aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "paa.e"
uTh mirii jaan mire saath hii chalnaa hai tujheqalb-e-maahaul me.n larzaa.n sharar-e-ja.ng hai.n aajhausle vaqt ke aur ziist ke yak-ra.ng hai.n aajaabgiino.n me.n tapaa.n valvala-e-sa.ng hai.n aajhusn aur ishq ham-aavaaz o ham-aaha.ng hai.n aajjis me.n jaltaa huu.n usii aag me.n jalnaa hai tujheuTh mirii jaan mire saath hii chalnaa hai tujhetere qadmo.n me.n hai firdaus-e-tamaddun kii bahaarterii nazro.n pe hai tahziib o taraqqii kaa madaarterii aaGosh hai gahvaara-e-nafs-o-kirdaartaa-ba-kai gird tire vahm o ta.ayyun kaa hisaarkau.nd kar majlis-e-KHalvat se nikalnaa hai tujheuTh mirii jaan mire saath hii chalnaa hai tujhetuu ki be-jaan khilauno.n se bahal jaatii haitaptii saa.nso.n kii haraarat se pighal jaatii haipaa.nv jis raah me.n rakhtii hai phisal jaatii haiban ke siimaab har ik zarf me.n Dhal jaatii haiziist ke aahanii saa.nche me.n bhii Dhalnaa hai tujheuTh mirii jaan mire saath hii chalnaa hai tujhezindagii jehd me.n hai sabr ke qaabuu me.n nahii.nnabz-e-hastii kaa lahuu kaa.npte aa.nsuu me.n nahii.nu.Dne khulne me.n hai nik.hat KHam-e-gesuu me.n nahii.njannat ik aur hai jo mard ke pahluu me.n nahii.nus kii aazaad ravish par bhii machalnaa hai tujheuTh mirii jaan mire saath hii chalnaa hai tujhegoshe goshe me.n sulagtii hai chitaa tere liyefarz kaa bhes badaltii hai qazaa tere liyeqahr hai terii har ik narm adaa tere liyezahr hii zahr hai duniyaa kii havaa tere liyerut badal Daal agar phuulnaa phalnaa hai tujheuTh mirii jaan mire saath hii chalnaa hai tujheqadr ab tak tirii taariiKH ne jaanii hii nahii.ntujh me.n sho.ale bhii hai.n bas ashk-fishaanii hii nahii.ntuu haqiiqat bhii hai dilchasp kahaanii hii nahii.nterii hastii bhii hai ik chiiz javaanii hii nahii.napnii taariiKH kaa unvaan badalnaa hai tujheuTh mirii jaan mire saath hii chalnaa hai tujheto.D kar rasm kaa but band-e-qadaamat se nikalzof-e-ishrat se nikal vahm-e-nazaakat se nikalnafs ke khii.nche hu.e halqa-e-azmat se nikalqaid ban jaa.e mohabbat to mohabbat se nikalraah kaa KHaar hii kyaa gul bhii kuchalnaa hai tujheuTh mirii jaan mire saath hii chalnaa hai tujheto.D ye azm-shikan daGdaGa-e-pand bhii to.Dterii KHaatir hai jo zanjiir vo saugand bhii to.Dtauq ye bhii hai zamurrad kaa guluu-band bhii to.Dto.D paimaana-e-mardaan-e-KHirad-mand bhii to.Dban ke tuufaan chhalaknaa hai ubalnaa hai tujheuTh mirii jaan mire saath hii chalnaa hai tujhetuu falaatuun o arastuu hai tuu zahraa parvii.ntere qabze me.n hai garduu.n tirii Thokar me.n zamii.nhaa.n uThaa jald uThaa paa-e-muqaddar se jabii.nmai.n bhii rukne kaa nahii.n vaqt bhii rukne kaa nahii.nla.Dkha.Daa.egii kahaa.n tak ki sambhalnaa hai tujheuTh mirii jaan mire saath hii chalnaa hai tujhe
nahii.n ma.aluum 'zaryuun' ab tumhaarii umr kyaa hogiivo kin KHvaabo.n se jaane aashnaa naa-aashnaa hogiitumhaare dil ke is duniyaa se kaise silsile ho.ngetumhe.n kaise gumaa.n ho.nge tumhe.n kaise gile ho.ngetumhaarii sub.h jaane kin KHayaalo.n se nahaatii hotumhaarii shaam jaane kin malaalo.n se nibhaatii hona jaane kaun doshiiza tumhaarii zindagii hogiina jaane us kii kyaa baayastagii shaa.istagii hogiiuse tum phone karte aur KHat likhte rahe hogena jaane tum ne kitnii kam Galat urdu likhii hogiiye KHat likhnaa to daqyaanuus kii pii.Dhii kaa qissa haiye sinf-e-nasr ham naa-baaliGo.n ke fan kaa hissa haivo ha.nstii ho to shaayad tum na rah paate ho haalo.n me.nga.Dhaa nanhaa saa pa.D jaataa ho shaayad us ke gaalo.n me.ngumaa.n ye hai tumhaarii bhii rasaa.ii naa-rasaa.ii hovo aa.ii ho tumhaare paas lekin aa na paa.ii hovo shaayad maa.ide kii gand biryaanii na khaatii hovo naan-e-be-KHamiir-e-maida kam-tar hii chabaatii hovo doshiiza bhii shaayad daastaano.n kii ho dil-daadause ma.aluum hogaa 'zaal' thaa 'sohraab' kaa daadaatahamtan ya.anii 'rustam' thaa giraamii 'saam' kaa vaarisgiraamii 'saam' thaa sulb-e-nar-e-'maanii' kaa KHush-zaada(ye merii ek KHvaahish hai jo mushkil hai)vo 'najm'-aafa.ndi-e-marhuum ko to jaantii hogiivo nauho.n ke adab kaa tarz to pahchaantii hogiiuse kad hogii shaayad un sabhii se jo lapaa.Dii ho.nna ho.nge KHvaab us kaa jo gavayye aur khilaa.Dii ho.n
agar mai.n samjhuu.nke ye jo mohre hai.nsirf lak.Dii ke hai.n khilauneto jiitnaa kyaa hai haarnaa kyaana ye zaruuriina vo aham haiagar KHushii hai na jiitne kiina haarne kaa hii ko.ii Gam haito khel kyaa haimai.n sochtaa huu.njo khelnaa haito apne dil me.n yaqiin kar luu.nye mohre sach-much ke baadshaah o vaziirsach-much ke hai.n payaadeaur in ke aage haidushmano.n kii vo faujrakhtii hai jo ki mujh ko tabaah karne kesaare mansuubesab iraademagar aisaa jo maan bhii luu.nto sochtaa huu.nye khel kab haiye ja.ng hai jis ko jiitnaa haiye ja.ng hai jis me.n sab hai jaa.ezko.ii ye kahtaa hai jaise mujh seye ja.ng bhii haiye khel bhii haiye ja.ng hai par khilaa.Diyo.n kiiye khel hai ja.ng kii tarah kaamai.n sochtaa huu.njo khel haiis me.n is tarah kaa usuul kyuu.n haiki ko.ii mohara rahe ki jaa.emagar jo hai baadshaahus par kabhii ko.ii aa.nch bhii na aa.evaziir hii ko hai bas ijaazatki jis taraf bhii vo chaahe jaa.e
KHaak-e-sahraa pe jame yaa kaf-e-qaatil pe jamefarq-e-insaaf pe yaa paa-e-salaasil pe jameteG-e-be-daad pe yaa laasha-e-bismil pe jameKHuun phir KHuun hai Tapkegaa to jam jaa.egaa
shaa'irsaahil-e-dariyaa pe mai.n ik raat thaa mahv-e-nazargosha-e-dil me.n chhupaa.e ik jahaan-e-iztiraabshab sukuut-afzaa havaa aasuuda dariyaa narm sairthii nazar hairaa.n ki ye dariyaa hai yaa tasviir-e-aabjaise gahvaare me.n so jaataa hai tifl-e-shiir-KHvaarmauj-e-muztar thii kahii.n gahraa.iyo.n me.n mast-e-KHvaabraat ke afsuu.n se taa.ir aashiyaano.n me.n asiiranjum-e-kam-zau giraftaar-e-tilism-e-maahtaabdekhtaa kyaa huu.n ki vo paik-e-jahaa.n-paimaa KHizrjis kii piirii me.n hai maanind-e-sahar ra.ng-e-shabaabkah rahaa hai mujh se ai juuyaa-e-asraar-e-azalchashm-e-dil vaa ho to hai taqdiir-e-aalam be-hijaabdil me.n ye sun kar bapaa ha.ngaama-e-mahshar hu.aamai.n shahiid-e-justujuu thaa yuu.n suKHan-gustar hu.aaai tirii chashm-e-jahaa.n-bii.n par vo tuufaa.n aashkaarjin ke hangaame abhii dariyaa me.n sote hai.n KHamoshkashtii-e-miskiin-o-jaan-e-paak-o-diivaar-e-yatiimilm-e-muusaa bhii hai tire saamne hairat-faroshchho.D kar aabaadiyaa.n rahtaa hai tuu sahraa-navardzindagii terii hai be-roz-o-shab-o-fardaa-o-doshzindagii kaa raaz kyaa hai saltanat kyaa chiiz haiaur ye sarmaaya-o-mehnat me.n hai kaisaa KHaroshho rahaa hai asia kaa KHirqa-e-deriina chaaknaujavaa.n aqvaam-e-nau-daulat ke hai.n pairaaya-poshgarche askandar rahaa mahruum-e-aab-e-zindagiifitrat-e-askandarii ab tak hai garm-e-naa.o-noshbechtaa hai haashmii naamuus diin-e-mustafaaKHaak-o-KHuu.n me.n mil rahaa hai turkamaan-e-saKHt-koshaag hai aulaad-e-ibraahiim hai namruud haikyaa kisii ko phir kisii kaa imtihaa.n maqsuud haijavaab-e-KHizrsahraa-navardii
zaKHm paa.e hai.n bahaaro.n kii tamannaa kii thiimai.n ne chaa.nd aur sitaaro.n kii tamannaa kii thii
vo mere aasmaa.n par aKHtar-e-sub.h-e-qayaamat haisurayyaa-baKHt hai zohra-jabii.n hai maah-e-tal.at haimiraa iimaa.n hai merii zindagii hai merii jannat haimerii aa.nkho.n ko KHiira kar ga.ii.n taabaaniyaa.n us kii
ai mirii ham-raqs mujh ko thaam lezindagii se bhaag kar aayaa huu.n mai.nDar se larzaa.n huu.n kahii.n aisaa na horaqs-gah ke chor darvaaze se aa kar zindagiiDhuu.nD le mujh ko, nishaa.n paa le meraaaur jurm-e-aish karte dekh le!
sarshaar-e-nigaah-e-nargis huu.n paa-basta-e-gesu-e-sumbul huu.nye meraa chaman hai meraa chaman mai.n apne chaman kaa bulbul huu.nhar aan yahaa.n sahbaa-e-kuhan ik saaGar-e-nau me.n Dhaltii haikaliyo.n se husn Tapaktaa hai phuulo.n se javaanii ubaltii haijo taaq-e-haram me.n raushan hai vo sham.a yahaa.n bhii jaltii haiis dasht ke goshe goshe se ik juu-e-hayaat ubaltii haiislaam ke is but-KHaane me.n asnaam bhii hai.n aur aazar bhiitahziib ke is mai-KHaane me.n shamshiir bhii hai aur saaGar bhiiyaa.n husn kii barq chamaktii hai yaa.n nuur kii baarish hotii haihar aah yahaa.n ik naGma hai har ashk yahaa.n ik motii haihar shaam hai shaam-e-misr yahaa.n har shab hai shab-e-shiiraaz yahaa.nhai saare jahaa.n kaa soz yahaa.n aur saare jahaa.n kaa saaz yahaa.nye dasht-e-junuu.n diivaano.n kaa ye bazm-e-vafaa parvaano.n kiiye shahr-e-tarab ruumaano.n kaa ye KHuld-e-barii.n armaano.n kiifitrat ne sikhaa.ii hai ham ko uftaad yahaa.n parvaaz yahaa.ngaa.e hai.n vafaa ke giit yahaa.n chhe.Daa hai junuu.n kaa saaz yahaa.nis farsh se ham ne u.D u.D kar aflaak ke taare to.De hai.nnaahiid se kii hai sargoshii parviin se rishte jo.De hai.nis bazm me.n teGe.n khii.nchii hai.n is bazm me.n saaGar to.De hai.nis bazm me.n aa.nkh bichhaa.ii hai is bazm me.n dil tak jo.De hai.nis bazm me.n neze phe.nke hai.n is bazm me.n KHanjar chuume hai.nis bazm me.n gir kar ta.Dpe hai.n is bazm me.n pii kar jhuume hai.naa aa ke hazaaro.n baar yahaa.n KHud aag bhii ham ne lagaa.ii haiphir saare jahaa.n ne dekhaa hai ye aag hamii.n ne bujhaa.ii haiyaa.n ham ne kamande.n Daalii hai.n yaa.n ham ne shab-KHuu.n maare hai.nyaa.n ham ne qabaa.e.n nochii hai.n yaa.n ham ne taaj utaare hai.nhar aah hai KHud taasiir yahaa.n har KHvaab hai KHud taabiir yahaa.ntadbiir ke paa-e-sa.ngii.n par jhuk jaatii hai taqdiir yahaa.nzarraat kaa bosa lene ko sau baar jhukaa aakaash yahaa.nKHud aa.nkh se ham ne dekhii hai baatil kii shikast-e-faash yahaa.nis gul-kada-e-paariina me.n phir aag bha.Dakne vaalii haiphir abr garajne vaale hai.n phir barq ka.Dakne vaalii haijo abr yahaa.n se uTThegaa vo saare jahaa.n par barsegaahar juu-e-ravaa.n par barsegaa har koh-e-giraa.n par barsegaahar sarv-o-saman par barsegaa har dasht-o-daman par barsegaaKHud apne chaman par barsegaa Gairo.n ke chaman par barsegaahar shahr-e-tarab par garjegaa har qasr-e-tarab par ka.Dkegaaye abr hamesha barsaa hai ye abr hamesha barsegaa
dard kii Tiis to uThtii thii par itnii bhii bharpuur kabhiiaaj se pahle kab utraa thaa dil me.n itnaa gahraa chaa.nd
jab aadmii ke haal pe aatii hai muflisiikis kis tarah se us ko sataatii hai muflisiipyaasaa tamaam roz biThaatii hai muflisiibhuukaa tamaam raat sulaatii hai muflisiiye dukh vo jaane jis pe ki aatii hai muflisiikahiye to ab hakiim kii sab se ba.Dii hai shaa.nta.aziim jis kii karte hai.n to ab aur KHaa.nmuflis hu.e to hazrat-e-luqmaa.n kiyaa hai yaa.niisaa bhii ho to ko.ii nahii.n puuchhtaa miyaa.nhikmat hakiim kii bhii Dubaatii hai muflisiijo ahl-e-fazl aalim o faazil kahaate hai.nmuflis hu.e to kalma talak bhuul jaate hai.nvo jo Gariib-Gurabaa ke la.Dke pa.Dhaate hai.nun kii to umr bhar nahii.n jaatii hai muflisiimuflis kare jo aan ke mahfil ke biich haalsab jaane.n roTiyo.n kaa ye Daalaa hai is ne jaalgir gir pa.De to ko.ii na liye use sambhaalmuflis me.n hove.n laakh agar ilm aur kamaalsab KHaak bech aa ke milaatii hai muflisiijab roTiyo.n ke baTne kaa aa kar pa.De shumaarmuflis ko deve.n ek tava.ngar ko chaar chaargar aur maa.nge vo to use jhi.Dke.n baar baarmuflis kaa haal aah bayaa.n kyaa karuu.n mai.n yaarmuflis ko is jagah bhii chabaatii hai muflisiimuflis kii kuchh nazar nahii.n rahtii hai aan pardetaa hai apnii jaan vo ek ek naan parhar aan TuuT pa.Dtaa hai roTii ke KHvaan parjis tarah kutte la.Dte hai.n ik ustuKHvaan parvaisaa hii mufliso.n ko la.Daatii hai muflisiikartaa nahii.n hayaa se jo ko.ii vo kaam aahmuflis kare hai us ke ta.ii.n insiraam aahsamjhe na kuchh halaal na jaane haraam aahkahte hai.n jis ko sharm-o-hayaa na.ng-o-naam aahvo sab hayaa-o-sharm u.Daatii hai muflisiiye muflisii vo shai hai ki jis ghar me.n bhar ga.iiphir jitne ghar the sab me.n usii ghar ke dar ga.iizan bachche rote hai.n goyaa naanii guzar ga.iiham-saaya puuchhte hai.n ki kyaa daadii mar ga.iibin murde ghar me.n shor machaatii hai muflisiilaazim hai gar Gamii me.n ko.ii shor-Gul machaa.emuflis baGair Gam ke hii kartaa hai haa.e haa.emar jaave gar ko.ii to kahaa.n se use uThaa.eis muflisii kii KHvaariyaa.n kyaa kyaa kahuu.n mai.n haa.emurde ko be kafan ke ga.Daatii hai muflisiikyaa kyaa muflisii kii kahuu.n KHvaarii phaka.Diyaa.njhaa.Duu baGair ghar me.n bikhartii hai.n jhaka.Diyaa.nkone me.n jaale lapTe hai.n chhappar me.n maka.Diyaa.npaisaa na hove jin ke jalaane ko lak.Diyaa.ndariyaa me.n un ke murde bahaatii hai muflisiibiibii kii nath na la.Dko.n ke haatho.n ka.De rahekap.De miyaa.n ke baniye ke ghar me.n pa.De rahejab ka.Diyaa.n bik ga.ii.n to kha.nDar me.n pa.De rahezanjiir ne kivaa.D na patthar ga.De raheaaKHir ko ii.nT ii.nT khudaatii hai muflisiinaqqaash par bhii zor jab aa muflisii karesab rang dam me.n kar de musavvir ke kirkiresuurat bhii us kii dekh ke mu.nh khi.nch rahe paretasviir aur naqsh me.n kyaa rang vo bhareus ke to mu.nh kaa rang u.Daatii hai muflisiijab KHuub-ruu pe aan ke pa.Dtaa hai din siyaahphirtaa hai bose detaa hai har ik ko KHvaah-maKHvaahhargiz kisii ke dil ko nahii.n hotii us kii chaahgar husn ho hazaar ruupe kaa to us ko aahkyaa kau.Diyo.n ke mol bikaatii hai muflisiius KHuub-ruu ko kaun de ab daam aur diramjo kau.Dii kau.Dii bose ko raazii ho dam-ba-damTopii puraanii do to vo jaane kulaah-e-jismkyuu.nkar na jii ko us chaman-e-husn ke ho Gamjis kii bahaar muft luTaatii hai muflisiiaashiq ke haal par bhii jab aa muflisii pa.Dema.ashuuq apne paas na de us ko baiThneaave jo raat ko to nikaale vahii.n useis Dar se ya.anii raat o dhannaa kahii.n na detohmat ye aashiqo.n ko lagaatii hai muflisiikaise hii dhuum-dhaam kii ranDii ho KHush-jamaaljab muflisii ho kaan pa.De sar pe us ke jaaldete hai.n us ke naach ko ThaTThe ke biich Daalnaache hai vo to farsh ke uupar qadam sambhaalaur us ko u.ngliyo.n pe nachaatii hai muflisiius kaa to dil Thikaane nahii.n bhaav kyaa bataa.ejab ho phaTaa dupaTTa to kaahe se mu.nh chhupaa.ele shaam se vo sub.h talak go ki naache gaa.eauro.n ko aaTh saat to vo do Take hii paa.eis laaj se ise bhii lajaatii hai muflisiijis kasbii ranDii kaa ho halaakat se dil hazii.nrakhtaa hai us ko jab ko.ii aa kar tamaash-bii.nik paun paise tak bhii vo kartii nahii.n nahii.nye dukh usii se puuchhiye ab aah jis ke ta.ii.nsohbat me.n saarii raat jagaatii hai muflisiivo to ye samjhe dil me.n ki Dhelaa jo paa.uu.ngiidam.Dii ke paan dam.Dii ke missii ma.ngaa.uu.ngiibaaqii rahii chhadaam so paanii bharaa.uu.ngiiphir dil me.n sochtii hai ki kyaa KHaak khaa.uu.ngiiaaKHir chabiinaa us kaa bhunaatii hai muflisiijab muflisii se hove kalaavant kaa dil udaasphirtaa hai le tambuure ko har ghar ke aas-paasik paav ser aane kii dil me.n lagaa ke aasgorii kaa vaqt hove to gaataa hai vo babhaasyaa.n tak havaas us ke u.Daatii hai muflisiimuflis biyaah beTii kaa kartaa hai bol bolpaisaa kahaa.n jo jaa ke vo laave jahez moljoruu kaa vo galaa ki phuuTaa ho jaise Dholghar kii halaal-KHorii talak kartii hai ThiTholhaibat tamaam us kii uThaatii hai muflisiibeTe kaa biyaah ho to na byaahii na saathii haine raushnii na baaje kii aavaaz aatii haimaa.n piichhe ek mailii chadar o.Dhe jaatii haibeTaa banaa hai duulhaa to baavaa baraatii haimuflis kii ye baraat cha.Dhaatii hai muflisiigar byaah kar chalaa hai sahar ko to ye balaashahdaar naanaa hiij.Daa aur bhaaT mu.nDcha.Daakhii.nche hu.e use chale jaate hai.n jaa-ba-jaavo aage aage la.Dtaa hu.aa jaataa hai chalaaaur piichhe Tap.Diyo.n ko bajaatii hai muflisiidarvaaze par zanaane bajaate hai.n taaliyaa.naur ghar me.n baiThii Domnii detii hai.n gaaliyaa.nmaalan gale kii haar ho dau.Dii le Daaliyaa.nsaqqaa kha.Daa sunaataa hai baate.n razaaliyaa.nye KHvaarii ye KHaraabii dikhaatii hai muflisiiko.ii shuum be-hayaa ko.ii bolaa nikhaTTuu haibeTii ne jaanaa baap to meraa nikhaTTuu haibeTe pukaarte hai.n ki baabaa nikhaTTuu haibiibii ye dil mai.n kahtii hai achchhaa nikhaTTuu haiaaKHir nikhaTTuu naam dharaatii hai muflisiimuflis kaa dard dil me.n ko.ii Thaantaa nahii.nmuflis kii baat ko bhii ko.ii maantaa nahii.nzaat aur hasab-nasab ko ko.ii jaantaa nahii.nsuurat bhii us kii phir ko.ii pahchaantaa nahii.nyaa.n tak nazar se us ko giraatii hai muflisiijis vaqt muflisii se ye aa kar hu.aa tabaahphir ko.ii is ke haal pa kartaa nahii.n nigaahdaaliidarii kahe ko.ii Thahraa de ruu-siyaahjo baate.n umr bhar na sunii hove.n us ne aahvo baate.n us ko aa ke sunaatii hai.n muflisiichuulhaa tavaanaa paanii ke maTke me.n aabii haipiine ko kuchh na khaane ko aur ne rakaabii haimuflis ke saath sab ke ta.ii.n be-hijaabii haimuflis kii joruu sach hai ki yaa.n sab kii bhaabii haiizzat sab us ke dil kii ga.nvaatii hai muflisiikaisaa hii aadmii ho par iflaas ke tufailko.ii gadhaa kahe use Thahraa de ko.ii bailkap.De phaTe tamaam ba.Dhe baal phail phailmu.nh KHushk daa.nt zard badan par jamaa hai mailsab shakl qaidiyo.n kii banaatii hai muflisiihar aan dosto.n kii mohabbat ghaTaatii haijo aashnaa hai.n un kii to ulfat ghaTaatii haiapne kii mehr Gair kii chaahat ghaTaatii haisharm-o-hayaa o izzat-o-hurmat ghaTaatii haihaa.n naaKHun aur baal ba.Dhaatii hai muflisiijab muflisii hu.ii to sharaafat kahaa.n rahiivo qadr zaat kii vo najaabat kahaa.n rahiikap.De phaTe to logo.n me.n izzat kahaa.n rahiita.aziim aur tavaazo.a kii baabat kahaa.n rahiimajlis kii juutiyo.n pe biThaatii hai muflisiimuflis kisii kaa la.Dkaa jo le pyaar se uThaabaap us kaa dekhe haath kaa aur paa.nv kaa ka.Daakahtaa hai ko.ii juutii na leve kahii.n churaanaT-khaT uchakkaa chor daGaabaaz gaTh-kaTaasau sau tarah ke aib lagaatii hai muflisiirakhtii nahii.n kisii kii ye Gairat kii aan kosab KHaak me.n milaatii hai hurmat kii shaan kosau mehnato.n me.n us kii khapaatii hai jaan kochorii pe aa ke Daale hii muflis ke dhyaan koaaKHir nadaan bhiik ma.ngaatii hai muflisiiduniyaa me.n le ke shaah se ai yaar taa-faqiirKHaaliq na muflisii me.n kisii ko kare asiirashraaf ko banaatii hai ik aan me.n faqiirkyaa kyaa mai.n muflisii kii KHaraabii kahuu.n 'naziir'vo jaane jis ke dil ko jalaatii hai muflisii
vo jis kii diid me.n laakho.n masarrate.n pinhaa.nvo husn jis kii tamannaa me.n jannate.n pinhaa.nhazaar fitne tah-e-paa-e-naaz KHaak-nashii.nhar ik nigaah KHumaar-e-shabaab se ra.ngii.nshabaab jis se taKHayyul pe bijliyaa.n barse.nvaqaar jis kii rafaaqat ko shoKHiyaa.n tarse.nadaa-e-laGzish-e-paa par qayaamate.n qurbaa.nbayaaz-ruKH pe sahar kii sabaahate.n qurbaa.nsiyaah zulfo.n me.n vaarafta nik.hato.n kaa hujuumtaviil raato.n kii KHvaabiida raahato.n kaa hujuumvo aa.nkh jis ke banaav pa KHaaliq itraa.ezabaan-e-sher ko taariif karte sharm aa.evo ho.nT faiz se jin ke bahaar laala-faroshbahisht o kausar o tasniim o salsabiil ba-doshgudaaz jism qabaa jis pe saj ke naaz karedaraaz qad jise sarv-e-sahii namaaz kareGaraz vo husn jo mohtaaj-e-vasf-o-naam nahii.nvo hasan jis kaa tasavvur bashar kaa kaam nahii.nkisii zamaane me.n is rah-guzar se guzraa thaaba-sad Guruur o tajammul idhar se guzraa thaaaur ab ye raah-guzar bhii hai dil-fareb o hasii.nhai is kii KHaak me.n kaif-e-sharaab-o-sher makii.nhavaa me.n shoKHii-e-raftaar kii adaa.e.n hai.nfazaa me.n narmii-e-guftaar kii sadaa.e.n hai.nGaraz vo husn ab is rah kaa juzv-e-manzar hainiyaaz-e-ishq ko ik sajda-gah mayassar hai
ai dekhne vaalois husn ko dekhois raaz ko samjhoye naqsh-e-KHayaaliiye fikrat-e-aaliiye paikar-e-tanviirye krishn kii tasviirma.anii hai ki suuratsan.at hai ki fitratzaahir hai ki mastuurnazdiik hai yaa duurye naar hai yaa nuurduniyaa se niraalaaye baa.nsurii vaalaagokul kaa gvaalaahai sehr ki e.ajaazkhultaa hii nahii.n raazkyaa shaan hai vallaahkyaa aan hai vallaahhairaan huu.n kyaa haiik shaan-e-KHudaa haibut-KHaane ke andarKHud husn kaa but-garbut ban gayaa aa karvo turfa nazzaareyaad aa ga.e saarejamunaa ke kinaaresabze kaa lahaknaaphuulo.n kaa mahaknaaghanghor ghaTaa.e.nsarmast havaa.e.nma.asuum uma.nge.nulfat kii tara.nge.nvo gopiyo.n ke saathhaatho.n me.n diye haathraqsaa.n hu.aa brijnaathbansii me.n jo lai hainashsha hai na mai haikuchh aur hii shai haiik ruuh hai raqsaa.nik kaif hai larzaa.nek aql hai mai-noshik hosh hai mad.hoshik KHanda hai sayyaalik girya hai KHush-haalik ishq hai maGruurik husn hai majbuurik sehr hai mas.huurdarbaar me.n tanhaalaachaar hai kirishnaaaa shyaam idhar aasab ahl-e-KHusuumathai.n dar pa.e izzatye raaj dulaarebuzdil hu.e saareparda na ho taaraajbekas kii rahe laajaa jaa mere kaalebhaarat ke ujaaledaaman me.n chhupaa levo ho ga.ii an-banvo garm hu.aa ranGaalib hai duryodhanvo aa ga.e jagdiishvo miT ga.ii tashviisharjun ko bulaayaaupdesh sunaayaaGam-zaad kaa Gam kyaaustaad kaa Gam kyaalo ho ga.ii tadbiirlo ban ga.ii taqdiirlo chal ga.ii shamshiirsiirat hai aduu-sozsuurat nazar-afrozdil kaifiyat-andozGusse me.n jo aa jaa.ebijlii hii giraa jaa.eaur lutf par aa.eto ghar bhii luTaa jaa.epariyo.n me.n hai gulfaamraadhaa ke liye shyaambalraam kaa bhayyaamathuraa kaa basayyaabindraa me.n kanhayyaaban ho ga.e viiraa.nbarbaad gulistaa.nsakhiyaa.n hai.n pareshaa.njamunaa kaa kinaaraasunsaan hai saaraatuufaan hai.n KHaamoshmaujo.n me.n nahii.n joshlau tujh se lagii haihasrat hii yahii haiai hind ke raajaaik baar phir aa jaadukh dard miTaa jaaabr aur havaa sebulbul kii sadaa sephuulo.n kii ziyaa sejaaduu-asarii gumshoriida-sarii gumhaa.n terii judaa.iimathuraa ko na bhaa.iituu aa.e to shaan aa.etuu aa.e to jaan aa.eaanaa na akeleho.n saath vo melesakhiyo.n ke jhamele
yahii jagah thii yahii din thaa aur yahii lamhaatsaro.n pe chhaa.ii thii sadiyo.n se ik jo kaalii raatisii jagah isii din to milii thii us ko maatisii jagah isii din to hu.aa thaa ye elaana.ndhere haar ga.e zindaabaad hindostaanyahii.n to ham ne kahaa thaa ye kar dikhaanaa haijo zaKHm tan pe hai bhaarat ke us ko bharnaa haijo daaG maathe pe bhaarat ke hai miTaanaa haiyahii.n to khaa.ii thii ham sab ne ye qasam us dinyahii.n se nikle the apne safar pe ham us dinyahii.n thaa guu.nj uThaa vande-maatram us dinhai jur.ato.n kaa safar vaqt kii hai raahguzarnazar ke saamne hai saaTh miil kaa pattharko.ii jo puuchhe kiyaa kyaa hai kuchh kiyaa hai agarto us se kah do ki vo aa.e dekh le aa karlagaayaa ham ne thaa jamhuuriyat kaa jo paudhaavo aaj ek ghaneraa saa uu.nchaa bargad haiaur us ke saa.e me.n kyaa badlaa kitnaa badlaa haikab intihaa hai ko.ii is kii kab ko.ii had hai
uruus-e-shab kii zulfe.n thii.n abhii naa-aashnaa KHam sesitaare aasmaa.n ke be-KHabar the lazzat-e-ram seqamar apne libaas-e-nau me.n begaana saa lagtaa thaana thaa vaaqif abhii gardish ke aa.iin-e-musallam seabhii imkaa.n ke zulmat-KHaane se ubhrii hii thii duniyaamazaaq-e-zindagii poshiida thaa pahnaa-e-aalam sekamaal-e-nazm-e-hastii kii abhii thii ibtidaa goyaahuvaidaa thii nagiine kii tamannaa chashm-e-KHaatam sesunaa hai aalam-e-baalaa me.n ko.ii kiimiyaa-gar thaasafaa thii jis kii KHaak-e-paa me.n ba.Dh kar saaGar-e-jam selikhaa thaa arsh ke paa.e pe ik iksiir kaa nusKHachhupaate the farishte jis ko chashm-e-ruuh-e-aadam senigaahe.n taak me.n rahtii thii.n lekin kiimiyaa-gar kiivo is nusKHe ko ba.Dh kar jaantaa thaa ism-e-aazam seba.Dhaa tasbiih-KHvaanii ke bahaane arsh kii jaanibtamannaa-e-dilii aaKHir bar aa.ii sa.i-e-paiham sephiraayaa fikr-e-ajzaa ne use maidaan-e-imkaa.n me.nchhupegii kyaa ko.ii shai baargaah-e-haq ke mahram sechamak taare se maa.ngii chaa.nd se daaG-e-jigar maa.ngaau.Daa.ii tiirgii tho.Dii sii shab kii zulf-e-barham seta.Dap bijlii se paa.ii huur se paakiizgii paa.iiharaarat lii nafas-haa-e-masiih-e-ibn-e-maryam sezaraa sii phir rubuubiyat se shaan-e-be-niyaazii liimalak se aajizii uftaadgii taqdiir shabnam sephir in ajzaa ko gholaa chashma-e-haivaa.n ke paanii me.nmurkkab ne mohabbat naam paayaa arsh-e-aazam semuhavvis ne ye paanii hasti-e-nau-KHez par chhi.Dkaagirah kholii hunar ne us ke goyaa kaar-e-aalam sehu.ii jumbish ayaa.n zarro.n ne lutf-e-KHvaab ko chho.Daagale milne lage uTh uTh ke apne apne hamdam seKHiraam-e-naaz paayaa aaftaabo.n ne sitaaro.n nechaTak Guncho.n ne paa.ii daaG paa.e laala-zaaro.n ne
vus.ate.n maidaan kii suuraj ke chhup jaane se ta.ngsabza-e-afsurda par KHvaab-aafrii.n halkaa saa ra.ng
jahaa.n-zaad kaise hazaaro.n baras ba.adik shahr-e-madfuun kii har galii me.nmere jaam o miinaa o gul-daa.n ke reze mile hai.nki jaise vo is shahr-e-barbaad kaa haafiza ho.nhasan naam kaa ik javaa.n kuuza-gar ik na.e shahr me.napne kuuze banaataa hu.aa ishq kartaa hu.aaapne maazii ke taaro.n me.n ham se piroyaa gayaa haihamii.n me.n ki jaise hamii.n ho.n samoyaa gayaa haiki ham tum vo baarish ke qatre the jo raat bhar sehazaaro.n baras re.ngtii raat bharik dariiche ke shiisho.n pe girte hu.e saa.np lahre.nbanaate rahe hai.naur ab is jagah vaqt kii sub.h hone se pahleye ham aur ye naujavaa.n kuuza-garek ruuyaa me.n phir se piro.e ga.e hai.njahaa.n-zaadye kaisaa kohna-parasto.n kaa ambohkuuzo.n kii laasho.n me.n utraa haidekhoye vo log hai.n jin kii aa.nkhe.nkabhii jaam o miinaa kii lim tak na pahu.nchii.nyahii aaj is rang o roGan kii maKHluuq-e-be-jaa.nko phir se ulaTne palaTne lage hai.nye un ke tale Gam kii chi.ngaariyaa.n paa sake.ngejo taariiKH ko khaa ga.ii thii.nvo tuufaan vo aa.ndhiyaa.n paa sake.ngejo har chiiKH ko khaa ga.ii thii.nunhe.n kyaa KHabar kis dhanak se mere rang aa.emere aur is naujavaa.n kuuza-gar keunhe.n kyaa KHabar kaun sii titliyo.n ke paro.n seunhe.n kyaa KHabar kaun se husn sekaun sii zaat se kis KHadd-o-KHaal semai.n ne kuuzo.n ke chehre utaareye sab log apne asiiro.n me.n hai.nzamaana jahaa.n-zaad afsuu.n-zada burj haiaur ye log us ke asiiro.n me.n hai.njavaa.n kuuza-gar ha.ns rahaa haiye maasuum vahshii ki apne hii qaamat se zholiida-daamanhai.n juuyaa kisii azmat-e-naa-rasaa keunhe.n kyaa KHabar kaisaa aaseb-e-mubram mere Gaar siine pe thaajis ne mujh se aur us kuuza-gar se kahaaai hasan kuuza-gar jaagdard-e-risaalat kaa roz-e-bashaarat tire jaam o miinaakii tishna-labii tak pahu.nchne lagaa haiyahii vo nidaa ke piichhe hasan naam kaaye javaa.n kuuza-gar bhiipyaape ravaa.n hai zamaa.n se zamaa.n takKHizaa.n se KHizaa.n tak
vo ek tarz-e-suKHan kii KHushbuuvo ek mahkaa hu.aa takallumlabo.n se jaise gulo.n kii baarishki jaise jharnaa saa gir rahaa hoki jaise KHushbuu bikhar rahii hoki jaise resham ulajh rahaa hoajab balaaGat thii guftuguu me.nravaa.n thaa dariyaa fasaahato.n kaavo ek maktab thaa aagahii kaavo ilm-o-daanish kaa mai-kada thaavo qalb aur zehn kaa tasaadumjo guftuguu me.n ravaa.n-davaa.n thaavo us ke alfaaz kii ravaaniivo us kaa ruk ruk ke baat karnaavo sho.ala-e-lafz aur ma.aaniikahii.n lapaknaa kahii.n ThaharnaaThahar ke phir vo kalaam karnaabahut se jazbo.n kii parda-daariibahut se jazbo.n ko aam karnaajo mai.n ne puuchhaaguzishta shab ke mushaa.ere me.n bahut se shaidaa.ii muntazir themujhe bhii ye hii pata chalaa thaa ki aap tashriif laa rahe hai.nmagar hu.aa kyaazaraa tavaqquf ke baa'd bole nahii.n gayaa mai.nna jaa sakaa mai.nsuno hu.aa kyaamai.n KHud ko maa.il hii kar na paayaaye merii haalat merii tabii.atphir us pe merii ye bad-mizaajii-o-bad-havaasiiye vahshat-e-dilmiyaa.n haqiiqat hai ye bhii sun lo ki ab hamaare mushaa.ere bhiinahii.n hai.n un vahshato.n ke haamiljo merii taqdiir ban chukii hai.njo merii tasviir ban chukii hai.njo merii taqsiir ban chukii hai.nphir ik tavaqqufki jis tavaqquf kii kaifiyat par garaa.n samaa.at guzar rahii thiius ek saa.at kaa haath thaame ye ik vazaahat guzar rahii thiiadab-farosho.n ne jaahilo.n ne mushaa.ere ko bhii ik tamaasha banaa diyaa haiGazal kii taqdiis luuT lii hai adab ko mujraa banaa diyaa haisuKHan-varo.n ne bhii jaane kyaa kyaa hamaare hisse me.n rakh diyaa haisitam to ye hai ki chiiKH ko bhii suKHan ke zumre me.n rakh diyaa haiilaahii taubasamaa.ato.n me.n KHaraashe.n aane lagii hai.n ab aur shigaaf zehno.n me.n pa.D ga.e hai.nmiyaa.n hamaare qadam to kab ke zamii.n me.n KHiffat se ga.D ga.e hai.nKHamoshiyo.n ke dabiiz kohre se chand lamho.n kaa phir guzarnaavo jaise KHud ko udaasiyo.n ke samundaro.n me.n talaash karnaavo jaise phir surma.ii ufuq par sitaare alfaaz ke ubharnaaye zindagii se jo be-niyaazii hai kis liye haiye roz-o-shab kii jo bad-havaasii hai kis liye haibas itnaa samjhoki KHud ko barbaad kar chukaa huu.nsuKHan to aabaad KHair kyaa homagar jahaa.n dil dha.Dak rahe ho.n vo shahr aabaad kar chukaa huu.nbachaa hii kyaa haithaa jis ke aane kaa KHauf mujh ko vo ek saa.at guzar chukii haivo ek saf.ha ki jis pe likkhaa thaa zindagii ko vo kho chukaa haikitaab-e-hastii bikhar chukii haipa.Dhaa thaa mai.n ne bhii zindagii komagar tasalsul nahii.n thaa us me.nidhar-udhar se yahaa.n vahaa.n se ajab kahaanii ga.Dhii ga.ii thiisamajh me.n aa.ii na is liye bhii ke darmiyaa.n se pa.Dhii ga.ii thiisamajhtaa kaisena falsafii mai.n na ko.ii aalimuquubato.n ke safar pe niklaa mai.n ik sitaara huu.n aagahii kaaajal ke haatho.n me.n haath Daale ik isti.aara huu.n zindagii kaaitaab naazil hu.aa hai jis par mai.n vo hii ma.atuub aadmii huu.nsitamgaro.n ko talab hai jis kii mai.n vo hii matluub aadmii huu.nkabhii mohabbat ne ye kahaa thaa mai.n ek mahbuub aadmii huu.nmagar vo zarb-e-jafaa pa.Dii hai ki ek mazruub aadmii huu.nmai.n ek bekal saa aadmii huu.n bahut hii bojhal saa aadmii huu.nsamajh rahii hai ye duniyaa mujh ko mai.n ek paagal saa aadmii huu.nmagar ye paagal ye niim-vahshii KHirad ke maaro.n se muKHtalif haijo kahnaa chaahaa thaa kah na paayaakahaa gayaa jo use ye duniyaa samajh na paa.iina baat ab tak kahii ga.ii haina baat ab tak sunii ga.ii haisharaab-o-sh.er-o-shu.uur kaa jo ik ta'alluq hai us ke baare me.n raa.e kyaa haisunaa hai ham ne ki aap par bhii bahut se fatve lage hai.n lekinsharaab-noshii haraam hai toye mas.ala bhii ba.Daa ajab haimai.n ek mai-kash huu.n ye to sach haimagar ye mai-kash kabhii kisii ke lahuu se sairaab kab hu.aa haihamesha aa.nsuu piye hai.n us ne hamesha apnaa lahuu piyaa haiye bahs chho.Do haraam kyaa hai halaal kyaa hai azaab kyaa hai savaab kyaa haisharaab kyaa haiaziyyato.n se najaat hai ye hayaat hai yesharaab-o-shab aur shaa.irii ne ba.Daa sahaaraa diyaa hai mujh kosambhaal rakkhaa sharaab ne aur rahii hai mohsin ye raat meriiisii ne mujh ko diye dilaase sunii hai is ne hii baat meriihamesha mere hii saath jaagii hamesha mere hii saath so.iimai.n KHush hu.aa to ye muskuraa.ii mai.n ro diyaa to ye saath ro.iiye sher-go.ii hai KHud-kalaamii kaa ik zariiyaisii zariiye isii vasiile se mai.n ne KHud se vo baate.n kii hai.njo duusro.n se mai.n kah na paayaaharaam kyaa hai halaal kyaa hai ye sab tamaashe hai.n muftiyo.n keye saare fitne hai.n maulvii keharaam kar dii thii KHud-kushii bhii ki apnii marzii se mar na paa.eye mai-kashii bhii haraam Thahrii ki ham ko apnaa lahuu bhii piine kaa haq nahii.n haiki apnii marzii se ham ko jiine kaa haq nahii.n haikise bataa.e.nzamiir-o-zarf-e-bashar pe mauquuf hai.n masaa.ilsamundaro.n me.n u.nDel jitnii sharaab chaahena harf paanii pe aa.egaa aur na us kii taqdiis KHatm hogiito mai-kashii ko haraam kahne se pahle dekhoki piine vaale kaa zarf kyaa hai hai.n kis ke haatho.n me.n jaam-o-miinaaye nukta-sanjii ye nukta-daanii jo maulvii kii samajh me.n aatii to baat bantiina diin-o-maz.hab ko jis ne samjhaa na jis ne samjhaa hai zindagii kotahuuraa piine kii baat kar ke haraam kahtaa hai mai-kashii kojo diin-o-maz.hab kaa zikr aayaa to mai.n ne puuchhaaki is havaale se raa.e kyaa haiye KHud-parastii KHudaa-parastii ke darmiyaa.n kaa jo faasla haijo ik KHalaa hai ye kyaa balaa haiye diin-o-maz.hab faqat kitaabe.nba-juz kitaabo.n ke aur kyaa haikitaabe.n aisii jinhe.n samajhne kii koshishe.n kam hai.n aur ziyaada pa.Dhaa gayaa haikitaabe.n aisii ki aam insaa.n ko in ke pa.Dhne kaa haq hai lekininhe.n samajhne kaa haq na hargiz diyaa gayaa haiki in kitaabo.n pe diin-o-maz.hab ke Thekedaar ijaara-daaro.n kii dastaras haiisii liye to ye diin-o-maz.hab fasaad-o-fitna bane hu.e hai.nye diin-o-maz.habjo ilm-o-hikmat ke saath ho to sukuun hogaajo dastaras me.n ho jaahilo.n kii junuun hogaaye ishq kyaa hai ye husn kyaa haiye zindagii kaa javaaz kyaa haiye tum ho jii jii ke mar rahe ho ye mai.n huu.n mar mar ke jii rahaa huu.nye raaz kyaa haihai kyaa haqiiqat majaaz kyaa haisivaa.e KHvaabo.n ke kuchh nahii.n haiba-juz saraabo.n ke kuchh nahii.n haiye ik safar hai tabaahiyo.n kaa udaasiyo.n kii ye rahguzar haina is ko duniyaa kaa ilm ko.ii na is ko apnii ko.ii KHabar haikabhii kahii.n par nazar na aa.e kabhii har ik shai me.n jalva-gar haikabhii ziyaa.n hai kabhii zarar haina KHauf is ko na kuchh KHatar haikabhii KHudaa hai kabhii bashar haihu.aa haqiiqat se aashnaa to ye suu-e-daar-o-rasan gayaa haikabhii ha.nsaa hai ye zer-e-KHanjar kabhii ye suulii pe ha.ns diyaa haikabhii ye gulnaar ho gayaa hai sinaa.n pe guftaar ho gayaa haikabhii hu.aa hai ye Garq-e-dariyaakabhii ye taqdiir-e-dasht-o-sahraaraqam hu.aa hai ye aa.nso.o.n me.nkabhii lahuu ne hai is ko likkhaahikaayat-e-dil hikaayat-e-jaa.n hikaayat-e-zindagii yahii haiagar saliiqe se likkhii jaa.e ibaarat-e-zindagii yahii haiye husn hai us dhanak kii suuratki jis ke ra.ngo.n kaa falsafa hii kabhii kisii par nahii.n khulaa haiye falsafa jo fareb-e-paiham kaa silsila haiki is ke ra.ngo.n me.n ik ishaara hai be-ruKHii kaaik isti.aara hai zindagii kaakabhii alaamat hai shoKHiyo.n kiikabhii kinaaya hai saadgii kaabadalte mausam kii kaifiyat ke hai.n rang pinhaa.n isii dhanak me.nkashish sharaarat-o-jaazbiyyat ke shoKH ra.ngo.n ne is dhanak ko ajiib paikar ataa kiyaa hai ik aisaa manzar ataa kiyaa haiki jis ke sehr-o-asar me.n aa karlahuu bahut aa.nkhe.n ro chukii hai.n bahut to biinaa.ii kho chukii hai.nbasaarte.n kyaa basiirate.n bhii to aql-o-daanaa.ii kho chukii hai.nna jaane kitne hii rang maKHfii hai.n is dhanak me.nbas ek ra.ng-e-vafaa nahii.n hai.nis ek ra.ngat kii aarzuu ne lahuu rulaayaa hai aadmii koyahii bataayaa hai aagahii koye ik chhalaavaa hai zindagii kaahasiin dhoka hai zindagii kaamagar muqaddar hai aadmii kaafareb-e-gandum samajh me.n aayaa to mai.n ne jaanaaye ishq kyaa hai ye husn kyaa haiye ek laGzish hai jis ke dam se hayaat-e-nau kaa bharam khulaa hai
ja.ngal sab apne tan par hariyaalii saj rahe hai.ngul phuul jhaa.D-buuTe kar apnii dhaj rahe hai.nbijlii chamak rahii hai baadal garaj rahe hai.nallaah ke naqaare naubat ke baj rahe hai.nkyaa kyaa machii hai.n yaaro barsaat kii bahaare.n
kal washington shahr kii ham ne sair bahut kii yaarguu.nj rahii thii sab duniyaa me.n jis kii jai-jai-kaarmulko.n mulko.n ham ghuume the banjaaro.n kii misllekin is kii saj-dhaj sach-much dil-daaro.n kii mislraushniyo.n ke rang bahe.n yuu.n rasta nazar na aa.eman kii aa.nkho.n vaalaa bhii yaa.n andhaa ho ho jaa.euu.nche baam charaaGaa.n raste ruup-bhare baazaarjaagtii aa.nkho.n se dekhaa hai KHvaabo.n kaa sansaarek safed imaarat jis kii nagar nagar me.n dhuumandar duniyaa bhar kii kaalak baahar se ma.asuumyahii safed imaarat jis me.n bahut ba.Dii sarkaaryahii.n kare.n saudaagar chhoTii qaumo.n kaa bevpaaryahii.n pe jaaduu-gar baiThaa jab kahii.n kii Dor hilaa.ehar bastii nagasaki hiroshima ban jaa.eisii imaarat se kuchh duur hii ik kaalii diivaarlogo.n kaa mela aisaa lagaa thaa jaise ko.ii tyauhaaris kaalii diivaar pe kanda dekhe hazaaro.n naamun naamo.n ke biich likhaa thaa shohdaa-e-vietnamaas-paas to jam.a hu.aa thaa KHilqat kaa ambohsab kii aa.nkho.n me.n sannaaTaa chehro.n par andohbekal bahne.n ghaayal maa.e.n aur dukhii bevaaye.nsaajan tum kis des sidhaare soche.n mahbuubaa.e.napne pyaaro.n dil-daaro.n kaa ojhal mukh.Daa Dhuu.nDe.nis kaalii diivaar pe un ke naam kaa Tuk.Daa Dhuu.nDe.ndilo.n me.n dukh aa.nkho.n me.n shabnam haatho.n me.n phuul uThaa.eis naamo.n ke qabristaan kaa bhed ko.ii kyaa paa.enaa turbat naa katba ko.ii naa haDDii naa maasphir bhii paagal nainaa.n ko thii piyaa milan kii aaskahii.n kahii.n is kaalii sil par ko.ii safed gulaabyuu.n be-taab pa.Daa thaa jaise andhii aa.nkh kaa KHvaabkaa.nTaa ban kar sabhii ke dil me.n khaTke ek savaalkis kaaran miTTii me.n milaa.e hiiro.n jaise laalHo-chi-minh ke des me.n ham ne kyaa kyaa sitam na Dhaa.eus ke jiyaale to aazaadii kaa suuraj le aa.elekin itne chaa.nd ga.nvaa kar ham ne bhalaa kyaa paayaaham bad-qismat aise jin ko dhuup milii naa saayaamukh motii de kar haasil kii ye kaalii diivaarye kaalii diivaar jo hai bas ik KHaalii diivaarye kaalii diivaar jo hai naamo.n kaa qabristaanwashington ke shahr me.n dafn hai.n kis kis ke armaan
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books