDiyo.n kii lazzato.n me.n kho ga.emaa.e.n lapaktii hai.n kahii.n bachche bilakte hai.n kahii.naur khaaT lene ke liye buu.Dhe uchakte hai.n kahii.nik sarsaraahaT sii uThii lahraa.ii tham kar rah ga.iihar chiiz ne aa.nkhe.n malii.n har chiiz jam kar rah ga.iiphir gungunaatii zulmato.n kaa sehr har-suu chhaa gayaabaadal kahii.n gum hoga.e taaro.n pe jauban aa gayaaqudarat ke sab chhoTe ba.De qaanuun hai.n yaksaa.n magarparde pa.De hai.n jaa-ba-jaa chhantii nahii.n jin se nazarinsaan kaa ma.asuum dil taariik suunaa shahr haijis ke tale ehsaas kii chi.ngaariyo.n kii lahar haijab dekhtaa hai vo kahii.n badmast panghaT vaaliyaa.ngaalo.n ko jin ke chuumtii hai.n patlii patlii baaliyaa.nzulfe.n ghaTaa.o.n kii tarah aa.nkhe.n sitaaro.n kii tarahchalnaa havaa.o.n kii tarah ra.ngat sharaaro.n kii tarahlah.nge kii lahro.n ke tale makkhan se paa.nv raqs me.npagDanDiyo.n ke us taraf gaagar kii chhaa.nv raqs me.nsiine chhalakte mai-kade aur ho.nT paimaano.n ke labTaKHno.n pe bajtii jhaa.njhne.n ha.nsnaa-ha.nsaanaa be-sababye dekh kar a.ng.Daa.iyaa.n letaa hai dil insaan kaaaur us kii har dha.Dkan pe hotaa hai gumaa.n tuufaan kaagaliyo.n me.n chhup jaatii hai.n jab ye chaltii-phirtii bijliyaa.nhotaa hai taarii ruuh par sunsaan raato.n kaa samaa.n
ab dhundlii pa.Dtii jaatii hai taariiki-e-shab mai.n jaataa huu.nvo sub.h kaa taaraa ubhraa vo pau phuuTii ab mai.n jaataa huu.njaataa huu.n ijaazat jaane do vo dekho ujaale chhaane ko hai.nsuuraj kii sunahrii kirno.n ke KHaamosh bulaave aane ko hai.nvo phuulo.n ke gajre jo tum kal shaam piro kar laa.ii thii.nvo kaliyaa.n jin se tum ne ye ra.ngii.n siije.n mahkaa.ii thii.ndekho in baasii kaliyo.n kii pattii pattii murjhaa.ii haivo raat suhaanii biit chukii aa pahu.nchii sub.h-e-judaa.ii haiab mujh ko yahaa.n se jaanaa hai pur-shauq nigaaho mat rokoo mere gale me.n laTkii hu.ii lachkiilii baaho mat rokoin uljhii uljhii zulfo.n me.n dil apnaa bisaare jaataa huu.nin miiThii miiThii nazro.n kii yaado.n ke sahaare jaataa huu.njaataa huu.n ijaazat vo dekho Gurfe se shu.aa.e.n jhalkii hai.npighle hu.e sone kii lahre.n miinaa-e-shafaq se chhalkii hai.nkheto.n me.n kisii charvaahe ne bansii kii taan u.Daa.ii haiek ek rasiilii sur jis kii paiGaam safar kaa laa.ii haimajbuur huu.n mai.n jaanaa jo hu.aa dil maane na maane jaataa huu.nduniyaa kii a.ndherii ghaaTii me.n ab Thokare.n khaane jaataa huu.n
mai.n dekhtaa huu.nviiraan shaah-raaho.n par re.ngtii KHaamoshiisuuraj ke ghar lauTte hiibe-libaas ho kar naachne lagtii haiaur talaash kartii hai kuchh muskuraate chehrea.ndheraa chhaane lagtaa haiviiraanii daalaan me.n baiThii bain kartii aurapnii mahruumii kaa iz.haar kartii haikiraa.e ke qabristaan me.n dafn murderaat-bhar ehtijaaj karte hai.napnii naa-mukammal KHvaahisho.n ko sa.Dko.n par jalaate hai.njis ke dhu.e.n se aasmaan kaarang kaalaa pa.D jaataa hairaat kii taariikii manhuus aavaaze.n nikaaltii haiviiraan sa.Dak ke ek taraf kha.Dii buu.Dhii tavaa.ifapne gaahak ke ravayye se KHaufzada haiulluu aur chamgaada.D bhii raat se KHafaa ho karab din me.n safar karte hai.nmurda raat gahrii ho jaatii haijaa.De kii ThiThuraatii sardii me.nfootpath par baiThii ek nannhii kaliiek roTii ke liye KHudaa ke signature kii muntazir haimah.ngii gaa.Diyo.n ke saamnegi.Dgi.Daatii tavaa.if kaa ek aa.nsuumere zehn me.nbe-shumaar savaalaat chho.D gayaa hai
aa ga.ii saavan kii rut kaalii ghaTaa chhaane lagiiphir kisii kii yaad mere dil ko ta.Dpaane lagiiaa ga.ii saavan kii rut kaalii ghaTaa chhaane lagii
mirii aarzuu.o.n ke devtaamai.n ajiib thii mai.n ajab rahiimujhe dasht-e-Gam ko bhii chhaanne kii talab rahiimirii baat me.n ko.ii raat aa ke Thahar ga.iimirii zaat me.n ko.ii zaat aa ke guzar ga.iimujhe phir bhii dard ko jaa.nchne kii talab rahiika.ii ranj bhii hai.n nadaamato.n se mile hu.eka.ii shahr bhii hai.n adaavato.n se bhare hu.ekisii Gam ke zor se zard hai miraa shahr bhiimujhe yaad hai kisii shaam-e-Gam kaa vo qahr bhiiye jo log hai.n ye ba.De ajiib se log hai.nye abhii talak na samajh sakehai kamaal kyaahai mohabbato.n kaa junuub kyaahai shumaal kyaahai uruuj-e-dard-e-habiib kyaahai zavaal kyaaye samajh sake hii nahii.nhai ham ko malaal kyaamujhe vasl-e-yaar ke falsafe pe yaqiin haiye jo hijr hai ye kisii gumaan se kam nahii.nmirii aa.nkh dasht haimuddato.n se jo nam nahii.nsabhii kuchh hai bas yahaa.n tum nahii.nai habiib-e-manai tabiib-e-jaa.nye jo chaashnii hai huruuf me.ntirii den haiye jo naqsh hai.n mirii aa.nkh me.nhai tiraa karamjo miThaas hai mirii baat me.ntirii baat haimiraa mujh me.n kuchh bhii nahii.n rahaatirii zaat haiai faqiih-e-shahr tiraa bayaan bhii jhuuT haimujhe ishq hai to phir is me.n ko.ii daliil kyaamujhe zabt miltaa hai roz garto ye dard dard-e-sabiil kyaamirii aarzuu.o.n ke devtaazaraa dekh lemirii ruuh vajd kii kaifiyat me.n ghirii hu.iimai.n jo saa.ns saa.ns marii hu.iitire dar pe kab se pa.Dii hu.iikabhii dekh lekabhii saar leye bataa mujhehai qusuur kyaamire devtaa mire baadshaahba.De zaKHm hai.nba.De zaKHm hai.n mirii ruuh partujhe terii shaan kaa vaastamire indimaal ke vaastezaraa muskuraazaraa muskuraa ki sukuu.n milezaraa duur mujh se fishaar homire chaar-suu tiraa pyaar homire jism-o-jaa.n kii KHizaa.o.n me.n bhii bahaar hoto phir is ke baad vazaahate.nye adaavate.nmujhe kab hai.n raas saKHvaate.nvahii aafate.nye musiibate.nmirii zaKHm-zaKHm aqiidate.nmirii dard dard iraadate.nmai.n haqiiqato.n se kaTii hu.ii mire chaaraagarmujhe raas aa.ii.n aziyyate.nmiraa KHvaab thii.n jo mohabbate.n
ai baad-e-sub.h-gaahii dil keii kalii khilaa deviiraana mere dil kaa rashk-e-chaman banaa deus bazm-e-jaa.n-fazaa kaa nazzaara phir dikhaa degulzaar-e-aarzuu me.n phir taaza gul khilaa deye kaar-zaar-e-hastii hai ranj-o-Gam keii bastiiphir yaad-e-bazm-e-jam me.n ik jaam-e-jam pilaa deab shaam-e-zindagii keii zulmat hai chhaane vaaliivo sub.h-e-dil-kushaa kaa nazzaara phir dikhaa depastii me.n paa-ba-gil hai umr-e-ravaa.n kaa dariyaaphir uu.nchii vaadiyo.n ke manzar use dikhaa devo ahd-e-shaadmaanii vo itr-e-zindagaaniiai daur-e-aasmaanii vaapas kahii.n se laadeai baaGbaa.n ho tujh ko taKHt-e-chaman mubaarakmujh ko vo ham-navaa de vo meraa gho.nsla dekin hasrato.n se 'naazir' us anjuman se niklemelaa saa lag rahaa hai jab ham chaman se nikleahvaal-e-bazm-e-gulshan ai naama-bar sunaanaavo daastaa.n hai dilkash ra.ngii.n hai vo fasaanaus bazm-e-dil-kushaa me.n ulfat keii us fazaa me.ntaaro.n keii raushnii me.n yaaro.n kaa mil ke gaanaakaano.n me.n rach rahii hai koyal keii kuuk ab tak'naazir' kaa hai vaziifa us dhun me.n gungunaanaacollage keii sarzamii.n thii yaa naqsh-e-dil-nashii.n thiidil se KHayaal us kaa mumkin nahii.n bhulaanaadariyaa me.n mil ke jaise ho.n naddiyaa.n ham-aaGoshbegaana kal jo aayaa vo aaj thaa yagaanabahr-e-tavaaf jaanaa piir-e-muGaa.n ke dar paraur us keii ik nigah se sarmast ho ke aanaaus chashm-e-mast me.n thii ye turfa ik karaamatphirtii vo jis taraf ko phirtaa udhar zamaanaaai vaqt-e-rafta aa jaa phir vo samaa.n dikhaa jaaaisaa bhii kyaa thaa jaanaa phir lauT kar na aanaaai naaKHudaa bha.nvar se kashtii merii bachaa karyaaraan-e-aashnaa se bahr-e-KHudaa milaanaadar fasl-e-gul ki gulshan naqsh-o-nigaar bando'naazir' KHayaal-e-KHud-raa aur bazm-e-yaar bando
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books