aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "samaa.at"
nahii.n minnat-kash-e-taab-e-shuniidan daastaa.n meriiKHamoshii guftuguu hai be-zabaanii hai zabaa.n meriiye dastuur-e-zabaa.n-bandii hai kaisaa terii mahfil me.nyahaa.n to baat karne ko tarastii hai zabaa.n meriiuThaa.e kuchh varaq laale ne kuchh nargis ne kuchh gul nechaman me.n har taraf bikhrii hu.ii hai daastaa.n meriiu.Daa lii qumriyo.n ne tuutiyo.n ne andaliibo.n nechaman vaalo.n ne mil kar luuT lii tarz-e-fuGaa.n meriiTapak ai sham.a aa.nsuu ban ke parvaane kii aa.nkho.n sesaraapaa dard huu.n hasrat bharii hai daastaa.n meriiilaahii phir maza kyaa hai yahaa.n duniyaa me.n rahne kaahayaat-e-jaavedaa.n merii na marg-e-naa-gahaa.n meriimiraa ronaa nahii.n ronaa hai ye saare gulistaa.n kaavo gul huu.n mai.n KHizaa.n har gul kii hai goyaa KHizaa.n meriidarii.n hasrat saraa umriist afsuun-e-jaras daaramz faiz-e-dil tapiidan-haa KHarosh-e-be-nafas daaramriyaaz-e-dahr me.n naa-aashnaa-e-bazm-e-ishrat huu.nKHushii rotii hai jis ko mai.n vo mahruum-e-masarrat huu.nmirii big.Dii hu.ii taqdiir ko rotii hai goyaa.iimai.n harf-e-zer-e-lab sharminda-e-gosh-e-samaa.at huu.npareshaa.n huu.n mai.n musht-e-KHaak lekin kuchh nahii.n khultaasikandar huu.n ki aa.iina huu.n yaa gard-e-kuduurat huu.nye sab kuchh hai magar hastii mirii maqsad hai qudrat kaasaraapaa nuur ho jis kii haqiiqat mai.n vo zulmat huu.nKHaziina huu.n chhupaayaa mujh ko musht-e-KHaak-e-sahraa nekisii ko kyaa KHabar hai mai.n kahaa.n huu.n kis kii daulat huu.nnazar merii nahii.n mamnuun-e-sair-e-arsa-e-hastiimai.n vo chhoTii sii duniyaa huu.n ki aap apnii vilaayat huu.nna sahbaa huu.n na saaqii huu.n na mastii huu.n na paimaanamai.n is mai-KHaana-e-hastii me.n har shai kii haqiiqat huu.nmujhe raaz-e-do-aalam dil kaa aa.iina dikhaataa haivahii kahtaa huu.n jo kuchh saamne aa.nkho.n ke aataa haiataa aisaa bayaa.n mujh ko hu.aa ra.ngii.n-bayaano.n me.nki baam-e-arsh ke taa.ir hai.n mere ham-zabaano.n me.nasar ye bhii hai ik mere junuun-e-fitna-saamaa.n kaamiraa aa.iina-e-dil hai qazaa ke raaz-daano.n me.nrulaataa hai tiraa nazzaara ai hindostaa.n mujh koki ibrat-KHez hai teraa fasaana sab fasaano.n me.ndiyaa ronaa mujhe aisaa ki sab kuchh de diyaa goyaalikhaa kalk-e-azal ne mujh ko tere nauha-KHvaano.n me.nnishaan-e-barg-e-gul tak bhii na chho.D us baaG me.n gulchii.ntirii qismat se razm-aaraa.iyaa.n hai.n baaGbaano.n me.nchhupaa kar aastii.n me.n bijliyaa.n rakkhii hai.n garduu.n neanaadil baaG ke Gaafil na baiThe.n aashiyaano.n me.nsun ai Gaafil sadaa merii ye aisii chiiz hai jis kovaziifa jaan kar pa.Dhte hai.n taa.ir bostaano.n me.nvatan kii fikr kar naadaa.n musiibat aane vaalii haitirii barbaadiyo.n ke mashvare hai.n aasmaano.n me.nzaraa dekh us ko jo kuchh ho rahaa hai hone vaalaa haidharaa kyaa hai bhalaa ahd-e-kuhan kii daastaano.n me.nye KHaamoshii kahaa.n tak lazzat-e-fariyaad paidaa karzamii.n par tuu ho aur terii sadaa ho aasmaano.n me.nna samjhoge to miT jaa.oge ai hindostaa.n vaalotumhaarii daastaa.n tak bhii na hogii daastaano.n me.nyahii aa.iin-e-qudrat hai yahii usluub-e-fitrat haijo hai raah-e-amal me.n gaam-zan mahbuub-e-fitrat haihuvaidaa aaj apne zaKHm-e-pinhaa.n kar ke chho.Duu.ngaalahuu ro ro ke mahfil ko gulistaa.n kar ke chho.Duu.ngaajalaanaa hai mujhe har sham-e-dil ko soz-e-pinhaa.n setirii taariik raato.n me.n charaaGaa.n kar ke chho.Duu.ngaamagar Guncho.n kii suurat huu.n dil-e-dard-aashnaa paidaachaman me.n musht-e-KHaak apnii pareshaa.n kar ke chho.Duu.ngaapironaa ek hii tasbiih me.n in bikhre daano.n kojo mushkil hai to is mushkil ko aasaa.n kar ke chho.Duu.ngaamujhe ai ham-nashii.n rahne de shaGl-e-siina-kaavii me.nki mai.n daaG-e-mohabbat ko numaayaa.n kar ke chho.Duu.ngaadikhaa duu.ngaa jahaa.n ko jo mirii aa.nkho.n ne dekhaa haitujhe bhii suurat-e-aa.iina hairaa.n kar ke chho.Duu.ngaajo hai pardo.n me.n pinhaa.n chashm-e-biinaa dekh letii haizamaane kii tabii.at kaa taqaazaa dekh letii haikiyaa rif.at kii lazzat se na dil ko aashnaa tuu negizaarii umr pastii me.n misaal-e-naqsh-e-paa tuu nerahaa dil-basta-e-mahfil magar apnii nigaaho.n kokiyaa bairuun-e-mahfil se na hairat-aashnaa tuu nefidaa kartaa rahaa dil ko hasiino.n kii adaa.o.n parmagar dekhii na us aa.iine me.n apnii adaa tuu neta.assub chho.D naadaa.n dahr ke aa.iina-KHaane me.nye tasviire.n hai.n terii jin ko samjhaa hai buraa tuu nesaraapaa naala-e-bedaad-e-soz-e-zindagii ho jaasapand-aasaa girah me.n baa.ndh rakkhii hai sadaa tuu nesafaa-e-dil ko kyaa aaraa.ish-e-ra.ng-e-ta.alluq sekaf-e-aa.iina par baa.ndhii hai o naadaa.n hinaa tuu nezamii.n kyaa aasmaa.n bhii terii kaj-biinii pe rotaa haiGazab hai satr-e-qur.aa.n ko chaliipaa kar diyaa tuu nezabaa.n se gar kiyaa tauhiid kaa daavaa to kyaa haasilbanaayaa hai but-e-pindaar ko apnaa KHudaa tuu neku.e.n me.n tuu ne yuusuf ko jo dekhaa bhii to kyaa dekhaaare Gaafil jo mutlaq thaa muqayyad kar diyaa tuu nehavas baalaa-e-mimbar hai tujhe ra.ngii.n-bayaanii kiinasiihat bhii tirii suurat hai ik afsaana-KHvaanii kiidikhaa vo husn-e-aalam-soz apnii chashm-e-pur-nam kojo ta.Dpaataa hai parvaane ko rulvaataa hai shabnam kozaraa nazzaara hii ai bul-havas maqsad nahii.n us kaabanaayaa hai kisii ne kuchh samajh kar chashm-e-aadam koagar dekhaa bhii us ne saare aalam ko to kyaa dekhaanazar aa.ii na kuchh apnii haqiiqat jaam se jam koshajar hai firqa-aaraa.ii ta.assub hai samar us kaaye vo phal hai ki jannat se nikalvaataa hai aadam kona uTThaa jazba-e-KHurshiid se ik barg-e-gul tak bhiiye rif.at kii tamannaa hai ki le u.Dtii hai shabnam kophiraa karte nahii.n majruuh-e-ulfat fikr-e-darmaa.n me.nye zaKHmii aap kar lete hai.n paidaa apne marham komohabbat ke sharar se dil saraapaa nuur hotaa haizaraa se biij se paidaa riyaaz-e-tuur hotaa haidavaa har dukh kii hai majruuh-e-teG-e-aarzuu rahnaailaaj-e-zaKHm hai aazaad-e-ehsaan-e-rafuu rahnaasharaab-e-be-KHudii se taa-falak parvaaz hai meriishikast-e-ra.ng se siikhaa hai mai.n ne ban ke buu rahnaathame kyaa diida-e-giryaa.n vatan kii nauha-KHvaanii me.nibaadat chashm-e-shaa.ir kii hai har dam baa-vazuu rahnaabanaa.e.n kyaa samajh kar shaaKH-e-gul par aashiyaa.n apnaachaman me.n aah kyaa rahnaa jo ho be-aabruu rahnaajo tuu samjhe to aazaadii hai poshiida mohabbat me.nGulaamii hai asiir-e-imtiyaaz-e-maa-o-tuu rahnaaye istiGnaa hai paanii me.n niguu.n rakhtaa hai saaGar kotujhe bhii chaahiye misl-e-habaab-e-aabjuu rahnaana rah apno.n se be-parvaa isii me.n KHair hai teriiagar manzuur hai duniyaa me.n o begaana-KHuu rahnaasharaab-e-ruuh-parvar hai mohabbat nau-e-insaa.n kiisikhaayaa is ne mujh ko mast be-jaam-o-subuu rahnaamohabbat hii se paa.ii hai shifaa biimaar qaumo.n nekiyaa hai apne baKHt-e-KHufta ko bedaar qaumo.n nebayaabaan-e-mohabbat dasht-e-Gurbat bhii vatan bhii haiye viiraana qafas bhii aashiyaana bhii chaman bhii haimohabbat hii vo manzil hai ki manzil bhii hai sahraa bhiijaras bhii kaarvaa.n bhii raahbar bhii raahzan bhii haimaraz kahte hai.n sab is ko ye hai lekin maraz aisaachhupaa jis me.n ilaaj-e-gardish-e-charKH-e-kuhan bhii haijalaanaa dil kaa hai goyaa saraapaa nuur ho jaanaaye parvaana jo sozaa.n ho to sham-e-anjuman bhii haivahii ik husn hai lekin nazar aataa hai har shai me.nye shiirii.n bhii hai goyaa be-sutuu.n bhii kohkan bhii haiujaa.Daa hai tamiiz-e-millat-o-aa.ii.n ne qaumo.n komire ahl-e-vatan ke dil me.n kuchh fikr-e-vatan bhii haisukuut-aamoz tuul-e-daastaan-e-dard hai varnazabaa.n bhii hai hamaare mu.nh me.n aur taab-e-suKHan bhii hainamii-gardiid ko tah rishta-e-ma.anii rihaa kardamhikaayat buud be-paayaa.n ba-KHaamoshii adaa kardam
vo ek tarz-e-suKHan kii KHushbuuvo ek mahkaa hu.aa takallumlabo.n se jaise gulo.n kii baarishki jaise jharnaa saa gir rahaa hoki jaise KHushbuu bikhar rahii hoki jaise resham ulajh rahaa hoajab balaaGat thii guftuguu me.nravaa.n thaa dariyaa fasaahato.n kaavo ek maktab thaa aagahii kaavo ilm-o-daanish kaa mai-kada thaavo qalb aur zehn kaa tasaadumjo guftuguu me.n ravaa.n-davaa.n thaavo us ke alfaaz kii ravaaniivo us kaa ruk ruk ke baat karnaavo sho.ala-e-lafz aur ma.aaniikahii.n lapaknaa kahii.n ThaharnaaThahar ke phir vo kalaam karnaabahut se jazbo.n kii parda-daariibahut se jazbo.n ko aam karnaajo mai.n ne puuchhaaguzishta shab ke mushaa.ere me.n bahut se shaidaa.ii muntazir themujhe bhii ye hii pata chalaa thaa ki aap tashriif laa rahe hai.nmagar hu.aa kyaazaraa tavaqquf ke baa'd bole nahii.n gayaa mai.nna jaa sakaa mai.nsuno hu.aa kyaamai.n KHud ko maa.il hii kar na paayaaye merii haalat merii tabii.atphir us pe merii ye bad-mizaajii-o-bad-havaasiiye vahshat-e-dilmiyaa.n haqiiqat hai ye bhii sun lo ki ab hamaare mushaa.ere bhiinahii.n hai.n un vahshato.n ke haamiljo merii taqdiir ban chukii hai.njo merii tasviir ban chukii hai.njo merii taqsiir ban chukii hai.nphir ik tavaqqufki jis tavaqquf kii kaifiyat par garaa.n samaa.at guzar rahii thiius ek saa.at kaa haath thaame ye ik vazaahat guzar rahii thiiadab-farosho.n ne jaahilo.n ne mushaa.ere ko bhii ik tamaasha banaa diyaa haiGazal kii taqdiis luuT lii hai adab ko mujraa banaa diyaa haisuKHan-varo.n ne bhii jaane kyaa kyaa hamaare hisse me.n rakh diyaa haisitam to ye hai ki chiiKH ko bhii suKHan ke zumre me.n rakh diyaa haiilaahii taubasamaa.ato.n me.n KHaraashe.n aane lagii hai.n ab aur shigaaf zehno.n me.n pa.D ga.e hai.nmiyaa.n hamaare qadam to kab ke zamii.n me.n KHiffat se ga.D ga.e hai.nKHamoshiyo.n ke dabiiz kohre se chand lamho.n kaa phir guzarnaavo jaise KHud ko udaasiyo.n ke samundaro.n me.n talaash karnaavo jaise phir surma.ii ufuq par sitaare alfaaz ke ubharnaaye zindagii se jo be-niyaazii hai kis liye haiye roz-o-shab kii jo bad-havaasii hai kis liye haibas itnaa samjhoki KHud ko barbaad kar chukaa huu.nsuKHan to aabaad KHair kyaa homagar jahaa.n dil dha.Dak rahe ho.n vo shahr aabaad kar chukaa huu.nbachaa hii kyaa haithaa jis ke aane kaa KHauf mujh ko vo ek saa.at guzar chukii haivo ek saf.ha ki jis pe likkhaa thaa zindagii ko vo kho chukaa haikitaab-e-hastii bikhar chukii haipa.Dhaa thaa mai.n ne bhii zindagii komagar tasalsul nahii.n thaa us me.nidhar-udhar se yahaa.n vahaa.n se ajab kahaanii ga.Dhii ga.ii thiisamajh me.n aa.ii na is liye bhii ke darmiyaa.n se pa.Dhii ga.ii thiisamajhtaa kaisena falsafii mai.n na ko.ii aalimuquubato.n ke safar pe niklaa mai.n ik sitaara huu.n aagahii kaaajal ke haatho.n me.n haath Daale ik isti.aara huu.n zindagii kaaitaab naazil hu.aa hai jis par mai.n vo hii ma.atuub aadmii huu.nsitamgaro.n ko talab hai jis kii mai.n vo hii matluub aadmii huu.nkabhii mohabbat ne ye kahaa thaa mai.n ek mahbuub aadmii huu.nmagar vo zarb-e-jafaa pa.Dii hai ki ek mazruub aadmii huu.nmai.n ek bekal saa aadmii huu.n bahut hii bojhal saa aadmii huu.nsamajh rahii hai ye duniyaa mujh ko mai.n ek paagal saa aadmii huu.nmagar ye paagal ye niim-vahshii KHirad ke maaro.n se muKHtalif haijo kahnaa chaahaa thaa kah na paayaakahaa gayaa jo use ye duniyaa samajh na paa.iina baat ab tak kahii ga.ii haina baat ab tak sunii ga.ii haisharaab-o-sh.er-o-shu.uur kaa jo ik ta'alluq hai us ke baare me.n raa.e kyaa haisunaa hai ham ne ki aap par bhii bahut se fatve lage hai.n lekinsharaab-noshii haraam hai toye mas.ala bhii ba.Daa ajab haimai.n ek mai-kash huu.n ye to sach haimagar ye mai-kash kabhii kisii ke lahuu se sairaab kab hu.aa haihamesha aa.nsuu piye hai.n us ne hamesha apnaa lahuu piyaa haiye bahs chho.Do haraam kyaa hai halaal kyaa hai azaab kyaa hai savaab kyaa haisharaab kyaa haiaziyyato.n se najaat hai ye hayaat hai yesharaab-o-shab aur shaa.irii ne ba.Daa sahaaraa diyaa hai mujh kosambhaal rakkhaa sharaab ne aur rahii hai mohsin ye raat meriiisii ne mujh ko diye dilaase sunii hai is ne hii baat meriihamesha mere hii saath jaagii hamesha mere hii saath so.iimai.n KHush hu.aa to ye muskuraa.ii mai.n ro diyaa to ye saath ro.iiye sher-go.ii hai KHud-kalaamii kaa ik zariiyaisii zariiye isii vasiile se mai.n ne KHud se vo baate.n kii hai.njo duusro.n se mai.n kah na paayaaharaam kyaa hai halaal kyaa hai ye sab tamaashe hai.n muftiyo.n keye saare fitne hai.n maulvii keharaam kar dii thii KHud-kushii bhii ki apnii marzii se mar na paa.eye mai-kashii bhii haraam Thahrii ki ham ko apnaa lahuu bhii piine kaa haq nahii.n haiki apnii marzii se ham ko jiine kaa haq nahii.n haikise bataa.e.nzamiir-o-zarf-e-bashar pe mauquuf hai.n masaa.ilsamundaro.n me.n u.nDel jitnii sharaab chaahena harf paanii pe aa.egaa aur na us kii taqdiis KHatm hogiito mai-kashii ko haraam kahne se pahle dekhoki piine vaale kaa zarf kyaa hai hai.n kis ke haatho.n me.n jaam-o-miinaaye nukta-sanjii ye nukta-daanii jo maulvii kii samajh me.n aatii to baat bantiina diin-o-maz.hab ko jis ne samjhaa na jis ne samjhaa hai zindagii kotahuuraa piine kii baat kar ke haraam kahtaa hai mai-kashii kojo diin-o-maz.hab kaa zikr aayaa to mai.n ne puuchhaaki is havaale se raa.e kyaa haiye KHud-parastii KHudaa-parastii ke darmiyaa.n kaa jo faasla haijo ik KHalaa hai ye kyaa balaa haiye diin-o-maz.hab faqat kitaabe.nba-juz kitaabo.n ke aur kyaa haikitaabe.n aisii jinhe.n samajhne kii koshishe.n kam hai.n aur ziyaada pa.Dhaa gayaa haikitaabe.n aisii ki aam insaa.n ko in ke pa.Dhne kaa haq hai lekininhe.n samajhne kaa haq na hargiz diyaa gayaa haiki in kitaabo.n pe diin-o-maz.hab ke Thekedaar ijaara-daaro.n kii dastaras haiisii liye to ye diin-o-maz.hab fasaad-o-fitna bane hu.e hai.nye diin-o-maz.habjo ilm-o-hikmat ke saath ho to sukuun hogaajo dastaras me.n ho jaahilo.n kii junuun hogaaye ishq kyaa hai ye husn kyaa haiye zindagii kaa javaaz kyaa haiye tum ho jii jii ke mar rahe ho ye mai.n huu.n mar mar ke jii rahaa huu.nye raaz kyaa haihai kyaa haqiiqat majaaz kyaa haisivaa.e KHvaabo.n ke kuchh nahii.n haiba-juz saraabo.n ke kuchh nahii.n haiye ik safar hai tabaahiyo.n kaa udaasiyo.n kii ye rahguzar haina is ko duniyaa kaa ilm ko.ii na is ko apnii ko.ii KHabar haikabhii kahii.n par nazar na aa.e kabhii har ik shai me.n jalva-gar haikabhii ziyaa.n hai kabhii zarar haina KHauf is ko na kuchh KHatar haikabhii KHudaa hai kabhii bashar haihu.aa haqiiqat se aashnaa to ye suu-e-daar-o-rasan gayaa haikabhii ha.nsaa hai ye zer-e-KHanjar kabhii ye suulii pe ha.ns diyaa haikabhii ye gulnaar ho gayaa hai sinaa.n pe guftaar ho gayaa haikabhii hu.aa hai ye Garq-e-dariyaakabhii ye taqdiir-e-dasht-o-sahraaraqam hu.aa hai ye aa.nso.o.n me.nkabhii lahuu ne hai is ko likkhaahikaayat-e-dil hikaayat-e-jaa.n hikaayat-e-zindagii yahii haiagar saliiqe se likkhii jaa.e ibaarat-e-zindagii yahii haiye husn hai us dhanak kii suuratki jis ke ra.ngo.n kaa falsafa hii kabhii kisii par nahii.n khulaa haiye falsafa jo fareb-e-paiham kaa silsila haiki is ke ra.ngo.n me.n ik ishaara hai be-ruKHii kaaik isti.aara hai zindagii kaakabhii alaamat hai shoKHiyo.n kiikabhii kinaaya hai saadgii kaabadalte mausam kii kaifiyat ke hai.n rang pinhaa.n isii dhanak me.nkashish sharaarat-o-jaazbiyyat ke shoKH ra.ngo.n ne is dhanak ko ajiib paikar ataa kiyaa hai ik aisaa manzar ataa kiyaa haiki jis ke sehr-o-asar me.n aa karlahuu bahut aa.nkhe.n ro chukii hai.n bahut to biinaa.ii kho chukii hai.nbasaarte.n kyaa basiirate.n bhii to aql-o-daanaa.ii kho chukii hai.nna jaane kitne hii rang maKHfii hai.n is dhanak me.nbas ek ra.ng-e-vafaa nahii.n hai.nis ek ra.ngat kii aarzuu ne lahuu rulaayaa hai aadmii koyahii bataayaa hai aagahii koye ik chhalaavaa hai zindagii kaahasiin dhoka hai zindagii kaamagar muqaddar hai aadmii kaafareb-e-gandum samajh me.n aayaa to mai.n ne jaanaaye ishq kyaa hai ye husn kyaa haiye ek laGzish hai jis ke dam se hayaat-e-nau kaa bharam khulaa hai
kahii.n nahii.n hai kahii.n bhii nahii.n lahuu kaa suraaGna dast-o-naaKHun-e-qaatil na aastii.n pe nishaa.nna surKHi-e-lab-e-KHanjar na ra.ng-e-nok-e-sinaa.nna KHaak par ko.ii dhabbaa na baam par ko.ii daaGkahii.n nahii.n hai kahii.n bhii nahii.n lahuu kaa suraaGna sarf-e-KHidmat-e-shaahaa.n ki KHuu.n-bahaa detena dii.n kii nazr ki bai.aana-e-jazaa detena razm-gaah me.n barsaa ki mo'tabar hotaakisii alam pe raqam ho ke mushtahar hotaapukaartaa rahaa be-aasraa yatiim lahuukisii ko bahr-e-samaa.at na vaqt thaa na dimaaGna mudda.ii na shahaadat hisaab paak hu.aaye KHuun-e-KHaak-nashiinaa.n thaa rizq-e-KHaak hu.aa
vahii narm lahjajo itnaa mulaa.em hai jaisedhanak giit ban ke samaa.at ko chhuune lagii hoshafaq narm komal suro.n me.n ko.ii pyaar kii baat kahne chalii hokis qadar rang-o-aahang kaa kis qadar KHuubsuurat safarvahii narm lahjakabhii apne maKHsuus andaaz me.n mujh se baate.n karegaato aisaa lagejaise resham ke jhuule pe ko.ii madhur giit halkore lene lagaa hovahii narm lahjakisii shoKH lamhe me.n us kii ha.nsii ban ke bikhreto aisaa lagejaise qaus-e-quzah ne kahii.n paas hii apnii paazeb chhankaa.ii haiha.nsii ko vo rim-jhimki jaise fazaa me.n banafshii chamakdaar buu.ndo.n ke ghu.nghruu chhanakne lage ho.nki phirus kii aavaaz kaa lams paa kehavaa.o.n ke haatho.n me.n an-dekhe ka.ngan khanakne lage ho.nvahii narm lahja mujhe chhe.Dne par jab aa.eto aisaa lagegaajaise saavan kii chanchal havaasabz patto.n ke jhaa.njhan pahansurKH phuulo.n kii paa.el bajaatii hu.iimere ruKHsaar kogaahe gaahe sharaare se chhuune lagemai.n jo dekhuu.n palaT ke to vobhaag jaa.e magarduur pe.Do.n me.n chhup kar ha.nseaur phir nanhe bachcho.n kii maanind KHush ho ke taalii bajaane lagevahii narm lahjaki jis ne mire zaKHm-e-jaa.n pe hamesha shagufta gulaabo.n kii shabnam rakhii haibahaaro.n ke pahle parinde kii maanind haijo sadaa aane vaale na.e sukh ke mausam kaa qaasid banaa haiusii narm lahje ne phir mujh ko aavaaz dii hai
tumhe.n jab dekhtaa huu.nto mirii aa.nkho.n pe ra.ngo.n kii phuvaare.n pa.Dne lagtii hai.ntumhe.n suntaa huu.nto mujh ko qadiimii mandiro.n se ghanTiyo.n aur masjido.n se vird kii aavaaz aatii haitumhaaraa naam letaa huu.nto sadiyo.n qabl ke laakho.n sahiifo.n ke muqaddas lafz meraa saath dete hai.ntumhe.n chhuu luu.nto duniyaa-bhar ke resham kaa mulaa.em-pan mirii poro.n ko aa kar gudgudaataa haitumhe.n gar chuum luu.nto mere ho.nTo.n par uluuhii aasmaanii naa-chashiida zaa.iqe yuu.n phail jaate hai.nki us ke baa'd mujh ko shahd bhii phiikaa saa lagtaa haitumhe.n jab yaad kartaa huu.nto har har yaad ke sadqe me.n ashko.n ke parinde chuum kar aazaad kartaa huu.ntumhe.n ha.nstii hu.ii sun luu.nto saato.n sur samaa.at me.n samaa kar raqs karte hai.nkabhii tum ruuThtii hoto mirii saa.nse.n aTakne aur dha.Dkan thamne lagtii hai
mirii nigaah ko ab bhii tirii zaruurat haidil-e-tabaah ko ab bhii tirii zaruurat haiKHarosh-e-naala ta.Daptaa hai terii furqat me.nsukuut-e-aah ko ab bhii tirii zaruurat haiye sub.h-o-shaam tirii justujuu me.n phirte hai.nki mehr-o-maah ko ab bhii tirii zaruurat haibahaar-e-zulf pareshaa.n liye hai gulshan me.ngul-o-giyaah ko ab bhii tirii zaruurat haizamaana Dhuu.nD rahaa hai ko.ii nayaa tuufaa.nsukuun-e-raah ko ab bhii tirii zaruurat haivo valvale vo uma.nge.n vo justujuu na rahiitirii sipaah ko ab bhii tirii zaruurat haiKHirad KHamosh junuu.n be-KHarosh hai ab takdil-o-nigaah ko ab bhii tirii zaruurat haibayaa.n ho Gam kaa fasaana dil-e-tapaa.n se kahaa.nye baar uTThegaa mirii jaan-e-naa-tavaa.n se kahaa.nmilaa na phir kahii.n lutf-e-kalaam tere ba.adhadiis-e-shauq rahii naa-tamaam tere ba.adjo tere dast-e-havaadis shikan me.n dekhii thiivo teG phir na hu.ii be-niyaam tere ba.adbujhii bujhii sii tabii.at hai baada-KHvaaro.n kiiudaas udaas hai.n miinaa-o-jaam tere ba.adbanaa hai harf-e-shikaayat sukuut-e-laala-o-gulbadal gayaa hai chaman kaa nizaam tere ba.adadaa-e-husn kaa lutf-e-KHiraam be-ma.aniisuruud-e-shauq kii lazzat haraam tere ba.adtaras ga.ii hai samaa.at tirii sadaa.o.n kosunaa na phir kahii.n teraa payaam tere ba.advo inqalaab kii ruu phir palaT ga.ii afsosbuland baam hai.n phir zer-e-daam tere ba.admisaal-e-najm-e-sahar jagmagaa ke Duub gayaahame.n safiina kinaare lagaa ke Duub gayaa
dukh kaa shab KHuu.n roz adhuuraa rah jaataa haiaur shanaaKHt kaa lamha biittaa jaataa haimai.n aur meraa shahr-e-mohabbattaariikii kii chaadar o.Dheraushnii kii aahaT par kaan lagaa.e kab se baiThe hai.ngho.Do.n kii Taapo.n ko sunte rahte hai.nhad-e-samaa.at se aage jaane vaalii aavaazo.n ke resham seapnii ruu-e-siyaah pe taare kaa.Dhte rahte hai.na.ngushtaa ne ik ik kar ke chhalnii hone ko aa.eab baarii a.ngusht-e-shahaadat kii aane vaalii haisub.h se pahle vo kaTne se bach jaa.e to!
ab mire shaane se lag kar kis liye rotii ho tumyaad hai tum ne kahaa thaa''jab nigaaho.n me.n chamak holafz jazbo.n ke asar se kaa.npte ho.n aur tanaffusis tarah uljhe.n ki jismo.n kii thakan KHushbuu baneto vo gha.Dii ahd-e-vafaa kii saa.at-e-naayaab haivo jo chupke se bichha.D jaate hai.n lamhe hai.n masaafatjin kii KHaatir paa.nv par pahre biThaatii hainigaahe.n dhund ke pardo.n me.n un ko Dhuu.nDtii hai.naur samaa.at un kii miiThii narm aahaT ke liyedaaman bichhaatii hai''aur vo lamha bhii tum ko yaad hogaajab havaa.e.n sard thii.n aur shaam ke maile kafan par haath rakh kartum ne lafzo.n aur ta'alluq ke na.e ma.anii bataa.e the, kahaa thaa''har gha.Dii apnii jagah par saa.at-e-naayaab haihaasil-e-umr-e-gurezaa.n ek bhii lamha nahii.nlafz dhoka hai.n ki un kaa kaam iblaaG-e-ma.aanii ke alaava kuchh nahii.nvaqt ma.anii hai jo har lahza na.e chehre badaltaa haijaane vaalaa vaqt saaya haiki jab tak jism hai ye aadmii ke saath chaltaa haiyaad misl-e-nutq paagal hai ki is ke lafz ma.anii se tahii hai.nye jise tum Gam aziyyat dard aa.nsuudukh vaGaira kah rahe hoek lamhaatii ta.assur hai tumhaaraa vahm haitum ko meraa mashvara hai, bhuul jaa.o tum se ab takjo bhii kuchh mai.n ne kahaa hai''ab mire shaane se lag kar kis liye rotii ho tum!
merii us shaam ke taare se mulaaqaat bahut gahrii thiimai.n ne taare kii rifaaqat me.n shagun kitne liyeaaj dekhaa nahii.n taaraa mai.n neaaj kii shaam jo roz aataa hai shaayad nahii.n aa.eraasta bhuul na jaa.eaaj to jald nikal aayaa hai taaraa meraaaaj kii raat mulaaqaat milegii mujh koan-kahe lafzo.n kii sauGaat milegii mujh komai.n ne taare kii rifaaqat me.n shagun kitne liyeab mai.n tanhaa huu.nbaras biit ga.e hai.n kitneko.ii taaraa nahii.n dekhaa mai.n neduur kii chiiz zaraa dhundlii nazar aatii haimerii KHvaabiida samaa.at ko jagaane ke liyesirf aavaaz-e-azaa.n aatii haiab shagun kaahe se luu.nkis ke aane kii umiide.n baa.ndhuu.nkis ke jaane se pareshaan rahuu.n
itnii afsurda aavaaz mere KHudaamerii pahlii samaa.at pe likkhii ga.iimerii pahlii hii saa.nso.n me.n gholaa gayaain shikasta se lahjo.n kaa zahriilaa-pan
merii raamaa.en adhuurii hai abhiimerii siitaaaur mujh me.n haa.il duurii hai abhiimerii siitaa udaas hairishto.n kaa phailaa ban-baas haiphirnaa hai mujhe abhiija.ngal jangal sahraa sahraa saagar saagarmeraa hamza vahii meraa lachhman hai abhiizamaana to ayyaar haisau bhes badal letaa haisaadhuu.o.n ke bahruup me.n hai.n poshiida abhiina jaane raakshash kitneaaj phirzamaane ne chhal liyaa hai mujhemerii siitaa kohaalaat ke raavan nehar liyaa hai abhiiduur bahut duurmerii nigaaho.n se ojhalsaahil samundar kii ret parvo be-sudh pa.Dii ro rahii hai abhiitaahamapnii shikasta haalii seis ne haar nahii.n maanii hai abhiivaqt ke lankeshvar ke aageus ne aatm samarpan kiyaa nahii.n hai abhiiriit me.n dha.nsii apnii nannhii sii kashtii kovo tak rahii hai Gaur seapne raam ke qadmo.n kii aahaTkii muntazir samaa.at ko sameTe hu.esaraapaa-bagosh baniidukh kii bhaTTii me.n tap ke nikhar rahii hai abhiimilan kii shubh gha.Dii kaa use abhii hai yaqiinis ke KHushk ho.nTo.n pe hai meraa hii naamraam raam raamsaahibohaqiiqat to ye hai ki raakshas baahar nahii.n hai kahii.nraakshas to KHud apne andardaruun-e-KHaana-e-dil me.n ruu-posh hai kahii.nmerii siitaamerii bholii bhaalii siitaa kointizaar us sunahre pul kaa haijab meraa Gussa shaant hogaaaur mere andar semariyaada purush raam utpann ho.nge kabhii na kabhiitab raavan apne aap hii paraast ho jaa.egaatabhii raam jii apnii siitaa koapne pahluu me.n uThaa kar le jaa.e.ngeapne dil ke singhaasan par biThaa.e.nge tabhiitabhii diip jale.ngeghar aa.ngan me.n uupar niiche chaaro.n aurtabhii din dasahraa hogaatabhii raat diivaalii hogii
KHauf ke jaziire me.n.. qaid huu.n mai.n barso.n seduur tak fasiile.n hai.naur un pe lohe kii uu.nchii uu.nchii baa.De.n hai.n,nok-daar kiile.n hai.nDaaltaa kamande.n huu.n... jail ke kinaaro.n par...KHaar-daar taaro.n parsiiTiyaa.n sii bajtii hai.n der tak samaa.at me.npahre-daar aate hai.nbe.Diyaa.n sii sajtii hai.npaa.nv ko uThaanaa, bhii haath ko hilaanaa bhiijism bhuul jaataa haijurm bhii nahii.n ma.aluum, umr bhii nahii.n ma.aluumkuchh pataa nahii.n mujh ko... us taraf fasiilo.n kekis qadar samundar haikashtiyaa.n bhii chaltii hai.n, baadbaa.n bhii khulte hai.nnuur ke jahaa.n bhii hai.n, jism ke makaa.n bhii hai.n,aadmii vahaa.n bhii hai.nchho.Diye, nahii.n jaatekyaa kare.nge baahar bhii...Thiik hai fasiilo.n me.naa.nsu.o.n kii jhiilo.n me.n chaa.nd ko utaare.ngebe-hisii ke Tiilo.n par naqsh-e-paa ubhaare.ngemaut ke glamour me.n Duub Duub jaa.e.ngeqabr ke a.ndhere se raat ko sajaa.e.ngemaut kaa fasurda-pan kitnaa KHuubsuurat haiik jahaa.n udaasii kaa bas mirii zaruurat hai!
tadfiinchaar taraf sannaaTe kii diivaare.n hai.naur markaz me.n ik taaza taaza qabr khudii haiko.ii janaaza aane vaalaa haikuchh aur nahii.n to aaj shahaadat kaa kalma sun.ne ko milegaakaano.n ke ik sadii puraane qufl khule.ngeaaj mirii qallaash samaa.at ko aavaaz kii daulat arzaanii hogiidiivaaro.n ke saa.e me.n ik bahut ba.Daa amboh numaayaa.n hotaa haijo aahista aahista qabr kii jaanib aataa haiin logo.n ke qadmo.n kii ko.ii chaap nahii.n hailab hilte hai.n lekin harf sadaa ban.ne se pahle mar jaate hai.naa.nkho.n se aa.nsuu jaarii hai.nlekin aa.nsuu to vaise bhiidil o dimaaG ke sannaaTo.n kii timsaale.n hote hai.nmayyat qabr me.n utrii haiaur hadd-e-nazar tak log bilakte hu.e dikhaa.ii dete hai.naur sirf dikhaa.ii dete hai.naur kaan dharo to sannaaTe hii sunaa.ii dete hai.njab qabr mukammal ho jaatii haiik buu.Dhaa jo ''vaqt'' nazar aataa hai apne huliye sehaatho.n me.n uThaa.e katba qabr pe jhuktaa haijab uThtaa hai to katbe kaa har harf garajne lagtaa haiye lauh-e-mazaar ''aavaaz'' kii hai!
KHizaa.n mausam nahii.n haiek lamha hai ki jis kii aarzuu me.nsabz pattehavaa kii aahaTo.n par kaan dharte hai.nguzarte vaqt me.n saa.at-ba-saa.atna.e pairaahano.n me.ngulaabii aur gahre surKH unnaabiidahakte KHushnumaa ra.ngo.n se le kar zard hone takkabhii dhiime kabhii uu.nche suro.n me.n baat kartiiKHushbu.o.n me.n bas-basaa karhavaa ke saath mahv-e-raqs honaa chaahte hai.nzamii.n kaa rizq ban jaane se pahlevahii ik ajnabii vaaraftagii aur raqs kaa lamhakahii.n par daur-e-aa.inda ke mausam kii samaa.at me.nkisii so.e hu.e ik biij me.nKHvaahish numuu kii sar uThaatii haibahut hii pyaar se har shaaKH ke patte se kahtii haiki ab rizq-e-zamii.n ban karkisii ik narm ko.npal kii numuu kaa aasraa ban jaaKHizaa.n mausam nahii.n haiik masarrat-KHez taKHliiq-e-amal kaa aasraa hai
ye jo tanhaa.ii hai shaayad mirii tanhaa.ii na hoguu.njnaa ho na samaa.at me.n sukuutaur shab-o-roz kii na.ashmerii dahliiz pe ayyaam ne dafnaa.ii na hoanginat phuul hii khilte ho.nik shajar molrii kaa ho kahii.n jis ke taleyaar aGyaar gale milte ho.naan pahu.nche ho.n KHushii ke mausamraah takte ho.n miriiaur mujh tak kisii baa.is ye KHabar aa.ii na hoho ke KHush ha.nste hu.e ahbaab tamaambhejte ho.n mujhe kab se paiGaamDhuu.nDte ho.n mujhe betaabaanaraah takte ho.n miriiaur mujh tak kisii baa.is ye KHabar aa.ii na ho
dushman ahmaq ho to meraa Gussa ba.Dhaa detaa haisaqaahat merii mu.ayyana maqtuul haiaur KHush-fahmii muqarrara mazbuuhmerii chi.nghaa.D suur-e-israafiil kaa pesh-aaha.ng hailafz kii minminaahaT se paakandhe sayyaaro.n ke Takraa.o kii maafauq-e-samaa.at ga.Dga.DaahaTaavaaz kii mukammal minhaa.ii kaa shorlikhe hu.e lafz ko bhii shaq kar detaa haiye ibaarate.n tumhaaraa saf-basta lashkar hai.nfarzii hathiyaaro.n se musallah ye lashkarjise KHayaalii qilo.n ke brij giraane kaa ba.Daa tajraba haiis kii naa-buudii merii ek chup ke faasle par hai
kisii bhii aa.nkh kii putlii pe chupke seutartii hai nishaa.n saa chho.D jaatii haiyaqii.n ke rang dhu.ndlaa kargumaa.n saa chho.D jaatii haimohabbat kaa ko.ii kulliya ko.ii qaanuunlogo.n kii samajh me.n aa nahii.n saktaako.ii bhii us ke gahre bhed hargiz paa nahii.n saktaachamaktii dhuup kii in chilchilaatii zard taaro.n sebanaa hai us ko fitrat neye sab ra.ngo.n se bartar haimagar har rang us me.n ghul gayaa goyaachhu.o to haath kii pore.n gulaabii ho.nsamaa.at me.n utartii dhiimii dhiimii chaap jaisii haikitaab-e-ziist ke bhuule hu.e se baab jaisii haimohabbat KHvaab jaisii hai
kab duur talak dekhaalarzaa.n thii zamii.n kis palkab suu-e-falak dekhaakab dasht kii tanhaa.iiaa.nkho.n me.n utar aa.iikab vahm samaa.at thiikab kho ga.ii goyaa.iikis mo.D pe hairaa.n thekis raah me.n viiraa.n theijmaal haqiiqat keshaayad na raqam ho.nge
chashm-e-be-KHvaab ko saamaan bahut!raat-bhar shahr kii galiyo.n me.n havaahaath me.n sang liyeKHauf se zard makaano.n ke dha.Dakte dil pardastake.n detii chalii jaatii hairaushnii band kivaa.Do.n se nikalte hu.e ghabraatii haihar taraf chiiKH sii chakraatii haihai.n mire dil ke liye dard ke unvaan bahut
baad ek muddat keajnabii se chehro.n me.nKHvaab KHvaab aa.nkho.n me.ndard kii samaa.at me.nbe-dilii kii saa.at me.nek ajnabii suurataashnaa nazar aa.iiKHvaab KHvaab aa.nkho.n me.nraushnii sii lahraa.iidard kii samaa.at nedil kii kuchh KHabar paa.iius ne garm-joshii se haath bhii milaayaa thaabaad ek muddat ke mai.n bhii muskuraayaa thaaus ne mere shaane ko chuum hii liyaa aaKHirmai.n bhii ek lamhe ko jhuum hii liyaa aaKHiraa.o ik zaraa sii der lawn hii me.n Tahle.ngejo bhii kahnaa sun.naa hai ho sakaa to kah le.ngeshaayad ek muddat kii bekalii bhii kal paa.eaur hamaarii qismat se chaa.nd bhii nikal aa.eik udaas sannaaTaa aur shab zamistaa.n kiibe-suKHan kahii ham ne baat dard-e-pinhaa.n kiichaa.nd ne bhii chupke se kuchh kahaa to thaa ham semere uljhe baalo.n se us kii zulf-e-barham sevo thii chaa.nd thaa mai.n thaayuu.n to kitne chehre theapnii zaat ke andarham sabhii akele thesard sard ik chehrazard zard ik chehragard gard ik chehradard-yaafta chehre hijr-yaafta chehrejaise ruu-ba-ruu apne aa.iine se rakkhe the
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books