aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "dahla"
svaaraaj kaa jhanDaa bhaarat me.n ga.Dvaa diyaa gaa.ndhii baabaa nedil qaum-o-vatan ke dushman kaa dahlaa diyaa gaa.ndhii baabaa neulfat kii raah me.n mar jaanaa par naam jahaa.n me.n kar jaanaaye paaTh vatan ke bachcho.n ko sikhlaa diyaa gaa.ndhii baabaa neik dharm kii taaqat dikhlaa kar zaalim ke chhakke chho.Dvaa karbhaarat kaa lohaa duniyaa se manvaa diyaa gaa.ndhii baabaa neai qaum vatan ke parvaano lo apne farz ko pahchaanoab jail se ye paiGaam hame.n bhijvaa diyaa gaa.ndhii baabaa necharKHe kii top chalaa do tum Gairo.n ke chhakke chhu.Daa do tumye hind kaa chakr-sudarshan hai samjhaa diyaa gaa.ndhii baabaa nenafrat thii Gariibo.n se jin ko hai.n shaad achhuuto.n se mil karik prem-pyaalaa duniyaa ko pilvaa diyaa gaa.ndhii baabaa negirdaab me.n qaum kii kashtii thii tuufaan bapaa the aafat kenation kaa be.Daa saahil par lagvaa diyaa gaa.ndhii baabaa nebhagvaan bhagat ne himmat kii ik prem-jvaalaa jaag uThiikarvaa kar shiir-o-shakar sab ko dikhlaa diyaa gaa.ndhii baabaa neha.ns ha.ns kar qaum ke bachcho.n ne siino.n par goliyaa.n khaa.ii hai.nbhaarat kii rah me.n mar miTnaa sikhlaa diyaa gaa.ndhii baabaa neGairo.n ke jhaa.nso.n me.n aanaa dushvaar hai hind ke laalo.n koaa.nkho.n se Gaflat kaa parda uThvaa diyaa gaa.ndhii baabaa ne
kyuu.n hairat se taktii hai ek ik chehre kokyaa tujh ko shikva hai terii goyaa.ii kii taaqatchhiin ke qudarat ne be-insaafii kii hai?kyaa tujh ko ehsaas hai tere paas agar guftaar kii ne.amat hotiito is chaaro.n jaanib phailii hathiyaaro.n kii duniyaasiina dahlaa dene vaale tayyaaro.n kii insaa.n-kush aavaaze.naavaaze.n jin me.n insaa.n kii ruuh shabaana roz dabii jaatii haimahshar-KHez aavaaze.n kal-purzo.n kii jin se nafsii-nafsii kaa aalam paidaa ho kardin par din ifriit kii suurat me.n ba.Dhtaa jaataa haiin aavaazo.n kii haibat-naakii par vaavailaa kartiituu aavaaz uThaatii us faashii aur ta.assub phailaane vaale unsur ko ba.Dhtaa paa karjo hubb-ul-vatanii ke naam pe insaa.n-kush hotaa jaataa haituu un rujhaanaat kii KHuub mazammat kartiiun se la.Dtii jo is duniyaa ko piichhe le jaane me.n koshaa.n hai.n'maz.hab aur tahziib''saqaafat' aur 'taraqqii' kah kar raj.at-parvar ho jaate hai.nle mai.n tujh ko apnii goyaa.ii detaa huu.n!ye mere kaam nahii.n aa.ii kuchhmai.n aisaa buzdil huu.n jo har be-insaafii ko chupke chupke sahtaa haijis ne 'maqtal' aur 'qaatil' dono.n dekhe hai.nlekin daanaa.ii kah karapnii goyaa.ii ko guu.ngaa kar rakhaa hai!
bistar me.n leTe leTeus ne sochaa''mai.n moTaa hotaa jaataa huu.nkal mai.n apne niile suiT koalter karnedarzii ke haa.n de aa.uu.ngaanayaa suiT do-chaar mahiine baa'd sahii!darzii kii duukaan se lag karjo hotel haius hotel kiimachhlii testy hotii haikal khaa.uu.ngaalekin machhlii kii buu saaliihaatho.n me.n bas jaatii haikal saabun bhii laanaa haighar aateletaa aa.uu.ngaaab ke ''yardley'' laa.uu.ngaaoffice me.n kal kaam bahut haiboss agar naaraaz hu.aa todo din kii chhuTTii le luu.ngaaaur agar mood hu.aa tochhe ke show me.n''raam-aur-shyaam'' bhii dekh aa.uu.n gaapicture achchhii hai saaliinau se baaraclub ramiido din se luck achchhaa haikal bhii saaTh ruupe jiitaa thaaaaj bhii tiis ruupe jiitaa huu.naur ummiid haikal bhii jiit ke aa.uu.ngaabas ab nii.nd aa.e to achchhaakal bhiijiit kenii.nd aa.e toikkaa-dukkii nahla-dahlaii.nT kii begammachhlii kii buutaash ke pattejoker jokersuiT pahan karmoTaa-tag.Daa joker....itnaa bahut saa soch ke vosoyaa thaa magarphir na uThaa!!duusre din jabus kaa janaazadarzii kii duukaan ke paas se guzraa tohotel se machhlii kii buuduur duur tak aa.ii thii!!!
taz.iin-e-suKHan kii fikr na kar be-saaKHta chaluTh aa.nkhe.n malvo kaamil diivaan aa hii gayaaduniyaa bhar ko dahlaa hii gayaa
dekho to is mo.D ke aagechhoTaa saa school hamaaraalambii sii diivaar ke andarrang ra.ngiilaa pyaaraa pyaaraakitne hii to phuul khile hai.npaude bhii kyaa KHuub lage hai.nghanTii ke bajne kii sadaa.e.nhamd-e-KHudaa phir rab se du.aa.e.nhaa.e yakaayak ek dhamaakaaham sab kaa dil dahlaa jaataakaale kaale bam ke golemaut tabaahii jang ke sho.alezan zan niiche aa jaate hai.nkaisii tabaahii phailaate hai.nchhat school kii gir jaatii haimez pe miTTii bhar jaatii haiaur paude bhii kumhlaa jaatephuul sisakte aahe.n bharteshahr me.n har suu maut tabaahiijang ke sho.ale hitler-shaahiigaliyaa.n sa.Dke.n viiraa.n viiraa.njaise har shai hairaa.n hairaa.nammii aur abbaa bhii pareshaa.nhar-jaa maut kaa shaitaa.n raqsaa.njang kaa matlab aahe.n aa.nsuujang kaa matlab KHuun lahuu
nahii.n ho tum mire aur meraa fardaa bhii nahii.n meraaso mai.n ne saahat-e-diiroz me.n Daalaa hai ab Deraamire diiroz me.n zahr-e-halaahal teG-e-qaatil haimire ghar kaa vahii sarnaam-tar hai jo bhii bismil haiguzasht-e-vaqt se paimaan hai apnaa ajab saa kuchhso ik ma.amuul hai imraan ke ghar kaa ajab saa kuchh
jo miTTii ke sakoro.n kii tarah bikhrii pa.Dii hai.ngilaaso.n ne unhe.n matruuk kar Daalaazabaa.n par zaa.iqa aataa thaa jo safhe palaTne kaaab u.nglii click karne se bas ikjhapkii guzartii haibahut kuchh tah-ba-tah khultaa chalaa jaataa hai parde par
chiin-o-arab hamaaraa hindostaa.n hamaaraamuslim hai.n ham vatan hai saaraa jahaa.n hamaaraatauhiid kii amaanat siino.n me.n hai hamaareaasaa.n nahii.n miTaanaa naam-o-nishaa.n hamaaraaduniyaa ke but-kado.n me.n pahlaa vo ghar KHudaa kaaham is ke paasbaa.n hai.n vo paasbaa.n hamaaraateGo.n ke saa.e me.n ham pal kar javaa.n hu.e hai.nKHanjar hilaal kaa hai qaumii nishaa.n hamaaraamaGrib kii vaadiyo.n me.n guu.njii azaa.n hamaariithamtaa na thaa kisii se sail-e-ravaa.n hamaaraabaatil se dabne vaale ai aasmaa.n nahii.n hamsau baar kar chukaa hai tuu imtihaa.n hamaaraaai gulistaan-e-undulus vo din hai.n yaad tujh kothaa terii Daaliyo.n me.n jab aashiyaa.n hamaaraaai mauj-e-dajla tuu bhii pahchaantii hai ham koab tak hai teraa dariyaa afsaana-KHvaa.n hamaaraaai arz-e-paak terii hurmat pe kaT mare hamhai KHuu.n tirii rago.n me.n ab tak ravaa.n hamaaraasaalaar-e-kaarvaa.n hai miir-e-hijaaz apnaais naam se hai baaqii aaraam-e-jaa.n hamaaraa'iqbaal' kaa taraana baa.ng-e-daraa hai goyaahotaa hai jaada-paimaa phir kaarvaa.n hamaaraa
jahaan-zaad niiche galii me.n tire dar ke aageye mai.n soKHtaa-sar hasan-kuuzaa-gar huu.n!tujhe sub.h baazaar me.n buu.Dhe attaar yuusufkii dukkaan par mai.n ne dekhaato terii nigaaho.n me.n vo taabnaakiithii mai.n jis kii hasrat me.n nau saal diivaana phirtaa rahaa huu.njahaa.n-zaad nau saal diivaana phirtaa rahaa huu.n!ye vo daur thaa jis me.n mai.n nekabhii apne ranjuur kuuzo.n kii jaanibpalaT kar na dekhaavo kuuze mere dast-e-chaabuk ke putlegil-o-ra.ng-o-roGan kii maKHluuq-e-be-jaa.nvo sar-goshiy.n me.n ye kahtehasan kuuza-gar ab kahaa.n hai?vo ham se KHud apne amal seKHudaa-vand ban kar KHudaa.o.n ke maanind hai ruu-e-gardaa.n!jahaa.n-zaad nau saal kaa daur yuu.n mujh pe guzraaki jaise kisii shahr-e-madfuun par vaqt guzretaGaaro.n me.n miTTiikabhii jis kii KHushbuu se vaarafta hotaa thaa mai.nsa.ng-basta pa.Dii thiisuraahii-o-miinaa-o-jaam-o-subuu aur faanuus o gul-daa.nmirii hech-maayaa ma.iishat ke iz.haar-e-fan ke sahaareshikasta pa.De themai.n KHud mai.n hasan kuuza-gar paa-ba-gil KHaak-bar-sar barhanasar-e-chaak zholiidaa-muu sar-ba-zaanuukisii Gam-zada devtaa kii tarah vaahima kegil-o-laa se KHvaabo.n ke sayyaal kuuze banaataa rahaa thaajahaa.n-zaad nau saal pahletuu naadaa.n thii lekin tujhe ye KHabar thiiki mai.n ne hasan kuuza-gar netirii qaaf kii sii ufuq-taab aa.nkho.nme.n dekhii hai vo taabnaakiiki jis se mere jism o jaa.n abr o mahtaab kaarah-guzar ban ga.e thejahaa.n-zaad baGdaad kii KHvaab-guu.n raatvo ruud-e-dajlaa kaa saahilvo kashtii vo mallaah kii band aa.nkhe.nkisii KHasta-jaa.n ra.nj-bar kuuza-gar ke liyeek hii raat vo kohrbaa thiiki jis se abhii tak hai paivast us kaa vajuudus kii jaa.n us kaa paikarmagar ek hii raat kaa zauq dariyaa kii vo lahr niklaahasan kuuza-gar jis me.n Duubaa to ubhraa nahii.n hai!
silsila-e-roz-o-shab naqsh-gar-e-haadsaatsilsila-e-roz-o-shab asl-e-hayaat-o-mamaatsilsila-e-roz-o-shab taar-e-hariir-e-do-ra.ngjis se banaatii hai zaat apnii qabaa-e-sifaatsilsila-e-roz-o-shab saaz-e-azal kii fuGaa.njis se dikhaatii hai zaat zer-o-bam-e-mumkinaattujh ko parakhtaa hai ye mujh ko parakhtaa hai yesilsila-e-roz-o-shab sairafi-e-kaa.enaattuu ho agar kam ayaar mai.n huu.n agar kam ayaarmaut hai terii baraat maut hai merii baraattere shab-o-roz kii aur haqiiqat hai kyaaek zamaane kii rau jis me.n na din hai na raataani-o-faanii tamaam mojaza-haa-e-hunarkaar-e-jahaa.n be-sabaat kaar-e-jahaa.n be-sabaatavval o aaKHir fanaa baatin o zaahir fanaanaqsh-e-kuhan ho ki nau manzil-e-aaKHir fanaahai magar is naqsh me.n ra.ng-e-sabaat-e-davaamjis ko kiyaa ho kisii mard-e-KHudaa ne tamaammard-e-KHudaa kaa amal ishq se saahab faroGishq hai asl-e-hayaat maut hai us par haraamtund o subuk-sair hai garche zamaane kii rauishq KHud ik sail hai sail ko letaa hai thaamishq kii taqviim me.n asr-e-ravaa.n ke sivaaaur zamaane bhii hai.n jin kaa nahii.n ko.ii naamishq dam-e-jibra.iil ishq dil-e-mustafaaishq KHudaa kaa rasuul ishq KHudaa kaa kalaamishq kii mastii se hai paikar-e-gil taabnaakishq hai sahbaa-e-KHaam ishq hai kaas-ul-karaamishq faqiih-e-haram ishq amiir-e-junuuudishq hai ibnus-sabiil is ke hazaaro.n maqaamishq ke mizraab se naGma-e-taar-e-hayaatishq se nuur-e-hayaat ishq se naar-e-hayaatai haram-e-qurtuba ishq se teraa vajuudishq saraapaa davaam jis me.n nahii.n raft o buudra.ng ho yaa KHisht o sang cha.ng ho yaa harf o sautmojaza-e-fan kii hai KHuun-e-jigar se numuudqatra-e-KHuun-e-jigar sil ko banaataa hai dilKHuun-e-jigar se sadaa soz o suruur o suruudterii fazaa dil-faroz merii navaa siina-soztujh se dilo.n kaa huzuur mujh se dilo.n kii kushuudarsh-e-mo.allaa se kam siina-e-aadam nahii.ngarche kaf-e-KHaak kii had hai sip.har-e-kabuudpaikar-e-nuurii ko hai sajda mayassar to kyaaus ko mayassar nahii.n soz-o-gudaaz-e-sajuudkaafir-e-hindi huu.n mai.n dekh miraa zauq o shauqdil me.n salaat o duruud lab pe salaat o duruudshauq mirii lai me.n hai shauq mirii nai me.n hainaGma-e-allaah-huu mere rag-o-pai me.n haiteraa jalaal o jamaal mard-e-KHudaa kii daliilvo bhii jaliil o jamiil tuu bhii jaliil o jamiilterii binaa paa.edaar tere sutuu.n be-shumaarshaam ke sahraa me.n ho jaise hujuum-e-nuKHiiltere dar-o-baam par vaadii-e-aiman kaa nuurteraa minaar-e-buland jalva-gah-e-jibra.iilmiT nahii.n saktaa kabhii mard-e-musalmaa.n ki haius kii azaano.n se faash sirr-e-kaliim-o-KHaliilus kii zamii.n be-huduud us kaa ufuq be-saGuurus ke samundar kii mauj dajla o danyuub o niilus ke zamaane ajiib us ke fasaane Gariibahd-e-kuhan ko diyaa us ne payaam-e-rahiilsaaqi-e-rabaab-e-zauq faaras-e-maidaan-e-shauqbaada hai us kaa rahiiq teG hai us kii asiilmard-e-sipaahii hai vo us kii zirah laa-ilaahsaaya-e-shamshiir me.n us kii panah laa-ilaahtujh se hu.aa aashkaar banda-e-momin kaa raazus ke dino.n kii tapish us kii shabo.n kaa gudaazus kaa maqaam-e-buland us kaa KHayaal-e-aziimus kaa suruur us kaa shauq us kaa niyaaz us kaa naazhaath hai allaah kaa banda-e-momin kaa haathGaalib o kaar-aafrii.n kaar-kushaa kaarsaazKHaakii o nuurii-nihaad banda-e-maulaa-sifaathar do-jahaa.n se Ganii us kaa dil-e-be-niyaazus kii umiide.n qaliil us ke maqaasid jaliilus kii adaa dil-fareb us kii nigah dil-navaazaaj bhii is des me.n aam hai chashm-e-Gazaalaur nigaaho.n ke tiir aaj bhii hai.n dil-nashii.nbuu-e-yaman aaj bhii us kii havaa.o.n me.n haira.ng-e-hijaaz aaj bhii us kii navaa.o.n me.n haidiida-e-anjum me.n hai terii zamii.n aasmaa.naah ki sadiyo.n se hai terii fazaa be-azaa.nkaun sii vaadii me.n hai kaun sii manzil me.n haiishq-e-balaa-KHez kaa qaafla-e-saKHt-jaa.ndekh chukaa almanii shorish-e-islaah-e-dii.njis ne na chho.De kahii.n naqsh-e-kuhan ke nishaa.nharf-e-Galat ban ga.ii ismat-e-piir-e-kunishtaur hu.ii fikr kii kashti-e-naazuk ravaa.nchashm-e-faraansiis bhii dekh chukii inqalaabjis se digar-guu.n hu.aa maGrabiyo.n kaa jahaa.nmillat-e-ruumii-nizhaad kohna-parastii se piirlazzat-e-tajdiida se vo bhii hu.ii phir javaa.nruuh-e-musalmaa.n me.n hai aaj vahii iztiraabraaz-e-KHudaa.ii hai ye kah nahii.n saktii zabaa.nnarm dam-e-guftuguu garm dam-e-justujuurazm ho yaa bazm ho paak-dil o paak-baaznuqta-e-parkaar-e-haq mard-e-KHudaa kaa yaqii.naur ye aalam tamaam vahm o tilism o majaazaql kii manzil hai vo ishq kaa haasil hai vohalqa-e-aafaaq me.n garmi-e-mahfil hai vokaaba-e-arbaab-e-fan satvat-e-diin-e-mubii.ntujh se haram martabat undulusiyo.n kii zamii.nhai tah-e-garduu.n agar husn me.n terii naziirqalb-e-musalmaa.n me.n hai aur nahii.n hai kahii.naah vo mardaan-e-haq vo arabii shahsavaarhaamil-e-KHalq-e-aziim saahab-e-sidq-o-yaqii.njin kii hukuumat se hai faash ye ramz-e-Gariibsaltanat-e-ahl-e-dil faqr hai shaahii nahii.njin kii nigaaho.n ne kii tarbiyat-e-sharq-o-Garbzulmat-e-europe me.n thii jin kii KHirad-raah-bii.njin ke lahuu ke tufail aaj bhii hai.n undulusiiKHush-dil o garam-iKHtilaat saada o raushan-jabii.ndekhiye is bahr kii tah se uchhaltaa hai kyaagumbad-e-niilofarii rang badaltaa hai kyaavaadi-e-koh-saar me.n Garq-e-shafaq hai sahaablaal-e-badaKHshaa.n ke Dher chho.D gayaa aaftaabsaada o pur-soz hai duKHtar-e-dahqaa.n kaa giitkashtii-e-dil ke liye sail hai ahd-e-shabaabaab-e-ravaan-e-kabiir tere kinaare ko.iidekh rahaa hai kisii aur zamaane kaa KHvaabaalam-e-nau hai abhii parda-e-taqdiir me.nmerii nigaaho.n me.n hai us kii sahar be-hijaabparda uThaa duu.n agar chehra-e-afkaar selaa na sakegaa fara.ng merii navaa.o.n kii taabjis me.n na ho inqalaab maut hai vo zindagiiruuh-e-umam kii hayaat kashmakash-e-inqilaabsuurat-e-shamshiir hai dast-e-qazaa me.n vo qaumkartii hai jo har zamaa.n apne amal kaa hisaabnaqsh hai.n sab naa-tamaam KHuun-e-jigar ke baGairnaGma hai saudaa-e-KHaam KHuun-e-jigar ke baGair
qalb o nazar kii zindagii dasht me.n sub.h kaa samaa.nchashma-e-aaftaab se nuur kii naddiyaa.n ravaa.n!husn-e-azal kii hai numuud chaak hai parda-e-vajuuddil ke liye hazaar suud ek nigaah kaa ziyaa.n!surKH o kabuud badliyaa.n chho.D gayaa sahaab-e-shab!koh-e-izam ko de gayaa ra.ng-ba-ra.ng tailisaa.n!gard se paak hai havaa barg-e-naKHiil dhul ga.ereg-e-navaah-e-kaazima narm hai misl-e-parniyaa.naag bujhii hu.ii idhar, TuuTii hu.ii tanaab udharkyaa KHabar is maqaam se guzre hai.n kitne kaarvaa.naa.ii sadaa-e-jibra.iil teraa maqaam hai yahiiahl-e-firaaq ke liye aish-e-davaam hai yahiikis se kahuu.n ki zahr hai mere liye mai-e-hayaatkohna hai baz-e-kaa.inaat taaza hai.n mere vaardaat!kyaa nahii.n aur Gaznavii kaargah-e-hayaat me.nbaiThe hai.n kab se muntazir ahl-e-haram ke somnaat!zikr-e-arab ke soz me.n, fikr-e-ajam ke saaz me.nne arabii mushaahidaat, ne ajamii taKHaiyyulaatqaafilaa-e-hijaaz me.n ek husain bhii nahii.ngarche hai taab-daar abhii gesuu-e-dajla-o-furaat!aql o dil o nigaah kaa murshid-e-avvalii.n hai ishqishq na ho to shar-o-dii.n butkada-e-tasavvuraat!sidq-e-KHaliil bhii hai ishq sabr-e-husain bhii hai ishq!ma.arka-e-vajuud me.n badr o hunain bhii hai ishq!aaya-e-kaa.enaat kaa ma.anii-e-der-yaab tuu!nikle tirii talaash me.n qaafila-haa-e-ra.ng-o-buu!jalvatiyaan-e-madrasa kor-nigaah o murda-zauqjalvatyaan-e-maikada kam-talab o tahii-kaduu!mai.n ki mirii Gazal me.n hai aatish-e-rafta kaa suraaGmerii tamaam sarguzisht kho.e hu.o.n kii justujuu!baad-e-sabaa kii mauj se nash-o-numaa-e-KHaar-o-KHas!mere nafas kii mauj se nashv-o-numaa-e-aarzuu!KHuun-e-dil o jigar se hai merii navaa kii parvarishhai rag-e-saaz me.n ravaa.n saahib-e-saaz kaa lahuu!fursat-e-kashmukash me.n ii.n dil be-qaraar raayak do shikan zyaada kun gesuu-e-taabdaar raalauh bhii tuu, qalam bhii tuu, teraa vajuud al-kitaab!gumbad-e-aabgiina-ra.ng tere muhiit me.n habaab!aalam-e-aab-o-KHaak me.n tere zuhuur se faroGzarra-e-reg ko diyaa tuu ne tuluu-e-aaftaab!shaukat-e-sanjar-o-saliim tere jalaal kii numuud!faqr-e-'juned'-o-'baayaziid' teraa jamaal be-naqaab!shauq tiraa agar na ho merii namaaz kaa imaammeraa qayaam bhii hijaab! meraa sujuud bhii hijaab!terii nigaah-e-naaz se dono.n muraad paa ga.eaql, Gayaab o justujuu ishq, huzuur o iztiraab!tiira-o-taar hai jahaa.n gardish-e-aaftaab se!tab-e-zamaana taaza kar jalva-e-be-hijaab se!terii nazar me.n hai.n tamaam mere guzishta roz o shabmujh ko KHabar na thii ki hai ilm-e-naKHiil be-rutab!taaza mire zamiir me.n ma.arka-e-kuhan hu.aa!ishq tamaam mustafaa! aql tamaam buu-lahab!gaah ba-hiila mii-barad, gaah ba-zor mii-kashadishq kii ibtidaa ajab ishq kii intihaa ajab!aalam-e-soz-o-saaz me.n vasl se ba.Dh ke hai firaaqvasl me.n marg-e-aarzuu! hijr me.n lazzat-e-talab!ain-e-visaal me.n mujhe hausla-e-nazar na thaagarche bahaana-juu rahii merii nigaah-e-be-adab!garmii-e-aarzuu firaaq! shorish-e-haa-o-huu firaaq!mauj kii justujuu firaaq! qatre kii aabruu firaaq!
zarra zarra dahr kaa zindaanii-e-taqdiir haiparda-e-majbuurii o bechaargii tadbiir haiaasmaa.n majbuur hai shams o qamar majbuur hai.nanjum-e-siimaab-paa raftaar par majbuur hai.nhai shikast anjaam Gunche kaa subuu gulzaar me.nsabza o gul bhii hai.n majbuur-e-numuu gulzaar me.nnaGma-e-bulbul ho yaa aavaaz-e-KHaamosh-e-zamiirhai isii zanjiir-e-aalam-giir me.n har shai asiiraa.nkh par hotaa hai jab ye sirr-e-majbuurii ayaa.nKHushk ho jaataa hai dil me.n ashk kaa sail-e-ravaa.nqalb-e-insaanii me.n raqs-e-aish-o-Gam rahtaa nahii.nnaGma rah jaataa hai lutf-e-zer-o-bam rahtaa nahii.nilm o hikmat rahzan-e-saamaan-e-ashk-o-aah haiya.anii ik almaas kaa Tuk.Daa dil-e-aagaah haigarche mere baaG me.n shabnam kii shaadaabii nahii.naa.nkh merii maaya-daar-e-ashk-e-unnaabii nahii.njaantaa huu.n aah me.n aalaam-e-insaanii kaa raazhai navaa-e-shikva se KHaalii mirii fitrat kaa saazmere lab par qissa-e-naira.ngi-e-dauraa.n nahii.ndil miraa hairaa.n nahii.n KHanda nahii.n giryaa.n nahii.npar tirii tasviir qaasid girya-e-paiham kii haiaah ye tardiid merii hikmat-e-mohkam kii haigirya-e-sarshaar se buniyaad-e-jaa.n paa.inda haidard ke irfaa.n se aql-e-sa.ng-dil sharminda haimauj-e-duud-e-aah se aa.iina hai raushan miraaganj-e-aab-aavrd se maamuur hai daaman miraahairatii huu.n mai.n tirii tasviir ke e.ajaaz kaaruKH badal Daalaa hai jis ne vaqt kii parvaaz kaarafta o haazir ko goyaa paa-ba-paa is ne kiyaaahd-e-tiflii se mujhe phir aashnaa is ne kiyaajab tire daaman me.n paltii thii vo jaan-e-naa-tavaa.nbaat se achchhii tarah mahram na thii jis kii zabaa.naur ab charche hai.n jis kii shoKHii-e-guftaar kebe-bahaa motii hai.n jis kii chashm-e-gauhar-baar keilm kii sa.njiida-guftaarii bu.Dhaape kaa shu.uurdunyavii e.azaaz kii shaukat javaanii kaa Guruurzindagii kii auj-gaaho.n se utar aate hai.n hamsohbat-e-maadar me.n tifl-e-saada rah jaate hai.n hambe-takalluf KHanda-zan hai.n fikr se aazaad hai.nphir usii kho.e hu.e firdaus me.n aabaad hai.nkis ko ab hogaa vatan me.n aah meraa intizaarkaun meraa KHat na aane se rahegaa be-qaraarKHaak-e-marqad par tirii le kar ye fariyaad aa.uu.ngaaab du.aa-e-niim-shab me.n kis ko mai.n yaad aa.uu.ngaatarbiyat se terii me.n anjum kaa ham-qismat hu.aaghar mire ajdaad kaa sarmaaya-e-izzat hu.aadaftar-e-hastii me.n thii zarrii.n varaq terii hayaatthii saraapaa diin o duniyaa kaa sabaq terii hayaatumr bhar terii mohabbat merii KHidmat-gar rahiimai.n tirii KHidmat ke qaabil jab hu.aa tuu chal basiivo javaa.n-qaamat me.n hai jo suurat-e-sarv-e-bulandterii KHidmat se hu.aa jo mujh se ba.Dh kar bahra-mandkaarobaar-e-zindagaanii me.n vo ham-pahluu miraavo mohabbat me.n tirii tasviir vo baazuu miraatujh ko misl-e-tiflak-e-be-dast-o-paa rotaa hai vosabr se naa-aashnaa sub.h o masaa rotaa hai votuKHm jis kaa tuu hamaarii kisht-e-jaa.n me.n bo ga.iishirkat-e-Gam se vo ulfat aur mohkam ho ga.iiaah ye duniyaa ye maatam-KHaana-e-barnaa-o-piiraadmii hai kis tilism-e-dosh-o-fardaa me.n asiirkitnii mushkil zindagii hai kis qadar aasaa.n hai mautgulshan-e-hastii me.n maanind-e-nasiim arzaa.n hai mautzalzale hai.n bijliyaa.n hai.n qaht hai.n aalaam hai.nkaisii kaisii duKHtaraan-e-maadar-e-ayyaam hai.nkalba-e-iflaas me.n daulat ke kaashaane me.n mautdasht o dar me.n shahr me.n gulshan me.n viiraane me.n mautmaut hai ha.ngaama-aaraa qulzum-e-KHaamosh me.nDuub jaate hai.n safiine mauj kii aaGosh me.nne majaal-e-shikva hai ne taaqat-e-guftaar haizindagaanii kyaa hai ik tauq-e-guluu-afshaar haiqaafile me.n Gair fariyaad-e-diraa kuchh bhii nahii.nik mataa-e-diida-e-tar ke sivaa kuchh bhii nahii.nKHatm ho jaa.egaa lekin imtihaa.n kaa daur bhiihai.n pas-e-noh parda-e-garduu.n abhii daur aur bhiisiina chaak is gulsitaa.n me.n laala-o-gul hai.n to kyaanaala o fariyaad par majbuur bulbul hai.n to kyaajhaa.Diyaa.n jin ke qafas me.n qaid hai aah-e-KHizaa.nsabz kar degii unhe.n baad-e-bahaar-e-jaavedaa.nKHufta-KHaak-e-pai sipar me.n hai sharaar apnaa to kyaaaarzii mahmil hai ye musht-e-Gubaar apnaa to kyaazindagii kii aag kaa anjaam KHaakistar nahii.nTuuTnaa jis kaa muqaddar ho ye vo gauhar nahii.nzindagii mahbuub aisii diida-e-qudrat me.n haizauq-e-hifz-e-zindagii har chiiz kii fitrat me.n haimaut ke haatho.n se miT saktaa agar naqsh-e-hayaataam yuu.n us ko na kar detaa nizaam-e-kaa.enaathai agar arzaa.n to ye samjho ajal kuchh bhii nahii.njis tarah sone se jiine me.n KHalal kuchh bhii nahii.naah Gaafil maut kaa raaz-e-nihaa.n kuchh aur hainaqsh kii naa-paa.edaarii se ayaa.n kuchh aur haijannat-e-nazaara hai naqsh-e-havaa baalaa-e-aabmauj-e-muztar to.D kar ta.amiir kartii hai habaabmauj ke daaman me.n phir us ko chhupaa detii hai yekitnii bedardii se naqsh apnaa miTaa detii hai yephir na kar saktii habaab apnaa agar paidaa havaato.Dne me.n us ke yuu.n hotii na be-parvaa havaais ravish kaa kyaa asar hai haiyat-e-taamiir parye to hujjat hai havaa kii quvvat-e-taamiir parfitrat-e-hastii shahiid-e-aarzuu rahtii na hoKHuub-tar paikar kii us ko justujuu rahtii na hoaah siimaab-e-pareshaa.n anjum-e-garduu.n-farozshoKH ye chi.ngaariyaa.n mamnuun-e-shab hai jin kaa sozaql jis se sar-ba-zaanuu hai vo muddat in kii haisarguzisht-e-nau-e-insaa.n ek saa.at un kii haiphir ye insaa.n aa.n suu-e-aflaak hai jis kii nazarqudsiyo.n se bhii maqaasid me.n hai jo paakiiza-tarjo misaal-e-sham.a raushan mahfil-e-qudrat me.n haiaasmaa.n ik nuqta jis kii vus.at-e-fitrat me.n haijis kii naadaanii sadaaqat ke liye betaab haijis kaa naaKHun saaz-e-hastii ke liye mizraab haisho.ala ye kam-tar hai garduu.n ke sharaaro.n se bhii kyaakam-bahaa hai aaftaab apnaa sitaaro.n se bhii kyaatuKHm-e-gul kii aa.nkh zer-e-KHaak bhii be-KHvaab haikis qadar nashv-o-numaa ke vaaste betaab haizindagii kaa sho.ala is daane me.n jo mastuur haiKHud-numaa.ii KHud-fazaa.ii ke liye majbuur haisardi-e-marqad se bhii afsurda ho saktaa nahii.nKHaak me.n dab kar bhii apnaa soz kho saktaa nahii.nphuul ban kar apnii turbat se nikal aataa hai yemaut se goyaa qabaa-e-zindagii paataa hai yehai lahad is quvvat-e-aashufta kii shiiraaza-bandDaaltii hai gardan-e-garduu.n me.n jo apnii kamandmaut tajdiid-e-mazaaq-e-zindagii kaa naam haiKHvaab ke parde me.n bedaarii kaa ik paiGaam haiKHuugar-e-parvaaz ko parvaaz me.n Dar kuchh nahii.nmaut is gulshan me.n juz sanjiidan-e-par kuchh nahii.nkahte hai.n ahl-e-jahaa.n dard-e-ajal hai laa-davaazaKHm-e-furqat vaqt ke marham se paataa hai shifaadil magar Gam marne vaalo.n kaa jahaa.n aabaad haihalqa-e-zanjiir-e-sub.h-o-shaam se aazaad haivaqt ke afsuu.n se thamtaa naala-e-maatam nahii.nvaqt zaKHm-e-teG-e-furqat kaa ko.ii marham nahii.nsar pe aa jaatii hai jab ko.ii musiibat naa-gahaa.nashk paiham diida-e-insaa.n se hote hai.n ravaa.nrabt ho jaataa hai dil ko naala o fariyaad seKHuun-e-dil bahtaa hai aa.nkho.n kii sarishk-aabaad seaadmii taab-e-shakebaa.ii se go mahruum haius kii fitrat me.n ye ik ehsaas-e-naa-maaluum haijauhar-e-insaa.n adam se aashnaa hotaa nahii.naa.nkh se Gaa.eb to hotaa hai fanaa hotaa nahii.nraKHt-e-hastii KHaak-e-Gam kii sho.ala-afshaanii se haisard ye aag is latiif ehsaas ke paanii se haiaah ye zabt-e-fuGaa.n Gaflat kii KHaamoshii nahii.naagahii hai ye dilaasaa.ii faraamoshii nahii.nparda-e-mashriq se jis dam jalva-gar hotii hai sub.hdaaG shab kaa daaman-e-aafaaq se dhotii hai sub.hlaala-e-afsurda ko aatish-qabaa kartii hai yebe-zabaa.n taa.ir ko sarmast-e-navaa kartii hai yesiina-e-bulbul ke zindaa.n se sarod aazaad haisaik.Do.n naGmo.n se baad-e-sub.h-dam-aabaad haiKHuftagaan-e-laala-zaar o kohsaar o ruud baarhote hai.n aaKHir uruus-e-zindagii se ham-kanaarye agar aa.iin-e-hastii hai ki ho har shaam sub.hmarqad-e-insaa.n kii shab kaa kyuu.n na ho anjaam sub.hdaam-e-siimiin-e-taKHayyul hai miraa aafaaq-giirkar liyaa hai jis se terii yaad ko mai.n ne asiiryaad se terii dil-e-dard aashnaa maamuur haijaise ka.abe me.n du.aa.o.n se fazaa maamuur haivo faraa.ez kaa tasalsul naam hai jis kaa hayaatjalva-gaahe.n us kii hai.n laakho.n jahaan-e-be-sabaatmuKHtalif har manzil-e-hastii ko rasm-o-raah haiaaKHirat bhii zindagii kii ek jaulaa.n-gaah haihai vahaa.n be-haasilii kisht-e-ajal ke vaastesaazgaar aab-o-havaa tuKHm-e-amal ke vaastenuur-e-fitrat zulmat-e-paikar kaa zindaanii nahii.nta.ng aisaa halqa-e-afkaar-e-insaanii nahii.nzindagaanii thii tirii mahtaab se taabinda-tarKHuub-tar thaa sub.h ke taare se bhii teraa safarmisl-e-aivaan-e-sahar marqad farozaa.n ho tiraanuur se maamuur ye KHaakii shabistaa.n ho tiraaaasmaa.n terii lahad par shabnam-afshaanii karesabza-e-nau-rasta is ghar kii nigahbaanii kare
jab aadmii ke haal pe aatii hai muflisiikis kis tarah se us ko sataatii hai muflisiipyaasaa tamaam roz biThaatii hai muflisiibhuukaa tamaam raat sulaatii hai muflisiiye dukh vo jaane jis pe ki aatii hai muflisiikahiye to ab hakiim kii sab se ba.Dii hai shaa.nta.aziim jis kii karte hai.n to ab aur KHaa.nmuflis hu.e to hazrat-e-luqmaa.n kiyaa hai yaa.niisaa bhii ho to ko.ii nahii.n puuchhtaa miyaa.nhikmat hakiim kii bhii Dubaatii hai muflisiijo ahl-e-fazl aalim o faazil kahaate hai.nmuflis hu.e to kalma talak bhuul jaate hai.nvo jo Gariib-Gurabaa ke la.Dke pa.Dhaate hai.nun kii to umr bhar nahii.n jaatii hai muflisiimuflis kare jo aan ke mahfil ke biich haalsab jaane.n roTiyo.n kaa ye Daalaa hai is ne jaalgir gir pa.De to ko.ii na liye use sambhaalmuflis me.n hove.n laakh agar ilm aur kamaalsab KHaak bech aa ke milaatii hai muflisiijab roTiyo.n ke baTne kaa aa kar pa.De shumaarmuflis ko deve.n ek tava.ngar ko chaar chaargar aur maa.nge vo to use jhi.Dke.n baar baarmuflis kaa haal aah bayaa.n kyaa karuu.n mai.n yaarmuflis ko is jagah bhii chabaatii hai muflisiimuflis kii kuchh nazar nahii.n rahtii hai aan pardetaa hai apnii jaan vo ek ek naan parhar aan TuuT pa.Dtaa hai roTii ke KHvaan parjis tarah kutte la.Dte hai.n ik ustuKHvaan parvaisaa hii mufliso.n ko la.Daatii hai muflisiikartaa nahii.n hayaa se jo ko.ii vo kaam aahmuflis kare hai us ke ta.ii.n insiraam aahsamjhe na kuchh halaal na jaane haraam aahkahte hai.n jis ko sharm-o-hayaa na.ng-o-naam aahvo sab hayaa-o-sharm u.Daatii hai muflisiiye muflisii vo shai hai ki jis ghar me.n bhar ga.iiphir jitne ghar the sab me.n usii ghar ke dar ga.iizan bachche rote hai.n goyaa naanii guzar ga.iiham-saaya puuchhte hai.n ki kyaa daadii mar ga.iibin murde ghar me.n shor machaatii hai muflisiilaazim hai gar Gamii me.n ko.ii shor-Gul machaa.emuflis baGair Gam ke hii kartaa hai haa.e haa.emar jaave gar ko.ii to kahaa.n se use uThaa.eis muflisii kii KHvaariyaa.n kyaa kyaa kahuu.n mai.n haa.emurde ko be kafan ke ga.Daatii hai muflisiikyaa kyaa muflisii kii kahuu.n KHvaarii phaka.Diyaa.njhaa.Duu baGair ghar me.n bikhartii hai.n jhaka.Diyaa.nkone me.n jaale lapTe hai.n chhappar me.n maka.Diyaa.npaisaa na hove jin ke jalaane ko lak.Diyaa.ndariyaa me.n un ke murde bahaatii hai muflisiibiibii kii nath na la.Dko.n ke haatho.n ka.De rahekap.De miyaa.n ke baniye ke ghar me.n pa.De rahejab ka.Diyaa.n bik ga.ii.n to kha.nDar me.n pa.De rahezanjiir ne kivaa.D na patthar ga.De raheaaKHir ko ii.nT ii.nT khudaatii hai muflisiinaqqaash par bhii zor jab aa muflisii karesab rang dam me.n kar de musavvir ke kirkiresuurat bhii us kii dekh ke mu.nh khi.nch rahe paretasviir aur naqsh me.n kyaa rang vo bhareus ke to mu.nh kaa rang u.Daatii hai muflisiijab KHuub-ruu pe aan ke pa.Dtaa hai din siyaahphirtaa hai bose detaa hai har ik ko KHvaah-maKHvaahhargiz kisii ke dil ko nahii.n hotii us kii chaahgar husn ho hazaar ruupe kaa to us ko aahkyaa kau.Diyo.n ke mol bikaatii hai muflisiius KHuub-ruu ko kaun de ab daam aur diramjo kau.Dii kau.Dii bose ko raazii ho dam-ba-damTopii puraanii do to vo jaane kulaah-e-jismkyuu.nkar na jii ko us chaman-e-husn ke ho Gamjis kii bahaar muft luTaatii hai muflisiiaashiq ke haal par bhii jab aa muflisii pa.Dema.ashuuq apne paas na de us ko baiThneaave jo raat ko to nikaale vahii.n useis Dar se ya.anii raat o dhannaa kahii.n na detohmat ye aashiqo.n ko lagaatii hai muflisiikaise hii dhuum-dhaam kii ranDii ho KHush-jamaaljab muflisii ho kaan pa.De sar pe us ke jaaldete hai.n us ke naach ko ThaTThe ke biich Daalnaache hai vo to farsh ke uupar qadam sambhaalaur us ko u.ngliyo.n pe nachaatii hai muflisiius kaa to dil Thikaane nahii.n bhaav kyaa bataa.ejab ho phaTaa dupaTTa to kaahe se mu.nh chhupaa.ele shaam se vo sub.h talak go ki naache gaa.eauro.n ko aaTh saat to vo do Take hii paa.eis laaj se ise bhii lajaatii hai muflisiijis kasbii ranDii kaa ho halaakat se dil hazii.nrakhtaa hai us ko jab ko.ii aa kar tamaash-bii.nik paun paise tak bhii vo kartii nahii.n nahii.nye dukh usii se puuchhiye ab aah jis ke ta.ii.nsohbat me.n saarii raat jagaatii hai muflisiivo to ye samjhe dil me.n ki Dhelaa jo paa.uu.ngiidam.Dii ke paan dam.Dii ke missii ma.ngaa.uu.ngiibaaqii rahii chhadaam so paanii bharaa.uu.ngiiphir dil me.n sochtii hai ki kyaa KHaak khaa.uu.ngiiaaKHir chabiinaa us kaa bhunaatii hai muflisiijab muflisii se hove kalaavant kaa dil udaasphirtaa hai le tambuure ko har ghar ke aas-paasik paav ser aane kii dil me.n lagaa ke aasgorii kaa vaqt hove to gaataa hai vo babhaasyaa.n tak havaas us ke u.Daatii hai muflisiimuflis biyaah beTii kaa kartaa hai bol bolpaisaa kahaa.n jo jaa ke vo laave jahez moljoruu kaa vo galaa ki phuuTaa ho jaise Dholghar kii halaal-KHorii talak kartii hai ThiTholhaibat tamaam us kii uThaatii hai muflisiibeTe kaa biyaah ho to na byaahii na saathii haine raushnii na baaje kii aavaaz aatii haimaa.n piichhe ek mailii chadar o.Dhe jaatii haibeTaa banaa hai duulhaa to baavaa baraatii haimuflis kii ye baraat cha.Dhaatii hai muflisiigar byaah kar chalaa hai sahar ko to ye balaashahdaar naanaa hiij.Daa aur bhaaT mu.nDcha.Daakhii.nche hu.e use chale jaate hai.n jaa-ba-jaavo aage aage la.Dtaa hu.aa jaataa hai chalaaaur piichhe Tap.Diyo.n ko bajaatii hai muflisiidarvaaze par zanaane bajaate hai.n taaliyaa.naur ghar me.n baiThii Domnii detii hai.n gaaliyaa.nmaalan gale kii haar ho dau.Dii le Daaliyaa.nsaqqaa kha.Daa sunaataa hai baate.n razaaliyaa.nye KHvaarii ye KHaraabii dikhaatii hai muflisiiko.ii shuum be-hayaa ko.ii bolaa nikhaTTuu haibeTii ne jaanaa baap to meraa nikhaTTuu haibeTe pukaarte hai.n ki baabaa nikhaTTuu haibiibii ye dil mai.n kahtii hai achchhaa nikhaTTuu haiaaKHir nikhaTTuu naam dharaatii hai muflisiimuflis kaa dard dil me.n ko.ii Thaantaa nahii.nmuflis kii baat ko bhii ko.ii maantaa nahii.nzaat aur hasab-nasab ko ko.ii jaantaa nahii.nsuurat bhii us kii phir ko.ii pahchaantaa nahii.nyaa.n tak nazar se us ko giraatii hai muflisiijis vaqt muflisii se ye aa kar hu.aa tabaahphir ko.ii is ke haal pa kartaa nahii.n nigaahdaaliidarii kahe ko.ii Thahraa de ruu-siyaahjo baate.n umr bhar na sunii hove.n us ne aahvo baate.n us ko aa ke sunaatii hai.n muflisiichuulhaa tavaanaa paanii ke maTke me.n aabii haipiine ko kuchh na khaane ko aur ne rakaabii haimuflis ke saath sab ke ta.ii.n be-hijaabii haimuflis kii joruu sach hai ki yaa.n sab kii bhaabii haiizzat sab us ke dil kii ga.nvaatii hai muflisiikaisaa hii aadmii ho par iflaas ke tufailko.ii gadhaa kahe use Thahraa de ko.ii bailkap.De phaTe tamaam ba.Dhe baal phail phailmu.nh KHushk daa.nt zard badan par jamaa hai mailsab shakl qaidiyo.n kii banaatii hai muflisiihar aan dosto.n kii mohabbat ghaTaatii haijo aashnaa hai.n un kii to ulfat ghaTaatii haiapne kii mehr Gair kii chaahat ghaTaatii haisharm-o-hayaa o izzat-o-hurmat ghaTaatii haihaa.n naaKHun aur baal ba.Dhaatii hai muflisiijab muflisii hu.ii to sharaafat kahaa.n rahiivo qadr zaat kii vo najaabat kahaa.n rahiikap.De phaTe to logo.n me.n izzat kahaa.n rahiita.aziim aur tavaazo.a kii baabat kahaa.n rahiimajlis kii juutiyo.n pe biThaatii hai muflisiimuflis kisii kaa la.Dkaa jo le pyaar se uThaabaap us kaa dekhe haath kaa aur paa.nv kaa ka.Daakahtaa hai ko.ii juutii na leve kahii.n churaanaT-khaT uchakkaa chor daGaabaaz gaTh-kaTaasau sau tarah ke aib lagaatii hai muflisiirakhtii nahii.n kisii kii ye Gairat kii aan kosab KHaak me.n milaatii hai hurmat kii shaan kosau mehnato.n me.n us kii khapaatii hai jaan kochorii pe aa ke Daale hii muflis ke dhyaan koaaKHir nadaan bhiik ma.ngaatii hai muflisiiduniyaa me.n le ke shaah se ai yaar taa-faqiirKHaaliq na muflisii me.n kisii ko kare asiirashraaf ko banaatii hai ik aan me.n faqiirkyaa kyaa mai.n muflisii kii KHaraabii kahuu.n 'naziir'vo jaane jis ke dil ko jalaatii hai muflisii
abhii maraa nahii.n zinda hai aadmii shaayadyahii.n kahii.n use Dhuu.nDo yahii.n kahii.n hogaabadan kii andhii guphaa me.n chhupaa hu.aa hogaaba.Dhaa ke haathhar ik raushnii ko gul kar dohavaa.e.n tez hai.n jhanDe lapeT kar rakh dojo ho sake to un aa.nkho.n pe paTTiyaa.n kas dona ko.ii paa.nv kii aahaTna saa.nso.n kii aavaazDaraa hu.aa hai vokuchh aur bhii na Dar jaa.ebadan kii andhii guphaa se na kuuch kar jaa.eyahii.n kahii.n use Dhuu.nDovo aaj sadiyo.n baadudaas udaas haiKHaamosh haiakelaa haina jaane kab ko.ii paslii pha.Dak uThe us kiiyahii.n kahii.n use Dhuu.nDo yahii.n kahii.n hogaabarhana ho to use phir libaas pahnaa doa.ndherii aa.nkho.n me.n suuraj kii aag dahkaa dobahut ba.Dii hai ye bastii kahii.n bhii dafnaa doabhii maraa nahii.nzinda hai aadmii shaayad
chamak dikhaate hai.n zarre ab aasmaano.n kozabaan mil ga.ii hai saare be-zabaano.n kojo zulm sahte the vo ab hisaab maa.ngte hai.nsavaal karte hai.n aur phir javaab maa.ngte hai.nye kal kii baat hai sadiyo.n puraanii baat nahii.nki kal talak thaa yahaa.n kuchh bhii apne haath nahii.nvideshii raaj ne sab kuchh nicho.D Daalaa thaahamaare desh kaa har karghaa to.D Daalaa thaajo mulk suu.ii kii KHaatir thaa auro.n kaa muhtaajhazaaro.n chiize.n vo duniyaa ko de rahaa hai aajnayaa zamaana liye ik uma.ng aayaa haikaro.Do.n logo.n ke chehre pe rang aayaa haiye sab kisii ke karam se na hai inaayat seyahaa.n tak aayaa hai bhaarat KHud apnii mehnat se
jahaa.n-zaadintizaar aaj bhii mujhe hai kyuu.n vahii magarjo nau baras ke daur-e-naa-sazaa me.n thaa?ab intizaar aa.nsu.o.n ke dajla kaana gumrahii kii raat kaashab-e-gunah kii lazzato.n kaa itnaa zikr kar chukaavo KHud gunaah ban ga.ii.n!halab kii kaarvaa.n-saraa ke hauz kaa, na maut kaana apnii is shikast-KHurdaa zaat kaaik intizaar-e-be-amaa.n kaa taar hai ba.ndhaa hu.aa!kabhii jo chand saaniye zamaan-e-be-zamaa.n me.n aa ke ruk ga.eto vaqt kaa ye baar mere sar se bhii utar gayaatamaam rafta o guzishta suurto.n, tamaam haadso.nke sust qaafilemire daruu.n me.n jaag uThemere daruu.n me.n ik jahaan-e-baaz-yaaftaa kii rel-pel jaag uThiibahisht jaise jaag uThe KHudaa ke laa-shu.uur me.n!mai.n jaag uThaa Gunuudgii kii ret par pa.Daa hu.aaGunuudgii kii ret par pa.De hu.e vo kuuze jomire vajuud se baruu.ntamaam reza reza ho ke rah ga.e themere apne-aap se firaaq me.nvo phir se ek kul bane (kisii navaa-e-saaz-gaar kii tarah)vo phir se ek raqs-e-be-zamaa.n banevo ruuyat-e-azal bane!
muddato.n mai.n ik andhe ku.e.n me.n asiirsar paTaktaa rahaa gi.Dgi.Daataa rahaaraushnii chaahiye، chaa.ndnii chaahiye، zindagii chaahiyeraushnii pyaar kii, chaa.ndnii yaar kii, zindagii daar kiiapnii aavaaz suntaa rahaa raat dindhiire dhiire yaqii.n dil ko aataa rahaasuune sansaar me.nbevafaa yaar me.ndaamn-e-daar me.nraushnii bhii nahii.nchaa.ndnii bhii nahii.nzindagii bhii nahii.nzindagii ek raatvaahima kaa.enaataadmii be-bisaatlog kotaah-qadshahr shahr-e-hasadgaa.nv in se bhii badin a.ndhero.n ne jab piis Daalaa mujhephir achaanak ku.e.n ne uchhaalaa mujheapne siine se baahar nikaalaa mujhesaik.Do.n misr the saamnesaik.Do.n us ke baazaar theek buu.Dhii zuleKHaa nahii.njaane kitne KHariidaar theba.Dhtaa jaataa thaa yuusuf kaa mollog bikne ko tayyaar the
jo ho na sakii baat vo chehro.n se ayaa.n thiihaalaat kaa maatam thaa mulaaqaat kahaa.n thiius ne na Thaharne diyaa pahro.n mire dil kojo terii nigaaho.n me.n shikaayat mirii jaa.n thiighar me.n bhii kahaa.n chain se so.e the kabhii hamjo raat hai zindaa.n me.n vahii raat vahaa.n thiiyaksaa.n hai.n mirii jaan qafas aur nashemaninsaan kii tauqiir yahaa.n hai na vahaa.n thiishaaho.n se jo kuchh rabt na qaa.em hu.aa apnaaaadat kaa bhii kuchh jabr thaa kuchh apnii zabaa.n thiisayyaad ne yuu.nhii to qafas me.n nahii.n Daalaamash.huur gulistaa.n me.n bahut merii fuGaa.n thiituu ek haqiiqat hai mirii jaa.n mirii hamdamjo thii mirii Gazlo.n me.n vo ik vahm-o-gumaa.n thiimahsuus kiyaa mai.n ne tire Gam se Gam-e-dahrvarna mire ash.aar me.n ye baat kahaa.n thii
sehn-e-zindaa.n me.n rafiiqo.n ke sunahre chehresath-e-zulmat se damakte hu.e ubhre kam kamnii.nd kii os ne un chehro.n se dho Daalaa thaades kaa dard firaaq-e-ruKH-e-mahbuub kaa Gam
kitno.n ne apnii Gam se ab hai ye gat banaa.iimaile kuchaile kap.De aa.nkhe.n bhii DabDabaa.iine ghar me.n jhuulaa Daalaa ne o.Dhnii ra.ngaa.iiphuuTaa pa.Daa hai chuulhaa TuuTii pa.Dii ka.Dhaa.iikyaa kyaa machii hai.n yaaro barsaat kii bahaare.n
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books