aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "dimaag"
gar mujhe is kaa yaqii.n ho mire hamdam mire dostgar mujhe is kaa yaqii.n ho ki tire dil kii thakantirii aa.nkho.n kii udaasii tere siine kii jalanmerii dil-juu.ii mire pyaar se miT jaa.egiigar miraa harf-e-tasallii vo davaa ho jis sejii uThe phir tiraa uj.Daa hu.aa be-nuur dimaaGterii peshaanii se Dhal jaa.e.n ye tazliil ke daaGterii biimaar javaanii ko shifaa ho jaa.egar mujhe is kaa yaqii.n ho mire hamdam mare dostroz o shab shaam o sahar mai.n tujhe bahlaataa rahuu.nmai.n tujhe giit sunaataa rahuu.n halke shiirii.naabshaaro.n ke bahaaro.n ke chaman-zaaro.n ke giitaamad-e-sub.h ke, mahtaab ke, sayyaaro.n ke giittujh se mai.n husn-o-mohabbat kii hikaayaat kahuu.nkaise maGruur hasiinaa.o.n ke barfaab se jismgarm haatho.n kii haraarat me.n pighal jaate hai.nkaise ik chehre ke Thahre hu.e maanuus nuquushdekhte dekhte yak-laKHt badal jaate hai.nkis tarah aariz-e-mahbuub kaa shaffaaf biloryak-ba-yak baada-e-ahmar se dahak jaataa haikaise gulchii.n ke liye jhuktii hai KHud shaaKH-e-gulaabkis tarah raat kaa aivaan mahak jaataa haiyuu.nhii gaataa rahuu.n gaataa rahuu.n terii KHaatirgiit buntaa rahuu.n baiThaa rahuu.n terii KHaatirpar mire giit tire dukh kaa mudaavaa hii nahii.nnaGma jarraah nahii.n muunis-o-Gam KHvaar sahiigiit nashtar to nahii.n marham-e-aazaar sahiitere aazaar kaa chaara nahii.n nashtar ke sivaaaur ye saffaak masiihaa mire qabze me.n nahii.nis jahaa.n ke kisii zii-ruuh ke qabze me.n nahii.nhaa.n magar tere sivaa tere sivaa tere sivaa
tumhaarii yaad mire dil kaa daaG hai lekinsafar ke vaqt to be-tarah yaad aatii hobaras baras kii ho aadat kaa jab hisaab to phir
gul hu.ii jaatii hai afsurda sulagtii hu.ii shaamDhul ke niklegii abhii chashma-e-mahtaab se raataur mushtaaq nigaaho.n kii sunii jaa.egiiaur un haatho.n se mas ho.nge ye tarse hu.e haatun kaa aa.nchal hai ki ruKHsaar ki pairaahan haikuchh to hai jis se hu.ii jaatii hai chilman ra.ngii.njaane us zulf kii mauhuum ghanii chhaa.nv me.nTimTimaataa hai vo aaveza abhii tak ki nahii.naaj phir husn-e-dil-aaraa kii vahii dhaj hogiivahii KHvaabiida sii aa.nkhe.n vahii kaajal kii lakiirra.ng-e-rukHsaar pe halkaa saa vo Gaaze kaa Gubaarsandalii haath pe dhu.ndlii sii hinaa kii tahriirapne afkaar kii ash.aar kii duniyaa hai yahiijaan-e-mazmuu.n hai yahii shaahid-e-ma.anii hai yahiiaaj tak surKH o siyah sadiyo.n ke saa.e ke taleaadam o havvaa kii aulaad pe kyaa guzrii hai?maut aur ziist kii rozaana saf-aaraa.ii me.nham pe kyaa guzregii ajdaad pe kyaa guzrii hai?in damakte hu.e shahro.n kii faraavaa.n maKHluuqkyuu.n faqat marne kii hasrat me.n jiyaa kartii haiye hasii.n khet phaTaa pa.Dtaa hai jauban jin kaa!kis liye in me.n faqat bhuuk ugaa kartii haiye har ik samt pur-asraar ka.Dii diivaare.njal-bujhe jin me.n hazaaro.n kii javaanii ke charaaGye har ik gaam pe un KHvaabo.n kii maqtal-gaahe.njin ke partav se charaaGaa.n hai.n hazaaro.n ke dimaaGye bhii hai.n aise ka.ii aur bhii mazmuu.n ho.ngelekin us shoKH ke aahista se khulte hu.e ho.nThaa.e us jism ke kambaKHt dil-aavez KHutuutaap hii kahiye kahii.n aise bhii afsuu.n ho.nge
dayaar-e-hind thaa gahvaara yaad hai hamdambahut zamaana hu.aa kis ke kis ke bachpan kaaisii zamiin pe khelaa hai 'raam' kaa bachpanisii zamiin pe un nanhe nanhe haatho.n nekisii samay me.n dhanush-baan ko sambhaalaa thaaisii dayaar ne dekhii hai 'krishn' kii liilaayahii.n gharo.ndo.n me.n siitaa sulochanaa raadhaakisii zamaane me.n gu.Diyo.n se kheltii ho.ngiiyahii zamii.n yahii dariyaa pahaa.D jangal baaGyahii havaa.e.n yahii sub.h-o-shaam suuraj chaa.ndyahii ghaTaa.e.n yahii barq-o-ra.ad o qaus-e-quzahyahii.n ke giit rivaayaat mausamo.n ke juluushu.aa zamaana ki 'siddhaarth' ke the gahvaareinhii nazaaro.n me.n bachpan kaTaa thaa 'vikram' kaasunaa hai 'bhartarharii' bhii inhii.n se khelaa thaa'bharat' agastya' 'kapil' 'vyaas' 'pashii' 'kautilya''janak' vashishth' 'manu' 'vaalmik' vishvaamitr'kanaad' 'gautam' o ramanuj 'kumaaril-bhatt'mohanjoDaaro ha.Dappaa ke aur ajantaa kebanaane vaale yahii.n ballamo.n se khele theisii hi.nDole me.n 'bhavabhut' o 'kaaliidaas' kabhiihumak humak ke jo tutlaa ke gungunaa.e thesarasvatii ne zabaano.n ko un kii chuumaa thaayahii.n ke chaa.nd va suuraj khilaune the un keinhii.n fazaa.o.n me.n bachpan palaa thaa 'KHusrav' kaaisii zamii.n se uThe 'tansen' aur 'akbar''rahiim' 'nanak' o 'chaitanya' aur 'chishti' neinhii.n fazaa.o.n me.n bachpan ke din guzaare theisii zamii.n pe kabhii shazaada-e-'KHurram'zaraa sii dil-shikanii par jo ro diyaa hogaabhar aayaa thaa dil-e-naazuk to kyaa ajab is me.nin aa.nsu.o.n me.n jhalak taaj kii bhii dekhii ho'ahalyabaa.i' 'daman' 'padmini' o 'raziya' neyahii.n ke pe.Do.n kii shaaKHo.n me.n Daale the jhuuleisii fazaa me.n ba.Dhaa.ii thii pe.ng bachpan kiiinhii nazaaro.n me.n saavan ke giit gaa.e theisii zamiin pe ghuTno.n ke bal chale ho.nge'malik-mohammad' o 'raskhan' aur 'tulsi-das'inhii.n fazaa.o.n me.n guu.njii thii totlii bolii'kabir-das' 'Tukaaraam' 'suur' o 'miiraa' kiiisii hi.nDole me.n 'viddypati' kaa ka.nTh khulaaisii zamiin ke the laal 'miir' o 'Gaalib' bhiiThumak Thumak ke chale the gharo.n ke aa.ngan me.n'aniis' o 'haalii' o 'iqbaal' aur 'vaaris-shaah'yahii.n kii KHaak se ubhre the 'premchand' o 'tagore'yahii.n se uTThe the tahziib-e-hind ke me.amaarisii zamiin ne dekhaa thaa baal-pan in kaayahii.n dikhaa.ii thii.n in sab ne baal-liilaa.e.nyahii.n har ek ke bachpan ne tarbiyat paa.iiyahii.n har ek ke jiivan kaa baalkaa.nD khulaayahii.n se uThte baguulo.n ke saath dau.De hai.nyahii.n kii mast ghaTaa.o.n ke saath jhuume hai.nyahii.n kii madh-bharii barsaat me.n nahaa.e hai.nlipaT ke kiicha.D o paanii se bachpane un keisii zamiin se uTThe vo desh ke saava.ntu.Daa diyaa thaa jinhe.n company ne topo.n seisii zamiin se uThii hai.n an-ginat nasle.npale hai.n hind hi.nDole me.n an-ginat bachchemujh aise kitne hii gumnaam bachche khele hai.nisii zamii.n se isii me.n supurd-e-KHaak hu.ezamiin-e-hind ab aaraam-gaah hai un kiiis arz-e-paak se uTThii.n bahut sii tahziibe.nyahii.n tuluu hu.ii.n aur yahii.n Guruub hu.ii.nisii zamiin se ubhre ka.ii uluum-o-funuunfaraaz-e-koh-e-himaala ye daur-e-ga.ng-o-jamanaur in kii god me.n parvarda kaarvaano.n neyahii.n rumuuz-e-KHiraam-e-sukuu.n-numaa siikhenasiim-e-sub.h-e-tamaddun ne bhairvii.n chhe.Diiyahii.n vatan ke taraano.n kii vo pave.n phuuTe.nvo be-qaraar sukuu.n-zaa tarannum-e-sahariivo kapkapaate hu.e soz-o-saaz ke sho.aleinhii fazaa.o.n me.n a.ng.Daa.iyaa.n jo le ke uThelavo.n se jin ke charaaGaa.n hu.ii thii bazm-e-hayaatjinho.n ne hind kii tahziib ko zamaana hu.aabahut se zaaviyo.n se aa.iina dikhaayaa thaaisii zamii.n pe Dhalii hai mirii hayaat kii shaamisii zamiin pe vo sub.h muskuraa.ii haitamaam sho.ala o shabnam mirii hayaat kii sub.hsunaa.uu.n aaj kahaanii mai.n apne bachpan kiidil-o-dimaaG kii kaliyaa.n abhii na chaTkii thii.nhamesha kheltaa rahtaa thaa bhaa.ii bahno.n me.nhamaare saath mohalle kii la.Dkiyaa.n la.Dkemachaa.e rakhte the baalak udham har ek gha.Diilahuu tara.ng uchhal-phaa.nd kaa ye aalam thaamohalla sar pe uThaa.e phire jidhar guzrehamaare chahchahe aur shor guu.njte rahtechahaar-samt mohalle ke goshe goshe me.nfazaa me.n aaj bhii laa-raib guu.njte ho.ngeagarche duusre bachcho.n kii tarah thaa mai.n bhiiba-zaahir auro.n ke bachpan saa thaa miraa bachpanye sab sahii mire bachpan kii shaKHsiyat bhii thii ekvo shaKHsiyat ki bahut shoKH jis ke the KHad-o-KHaaladaa adaa me.n ko.ii shaan-e-infiraadii thiiGaraz kuchh aur hii lachchhan the mere bachpan kemujhe thaa chhoTe ba.Do.n se bahut shadiid lagaavhar ek par mai.n chhi.Daktaa thaa apnii nannhii sii jaa.ndil umDaa aataa thaa aisaa ki jii ye chaahtaa thaauThaa ke rakh luu.n kaleje me.n apnii duniyaa komujhe hai yaad abhii tak ki khel-kuud me.n bhiikuchh aise vaqfe pur-asraar aa hii jaate theki jin me.n sochne lagtaa thaa kuchh miraa bachpanka.ii ma.aanii-e-be-lafz chhuune lagte thebutuun-e-Gaib se mere shu.uur-e-asGar kohar ek manzar-e-maanuus ghar kaa har goshakisii tarah kii ho ghar me.n sajii hu.ii har chiizmire mohalle kii galiyaa.n makaa.n dar-o-diivaarchabuutre ku.e.n kuchh pe.D jhaa.Diyaa.n bele.nvo pherii vaale ka.ii un ke bhaa.nt bhaa.nt ke bolvo jaane buujhe manaazir vo aasmaa.n o zamii.nbadalte vaqt kaa aa.iina garmii-o-KHunkiiGuruub-e-mahr me.n ra.ngo.n kaa jaagtaa jaaduushafaq ke shiish-mahal me.n gudaaz-e-pinhaa.n sejavaahro.n kii chaTaane.n sii kuchh pighaltii hu.ii.nshajar hajar kii vo kuchh sochtii hu.ii duniyaasuhaanii raat kii maanuus ramaziyat kaa fusuu.nalassabaah ufuq kii vo thartharaatii bhave.nkisii kaa jhaa.nknaa aahista phuuTtii pau sevo dopahar kaa samay darja-e-tapish kaa cha.Dhaavthakii thakii sii fazaa me.n vo zindagii kaa utaarhu.aa kii bansiyaa.n ba.nsvaa.Diyo.n me.n bajtii hu.ii.nvo din ke ba.Dhte hu.e saa.e sah-pahar kaa sukuu.nsukuut shaam kaa jab dono.n vaqt milte hai.nGaraz jhalakte hu.e sarsarii manaazir parmujhe gumaan paristaaniyat kaa hotaa thaahar ek chiiz kii vo KHvaab-naak asliyyatmire shu.uur kii chilman se jhaa.nktaa thaa ko.iiliye rubuubiyat-e-kaa.enaat kaa ehsaashar ek jalve me.n Gaib o shuhuud kaa vo milaaphar ik nazaara ik aa.iina-KHaana-e-hairathar ek manzar-e-maanuus ek hairat-zaarkahii.n rahuu.n kahii.n khelo.n kahii.n pa.Dhuu.n likhuu.nmire shu.uur pe ma.nDlaate the manaazir-e-dahrmai.n akasr un ke tasavvur me.n Duub jaataa thaavafuur-e-jazba se ho jaatii thii mizha pur-nammujhe yaqiin hai in unsurii manaazir seki aam bachcho.n se letaa thaa mai.n ziyaada asarkisii samay mirii tiflii rahii na be-parvaana chhuu sakii mirii tiflii ko Gaflat-e-tifliiye khel-kuud ke lamho.n me.n hotaa thaa ehsaasdu.aa.e.n detaa ho jaise mujhe sukuut-e-davaamki jaise haath abad rakh de dosh-e-tiflii parhar ek lamha ke raKHno.n se jhaa.nktii sadiyaa.nkahaaniyaa.n jo sunuu.n un me.n Duub jaataa thaaki aadmii ke liye aadmii kii jag-biitiise ba.Dh ke kaun sii shai aur ho hii saktii haiinhii fasaano.n me.n pinhaa.n the zindagii ke rumuuzinhii fasaano.n me.n khulte the raaz-haa-e-hayaatunhe.n fasaano.n me.n miltii thii.n ziist kii qadre.nrumuuz-e-besh-bahaa TheTh aadmiyat kekahaaniyaa.n thii.n ki sad-dars-gaah-e-riqqat-e-qalbhar ik kahaanii me.n shaa.istagi-e-Gam kaa sabaqvo unsur aa.nsu.o.n kaa daastaan-e-insaa.n me.nvo nal-daman kii kathaa sarguzasht-e-savitrii'shakuntlaa' kii kahaanii 'bharat' kii qurbaaniivo marg-e-bhishm-pitaamah vo sej tiiro.n kiivo paan.cho paa.nDav kii sovarg-yaatraa kii kathaavatan se ruKHsat-e-'siddhaarth' 'raam' kaa ban-baasvafaa ke baa'd bhii 'siitaa' kii vo jalaa-vataniivo raato.n-raat 'sirii-krishn' ko uThaa.e hu.ebalaa kii qaid se 'basdev' kaa nikal jaanaavo a.ndhkaar vo baarish, ba.Dhii hu.ii jamunaaGam-e-aafriin kahaanii vo 'hiir' 'raa.njhaa' kiishu.uur-e-hind ke bachpan kii yaadgaar-e-aziimki aise vaise taKHayyul kii saa.ns ukha.D jaa.eka.ii muhayyur-e-idraak dev-maalaaye.nhitopdesh ke qisse kathaa sarat-saagarkaro.Do.n siino.n me.n vo guu.njtaa hu.aa aalhaamai.n puuchhtaa huu.n kisii aur malak vaalo.n sekahaaniyo.n kii ye daulat ye be-bahaa daulatfasaane dekh lo in ke nazar bhii aatii haimai.n puuchhtaa huu.n ki gahvaare aur qaumo.n kebase hu.e hai.n kahii.n aisii daastaano.n sekahaaniyaa.n jo mai.n suntaa thaa apne bachpan me.nmire liye vo na thii.n mahz baa.is-e-tafriihfasaano.n se mire bachpan ne sochnaa siikhaafasaano.n se mujhe sanjiidgii ke dars milefasaano.n me.n nazar aatii thii mujh ko ye duniyaaGam o KHushii me.n rachii pyaar me.n basaa.ii hu.iifasaano.n se mire dil ne ghulaavaTe.n paa.ii.nyahii nahii.n ki mashaahiir hii ke afsaanezaraa sii umr me.n karte ho.n mujh ko muta.assirmohalle Tole ke gumnaam aadamiyyo.n kekuchh aise sun.ne me.n aate the vaaqi.aat-e-hayaatjo.n yuu.n to hote the farsuuda aur ma.amuuliimagar the aa.iine iKHlaas aur sharaafat keye chand aa.ii ga.ii baate.n aisii baate.n thii.nki jin kii oT chamaktaa thaa dard-e-insaaniiye vaardaat nahii.n razmiyye hayaat ke theGaraz ki ye hai.n mire bachpane kii tasviire.nnadiim aur bhii kuchh KHatt-o-KHaal hai.n un keye merii maa.n kaa hai kahnaa ki jab mai.n bachcha thaamai.n aise aadmii kii god me.n na jaataa thaajo bad-qimaar ho aibii ho yaa ho bad-suuratmujhe bhii yaad hai nau das baras hii kaa mai.n thaato mujh pe kartaa thaa jaaduu saa husn-e-insaaniikuchh aisaa hotaa thaa mahsuus jab mai.n dekhtaa thaashagufta rang tar-o-taaza ruup vaalo.n kaaki un kii aa.nch mirii haDDiyaa.n galaa degiiik aazmaa.ish-e-jaa.n thii ki thaa shu.uur-e-jamaalaur us kii nashtariyyat us kii ustuKHaa.n-soziiGam o nashaat lagaavaT mohabbat o nafratik intishaar-e-sakuu.n iztiraab pyaar itaabvo be-panaah zakii-ul-hisii vo hilm o Guruurkabhii kabhii vo bhare ghar me.n hiss-e-tanhaa.iivo vahshate.n mirii maahaul-e-KHush-gavaar me.n bhiimirii sarisht me.n ziddain ke ka.ii jo.Deshuruu.a hii se the maujuud aab-o-taab ke saathmire mizaaj me.n pinhaa.n thii ek jadaliyyatrago.n me.n chhuuTte rahte the be-shumaar anaarnadiim ye hai.n mire baal-pan ke kuchh aasaarvafuur o shiddat-e-jazbaat kaa ye aalam thaaki kau.nde jast kare.n dil ke aabgiine me.nvo bachpanaa jise bardaasht apnii mushkil hovo bachpanaa jo KHud apnii hii tevriyaa.n sii cha.Dhaa.enadiim zikr-e-javaanii se kaa.np jaataa huu.njavaanii aa.ii dabe paa.nv aur yuu.n aa.iiki us ke aate hii big.Daa banaa-banaayaa khelvo KHvaahishaat ke jazbaat ke umaDte hu.evo ho.nkte hu.e be-naam aag ke tuufaa.nvo phuuTtaa hu.aa jvaalaa-mukhii javaanii kaarago.n me.n uThtii hu.ii aa.ndhiyo.n ke vo jhaTkeki jo tavaazun-e-hastii jhi.njho.D ke rakh de.nvo zalzale ki pahaa.Do.n ke pair ukha.D jaa.e.nbuluuGiyat kii vo Tiise.n vo karb-e-nashv-o-numaaaur aise me.n mujhe byaahaa gayaa bhalaa kis sejo ho na saktii thii hargiz mirii shariik-e-hayaatham ek duusre ke vaaste bane hii na thesiyaah ho ga.ii duniyaa mirii nigaaho.n me.nvo jis ko kahte hai.n shaadii-e-KHaanaa-aabaadiimire liye vo banii bevgii javaanii kiiluTaa suhaag mirii zindagii kaa maa.nDo me.nnadiim khaa ga.ii mujh ko nazar javaanii kiibalaa-e-jaan mujhe ho gayaa shu.uur-e-jamaaltalaash-e-shola-e-ulfat se ye hu.aa haasilki nafrato.n kaa agan-ku.nD ban ga.ii hastiivo halq o siina o rag rag me.n be-panaah chubhaanadiim jaise nigal lii ho mai.n ne naag-phaniiz ishq-zaadam o ishqam kamusht zaar-o-dareGKHabar na burd ba-rustam kase ki sohraabamna puuchh aalam-e-kaam-o-dahan nadiim miresamar hayaat kaa jab raakh bin gayaa mu.nh me.nmai.n chaltii-phirtii chitaa ban gayaa javaanii kiimai.n kaa.ndhaa detaa rahaa apne jiite murde koye sochtaa thaa ki ab kyaa karuu.n kahaa.n jaa.uu.nbahut se aur masaa.ib bhii mujh pe TuuT pa.Demai.n Dhuu.nDhne lagaa har samt sachchii jhuuTii panaahtalaash-e-husn me.n sher-o-adab me.n dostii me.nru.ndhii sadaa se mohabbat kii bhiik maa.ngii haina.e sire se samajhnaa pa.Daa hai duniyaa koba.De jatan se sambhaalaa hai KHud ko mai.n ne nadiimmujhe sambhalne me.n to chaaliis saal guzre hai.nmerii hayaat to vish-paan kii kathaa hai nadiimmai.n zahr pii ke zamaane ko de sakaa amritna puuchh mai.n ne jo zahraaba-e-hayaat piyaamagar huu.n dil se mai.n is ke liye sipaas-guzaarlarazte haatho.n se daaman KHuluus kaa na chhaTaabachaa ke rakkhii thii mai.n ne amaanat-e-tifliiise na chhiin sakii mujh se dast-burd-e-shabaabba-qaul shaa.er-e-mulk-e-fara.ng har bachchaKHud apne ahd-e-javaanii kaa baap hotaa haiye kam nahii.n hai ki tiflii-e-rafta chho.D ga.iidil-e-hazii.n me.n ka.ii chhoTe chhoTe naqsh-e-qadammirii anaa kii rago.n me.n pa.De hu.e hai.n abhiina jaane kitne bahut narm u.ngliyo.n ke nishaa.nhanuuz vaqt ke be-dard haath kar na sakehayaat-e-rafta kii zinda nishaaniyo.n ko fanaazamaana chhiin sakegaa na merii fitrat semirii safaa mire tahtush-shu.uur kii ismattaKHaiyyulaat kii doshiizgii kaa radd-e-amaljavaan ho ke bhii be-laus tifl-vash jazbaatsyaanaa hone pe bhii ye jibillate.n meriiye sarKHushii o Gam be-riyaa ye qalb-gudaazbaGair bair ke an-ban Garaz se paak tapaakGaraz se paak ye aa.nsuu Garaz se paak ha.nsiiye dasht-e-dahr me.n hamdardiyo.n kaa sar-chashmaqubuuliyat kaa ye jazba ye kaa.enaat o hayaatis arz-e-paak par iimaan ye ham-aaha.ngiihar aadmii se har ik KHvaab o ziist se ye lagaavye maa.n kii god kaa ehsaas sab manaazir me.nqariib o duur zamii.n me.n ye buu-e-vataniyyatnizaam-e-shams-o-qamar me.n payaam-e-hifz-e-hayaatba-chashm-e-shaam-o-sahar maamtaa kii shabnam siiye saaz o dil me.n mire naGma-e-analkaunainhar iztiraab me.n ruuh-e-sukuun-e-be-paayaa.nzamaana-e-guzaraa.n me.n davaam kaa sargamye bazm-e-jashn-e-hayaat-o-mamaat sajtii hu.iikisii kii yaad kii shahnaa.iyaa.n sii bajtii hu.iiye ramaziiyat ke anaasir shu.uur-e-puKHta me.nfalak pe vajd me.n laatii hai jo farishto.n kovo shaa.erii bhii buluuG-e-mizaaj-e-tiflii haiye nashtariyyat-e-hastii ye is kii sheriyatye pattii pattii pe gulzaar-e-zindagii ke kisiilatiif nuur kii parchhaa.iyaa.n sii pa.Dtii hu.iibaham ye hairat o maanuusiyat kii sargoshiibashar kii zaat ki mahr-e-uluuhiyat ba-jabii.nabad ke dil me.n ja.De.n maartaa hu.aa sabzaGam-e-jahaa.n mujhe aa.nkhe.n dikhaa nahii.n saktaaki aa.nkhe.n dekhe hu.e huu.n mai.n ne apne bachpan kiimire lahuu me.n abhii tak sunaa.ii detii hai.nsukuut-e-huzn me.n bhii ghu.nghru.o.n kii jhankaare.nye aur baat ki mai.n is pe kaan de na sakuu.nisii vadii.at-e-tiflii kaa ab sahaaraa haiyahii hai.n marham-e-kaafuur dil ke zaKHmo.n parunhii ko rakhnaa hai mahfuuz taa-dam-e-aaKHirzamiin-e-hind hai gahvaara aaj bhii hamdamagar hisaab kare.n das karo.D bachcho.n kaaye bachche hind kii sab se ba.Dii amaanat hai.nhar ek bachche me.n hai.n sad-jahaan-e-imkaanaatmagar vatan kaa hal-o-aqd jin ke haath me.n hainizaam-e-zindagii-e-hind jin ke bas me.n hairavayya dekh ke un kaa ye kahnaa pa.Dtaa haikise pa.Dii hai ki samjhe vo is amaanat kokise pa.Dii hai ki bachcho.n kii zindagii ko bachaa.eKHaraab hone se Talne se suukh jaane sebachaa.e kaun in aazurda honhaaro.n kovo zindagii jise ye de rahe hai.n bhaarat kokaro.Do.n bachcho.n ke miTne kaa ik alamiyya haichuraa.e jaate hai.n bachche abhii gharo.n se yahaa.nki jism to.D diye jaa.e.n un ke taaki milechuraane vaalo.n ko KHairaat maagh-mele kiijo is azaab se bach jaa.e.n to gale pa.D jaa.e.nvo la.ante.n ki hamaare karo.Do.n bachcho.n kiinadiim KHair se miTTii KHaraab ho jaa.evo muflisii ki KHushii chhiin le vo be-bargiiudaasiyo.n se bharii zindagii kii be-ra.ngiivo yaasiyaat na jis ko chhu.e shu.aa-e-umiidvo aa.nkhe.n dekhtii hai.n har taraf jo be-nuuriivo TukTukii ki jo pathraa ke rah ga.ii ho nadiimvo be-dilii kii ha.nsii chhiin le jo ho.nTo.n sevo dukh ki jis se sitaaro.n kii aa.nkh bhar aa.evo gandagii vo kasaafat maraz-zada paikarvo bachche chhin ga.e ho.n jin se bachpane un kehamii.n ne gho.nT diyaa jis ke bachpane kaa galaajo khaate-piite gharo.n ke hai.n bachche un ko bhii kyaasamaaj phuulne-phalne ke de sakaa saadhanvo saa.ns lete hai.n tahziib-kush fazaa.o.n me.nham un ko dete hai.n be-jaan aur Galat ta.aliimmilegaa ilm-e-jihaalat-numaa se kyaa un konikal ke madraso.n aur universitiyyo.n seye bad-nasiib na ghar ke na ghaaT ke ho.ngemai.n puuchhtaa huu.n ye ta.aliim hai ki makkaariikaro.Do.n zindagiyo.n se ye be-panaah daGaanisaab aisaa ki mehnat kare.n agar is parbajaa.e ilm jahaalat kaa iktisaab kare.nye ulTaa dars-e-adab ye sa.Dii hu.ii ta.aliimdimaaG kii ho Gizaa yaa Gizaa-e-jismaaniihar ik tarah kii Gizaa me.n yahaa.n milaavaT haivo jis ko bachcho.n kii ta.aliim kah ke dete hai.nvo dars ulTii chhurii hai gale pe bachpan kezamiin-e-hind hi.nDolaa nahii.n hai bachcho.n kaakaro.Do.n bachcho.n kaa ye des ab janaaza haiham inqalaab ke KHatro.n se KHuub vaaqif hai.nkuchh aur roz yahii rah ga.e jo lail-o-nahaarto mol lenaa pa.Degaa hame.n ye KHatra bhiiki bachche qaum kii sab se ba.Dii amaanat hai.n
vo kab ke aa.e bhii aur ga.e bhii nazar me.n ab tak samaa rahe hai.nye chal rahe hai.n, vo phir rahe hai.n, ye aa rahe hai.n vo jaa rahe hai.nvahii qayaamat hai qadd-e-baalaa vahii hai suurat, vahii saraapaalabo.n ko jumbish, nigah ko larzish, kha.De hai.n aur muskuraa rahe hai.nvahii lataafat, vahii nazaakat, vahii tabassum, vahii tarannummai.n naqsh-e-hirmaa.n banaa hu.aa thaa vo naqsh-e-hairat banaa rahe hai.nKHiraam ra.ngii.n, nizaam ra.ngii.n, kalaam ra.ngii.n, payaam ra.ngii.nqadam qadam par, ravish ravish par na.e na.e gul khilaa rahe hai.nshabaab ra.ngii.n, jamaal ra.ngii.n, vo sar se paa tak tamaam ra.ngii.ntamaam ra.ngii.n bane hu.e hai.n, tamaam ra.ngii.n banaa rahe hai.ntamaam ra.anaa.iyo.n ke maz.har, tamaam ra.ngiiniyo.n ke manzarsambhal sambhal kar simaT simaT kar sab ek markaz par aa rahe hai.nbahaar-e-ra.ng-o-shabaab hii kyaa sitaara o maahtaab hii kyaatamaam hastii jhukii hu.ii hai, jidhar vo nazre.n jhukaa rahe hai.ntuyuur sarshaar-e-saaGar-e-mul halaak-e-tanviir-e-laala-o-gulsab apnii apnii dhuno.n me.n mil kar ajab ajab giit gaa rahe hai.nsharaab aa.ankho.n se Dhal rahii hai, nazar se mastii ubal rahii haichhalak rahii hai uchhal rahii hai, piye hu.e hai.n pilaa rahe hai.nKHud apne nashshe me.n jhuumte hai.n, vo apnaa mu.nh aap chuumte hai.nKHaraab-e-mastii bane hu.e hai.n, halaak-e-mastii banaa rahe hai.nfazaa se nashsha baras rahaa hai, dimaaG phuulo.n me.n bas rahaa haivo kaun hai jo taras rahaa hai? sabhii ko mai-kash pilaa rahe hai.nzamiin nashsha, zamaan nashsha, jahaan nashsha, makaan nashshamakaan kyaa? laa-makaan nashsha, Dubo rahe hai.n pilaa rahe hai.nvo ruu-e-ra.ngii.n o mauja-e-yam ki jaise daamaan-e-gul pe shabnamye garmii-e-husn kaa hai aalam, araq araq me.n nahaa rahe hai.nye mast bulbul bahak rahe hai.n, qariib-e-aariz chahak rahe haigulo.n kii chhaatii dha.Dak rahii hai, vo dast-e-ra.ngii.n ba.Dhaa rahe hai.nye mauj-o-dariyaa, ye reg-o-sahraa ye Guncha-o-gul, ye maah-o-anjumzaraa jo vo muskuraa diye hai.n vo sab ke sab muskuraa rahe hai.nfazaa ye naGmo.n se bhar ga.ii hai ki mauj-e-dariyaa Thahar ga.ii haisukuut-e-naGma banaa hu.aa hai, vo jaise kuchh gungunaa rahe hai.nab aage jo kuchh bhii ho muqaddar, rahegaa lekin ye naqsh dil parham un kaa daaman paka.D rahe hai.n, vo apnaa daaman chhu.Daa rahe hai.nye ashk jo bah rahe hai.n paiham, agarche sab hai.n ye haasil-e-Gammagar ye ma.aluum ho rahaa hai, ki ye bhii kuchh muskuraa rahe hai.nzaraa jo dam bhar ko aa.nkh jhapkii, ye dekhtaa huu.n na.ii tajalliitilism suurat miTaa rahe hai.n, jamaal ma.anii banaa rahe hai.nKHushii se labrez shash-jihat hai, zabaan par shor-e-tahniyat haiye vaqt vo hai 'jigar' ke dil ko vo apne dil se milaa rahe hai.n
kahii.n nahii.n hai kahii.n bhii nahii.n lahuu kaa suraaGna dast-o-naaKHun-e-qaatil na aastii.n pe nishaa.nna surKHi-e-lab-e-KHanjar na ra.ng-e-nok-e-sinaa.nna KHaak par ko.ii dhabbaa na baam par ko.ii daaGkahii.n nahii.n hai kahii.n bhii nahii.n lahuu kaa suraaGna sarf-e-KHidmat-e-shaahaa.n ki KHuu.n-bahaa detena dii.n kii nazr ki bai.aana-e-jazaa detena razm-gaah me.n barsaa ki mo'tabar hotaakisii alam pe raqam ho ke mushtahar hotaapukaartaa rahaa be-aasraa yatiim lahuukisii ko bahr-e-samaa.at na vaqt thaa na dimaaGna mudda.ii na shahaadat hisaab paak hu.aaye KHuun-e-KHaak-nashiinaa.n thaa rizq-e-KHaak hu.aa
na dostii na dushmaniimeraa kaam to hai raushniimai.n raaste kaa charaaG huu.nkaho sar-phirii havaa.o.n sena chale.n Thumak-adaa.o.n sekabhii phir karuu.ngaa mohabbate.nabhii saamne hai.n zulmate.nye a.ndheraa pahle noch luu.nko.ii chaal aglii soch luu.nmai.n gum huu.n apne KHayaal me.nye jaan lo ki is lamhemai.n dil nahii.n dimaaG huu.nmai.n raaste kaa charaaG huu.nmeraa kaam to hai raushniina dostii na dushmanii
aa rahaa thaa mai.n ka.ii kuucho.n se Thokar khaa karek aavaaz ne rokaa mujh kokisii miinaar se niiche aa karallaahu-akbar allaahu-akbarhu.aa dil ko ye gumaa.nki ye pur-josh azaa.nmaut se degii amaa.nphir to pahu.nchaa mai.n jahaa.nmai.n ne dohraa.ii kuchh aise ye azaa.nguu.nj uThaa saaraa jahaa.nallaahu-akbar allaahu-akbarisii aavaaz me.n ik aur bhii guu.njaa elaankullo-man-alaihaa-faanik taraf Dhal gayaa KHurshiid-e-jahaa.n-taab kaa sarhu.aa faalij kaa asarphaT ga.ii nas ko.ii shiryaano.n me.n KHuu.n jam saa gayaaho gayaa zaKHmii dimaaGaisaa lagtaa thaa ki bujh jaa.egaa jaltaa hai jo sadiyo.n se charaaGaaj a.ndheraa mirii nas nas me.n utar jaa.egaaye samundar jo ba.Dii der se tuufaanii thaaaisaa ta.Dpaa ki mire kamre ke andar aayaaaate aate vo mire vaaste amrit laayaaaur lahraa ke kahaashiv ne ye bhejvaayaa hai lo piyo auraaj shiv ilm hai amrit hai amalab vo aasaa.n hai jo dushvaar thaa kalraat jo maut kaa paiGaam liye aa.ii thiibiivii bachcho.n ne mireus ko khi.Dkii se pare phe.nk diyaaaur jo vo zahr kaa ik jaam liye aa.ii thiius ne vo KHud hii piyaasub.h utrii jo samundar me.n nahaane ke liyeraat kii laash milii paanii me.n
ye kaun muskuraahaTo.n kaa kaarvaa.n liye hu.eshabaab-e-sher-o-ra.ng-o-nuur kaa dhu.aa.n liye hu.edhu.aa.n ki barq-e-husn kaa mahaktaa sho.ala hai ko.iichaTiilii zindagii kii shaadmaaniyaa.n liye hu.elabo.n se pa.nkhu.Dii gulaab kii hayaat maa.nge haika.nval sii aa.nkh sau nigaah-e-mehrbaa.n liye hu.eqadam qadam pe de uThii hai lau zamiin-e-rah-guzaradaa adaa me.n be-shumaar bijliyaa.n liye hu.enikalte baiThte dino.n kii aahaTe.n nigaah me.nrasiile ho.nT fasl-e-gul kii daastaa.n liye hu.eKHutuut-e-ruKH me.n jalva-gar vafaa ke naqsh sar-ba-sardil-e-Ganii me.n kul hisaab-e-dostaa.n liye hu.evo muskuraatii aa.nkhe.n jin me.n raqs kartii hai bahaarshafaq kii gul kii bijliyo.n kii shoKHiyaa.n liye hu.eadaa-e-husn barq-paash shola-zan nazaara-sozfazaa-e-husn uudii uudii bijliyaa.n liye hu.ejagaane vaale naGma-e-sahar labo.n pe maujzannigaahe.n nii.nd laane vaalii loriyaa.n liye hu.evo nargis-e-siyaah-e-niim-baaz, mai-kada-ba-doshhazaar mast raato.n kii javaaniyaa.n liye hu.etaGaaful-o-KHumaar aur be-KHudii kii oT me.nnigaahe.n ik jahaa.n kii hoshiyaariyaa.n liye hu.eharii-bharii rago.n me.n vo chahaktaa boltaa lahuuvo sochtaa hu.aa badan KHud ik jahaa.n liye hu.eza-farq taa-qadam tamaam chehra jism-e-naaznii.nlatiif jagmagaahaTo.n kaa kaarvaa.n liye hu.etabassumash takallume takallumash tarannumenafas nafas me.n thartharaataa saaz-e-jaa.n liye hu.ejabiin-e-nuur jis pe pa.D rahii hai narm chhuuT siiKHud apnii jagmagaahTo.n kii kahkashaa.n liye hu.e''sitaara-baar o mah-chakaa.n o KHuur-fishaa.n'' jamaal-e-yaarjahaan-e-nuur kaarvaa.n-ba-kaarvaa.n liye hu.evo zulf-e-KHam-ba-KHam shamiim-e-mast se dhu.aa.n dhu.aa.nvo ruKH chaman chaman bahaar-e-jaavedaa.n liye hu.eba-mastii-e-jamaal-e-kaa.enaat, KHvaab-e-kaa.enaatba-gardish-e-nigaah daur-e-aasmaa.n liye hu.eye kaun aa gayaa mire qariib uzv uzv me.njavaaniyaa.n, javaaniyo.n kii aa.ndhiyaa.n liye hu.eye kaun aa.nkh pa.D rahii hai mujh par itne pyaar sevo bhuulii sii vo yaad sii kahaaniyaa.n liye hu.eye kis kii mahkii mahkii saa.nse.n taaza kar ga.ii.n dimaaGshabo.n ke raaz nuur-e-mah kii narmiyaa.n liye hu.eye kin nigaaho.n ne mire gale me.n baahe.n Daal dii.njahaan bhar ke dukh se dard se amaa.n liye hu.enigaah-e-yaar de ga.ii mujhe sukuun-e-be-karaa.nvo be-kahii vafaa.o.n kii gavaahiyaa.n liye hu.emujhe jagaa rahaa hai maut kii Gunuudgii se kaunnigaaho.n me.n suhaag-raat kaa samaa.n liye hu.emirii fasurda aur bujhii hu.ii jabii.n ko chhuu liyaaye kis nigaah kii kiran ne saaz-e-jaa.n liye hu.esute se chehre par hayaat rasmasaatii muskuraatiina jaane kab ke aa.nsu.o.n kii daastaa.n liye hu.etabassum-e-sahar hai aspataal kii udaas shaamye kaun aa gayaa nashaat-e-be-karaa.n liye hu.etire na aane tak agarche mehrbaa.n thaa ik jahaa.nmai.n ro ke rah gayaa huu.n sau Gam-e-nihaa.n liye hu.ezamiin muskuraa uThii ye shaam jagmagaa uThiibahaar lahlhaa uThii shamiim-e-jaa.n liye hu.efazaa-e-aspataal hai ki ra.ng-o-buu kii karvaTe.ntire jamaal-e-laala-guu.n kii daastaa.n liye hu.e'firaaq' aaj pichhlii raat kyuu.n na mar rahuu.n ki abhayaat aisii shaame.n hogii phir kahaa.n liye hu.e(2)magar nahii.n kuchh aur maslahat thii us ke aane me.njamaal-o-diid-e-yaar the nayaa jahaa.n liye hu.eisii na.e jahaa.n me.n aadmii bane.nge aadmiijabii.n pe shaahkaar-e-dahr kaa nishaa.n liye hu.eisii na.e jahaa.n me.n aadmii bane.nge devtaatahaarato.n kaa farq-e-paak par nishaa.n liye hu.eKHudaa.ii aadmii kii hogii is na.e jahaan parsitaaro.n ke hai.n dil ye pesh-go.iiya.n liye hu.esulagte dil sharar-fishaa.n o sho.ala-baar barq-paashguzarte din hayaat-e-nau kii surKHiyaa.n liye hu.etamaam qaul aur qasam nigaah-e-naaz-e-yaar thiituluu-e-zindagii-e-nau kii daastaa.n liye hu.enayaa janam hu.aa miraa ki zindagii na.ii miliijiyuu.ngaa shaam-e-diid kii nishaaniyaa.n liye hu.ena dekhaa aa.nkh uThaa ke ahd-e-nau ke parda-daaro.n neguzar gayaa zamaana yaad-e-raftagaa.n liye hu.eham inqilaabiyo.n ne ye jahaa.n bachaa liyaa magarabhii hai ik jahaa.n vo bad-gumaaniyaa.n liye hu.e
abhii dimaaG pe qahbaa-e-siim-o-zar hai savaarabhii rukii hii nahii.n tesha-zan ke KHuun kii dhaarshamiim-e-adl se mahke.n ye kuucha o baazaarguzar bhii jaa ki tiraa intizaar kab se hai
laa-yaanii hai.n marg o ziistbe-ma.anii hai.n sab alfaazbe-his hai maKHluuq-e-KHudaahar insaa.n ik saaya haishaadii Gam ik dhokaa haidil aa.nkhe.n lab haath dimaaGek vabaa kii zad me.n hai.napne zavaal kii had me.n hai.n
muskuraa kar KHaaliq-e-arz-o-samaa ne dii nidaaai Gazaal-e-mashriqii aa taKHt ke nazdiik aanemate.n sab baT chukii.n lekin na honaa muzmahilsab ko baKHshe hai.n dimaaG aur le tujhe dete hai.n dil
zindagii kuchh aur shai hai 'ilm hai kuchh aur shaizindagii soz-e-jigar hai 'ilm hai soz-e-dimaaG'ilm me.n daulat bhii hai qudrat bhii hai lazzat bhii haiek mushkil hai ki haath aataa nahii.n apnaa suraaGahl-e-daanish 'aam hai.n kamyaab hai.n ahl-e-nazarkyaa ta'ajjub hai ki KHaalii rah gayaa teraa ayaaGshaiKH-e-maktab ke tariiqo.n se kushaad dil kahaa.nkis tarah kibriit se raushan ho bijlii kaa charaaG
sab jaante hai.n ilm se hai zindagii kii ruuhbe-ilm hai agar to vo insaa.n hai naa tamaambe-ilm-o-be-hunar hai jo duniyaa me.n ko.ii qaumnature kaa iqtizaa hai rahe ban ke vo Gulaamta.aliim agar nahii.n hai zamaane ke hasb-o-haalphir kyaa umiid-e-daulat-o-aaraam-o-ihteraamsayyad ke dil me.n naqsh ho is KHayaal kaaDaalii binaa-e-madrasa le kar KHudaa kaa naamsadme uThaa.e ranj sahe gaaliyaa.n sunii.nlekin na chho.Daa qaum ke KHaadim ne ye kaamdikhlaa diyaa zamaane ko zor-e-dil-o-dimaaGbatlaa diyaa vo karte hai.n karne vaale kaamniyyat jo thii ba-KHair to barkat KHudaa ne diicollage hu.aa durust ba-sad shaan-o-ehtishaamsarmaa.e me.n kamii thii sahaaraa ko.ii na thaasayyad kaa dil thaa darpai takmiil-e-intizaamaaKHir uThaa safar ko vo mard KHasta payeahbaab chand saath the zii-ilm-o-KHush-kalaamqismat ki rahbarii se milii manzil-e-muraadfarmaa.n-ravaa-e-mulk-e-dakan ko kiyaa salaamhaalat dikhaa.ii aur zaruurat bayaan kiiKHuubii se iltimaas kiyaa qaum kaa payaamrahm aa gayaa huzuur ko haalat pe qaum kiiphir kyaa thaa maujzan hu.aa dariyaa-e-faiz-e-aammaahaana do hazaar kiyaa ik hazaar seummiid se ziyaada ataa thii ye laa-kalaam'akbar' kii ye du.aa hai KHudaa kii janaab me.ntaa-hashr is ra.iis-o-riyaasat ko ho qayaamkyaa vaqt par hu.ii hai ki be-ehtijjaj-e-fikrtaariik apnii aap hai fayyazii-e-nizaam
tuu prem mandir kii paak devii tuu husn kii mamlikat kii raaniihayaat-e-insaa.n kii qismato.n par tirii nigaaho.n kii hukmaraaniijahaan-e-ulfat tirii qalam-rau hariim-e-dil terii raajdhaaniibahaar-e-fitrat tire lab-e-laal-guu.n kii doshiiza muskuraahaTnizaam-e-kaunain terii aa.nkho.n ke surKH Doro.n kii thartharaahaTfaroG-e-sad-kaa.enaat terii jabiin siimii.n kii zau-fishaaniibha.Dakte siino.n me.n bas rahii hai.n qaraar ban kar tirii adaa.e.ntarastii ruuho.n ko jaam-e-ishrat pilaa rahii hai.n tirii vafaa.e.nrag-e-jahaa.n me.n thirak rahii hai sharaab ban kar tirii javaaniidimaaG-e-parvar-digaar me.n jo azal ke din se machal rahaa thaazabaan-e-taKHliiq-e-dahr se bhii na jis kaa iz.haar ho sakaa thaanumuud terii usii muqaddas hasii.n taKHayyul kii tarjumaaniihai vaadi-e-niil par tiraa abr-e-zulf saaya-kunaa.n abhii takhai.n jaam-e-iiraa.n kii mai me.n tere labo.n kii shiiriiniyaa.n abhii takfasaana-go hai tirii abhii tak hadiis-e-yuunaa.n kii KHuu.n-chakaanii'hai terii ulfat ke raag par mauj-e-ruud-e-ga.ngaa ko vajd ab taktirii mohabbat kii aag me.n jal rahaa hai sahraa-e-najd ab takjamaal-e-zahra tire malaa.ek fareb jalvo.n kii ik nishaaniitirii nigaaho.n ke sahar se gul-fishaa.n hai sher o adab kii duniyaatire tabassum ke kaif se hai ye Gam kii duniyaa tarab kii duniyaatire labo.n kii miThaas se shakkarii.n hai zahraab-e-zindagaaniitiraa tabassum kalii kalii me.n tiraa tarannum chaman chaman me.nrumuuz-e-hastii ke pech-o-KHam tere gesu.o.n kii shikan shikan me.nkitaab-e-taariiKH-e-zindagii ke varaq varaq par tirii kahaaniijo tuu na hotii to yuu.n daraKHshanda sham-e-bazm-e-jahaa.n na hotiivajuud-e-arz-o-samaa na hotaa numuud-e-kaun-o-makaa.n na hotiibashar kii mahduudiyat kii KHaatir tarastii aalam kii be-karaanii
Thahar ga.ii aasmaa.n kii nadiyaavo jaa lagii hai ufaq kinaareudaas ra.ngo.n kii chaa.nd nayyaautar ga.e saahil-e-zamii.n parsabhii khavayyaatamaam taareukha.D ga.ii saa.ns pattiyo.n kiichalii ga.ii.n uu.ngh me.n havaa.e.ngajar bajaa hukm-e-KHaamushii kaato chup me.n gum ho ga.ii.n sadaa.e.nsahar kii gorii kii chhaatiyo.n seDhalak ga.ii tiirgii kii chaadaraur is bajaa.ebikhar ga.e us ke tan-badan parniraas tanhaa.iyo.n ke saa.eaur us ko kuchh bhii KHabar nahii.n haikisii ko kuchh bhii KHabar nahii.n haikisii ko kuchh bhii KHabar nahii.n haiki din Dhale shahr se nikal karkidhar ko jaane kaa ruKH kiyaa thaana ko.ii jaada, na ko.ii manzilkisii musaafir koab dimaaG-e-safar nahii.n haiye vaqt zanjiir-e-roz-o-shab kiikahii.n se ToTii hu.ii ka.Dii haiye maatam-e-vaqt kii gha.Dii hai
miraa junuun-e-vafaa hai zavaal-aamaadashikast ho gayaa teraa fusuun-e-zebaa.iiun aarzuu.o.n pe chhaa.ii hai gard-e-maayuusiijinho.n ne tere tabassum me.n parvarish paa.iifareb-e-shauq ke ra.ngii.n tilism TuuT ga.ehaqiiqato.n ne havaadis se phir jilaa paa.iisukuun-o-KHvaab ke parde sarakte jaate hai.ndimaaG-o-dil me.n hai.n vahshat kii kaar-farmaa.iivo taare jinme.n mohabbat kaa nuur taabaa.n thaavo taare Duub ga.e le ke ra.ng-o-ra.anaa.iisulaa ga.ii thii.n jinhe.n terii multafit nazre.nvo dard jaag uThe phir se le ke a.ng.Daa.iiajiib aalam-e-afsurdagii hai ruu-ba-faroGna jab nazar ko taqaazaa na dil tamannaa.iitirii nazar tire gesuu tirii jabii.n tire labmirii udaas-tabii.at hai sab se uktaa.iimai.n zindagii ke haqaa.eq se bhaag aayaa thaaki mujh ko KHud me.n chhupaa.e tirii fusuu.n-zaa.iimagar yahaa.n bhii ta.aaqub kiyaa haqaa.eq neyahaa.n bhii mil na sakii jannat-e-shakebaa.iihar ek haath me.n le kar hazaar aa.iinehayaat band dariicho.n se bhii guzar aa.iimire har ek taraf ek shor guu.nj uThaaaur us me.n Duub ga.ii ishrato.n kii shahnaa.iikahaa.n talak kare chhup-chhup ke naGma-pairaa.iivo dekh saamne ke pur-shikoh aivaa.n sekisii kiraa.e kii la.Dkii kii chiiKH Takraa.iivo phir samaaj ne do pyaar karne vaalo.n kosazaa ke taur par baKHshii taviil tanhaa.iiphir ek tiira-o-taariik jho.npa.Dii ke talesisakte bachche pe beva kii aa.nkh bhar aa.iivo phir bikii kisii majbuur kii javaa.n beTiivo phir jhukaa kisii dar par Guruur-e-barnaa.iivo phir kisaano.n ke majme.a pe gun-mashiino.n sehuquuq-yaafta tabqe ne aag barsaa.iisukuut-e-halqa-e-zindaa.n se ek guu.nj uThiiaur is ke saath mire saathiyo.n kii yaad aa.iinahii.n nahii.n mujhe yuu.n multafit nazar se na dekhnahii.n nahii.n mujhe ab taab-e-naGma-pairaa.iimiraa junuun-e-vafaa hai zavaal-aamaadashikast ho gayaa teraa fusuun-e-zebaa.ii
bas ek hii sur me.n, ek hii lai pe sub.h se dekhdekh kaise baras rahaa hai udaas paaniiphuvaar ke malmalii.n dupaTTe se u.D rahe hai.ntamaam mausam Tapak rahaa haipalak palak ris rahii hai ye kaa.enaat saariihar ek shai bhiig bhiig kar dekh kaisii bojhal sii ho ga.ii haidimaaG kii giilii giilii socho.n sebhiigii bhiigii udaas yaade.n Tapak rahii hai.nthake thake se badan me.n bas dhiire dhiiresaa.nso.n kaa garm lobaan jal rahaa hai
jahaa.n me.n iztiraab hainahii.n nahii.njahaa.n hii iztiraab haihazaar-haa kavaakib-o-nujuum-haa-e-kahkashaa.n seatomo.n kii kokh takmadaar-dar-madaar har vajuud be-qaraar haiye mehr-o-maah o mushtarii se har electron takye jhuum jhuum ghuumne me.n jis tarah kaa raqs haimujhe samajh me.n aa gayaajahaan teraa aks haivo aks jo jagah jagah qadam qadam rythm pe haijahaan ain sur me.n hai jahaan ain sum pe haijahaa.n tarannumo.n kii list me.n se intiKHaab haijo tujh hasii.n dimaaG ke hasiin laa-shu.uur me.n banaa hoaisaa KHvaab haijahaan iztiraab haimujhe samajh me.n aa gayaa hai ye jahaa.nKHalaa makaa.n zamaa.n ke chand taar se banaa hu.aa sitaar haiuse kaho kisii tarah sitaar chhe.Dtii raheuse kaho ki tho.Dii der aur boltii rahe
pahle to shauharo.n ko paTaatii hai.n biiviyaa.ntigunii kaa naach phir ye nachaatii hai.n biiviyaa.nhar shab shab-baraat banaatii hai.n biiviyaa.nkuchh din ke baa'd chhakke chhu.Daatii hai.n biiviyaa.npahle-pahal to kahtii hai.n tum ho mire balamtum mil ga.e to ho ga.e duniyaa ke duur Gamtum par hazaar jaan se qurbaan mai.n sanamkuchh din ke baa'd kahtii hai.n shauhar ko phir KHasmpahle to KHuub sar pe cha.Daatii hai.n biiviyaa.nqadmo.n me.n is ke baa'd giraatii hai.n biiviyaa.nkhaa khaa ke gosht weight na apnaa ba.Dhaa.iyejo mai.n banaa rahii huu.n vo chup-chaap khaa.iyeis vaqt ghar me.n aa.iye us vaqt jaa.iyejaanaa kahaa.n hai jaane se pahle bataa.iyeis tarah control me.n laatii hai.n biiviyaa.nhaakim ko bhii Gulaam banaatii hai.n biiviyaa.nvo santarii ho ko.ii ki ho ko.ii mantariihotaa hai haavii sab pe hii ehsaas-e-kamtariikaisaa bhii sher-dil ho bahaadur ho yaa jariirahtii hai jin ke KHauf se duniyaa Darii Dariiaise bahaaduro.n ko dabaatii hai.n biiviyaa.nphir u.ngliyo.n pe un ko nachaatii hai.n biiviyaa.nbachcho.n kii baat chho.Diye begam kaa hai ye haalGusse me.n yuu.n samajhiye ki har shai pe hai zavaalsamjhaa.e kaun aise me.n kis kii hai ye majaalis shor-o-Gul me.n shaa.erii karnaa bhii hai muhaalqai.nchii-sifat zabaan chalaatii hai.n biiviyaa.nTar-Tar se phir dimaaG dukhaatii hai.n biiviyaa.nsasuraal me.n ho shaadii to KHarcha ho kam janaabmaike me.n hai to KHarch ye kartii hai.n be-hisaabvo saas yaa sasur ho.n ki devar ho sab KHaraabaayaa hu.aa hai maike se kuttaa bhii laa-javaabkuchh is tarah dimaaG pe chhaatii hai.n biiviyaa.nshauhar ke rishte-daar chhu.Daatii hai.n biiviyaa.n
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books