SEARCH RESULTS
Showing search results for "ma.aabid"
Nazm MATCHES FOR "ma.aabid"
Nazm
dehli
uja.D ke kitne ma.aabid bane siyah-KHaane
jo aadmii ko na samjhaa KHudaa ko kyaa jaane
Wamiq Jaunpuri
Nazm
hindi musalman
chappe-chappe par hai.n ma.aabid aur un ke miinaar
kuuche-kuuche me.n hai.n maqaabir aur un ke anvaar
Masoom Sharqi
Nazm
shikwa
ham se pahle thaa ajab tere jahaa.n kaa manzar
kahii.n masjuud the patthar kahii.n ma.abuud shajar
Allama Iqbal
Nazm
lenin
vo kaun saa aadam hai ki tuu jis kaa hai maa'buud
vo aadam-e-KHaakii ki jo hai zer-e-samaavaat
Allama Iqbal
Nazm
intizar
patiyaa.n kha.Dkii.n to samjhaa ki lo aap aa hii ga.e
sajde masruur ki ma.abuud ko ham paa hii ga.e
Makhdoom Mohiuddin
Nazm
eid ka din
zahe-qismat hilaal-e-eid kii suurat nazar aa.ii
jo the ramzaan ke biimaar un sab ne shifaa paa.ii
Majeed Lahori
Nazm
hasan kuza-gar (4)
jazb kartaa rahaa thaa
ki har aane vaale kii aa.nkho.n ke maabad pe jaa kar cha.Dhaa.uu.n
Noon Meem Rashid
Nazm
taj-mahal
maah o anjum bhii hu.e jaate hai.n majbuur-e-sujuud
vaah aaraam-gah-e-malika-e-ma.abuud-mizaaj
Kaifi Azmi
Nazm
KHak-e-hind
'gautum' ne aabruu dii is ma.abad-e-kuhan ko
'sarmad' ne is zamii.n par sadqe kiyaa vatan ko
Chakbast Braj Narayan
Nazm
kaun dekhega
jo din kabhii nahii.n biitaa vo din kab aa.egaa
inhii dino.n me.n is ik din ko kaun dekhegaa
Majeed Amjad
Nazm
ek aurat ki hansi
duniyaa ke ma.abad ke na.e but kuchh kar le.n
sun nahii.n sakte us kii lazzat kii siskii
Fahmida Riaz
Nazm
tausi-e-shahr
biis baras se kha.De the jo is gaatii nahr ke dvaar
jhuumte kheto.n kii sarhad par baa.nke pahre-daar