aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "puuchhiye"
jab aadmii ke haal pe aatii hai muflisiikis kis tarah se us ko sataatii hai muflisiipyaasaa tamaam roz biThaatii hai muflisiibhuukaa tamaam raat sulaatii hai muflisiiye dukh vo jaane jis pe ki aatii hai muflisiikahiye to ab hakiim kii sab se ba.Dii hai shaa.nta.aziim jis kii karte hai.n to ab aur KHaa.nmuflis hu.e to hazrat-e-luqmaa.n kiyaa hai yaa.niisaa bhii ho to ko.ii nahii.n puuchhtaa miyaa.nhikmat hakiim kii bhii Dubaatii hai muflisiijo ahl-e-fazl aalim o faazil kahaate hai.nmuflis hu.e to kalma talak bhuul jaate hai.nvo jo Gariib-Gurabaa ke la.Dke pa.Dhaate hai.nun kii to umr bhar nahii.n jaatii hai muflisiimuflis kare jo aan ke mahfil ke biich haalsab jaane.n roTiyo.n kaa ye Daalaa hai is ne jaalgir gir pa.De to ko.ii na liye use sambhaalmuflis me.n hove.n laakh agar ilm aur kamaalsab KHaak bech aa ke milaatii hai muflisiijab roTiyo.n ke baTne kaa aa kar pa.De shumaarmuflis ko deve.n ek tava.ngar ko chaar chaargar aur maa.nge vo to use jhi.Dke.n baar baarmuflis kaa haal aah bayaa.n kyaa karuu.n mai.n yaarmuflis ko is jagah bhii chabaatii hai muflisiimuflis kii kuchh nazar nahii.n rahtii hai aan pardetaa hai apnii jaan vo ek ek naan parhar aan TuuT pa.Dtaa hai roTii ke KHvaan parjis tarah kutte la.Dte hai.n ik ustuKHvaan parvaisaa hii mufliso.n ko la.Daatii hai muflisiikartaa nahii.n hayaa se jo ko.ii vo kaam aahmuflis kare hai us ke ta.ii.n insiraam aahsamjhe na kuchh halaal na jaane haraam aahkahte hai.n jis ko sharm-o-hayaa na.ng-o-naam aahvo sab hayaa-o-sharm u.Daatii hai muflisiiye muflisii vo shai hai ki jis ghar me.n bhar ga.iiphir jitne ghar the sab me.n usii ghar ke dar ga.iizan bachche rote hai.n goyaa naanii guzar ga.iiham-saaya puuchhte hai.n ki kyaa daadii mar ga.iibin murde ghar me.n shor machaatii hai muflisiilaazim hai gar Gamii me.n ko.ii shor-Gul machaa.emuflis baGair Gam ke hii kartaa hai haa.e haa.emar jaave gar ko.ii to kahaa.n se use uThaa.eis muflisii kii KHvaariyaa.n kyaa kyaa kahuu.n mai.n haa.emurde ko be kafan ke ga.Daatii hai muflisiikyaa kyaa muflisii kii kahuu.n KHvaarii phaka.Diyaa.njhaa.Duu baGair ghar me.n bikhartii hai.n jhaka.Diyaa.nkone me.n jaale lapTe hai.n chhappar me.n maka.Diyaa.npaisaa na hove jin ke jalaane ko lak.Diyaa.ndariyaa me.n un ke murde bahaatii hai muflisiibiibii kii nath na la.Dko.n ke haatho.n ka.De rahekap.De miyaa.n ke baniye ke ghar me.n pa.De rahejab ka.Diyaa.n bik ga.ii.n to kha.nDar me.n pa.De rahezanjiir ne kivaa.D na patthar ga.De raheaaKHir ko ii.nT ii.nT khudaatii hai muflisiinaqqaash par bhii zor jab aa muflisii karesab rang dam me.n kar de musavvir ke kirkiresuurat bhii us kii dekh ke mu.nh khi.nch rahe paretasviir aur naqsh me.n kyaa rang vo bhareus ke to mu.nh kaa rang u.Daatii hai muflisiijab KHuub-ruu pe aan ke pa.Dtaa hai din siyaahphirtaa hai bose detaa hai har ik ko KHvaah-maKHvaahhargiz kisii ke dil ko nahii.n hotii us kii chaahgar husn ho hazaar ruupe kaa to us ko aahkyaa kau.Diyo.n ke mol bikaatii hai muflisiius KHuub-ruu ko kaun de ab daam aur diramjo kau.Dii kau.Dii bose ko raazii ho dam-ba-damTopii puraanii do to vo jaane kulaah-e-jismkyuu.nkar na jii ko us chaman-e-husn ke ho Gamjis kii bahaar muft luTaatii hai muflisiiaashiq ke haal par bhii jab aa muflisii pa.Dema.ashuuq apne paas na de us ko baiThneaave jo raat ko to nikaale vahii.n useis Dar se ya.anii raat o dhannaa kahii.n na detohmat ye aashiqo.n ko lagaatii hai muflisiikaise hii dhuum-dhaam kii ranDii ho KHush-jamaaljab muflisii ho kaan pa.De sar pe us ke jaaldete hai.n us ke naach ko ThaTThe ke biich Daalnaache hai vo to farsh ke uupar qadam sambhaalaur us ko u.ngliyo.n pe nachaatii hai muflisiius kaa to dil Thikaane nahii.n bhaav kyaa bataa.ejab ho phaTaa dupaTTa to kaahe se mu.nh chhupaa.ele shaam se vo sub.h talak go ki naache gaa.eauro.n ko aaTh saat to vo do Take hii paa.eis laaj se ise bhii lajaatii hai muflisiijis kasbii ranDii kaa ho halaakat se dil hazii.nrakhtaa hai us ko jab ko.ii aa kar tamaash-bii.nik paun paise tak bhii vo kartii nahii.n nahii.nye dukh usii se puuchhiye ab aah jis ke ta.ii.nsohbat me.n saarii raat jagaatii hai muflisiivo to ye samjhe dil me.n ki Dhelaa jo paa.uu.ngiidam.Dii ke paan dam.Dii ke missii ma.ngaa.uu.ngiibaaqii rahii chhadaam so paanii bharaa.uu.ngiiphir dil me.n sochtii hai ki kyaa KHaak khaa.uu.ngiiaaKHir chabiinaa us kaa bhunaatii hai muflisiijab muflisii se hove kalaavant kaa dil udaasphirtaa hai le tambuure ko har ghar ke aas-paasik paav ser aane kii dil me.n lagaa ke aasgorii kaa vaqt hove to gaataa hai vo babhaasyaa.n tak havaas us ke u.Daatii hai muflisiimuflis biyaah beTii kaa kartaa hai bol bolpaisaa kahaa.n jo jaa ke vo laave jahez moljoruu kaa vo galaa ki phuuTaa ho jaise Dholghar kii halaal-KHorii talak kartii hai ThiTholhaibat tamaam us kii uThaatii hai muflisiibeTe kaa biyaah ho to na byaahii na saathii haine raushnii na baaje kii aavaaz aatii haimaa.n piichhe ek mailii chadar o.Dhe jaatii haibeTaa banaa hai duulhaa to baavaa baraatii haimuflis kii ye baraat cha.Dhaatii hai muflisiigar byaah kar chalaa hai sahar ko to ye balaashahdaar naanaa hiij.Daa aur bhaaT mu.nDcha.Daakhii.nche hu.e use chale jaate hai.n jaa-ba-jaavo aage aage la.Dtaa hu.aa jaataa hai chalaaaur piichhe Tap.Diyo.n ko bajaatii hai muflisiidarvaaze par zanaane bajaate hai.n taaliyaa.naur ghar me.n baiThii Domnii detii hai.n gaaliyaa.nmaalan gale kii haar ho dau.Dii le Daaliyaa.nsaqqaa kha.Daa sunaataa hai baate.n razaaliyaa.nye KHvaarii ye KHaraabii dikhaatii hai muflisiiko.ii shuum be-hayaa ko.ii bolaa nikhaTTuu haibeTii ne jaanaa baap to meraa nikhaTTuu haibeTe pukaarte hai.n ki baabaa nikhaTTuu haibiibii ye dil mai.n kahtii hai achchhaa nikhaTTuu haiaaKHir nikhaTTuu naam dharaatii hai muflisiimuflis kaa dard dil me.n ko.ii Thaantaa nahii.nmuflis kii baat ko bhii ko.ii maantaa nahii.nzaat aur hasab-nasab ko ko.ii jaantaa nahii.nsuurat bhii us kii phir ko.ii pahchaantaa nahii.nyaa.n tak nazar se us ko giraatii hai muflisiijis vaqt muflisii se ye aa kar hu.aa tabaahphir ko.ii is ke haal pa kartaa nahii.n nigaahdaaliidarii kahe ko.ii Thahraa de ruu-siyaahjo baate.n umr bhar na sunii hove.n us ne aahvo baate.n us ko aa ke sunaatii hai.n muflisiichuulhaa tavaanaa paanii ke maTke me.n aabii haipiine ko kuchh na khaane ko aur ne rakaabii haimuflis ke saath sab ke ta.ii.n be-hijaabii haimuflis kii joruu sach hai ki yaa.n sab kii bhaabii haiizzat sab us ke dil kii ga.nvaatii hai muflisiikaisaa hii aadmii ho par iflaas ke tufailko.ii gadhaa kahe use Thahraa de ko.ii bailkap.De phaTe tamaam ba.Dhe baal phail phailmu.nh KHushk daa.nt zard badan par jamaa hai mailsab shakl qaidiyo.n kii banaatii hai muflisiihar aan dosto.n kii mohabbat ghaTaatii haijo aashnaa hai.n un kii to ulfat ghaTaatii haiapne kii mehr Gair kii chaahat ghaTaatii haisharm-o-hayaa o izzat-o-hurmat ghaTaatii haihaa.n naaKHun aur baal ba.Dhaatii hai muflisiijab muflisii hu.ii to sharaafat kahaa.n rahiivo qadr zaat kii vo najaabat kahaa.n rahiikap.De phaTe to logo.n me.n izzat kahaa.n rahiita.aziim aur tavaazo.a kii baabat kahaa.n rahiimajlis kii juutiyo.n pe biThaatii hai muflisiimuflis kisii kaa la.Dkaa jo le pyaar se uThaabaap us kaa dekhe haath kaa aur paa.nv kaa ka.Daakahtaa hai ko.ii juutii na leve kahii.n churaanaT-khaT uchakkaa chor daGaabaaz gaTh-kaTaasau sau tarah ke aib lagaatii hai muflisiirakhtii nahii.n kisii kii ye Gairat kii aan kosab KHaak me.n milaatii hai hurmat kii shaan kosau mehnato.n me.n us kii khapaatii hai jaan kochorii pe aa ke Daale hii muflis ke dhyaan koaaKHir nadaan bhiik ma.ngaatii hai muflisiiduniyaa me.n le ke shaah se ai yaar taa-faqiirKHaaliq na muflisii me.n kisii ko kare asiirashraaf ko banaatii hai ik aan me.n faqiirkyaa kyaa mai.n muflisii kii KHaraabii kahuu.n 'naziir'vo jaane jis ke dil ko jalaatii hai muflisii
jab aadmii ke peT me.n aatii hai.n roTiyaa.nphuulii nahii.n badan me.n samaatii hai.n roTiyaa.naa.nkhe.n parii-ruKHo.n se la.Daatii hai.n roTiyaa.nsiine upar bhii haath chalaatii hai.n roTiyaa.njitne maze hai.n sab ye dikhaatii hai.n roTiyaa.nroTii se jis kaa naak talak peT hai bharaakartaa pare hai kyaa vo uchhal kuud jaa-ba-jaadiivaar phaa.nd kar ko.ii koThaa uchhal gayaaThaTThaa ha.nsii sharaab sanam saaqii is sivaasau sau tarah kii dhuum machaatii hai.n roTiyaa.njis jaa pe haa.nDii chuulhaa tavaa aur tanuur haiKHaaliq kii qudrato.n kaa usii jaa zuhuur haichuulhe ke aage aa.nch jo chaltii huzuur haijitne hai.n nuur sab me.n yahii KHaas nuur haiis nuur ke sabab nazar aatii hai.n roTiyaa.naave tave tanuur kaa jis jaa zabaa.n pe naamyaa chakkii chuulhe ke jahaa.n gulzaar ho.n tamaamvaa.n sar jhukaa ke kiije Da.nDvat aur salaamis vaaste ki KHaas ye roTii ke hai.n maqaampahle inhii.n makaano.n me.n aatii hai.n roTiyaa.nin roTiyo.n ke nuur se sab dil hai.n bor boraaTaa nahii.n hai chhalnii se chhan-chhan gire hai nuurpe.Daa har ek us kaa hai barfii o motii chuurhargiz kisii tarah na bujhe peT kaa tanuuris aag ko magar ye bujhaatii hai.n roTiyaa.npuuchhaa kasii ne ye kisii kaamil faqiir seye mehr-o-maah haq ne banaa.e hai.n kaahe kevo sun ke bolaa baabaa KHudaa tujh ko KHair deham to na chaa.nd samjhe.n na suuraj hai.n jaantebaabaa hame.n to ye nazar aatii hai.n roTiyaa.nphir puuchhaa us ne kahiye ye hai dil kaa tuur kyaais ke mushaahide me.n hai khultaa zuhuur kyaavo bolaa sun ke teraa gayaa hai shu.uur kyaakashf-ul-quluub aur ye kashf-ul-qubuur kyaajitne hai.n kashf sab ye dikhaatii hai.n roTiyaa.nroTii jab aa.ii peT me.n sau qand ghul ga.egulzaar phuule aa.nkho.n me.n aur aish tul ga.edo tar nivaale peT me.n jab aa ke Dhul ga.echaudah tabaq ke jitne the sab bhed khul ga.eye kashf ye kamaal dikhaatii hai.n roTiyaa.nroTii na peT me.n ho to phir kuchh jatan na homele kii sair KHvaahish-e-baaG-o-chaman na hobhuuke Gariib dil kii KHudaa se lagan na hosach hai kahaa kasii ne ki bhuuke bhajan na hoallaah kii bhii yaad dilaatii hai.n roTiyaa.nab aage jis ke maal-puu.e bhar ke thaal hai.npuure bhagat unhe.n kaho saahab ke laal hai.naur jin ke aage roGnii aur shiir-maal hai.naarif vahii hai.n aur vahii saahab-kamaal hai.npakkii-pakaa.ii ab jinhe.n aatii hai.n roTiyaa.nkap.De kisii ke laal hai.n roTii ke vaastelambe kisii ke baal hai.n roTii ke vaastebaa.ndhe ko.ii rumaal hai.n roTii ke vaastesab kashf aur kamaal hai.n roTii ke vaastejitne hai.n ruup sab ye dikhaatii hai.n roTiyaa.nroTii se naache pyaada qavaa.ed dikhaa dikhaaasvaar naache gho.De ko kaava lagaa lagaaghu.nghruu ko baa.ndhe paik bhii phirtaa hai naachtaaaur is sivaa jo Gaur se dekhaa to jaa-ba-jaasau sau tarah ke naach dikhaatii hai.n roTiyaa.nroTii ke naach to hai.n sabhii KHalq me.n pa.Dekuchh bhaa.nD bhiigte ye nahii.n phirte naachteye ranDiyaa.n jo naache hai.n ghuu.nghaT ko mu.nh pe leghuu.nghaT na jaano dosto tum ziinhaar useis parde me.n ye apne kamaatii hai.n roTiyaa.nashraafo.n ne jo apnii ye zaate.n chhupaa.ii hai.nsach puuchhiye to apnii ye shaane.n ba.Dhaa.ii hai.nkahiye unho.n kii roTiyaa.n kis kis ne khaa.ii hai.nashraaf sab me.n kahiye to ab naan-baa.ii hai.njin kii dukaa.n se har kahii.n jaatii hai.n roTiyaa.nduniyaa me.n ab badii na kahii.n aur niko.ii haiyaa dushmanii o dostii yaa tund-KHuu.ii haiko.ii kisii kaa aur kisii kaa na ko.ii haisab ko.ii hai usii kaa ki jis haath Do.ii hainaukar nafar Gulaam banaatii hai.n roTiyaa.nroTii kaa ab azal se hamaaraa to hai KHamiirruukhii hii roTii haq me.n hamaare hai shahd-o-shiiryaa patlii hove moTii KHamiirii ho yaa fatiirgehuu.n javaar baajre kii jaisii ho 'naziir'ham ko to sab tarah kii KHush aatii hai.n roTiyaa.n
qadr ai dil vatan me.n rahne kiipuuchhe pardesiyo.n ke jii se ko.iijab milaa raam-chandr ko ban-baasaur niklaa vatan se ho ke udaasbaap kaa hukm rakh liyaa sar parpar chalaa saath le ke daaG-e-jigarpaa.nv uThtaa thaa us kaa ban kii tarafaur khi.nchtaa thaa dil vatan kii tarafguzre Gurbat me.n is qadar mah-o-saalpar na bholaa ayodhya kaa KHayaaldes ko ban me.n jii bhaTaktaa rahaadil me.n kaa.nTaa saa ik khaTaktaa rahaatiir ik dil me.n aa ke lagtaa thaaaatii thii jab ayodhya kii havaakaTne chaudah baras hu.e the muhaalgoyaa ek ek jug thaa ek ik saal
vo sard raat jabki safar kar rahaa thaa mai.nra.ngiiniyo.n se zarf-e-nazar bhar rahaa thaa mai.ntezii se ja.ngalo.n me.n u.Dii jaa rahii thii railKHvaabiida kaa.enaat ko chau.nkaa rahii thii railmu.Dtii uchhaltii kaa.nptii chi.nghaa.Dtii hu.iikohre kii vo dabiiz ridaa phaa.Dtii hu.iipahiyo.n kii gardisho.n me.n machaltii thii raagniiaahan se aag ban ke nikaltii thii raagniipahu.nchii jidhar zamii.n kaa kaleja hilaa diyaadaaman me.n tiirgii ke garebaa.n banaa diyaajho.nke havaa ke barf bichhaate the raah me.njalve samaa rahe the laraz kar nigaah me.ndhoke se chhuu ga.ii.n jo kahii.n sard u.ngliyaa.nbichchhuu saa Da.nk maarne lagtii thii.n khi.Dkiyaa.npichhle pahar kaa narm dhu.ndlakaa thaa pur-fishaa.nmaayuusiyo.n me.n jaise umiido.n kaa kaarvaa.nbe-nuur ho ke Duubne vaalaa thaa maahtaabkohre me.n khup ga.ii thii sitaaro.n kii aab-o-taabqabze se tiirgii ke sahar chhuuTne ko thiimashriq ke haashiye me.n kiran phuuTne ko thiikohre me.n thaa Dhake hu.e baaGo.n kaa ye samaa.njis tarah zer-e-aab jhalaktii ho.n bastiyaa.nbhiigii hu.ii zamii.n thii namii sii fazaa me.n thiiik kisht-e-barf thii ki mu.allaq havaa me.n thiijaaduu ke farsh sehr ke sab saqf-o-baam thedosh-e-havaa pe pariyo.n ke siimii.n KHiyaam thethii ThanDe ThanDe nuur me.n kho.ii hu.ii nigaahDhal kar fazaa me.n aa.ii thii huuro.n kii KHvaab-gaahban ban ke phen suu-e-falak dekhtaa hu.aadariyaa chalaa thaa chho.D ke daaman zamiin kaais shabnamii dhundalke me.n bagule the yuu.n ravaa.nmaujo.n pe mast ho ke chale.n jaise machhliyaa.nDaalaa kabhii fazaa.o.n me.n KHat kho ga.e kabhiijhalke kabhii ufuq me.n nihaa.n ho ga.e kabhiiengine se u.D ke kaa.nptaa phirtaa thaa yuu.n dhu.aa.nletaa thaa lahr khet me.n kohre ke aasmaa.nus vaqt kyaa thaa ruuh pe sadma na puuchhiyeyaad aa rahaa thaa kis se bichha.Dnaa na puuchhiyedil me.n kuchh aise ghaav the tiir-e-malaal kero ro diyaa thaa khi.Dkii se gardan nikaal ke
mastii bhare dilo.n kii uma.nge.n na puuchhiyekyaa mantiqe.n hai.n kyaa hai.n tara.nge.n na puuchhiye
bichh.De hu.o.n ko bichh.De hu.o.n se milaa.e haihar samt eid jashn-e-mohabbat manaa.e haiinsaaniyat kii pe.ng mohabbat ba.Dhaa.e haimausam har ik umiid ko jhuulaa jhulaa.e haibaarish me.n khet aisii tarah se nahaa.e hairaunaq har ik kisaan ke chehre pe aa.e haiham sab ko apne ghere me.n lene ke vaastechaaro.n taraf se ghir ke ghaTaa aaj aa.e haihaivaaniyat ne KHuun ke dhabbe janam diyebarsaat aa ke KHuun ke dhabbe chhu.Daa.e haishahzaadii-e-bahaar kii aamad hai baaG me.nhar ek phuul raah me.n aa.nkhe.n bichhaa.e haihai kitnii pyaarii pyaar bharii eid kii adaaapnaa samajh ke sab ko gale se lagaa.e haisach puuchhiye to ye bhii mohabbat kaa hai subuutjo raa.e aap kii hai vahii merii raa.e haibauchhaare.n aa ke detii hai.n us ko salaamiyaa.nbansii bajaa bajaa ke jo mela lagaa.e haimai.n jaa.uu.ngaa to phir kabhii vaapas na aa.uu.ngaakaalii ghaTaa to har baras aa.e hai jaa.e haieid-ul-fitar kii vaj.h-e-sharaafat to dekhiyehar saal aa ke sab ko gale se lagaa.e haidiije du.aa.e.n eid kii tyauhaar ko 'naziir'ik bhii.D aaj aap se milne ko aa.e hai
ek-aadh saal se hai fazaa mulk kii kuchh aurGaalib sadii ke baad hai gaa.ndhii sadii kaa daurgaa.ndhii ko kaun aisaa hai jo jaantaa na hoizzat ke saath un ko ba.Daa maantaa na hobaapuu to un ko pyaar se kahte hai.n aaj bhiihar dil pe sach jo puuchhiye hai un kaa raaj bhiidam se unhii.n ke daur-e-Gulaamii hu.aa tamaamaasaanii me.n badal gayaa dushvaar thaa jo kaamus rahbar-e-aziim ne ham ko vo bal diyea.ngrez mulk chho.D ke KHaamosh chal diyesach aur us ke saath ahinsaa kii dhuum haiduniyaa kaa ab samaadhii pe un kii hujuum haihar shaKHs sar-niguu.n hai ba.De ehtiraam se'aadil' ye qadr hotii hai be-laus kaam se
hind kii taariiKH kaa baab daraKHshaa.n puuchhiyekyuu.n siyaasii maslahat kii aag me.n jho.nkaa gayaa
hai zabaa.n par sab kii mid.hat ilm kiikyo.n na ho dil me.n mohabbat ilm kiikyo.n na ho har ik ko chaahat ilm kiihar kisii ko hai zaruurat ilm kiiilm ke rutbe se vaaqif hai jahaa.ngoshe goshe me.n hai shohrat ilm kiijis ko chaskaa lag gayaa hai ilm kaapuuchhiye us se haqiiqat ilm kiibas usii ne paa.ii izzat mulk me.ndil se kii hai jis ne KHidmat ilm kiisaare duniyaa kaa chahiitaa hai ye ilmrahtii hai har dil me.n ulfat ilm kiivo zaliil-o-KHvaar duniyaa me.n hu.aajis kisii ne kii na izzat ilm kiido jahaa.n kii us ko ne.amat mil ga.iiho ga.ii jis par inaayat ilm kiisurKH-ruu hotaa hai vo ik din zaruurrahtii hai jis dil ko chaahat ilm kiitaKHt-e-shaahii kyaa hai miltaa hai KHudaais se ba.Dh kar kyaa ho barakat ilm kiikyo.n kisii ke aage vo phailaa.e haathhaath aa.ii jis ke daulat ilm kiihai ye kunjii aish aur aaraam kiikyaa bataa.uu.n qadr-o-qiimat ilm kiisaarii duniyaa paa rahii hai jis se faizhai haqiiqat me.n vo daulat ilm kiijaan se is ko samajhte hai.n aziizjin pe raushan hai haqiiqat ilm kiiho vo bachcha yaa ho buu.Dhaa yaa javaanhar kisii ko hai zaruurat ilm kiijaa.o 'jauhar' har kahii.n be-KHauf tumko.ii luuTegaa na daulat ilm kii
meraa bachpan bhii KHuub bachpan thaamerii duniyaa bhii KHuubsuurat thiidil me.n dahshat thii ko.ii aur na KHaufdosto.n me.n ba.Dii mohabbat thiidekhte dekhte javaan hu.aaaur duniyaa badal ga.ii meriipyaar ke jis pe phuul khilte thevo hasii.n shaaKH jal ga.ii meriiaaj aalam na puuchhiye mujh sehar taraf ek KHauf taarii haipyaar kaa gulsitaa.n thaa jo bhaaratus me.n nafrat kii jang jaarii haieid hotii to hai baroz-e-eideid kii sii KHushii nahii.n hotiidiip jalte to hai.n divaalii kepyaar kii raushnii nahii.n hotiiphir unhii.n saa.ato.n ko lauTaa deai KHudaa-vand ai mire ma.abuudphir ye hangaama ai KHudaa kyaa haijab ki tujh bin nahii.n ko.ii maujuud
tausiif-e-be-kanaar kaa haqdaar aadmiiduniyaa-e-shash-jihaat kaa sardaar aadmiisach puuchhiye agar to hai dono.n jahaan me.ntaKHliiq-e-zul-jalaal kaa shahkaar aadmii
kis se puuchhiye jaa kar kyo.n biga.D ga.e bachcheaatishii.n khilauno.n se khelne lage bachchekuchh na.e taqaaze hai.n is na.e zamaane keab kahaa.n machalte hai.n chaa.nd ke liye bachchekho ga.e ta.assub ke be-karaa.n a.ndhero.n me.nshahr kii fazaa.o.n me.n mere gaa.nv ke bachchedo-gha.Dii la.Daa.ii hai phir vahii safaa.ii haiham ba.Do.n se achchhe hai.n be-shu.uur se bachcheik qadam bhii phir aage mai.n na chal sakaa 'shaahid'jab ka.Dii masaafat me.n yaad aa ga.e bachche
kyuu.n mujhe terii chaah haius ko kyuu.n puuchhiye
ashk-baarii na puuchhiye ham seaa.nkh saavan kii raat lagtii hai
dil me.n hujuum-e-shauq-o-tamannaa abhii se haiaa.nkho.n me.n ik suruur kii duniyaa abhii se haihaazir nahii.n hu.e hai.n abhii bazm-e-dost me.nlekin KHayaal-e-mahv-e-tamaashaa abhii se haianfaas me.n abhii se hai ik hashr-e-iztiraabehsaas me.n qayaamat-e-suGraa abhii se haihar har KHayaal me.n hai abhii se bahaar-e-husnhar har nazar me.n barq-e-tajallii abhii se haibazm-e-tasavvuraat kaa aalam na puuchhiyezoro.n pe mehr-o-maah kaa dhokaa abhii se haikitne hijaab hai.n nigah-e-shauq par abhiiaur saamne vo chehra-e-zebaa abhii se haisaaqii nahii.n sharaab nahii.n mai-kada nahii.nlekin fazaa me.n mastii-e-sahbaa abhii se haivo aaftaab-e-husn abhii ruu-ba-ruu nahii.nhastii tamaam rashk-e-surayyaa abhii se haiKHud husn ne diyaa bhii nahii.n hai javaab-e-ishqaur ishq hai ki husn-e-saraapaa abhii se haivo aa.e bhii nahii.n hai.n nigaaho.n ke saamneho.nTo.n pe ik latiif saa shikva abhii se haihai.n kitnii duur husn kii aaGosh-e-naaz selekin supurdagii kii tamanna abhii se haiaur phir is ehtimaam-e-huzuurii ke baavajuudkyaa jaane kyo.n firaaq kaa KHatra abhii se hai
ik jaaduu.ii khilaunaa haatho.n pe dhar liye hai.nbachche javaan buu.Dhe sab is se khelte hai.naa.nkhe.n ga.Dii hu.ii hai.n aur u.ngliyaa.n hai.n raqsaa.nduniyaa kii sair is me.n sab lutf ke hai.n saamaa.ntasviir o film is me.n youtube radio bhiibhaashan bhajan tilaavat naGmaat-e-radio bhiicamera-o-conferencing hai.n ehtimaam saarehar ghar me.n har galii me.n is ke Gulaam saaresach puuchhiye to ye hai jaaduu kaa ik khilaunaahai is me.n sar khapaanaa umr-e-aziiz khonaagumraahiyo.n ke raste is me.n khule hu.e hai.nis raah-e-ilm me.n bhii Daaku chhupe hu.e hai.nmiilo.n kii duuriyaa.n hai.n pal me.n ubuur kartaadil duuriyaa.n bhii achchhaa hotaa jo duur kartaa
hai shahad se bhii miiThii urdu zabaa.n hamaariisach puuchhiye to ye hai taskiin-e-jaa.n hamaariidil kaa suruur hai ye aa.nkho.n kaa nuur hai yeurdu zabaa.n ke ham hai.n urdu zabaa.n hamaariihindostaa.n se chal kar europe pahu.nch ga.ii haiduniyaa pe chhaa rahii hai urdu zabaa.n hamaariiham hindiyo.n ne is ko sau chochalo.n se paalaaurdu hai aaj vaahid qaumii zabaa.n hamaariivaahid ho qaum apnii vaahid zabaan apniibe-shak jabhii karegaa izzat jahaa.n hamaariijab tak jiye.nge KHidmat urdu kii ham kare.ngeurdu hai zindagii kii ruuh-o-ravaa.n hamaariiaasaan aur shiirii.n dilchasp aur piyaariihai har zabaa.n se ba.Dh kar urdu zabaa.n hamaarii
mahaaz-e-jang se lauTe hu.e sipaahii sejo puuchhiye ki hai bachcho.n kaa shor-o-GauGaa kyaato vo kahegaa ki ye shor hai sukuu.n kaa amii.nsivaa.e is ke hai raahat kii aur duniyaa kyaamagar clerk jo daftar se shaam ko lauTeisii savaal kaa shaayad javaab ye degaasukuun-e-qalb kaa dushman ye gul-Gapaa.Daa haiye rog vo hai jo ik roz jaan le legaa
fikr-e-ma.aal hai kise fardaa kii fikr haido gaz zamii.n bahut hai mire jism ke liyevaqt-e-safar na puuchhiye kyuu.nkar ki ham chale'ahd-e-vafaa ko to.D ke qaid-e-jafaa hu.emanzil tumhaarii aaKHirash aisii na thii kabhiikahte na the ki aasmaa.n ro.egaa ek dinahl-e-sitam kafan ko bhii tarse.nge ek dindaar-o-rasan kii bazm sajegii na phir kabhiimaqtal me.n hogii chaar-suu haq aur sach kii dhuumik din havaa ke zor ko honaa hai KHatm-shudbaad-e-sabaa machal ke sunaa.egii ye KHabarruKHsat KHizaa.n kaa baaG-e-jahaa.n se nasiib haiab jashn-e-nau-bahaar kii aamad qariib hai
ye kaisaa ishq hai urdu zabaa.n kaa,mazaa ghultaa hai lafzo.n kaa zabaa.n parki jaise paan me.n mah.ngaa qimaam ghultaa haiye kaisaa ishq hai urdu zabaa.n kaa....nasha aataa hai urdu bolne me.ngilaurii kii tarah hai.n mu.nh lagii sab istelaahe.nlutf detii hai, halaq chhuutii hai urdu to, halaq se jaise mai kaa gho.nT utartaa haiba.Dii aristocracy hai zabaa.n me.nfaqiirii me.n navaabii kaa mazaa detii hai urduagarche ma.anii kam hote hai urdu me.nalfaaz kii ifraat hotii haimagar phir bhii, buland aavaaz pa.Dhiye to bahut hii mo'tabar lagtii hai.n baate.nkahii.n kuchh duur se kaano.n me.n pa.Dtii hai agar urduto lagtaa hai ki din jaa.Do.n ke hai.n khi.Dkii khulii hai, dhuup andar aa rahii haiajab hai ye zabaa.n, urdukabhii kahii.n safar karte agar ko.ii musaafir sher pa.Dh de 'miir', 'Gaalib' kaavo chaahe ajnabii ho, yahii lagtaa hai vo mere vatan kaa haiba.Dii shaa.ista lahje me.n kisii se urdu sun karkyaa nahii.n lagtaa ki ek tahziib kii aavaaz hai, urdu
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books