aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "halve"
ai dil ai banda-e-vatan hoshiyaarKHvaab-e-Gaflat se ho zaraa bedaaro sharaab-e-KHudii ke matvaaleghar kii chaukhaT ke chuumne vaalenaam hai kyaa isii kaa hubb-e-vatanjis kii tujh ko lagii hu.ii hai lagankabhii bachcho.n kaa dhyaan aataa haikabhii yaaro.n kaa Gam sataataa haiyaad aataa hai apnaa shahr kabhiilau kabhii ahl-e-shahr kii hai lagiinaqsh hai.n dil pe kuucha-o-baazaarphirte aa.nkho.n me.n hai.n dar-o-diivaarkyaa vatan kyaa yahii mohabbat haiye bhii ulfat me.n ko.ii ulfat haiis me.n insaa.n se kam nahii.n hai.n darindis se KHaalii nahii.n chairnd o parindTuk.De hote hai.n sang Gurbat me.nsuukh jaate hai.n ruukh furqat me.njaa ke kaabul me.n aam kaa paudaakabhii parvaan cha.Dh nahii.n saktaaaa ke kaabul se yaa.n bihii-o-anaarho nahii.n sakte baarvar zinhaarmachhlii jab chhuuTtii hai paanii sehaath dhotii hai zindagaanii seaag se jab hu.aa samundar duurus ko jiine kaa phir nahii.n maqduurgho.De jab khet se bichha.Dte hai.njaan ke laale un ke pa.Dte hai.ngaa.e, bhai.ns uu.nT ho yaa bakriiapne apne Thikaane KHush hai.n sabhiikahiye hubb-e-vatan isii ko agarham se haivaa.n nahii.n hai.n kuchh kam-tarhai ko.ii apnii qaum kaa hamdardnau-e-insaa.n kaa samjhe.n jis ko fardjis pe itlaaq-e-aadmii ho sahiihjis ko haivaa.n pe de sake.n tarjiihqaum par ko.ii zad na dekh sakeqaum kaa haal-e-bad na dekh sakeqaum se jaan tak aziiz na hoqaum se ba.Dh ke ko.ii chiiz na hosamjhe un kii KHushii ko raahat-e-jaa.nvaa.n jo nau-roz ho to iid ho yaa.nra.nj ko un ke samjhe maaya-e-Gamvaa.n agar sog ho to yaa.n maatambhuul jaa.e sab apnii qadr-e-jaliildekh kar bhaa.iyo.n ko KHvaar-o-zaliiljab pa.De un pe gardish-e-aflaakapnii aasaa.isho.n pe Daal de KHaak
halve ke liye phir aaj bhii ham ik aas lagaa.e baiThe hai.njo baat zabaa.n par laa na sake vo dil me.n chhupaa.e baiThe hai.ntho.Dii sii miThaa.ii taaq pe thii muTThii me.n churaa.e baiThe hai.nabbuu ke bhagaa.e bhaage the ammii ke bulaa.e baiThe hai.nkuchh bach bhii ga.ii hai.n piTne se kuchh maar bhii khaa.e baiThe hai.ntujh se to hame.n ko.ii shikva ai KHaaliq-e-sub.h-o-shaam nahii.nschool hii aisaa hai ki jahaa.n kuchh chain nahii.n aaraam nahii.nis vaqt agarche sar me.n kisii ke dard baraa.e naam nahii.nhar vaqt magar pa.Dhte rahnaa kam-umro.n kaa to kaam nahii.nsab apnii apnii kursii par sudh-budh bisraa.e baiThe hai.nik baar kahii.n se mil jaataa ham sab ko charaaG-e-chain agarbas saal me.n ik din pa.Dh lete darje kii kitaabe.n far far farphir KHvaab hii dilchaspii rahtii phir KHuub maza aataa din bharschool me.n jaanaa kyuu.n hotaa har roz ye rahtaa kyuu.n chakkarummiid nahii.n lekin phir bhii ummiid lagaa.e baiThe hai.nlekin ye zamaana ilm kaa hai ye vaqt hai aage ba.Dhne kaamil-jul ke kare.nge gar mehnat ho jaa.egaa har sapnaa puuraahimmat se hu.ii hai.n taamiire.n jur.at se hu.aa hai kaam nayaajab azm-o-amal achchhaa hogaa achchhaa hii natiija bhii hogaaham log yahaa.n halva khaa kar ik sham.a jalaa.e baiThe hai.n
jab din Dhal jaataa hai, suuraj dhartii kii oT me.n ho jaataa haiaur bhi.Do.n ke chhatte jaisii bhin-bhinbaazaaro.n kii garmii, afraa-tafriimotor, bas, barqii railo.n kaa ha.ngaama tham jaataa haichaa.e-KHaano.n naach-gharo.n se kam-sin la.Dkeapne ham-sin maashuuqo.n kojin kii jinsii KHvaahish vaqt se pahle jaag uThii haile kar jaa chukte hai.nba.Dhtii phailtii uu.nchii himaala jaisii ta.amiiro.n par KHaamoshii chhaa jaatii haitheater tafriih-gaaho.n me.n taale pa.D jaate hai.naur ba-zaahir duniyaa so jaatii haimai.n apne kamre me.n baiThaa sochaa kartaa huu.nkutto.n kii dum Te.Dhii kyuu.n hotii haiye chitkabrii duniyaa jis kaa ko.ii bhii kirdaar nahii.n haiko.ii falsafa ko.ii paa.inda aqdaar nahii.n, me.aar nahii.n haiis par ahl-e-daanish vidvaan, falsafiimoTii moTii adaq kitaabe.n kyuu.n likkhaa karte hai.n?'furqat' kii maa.n ne shauhar ke marne par kitnaa kohraam machaayaa thaalekin iddat ke din puure hone se ik hafta pahle'niilam' ke maamuu.n ke saath badaun jaa pahu.nchii thiibii-bii kii sehnak ko.nDe faatiha-KHvaaniija.ng-e-siffiin, jamal aur badar ke qisso.nsiirat-e-nabvii tark-e-duniyaa aur maulvii-saahab ke halve maa.nDe me.n kyaa rishta hai?
kyuu.nkar kare na apnii numuudaarii shab-baraatchilpak chapaatii halve se hai bhaarii shab-baraatzindo.n kii hai zabaa.n kii mazedaarii shab-baraatmurdo.n kii ruuh kii hai madad-gaarii shab-baraatlagtii hai sab ke dil ko Garaz pyaarii shab-baraat
na puuchh ai ham-nashii.n college me.n aa kar ham ne kyaa dekhaazamii.n badlii hu.ii dekhii falak badlaa hu.aa dekhaana vo pahlii sii mahfil hai na miinaa hai na saaqii haikutub-KHaane me.n lekin ab talak talvaar baaqii haivahii talvaar jo baabar ke vaqto.n kii nishaanii haivahii marhuum baabar yaad jis kii Gair faanii haizamii.n par lecturer kuchh tairte phirte nazar aa.eaur un kii ''gaun'' se kandho.n pe do shahpar nazar aa.emagar in me.n mire ustaad-e-deriina bahut kam thejo do ik the bhii vo masruuf-e-sad-afkaar-e-paiham thevo ziine hii me.n Takraane kii hasrat rah ga.ii dil me.nsunaa one-way traffic ho ga.ii uupar kii manzil me.nagarche aaj-kal college me.n vaaqif hai.n hamaare kamhame.n diivaar-o-dar pahchaante hai.n aur un ko hambulandii par alag sab se kha.Daa ''tower'' ye kahtaa haibadaltaa hai zamaana meraa andaaz ek rahtaa haifanaa ta.aliim dars-e-be-KHudii huu.n is zamaane seki majnuu.n laam alif likhtaa thaa diivaar-e-dabistaa.n parmagar ''tower'' kii saa.at ke bhii baazuu KHuub chalte hai.nkabuutar baiTh kar suu.iyo.n pe vaqt us kaa badalte hai.nusii maalik ko phir halve kii daavat par bulaate hai.nvo halva KHuub khaate hai.n use bhii kuchh khilaate hai.nagar vo ye kahe is me.n to zahriilii davaa.ii haimiraa dil jaantaa hai is me.n anDe kii miThaa.ii haiphir is ke baa'd bahr-e-KHud-kushii tayyaar hote hai.nvo halva biich me.n aur gard us ke yaar hote hai.nvo puuchhe gar kahaa.n se kis tarah aayaa hai ye halvato Dabbaa pesh kar ke kah diyaa is kaa hai sab jalvakisii kanjuus ke kamre me.n jaa kar baiTh jaate hai.naur us ke naam par Tuk shaap se chiize.n ma.ngaate hai.nbichaara 'ja.afarii' muddat ke baa'd aayaa hai college me.nizaafa chaahtaa hai apnii a.ngrezii kii knowledge me.ntire siine pe jab yaaraa-n-KHush aa.e.n kii mahfil hoto ai 'oval' use mat bhuul jaanaa vo bhii shaamil ho
belo.n par toffee khil jaa.echaa.e coffee nal se aa.ebiscuit Daalii Daalii jhuulebachcha bachcha jis ko chhuu lebagiyaa hogii kitnii pyaariilaDDuu ho.n jab kyaarii kyaariibuu.nde.n Tapke buu.ndii.n ban karbarfii phaile ghar kii chhat parhalve kaa baadal ghar aa.eaisaa kaash kabhii ho jaa.epe.Do.n par pe.De lag jaa.e.njab chaahe.n ham to.D ke khaa.e.nhar jaanib sohan halva hobaaluushaahii kaa jalva hojharnaa KHair kaa bahtaa jaa.eKHuub jalebii tairtii aa.eberii par jab maare.n pattharkhiil bataashe Tapke.n din bharbachcha khaa.e buu.Dhaa khaa.eaisaa kaash kabhii ho jaa.equlfii kaa miinaar kha.Daa hohar taare me.n cake ju.Daa honikle.n jab sa.Dko.n par ghar semotii-chuur ke laDDuu barsemiiThe duudh kii barsaate.n ho.npeThe kii sab sauGaate.n ho.nfaaluude se hauz bharaa holassii kaa dariyaa bahtaa hobaarish aa kar ras barsaa.eaisaa kaash kabhii ho jaa.enafrat ho ka.Dvii bolii seulfat ho har ham-jolii seshiirii.n kar de.n duniyaa saariipyaar se bhar de.n duniyaa saariiduniyaa me.n har kaam ho shiirii.navval aaKHir naam ho shiirii.nsab se 'haidar' bolo miiThaamiiThaa khaa kar bolo miiThaashiiriinii ho.nTo.n par chhaa.eaisaa kaash abhii ho jaa.e
pe.Do.n se jab niiche utrebaal sukhaane aa.e dhuupuun ke golo.n se jaa lipTechaa.e pilaane aa.e dhuupkamro.n me.n phir Dupkii Dupkiiaag jalaane aa.e dhuupruuTh ga.ii hai.n naanii ammaa.nun ko manaane aa.e dhuuphalve khaane ke din aa.esehat banaane aa.e dhuupkhel ke maidaano.n me.n jaa pahu.ncheshor machaane aa.e dhuupdiivaaro.n par rang bikhereaatii hai vo dhiire dhiire
gu.Diyaa kii aa.nkh pho.DiiguDDe kii Taa.ng to.Diivo ham pe ha.ns rahii thiigardan zaraa maro.Diimunnii ne kii shikaayatyuu.n ham ne maar khaa.iiammii ne kii piTaa.iischool se to bhaageDaale gale me.n bastaraajuu ke saath dekhaabandar kaa bas tamaashaaghar par ye baat pahu.nchiiham ne na kii pa.Dhaa.iiammii ne kii piTaa.iihalve kii baat chho.Dokyaa seb kaa murabbaras-gulle aur barfiimakkhan kaa saaraa Dabbaajo chiiz bhii ki dekhiiham ne churaa ke khaa.iiammii ne kii piTaa.iisab saamne the baiTheDhe.nchuu.n kaa raag gaayaapaapaa ke dosto.n kophir ham ne mu.nh chi.Dhaayaaitnii sii dil lagii parshaamat hamaarii aa.iiammii ne kii piTaa.iibhayyaa to so rahe thepa.nkhe ko off kar keham ho ga.e ravaanajebo.n ko saaf kar kechhoTii sii ye sharaaratham ko na raas aa.iiammii ne kii piTaa.ii
ammii ne jo din me.n diyeun sikko.n ko liye hu.emai.n nii.ndo.n me.n Duub gayaaduudh kii nahre.n bahne lagii.nshahd ke jharne girne lagemiiThe ras kii baarish haibarfii kii ii.nTo.n ke makaa.nhalve kii diivaare.n hai.nmerii jeb me.n sikko.n kiikhanak sunii to sapne me.nyuu.nhii duniyaa-daarii me.nmiiThe ban kar aa.e hai.npaiso.n par lalchaa.e hai.n
fiber se bharpuur hai kishmishsustii kartii duur hai kishmishnazar ko behtar kar detii haijism ko gosht se bhar detii haiKHushk ho.n jab anguur hai bantiikaafii 'arsa hai phir chaltiirangat is kii sabz sunahriikahii.n dikhe ye bhuurii gahriitho.Dii sii rozaana khaa.ofaa.eda is kaa phir tum paa.odaliye me.n yaa halve andardekho is ke jalve andartez buKHaar ko halkaa kar dejism me.n fauran chustii bhar demotii jaise daa.nt ho.n is sesaaf hamaarii aa.nt ho is sekamii lahuu kii duur kare tokaam me.n ye majbuur kare toshab bhar paanii me.n ye Daalosub.h savere is ko khaa lo
jise fan kahte aa.e hai.n vo hai KHuun-e-jigar apnaamagar KHuun-e-jigar kyaa hai vo hai kattaal-tar apnaako.ii KHuun-e-jigar kaa fan zaraa ta.abiir me.n laa.emagar mai.n to kahuu.n vo pahle mere saamne aa.evajuud o sher ye dono.n define ho nahii.n saktekabhii mafhuum me.n hargiz ye kaa.in ho nahii.n saktehisaab-e-harf me.n aataa rahaa hai bas hasab un kaanahii.n ma.aluum iizad iizdaa.n ko bhii nasab un kaahai iizad iizdaa.n ik ramz jo be-ramz nisbat haimiyaa.n ik haal hai ik haal jo be-haal-e-haalat haina jaane jabr hai haalat ki haalat jabr hai ya.aniikisii bhii baat ke ma.anii jo hai.n un ke hai.n kyaa ma.aniivajuud ik jabr hai meraa adam auqaat hai meriijo merii zaat hargiz bhii nahii.n vo zaat hai meriimai.n roz-o-shab nigaarish-kosh KHud apne adam kaa huu.nmai.n apnaa aadmii hargiz nahii.n lauh-o-qalam kaa huu.n
gar mujhe is kaa yaqii.n ho mire hamdam mire dostgar mujhe is kaa yaqii.n ho ki tire dil kii thakantirii aa.nkho.n kii udaasii tere siine kii jalanmerii dil-juu.ii mire pyaar se miT jaa.egiigar miraa harf-e-tasallii vo davaa ho jis sejii uThe phir tiraa uj.Daa hu.aa be-nuur dimaaGterii peshaanii se Dhal jaa.e.n ye tazliil ke daaGterii biimaar javaanii ko shifaa ho jaa.egar mujhe is kaa yaqii.n ho mire hamdam mare dostroz o shab shaam o sahar mai.n tujhe bahlaataa rahuu.nmai.n tujhe giit sunaataa rahuu.n halke shiirii.naabshaaro.n ke bahaaro.n ke chaman-zaaro.n ke giitaamad-e-sub.h ke, mahtaab ke, sayyaaro.n ke giittujh se mai.n husn-o-mohabbat kii hikaayaat kahuu.nkaise maGruur hasiinaa.o.n ke barfaab se jismgarm haatho.n kii haraarat me.n pighal jaate hai.nkaise ik chehre ke Thahre hu.e maanuus nuquushdekhte dekhte yak-laKHt badal jaate hai.nkis tarah aariz-e-mahbuub kaa shaffaaf biloryak-ba-yak baada-e-ahmar se dahak jaataa haikaise gulchii.n ke liye jhuktii hai KHud shaaKH-e-gulaabkis tarah raat kaa aivaan mahak jaataa haiyuu.nhii gaataa rahuu.n gaataa rahuu.n terii KHaatirgiit buntaa rahuu.n baiThaa rahuu.n terii KHaatirpar mire giit tire dukh kaa mudaavaa hii nahii.nnaGma jarraah nahii.n muunis-o-Gam KHvaar sahiigiit nashtar to nahii.n marham-e-aazaar sahiitere aazaar kaa chaara nahii.n nashtar ke sivaaaur ye saffaak masiihaa mire qabze me.n nahii.nis jahaa.n ke kisii zii-ruuh ke qabze me.n nahii.nhaa.n magar tere sivaa tere sivaa tere sivaa
aur ammii ne samjhaa.ii nahii.nme.n kaise miiThii baat karuu.njab mai.n ne miThaa.ii khaa.ii nahii.naapii bhii pakaatii hai.n halvaphir vo bhii kyuu.n halvaa.ii nahii.n
har manzil me.n ab saath tire ye jitnaa Deraa-Daa.nDaa haizar daam-diram kaa bhaa.nDaa hai banduuq sipar aur khaa.nDaa haijab naayak tan kaa nikal gayaa jo mulko.n mulko.n haa.nDaa haiphir haa.nDaa hai na bhaa.nDaa hai na halvaa hai na maa.nDaa haisab ThaaTh pa.Daa rah jaavegaa jab laad chalegaa banjaaraa
mai.n jab bhiizindagii kii chilchilaatii dhuup me.n tap karmai.n jab bhiiduusro.n ke aur apne jhuuT se thak karmai.n sab se la.D ke KHud se haar kejab bhii us ek kamre me.n jaataa thaavo halke aur gahre kattha.ii ra.ngo.n kaa ik kamravo behad mehrbaa.n kamrajo apnii narm muTThii me.n mujhe aise chhupaa letaa thaajaise ko.ii maa.nbachche ko aa.nchal me.n chhupaa lepyaar se Daa.nTeye kyaa aadat haijaltii dopahar me.n maare maare ghuumte ho tumvo kamra yaad aataa haidabiiz aur KHaasaa bhaariikuchh zaraa mushkil se khulne vaalaa vo shiisham kaa darvaazaki jaise ko.ii akkha.D baapapne khurdure siine me.nshafqat ke samundar ko chhupaa.e hovo kursiiaur us ke saath vo ju.Dvaa.n bahan us kiivo dono.ndost thii.n meriivo ik gustaaKH mu.nh-phaT aa.iinajo dil kaa achchhaa thaavo be-ha.ngam sii almaariijo kone me.n kha.Diiik buu.Dhii annaa kii tarahaa.iine ko tambiih kartii thiivo ik gul-daannanhaa saabahut shaitaanun dino.n pe ha.nstaa thaadariichayaa zehaanat se bharii ik muskuraahaTaur dariiche par jhukii vo belko.ii sabz sargoshiikitaabe.ntaaq me.n aur shelf parsanjiida ustaanii banii baiThii.nmagar sab muntazir is baat kiimai.n un se kuchh puuchhuu.nsirhaanenii.nd kaa saathiithakan kaa chaara-garvo narm-dil takiyamai.n jis kii god me.n sar rakh kechhat ko dekhtaa thaachhat kii ka.Diyo.n me.nna jaane kitne afsaano.n kii ka.Diyaa.n thii.nvo chhoTii mez paraur saamne diivaar paraavezaa.n tasviire.nmujhe apnaa.iyat se aur yaqii.n se dekhtii thii.nmuskuraatii thii.nunhe.n shak bhii nahii.n thaaek dinmai.n un ko aise chho.D jaa.uu.ngaamai.n ik din yuu.n bhii jaa.uu.ngaaki phir vaapas na aa.uu.ngaa
aa.o ki aaj Gaur kare.n is savaal pardekhe the ham ne jo vo hasii.n KHvaab kyaa hu.edaulat ba.Dhii to mulk me.n iflaas kyuu.n ba.DhaaKHush-haalii-e-avaam ke asbaab kyaa hu.ejo apne saath saath chale ku-e-daar takvo dost vo rafiiq vo ahbaab kyaa hu.ekyaa mol lag rahaa hai shahiido.n ke KHuun kaamarte the jin pe ham vo sazaa-yaab kyaa hu.ebe-kas barahnagii ko kafan tak nahii.n nasiibvo va.ada-haa-e-atlas-o-kim-KHvaab kyaa hu.ejamhuuriyat-navaaz bashar-dost amn-KHvaahKHud ko jo KHud diye the vo alqaab kyaa hu.emaz.hab kaa rog aaj bhii kyuu.n laa-'ilaaj haivo nusKHa-haa-e-naadir-o-naayaab kyaa hu.ehar kuucha sho'la-zaar hai har shahr qatl-gaahyak-jehtii-e-hayaat ke aadaab kyaa hu.esahraa-e-tiirgii me.n bhaTaktii hai zindagiiubhre the jo ufuq pe vo mahtaab kyaa hu.emujrim huu.n mai.n agar to gunahgaar tum bhii hoai rahbaraan-e-qaum KHataa-kaar tum bhii ho
sabz maddham raushnii me.n surKH aa.nchal kii dhanaksard kamre me.n machaltii garm saa.nso.n kii mahakbaazu.o.n ke saKHt halqe me.n ko.ii naazuk badansilvaTe.n malbuus par aa.nchal bhii kuchh Dhalkaa hu.aagarmi-e-ruKHsaar se dahkii hu.ii ThanDii havaanarm zulfo.n se mulaa.em u.ngliyo.n kii chhe.D-chhaa.DsurKH ho.nTo.n par sharaarat ke kisii lamhe kaa aksreshmii.n baa.nho.n me.n chuu.Dii kii kabhii maddham khanaksharmgii.n lahjo.n me.n dhiire se kabhii chaahat kii baatdo dilo.n kii dha.Dkano.n me.n guu.njtii thii ik sadaakaa.npte ho.nTo.n pe thii allaah se sirf ik du.aakaash ye lamhe Thahar jaa.e.n Thahar jaa.e.n zaraa!
is qadar bhii nahii.n mujhe ma.aluumkis mohalle me.n hai makaa.n teraakaun sii shaaKH-e-gul pe raqsaa.n hairashk-e-firdaus aashiyaa.n teraajaane kin vaadiyo.n me.n utraa haiGairat-e-husn kaarvaa.n teraakis se puuchhuu.ngaa mai.n KHabar teriikaun batlaa.egaa nishaa.n teraaterii rusvaa.iyo.n se Dartaa huu.njab tire shahr se guzartaa huu.nhaal-e-dil bhii na kah sakaa garchetuu rahii muddato.n qariib mirekuchh tirii azmato.n kaa Dar bhii thaakuchh KHayaalaat the ajiib mireaaKHir-e-kaar vo gha.Dii aa.iibaar-var ho ga.e raqiib miretuu mujhe chho.D kar chalii bhii ga.iiKHair qismat mirii nasiib mireab mai.n kyuu.n tujh ko yaad kartaa huu.njab tire shahr se guzartaa huu.ngo zamaana tirii mohabbat kaaek bhuulii hu.ii kahaanii haitere kuuche me.n umr-bhar na ga.esaarii duniyaa kii KHaak chhaanii hailazzat-e-vasl ho ki zaKHm-e-firaaqjo bhii ho terii mehrbaanii haikis tamannaa se tujh ko chaahaa thaakis mohabbat se haar maanii haiapnii qismat pe naaz kartaa huu.njab tire shahr se guzartaa huu.nashk palko.n pe aa nahii.n saktedil me.n hai terii aabruu ab bhiitujh se raushan hai kaa.enaat miriitere jalve hai.n chaar-suu ab bhiiapne Gam-KHaana-e-taKHayyul me.ntujh se hotii hai guftuguu ab bhiitujh ko viiraana-e-tasvvur me.ndekh letaa huu.n ruu-ba-ruu ab bhiiab bhii mai.n tujh ko pyaar kartaa huu.njab tire shahr se guzartaa huu.naaj bhii kaar-zaar-e-hastii me.ntuu agar ek baar mil jaa.ekisii mahfil me.n saamnaa ho jaa.eyaa sar-e-rahguzaar mil jaa.eik nazar dekh le mohabbat seek lamhe kaa pyaar mil jaa.eaarzuu.o.n ko chain aa jaa.ehasrato.n ko qaraar mil jaa.ejaane kyaa kyaa KHayaal kartaa huu.njab tire shahr se guzartaa huu.naaj mai.n aise maqaam par huu.n jahaa.nrasan-o-daar kii bulandii haimere ash.aar kii lataafat me.ntere kirdaar kii bulandii haiterii majbuuriyo.n kii azmat haimere iisaar kii bulandii haisab tire dard kii inaayat haisab tire pyaar kii bulandii haitere Gam se nibaah kartaa haijab tire shahr se guzartaa huu.ntujh se ko.ii gila nahii.n mujh komai.n tujhe bevafaa nahii.n kahtaateraa milnaa KHayaal-o-KHvaab hu.aaphir bhii naa-aashnaa nahii.n kahtaavo jo kahtaa thaa mujh ko aavaaramai.n use bhii buraa nahii.n kahtaavarna ik be-navaa mohabbat me.ndil ke luTne pe kyaa nahii.n kahtaamai.n to mushkil se aah bhartaa huu.njab tire shahr se guzartaa huu.nko.ii pursaan-e-haal ho to kahuu.nkaisii aa.ndhii chalii hai tere baa'ddin guzaaraa hai kis tarah mai.n neraat kaise Dhalii hai tere baa'dsham-e-ummiid sarsar-e-Gam me.nkis bahaane jalii hai tere baa'djis me.n ko.ii makii.n na rahtaa hodil vo suunii galii hai tere baa'droz jiitaa huu.n roz martaa huu.njab tire shahr se guzartaa huu.nlekin ai saakin-e-hariim-e-KHayaalyaad hai daur-e-kaif-o-kam ki nahii.nkyaa kabhii tere dil pe guzraa haimerii mahruumiyo.n kaa Gam ki nahii.nmerii barbaadiyo.n kaa sun kar haalaa.nkh terii hu.ii hai nam ki nahii.naur is kaar-zaar-e-hastii me.nphir kabhii mil sake.nge ham ki nahii.nDarte Darte savaal kartaa huu.njab tire shahr se guzartaa huu.n
ek kaa hissa mann-o-salvaaek kaa hissa tho.Daa halvaaek kaa hissa bhii.D aur balvaameraa hissa duur kaa jalva
aaj bhii kitnii an-ginat sham.e.nmere siine me.n jhilmilaatii hai.nkitne aariz kii jhalkiyaa.n ab takdil me.n siimii.n varaq luTaatii hai.nkitne hiiraa-taraash jismo.n kiibijliyaa.n dil me.n kau.nd jaatii hai.nkitnii taaro.n se KHush-numaa aa.nkhe.nmerii aa.nkho.n me.n muskuraatii hai.nkitne ho.nTo.n kii gul-fishaa.n aa.nche.nmere ho.nTo.n me.n sansanaatii hai.nkitnii shab-taab reshmii zulfe.nmere baazuu pe sarsaraatii hai.nkitnii KHush-ra.ng motiyo.n se bhariibaaliyaa.n dil me.n TimTimaatii hai.nkitnii gorii kalaa.iyo.n kii lave.ndil ke gosho.n me.n jagmagaatii hai.nkitnii ra.ngii.n hatheliyaa.n chhup kardhiime dhiime ka.nval jalaatii hai.nkitnii aa.nchal se phuuTtii kirne.nmere pahluu me.n rasmasaatii hai.nkitnii paayal kii shoKH jhankaare.ndil me.n chi.ngaariyaa.n u.Daatii hai.nkitnii a.ng.Daa.iyaa.n dhanak ban karKHud ubhartii hai.n TuuT jaatii hai.nkitnii gul-posh naqra.ii baa.nhe.ndil ko halqe me.n le ke gaatii hai.naaj bhii kitnii an-ginat sham.e.nmere siine me.n jhilmilaatii hai.napne is jalva-gar tasavvur kiijaa.n-fazaa dilkashii se zinda huu.nin hii biite javaan lamho.n kiishoKH-taabindagii se zinda huu.nyahii yaado.n kii raushnii to haiaaj jis raushnii se zinda huu.naa.o mai.n tum se e'tiraaf karuu.nmai.n isii shaa.irii se zinda huu.n
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books