aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "zulf"
shola-e-dard jo pahluu me.n lapak uTThegaadil kii diivaar pe har naqsh damak uTThegaahalqa-e-zulf kahii.n gosha-e-ruKHsaar kahii.nhijr kaa dasht kahii.n gulshan-e-diidaar kahii.nlutf kii baat kahii.n pyaar kaa iqraar kahii.n
mai.n banjaaravaqt ke kitne shahro.n se guzraa huu.nlekinvaqt ke is ik shahr se jaate jaate mu.D ke dekh rahaa huu.nsoch rahaa huu.ntum se meraa ye naataa bhii TuuT rahaa haitum ne mujh ko chho.Daa thaa jis shahr me.n aa karvaqt kaa ab vo shahr bhii mujh se chhuuT rahaa haimujh ko vidaa.a karne aa.e hai.nis nagrii ke saare baasiivo saare dinjin ke ka.ndhe par sotii haiab bhii tumhaarii zulf kii KHushbuusaare lamhejin ke maathe par raushanab bhii tumhaare lams kaa Tiikaanam aa.nkho.n segum-sum mujh ko dekh rahe hai.nmujh ko in ke dukh kaa pataa haiin ko mere Gam kii KHabar hailekin mujh ko hukm-e-safar haijaanaa hogaavaqt ke agle shahr mujhe ab jaanaa hogaa
gul hu.ii jaatii hai afsurda sulagtii hu.ii shaamDhul ke niklegii abhii chashma-e-mahtaab se raataur mushtaaq nigaaho.n kii sunii jaa.egiiaur un haatho.n se mas ho.nge ye tarse hu.e haatun kaa aa.nchal hai ki ruKHsaar ki pairaahan haikuchh to hai jis se hu.ii jaatii hai chilman ra.ngii.njaane us zulf kii mauhuum ghanii chhaa.nv me.nTimTimaataa hai vo aaveza abhii tak ki nahii.naaj phir husn-e-dil-aaraa kii vahii dhaj hogiivahii KHvaabiida sii aa.nkhe.n vahii kaajal kii lakiirra.ng-e-rukHsaar pe halkaa saa vo Gaaze kaa Gubaarsandalii haath pe dhu.ndlii sii hinaa kii tahriirapne afkaar kii ash.aar kii duniyaa hai yahiijaan-e-mazmuu.n hai yahii shaahid-e-ma.anii hai yahiiaaj tak surKH o siyah sadiyo.n ke saa.e ke taleaadam o havvaa kii aulaad pe kyaa guzrii hai?maut aur ziist kii rozaana saf-aaraa.ii me.nham pe kyaa guzregii ajdaad pe kyaa guzrii hai?in damakte hu.e shahro.n kii faraavaa.n maKHluuqkyuu.n faqat marne kii hasrat me.n jiyaa kartii haiye hasii.n khet phaTaa pa.Dtaa hai jauban jin kaa!kis liye in me.n faqat bhuuk ugaa kartii haiye har ik samt pur-asraar ka.Dii diivaare.njal-bujhe jin me.n hazaaro.n kii javaanii ke charaaGye har ik gaam pe un KHvaabo.n kii maqtal-gaahe.njin ke partav se charaaGaa.n hai.n hazaaro.n ke dimaaGye bhii hai.n aise ka.ii aur bhii mazmuu.n ho.ngelekin us shoKH ke aahista se khulte hu.e ho.nThaa.e us jism ke kambaKHt dil-aavez KHutuutaap hii kahiye kahii.n aise bhii afsuu.n ho.nge
vo la.al o lab ke tazkire, vo zulf o ruKH ke zamzamevo kaarobaar-e-aarzuu vo valvale, vo hamhamedil o nazar kii jaan thaa vo daur jo guzar gayaana ab kisii se dil lage na ab kahii.n nazar jamesamand-e-vaqt jaa chukaa rikaab Dhuu.nDhtaa huu.n mai.njinhe.n sahar nigal ga.ii vo KHvaab Dhuu.nDhtaa huu.n mai.nkahaa.n ga.ii vo nii.nd kii sharaab Dhuu.nDhtaa huu.n mai.n
dil-nashii.n aa.nkho.n me.n furqat-zada kaajal royaashaaKH-e-baazuu ke liye zulf kaa baadal royaamisl-e-pairaahan-e-gul phir se badan chaak hu.ejaise apno.n kii kamaano.n me.n ho.n aGyaar ke tiiris se pahle bhii hu.aa chaa.nd mohabbat kaa do-niimnok-e-dashna se khichii thii mirii dhartii pe lakiir
yaad kii raahguzar jis pe isii suurat semuddate.n biit ga.ii hai.n tumhe.n chalte chalteKHatm ho jaa.e jo do chaar qadam aur chalomo.D pa.Dtaa hai jahaa.n dasht-e-faraamoshii kaajis se aage na ko.ii mai.n huu.n na ko.ii tum hosaa.ns thaame hai.n nigaahe.n ki na jaane kis damtum palaT aa.o guzar jaa.o yaa mu.D kar dekhogarche vaaqif hai.n nigaahe.n ki ye sab dhokaa haigar kahii.n tum se ham-aaGosh hu.ii phir se nazarphuuT niklegii vahaa.n aur ko.ii raahguzarphir isii tarah jahaa.n hogaa muqaabil paihamsaaya-e-zulf kaa aur jumbish-e-baazuu kaa safar
uruus-e-shab kii zulfe.n thii.n abhii naa-aashnaa KHam sesitaare aasmaa.n ke be-KHabar the lazzat-e-ram seqamar apne libaas-e-nau me.n begaana saa lagtaa thaana thaa vaaqif abhii gardish ke aa.iin-e-musallam seabhii imkaa.n ke zulmat-KHaane se ubhrii hii thii duniyaamazaaq-e-zindagii poshiida thaa pahnaa-e-aalam sekamaal-e-nazm-e-hastii kii abhii thii ibtidaa goyaahuvaidaa thii nagiine kii tamannaa chashm-e-KHaatam sesunaa hai aalam-e-baalaa me.n ko.ii kiimiyaa-gar thaasafaa thii jis kii KHaak-e-paa me.n ba.Dh kar saaGar-e-jam selikhaa thaa arsh ke paa.e pe ik iksiir kaa nusKHachhupaate the farishte jis ko chashm-e-ruuh-e-aadam senigaahe.n taak me.n rahtii thii.n lekin kiimiyaa-gar kiivo is nusKHe ko ba.Dh kar jaantaa thaa ism-e-aazam seba.Dhaa tasbiih-KHvaanii ke bahaane arsh kii jaanibtamannaa-e-dilii aaKHir bar aa.ii sa.i-e-paiham sephiraayaa fikr-e-ajzaa ne use maidaan-e-imkaa.n me.nchhupegii kyaa ko.ii shai baargaah-e-haq ke mahram sechamak taare se maa.ngii chaa.nd se daaG-e-jigar maa.ngaau.Daa.ii tiirgii tho.Dii sii shab kii zulf-e-barham seta.Dap bijlii se paa.ii huur se paakiizgii paa.iiharaarat lii nafas-haa-e-masiih-e-ibn-e-maryam sezaraa sii phir rubuubiyat se shaan-e-be-niyaazii liimalak se aajizii uftaadgii taqdiir shabnam sephir in ajzaa ko gholaa chashma-e-haivaa.n ke paanii me.nmurkkab ne mohabbat naam paayaa arsh-e-aazam semuhavvis ne ye paanii hasti-e-nau-KHez par chhi.Dkaagirah kholii hunar ne us ke goyaa kaar-e-aalam sehu.ii jumbish ayaa.n zarro.n ne lutf-e-KHvaab ko chho.Daagale milne lage uTh uTh ke apne apne hamdam seKHiraam-e-naaz paayaa aaftaabo.n ne sitaaro.n nechaTak Guncho.n ne paa.ii daaG paa.e laala-zaaro.n ne
tum nahii.n aa.e the jab tab bhii to maujuud the tumaa.nkh me.n nuur kii aur dil me.n lahuu kii suuratdard kii lau kii tarah pyaar kii KHushbuu kii tarahbevafaa vaado.n kii dildaarii kaa andaaz liyetum nahii.n aa.e the jab tab bhii to tum aa.e theraat ke siine me.n mahtaab ke KHanjar kii tarahsub.h ke haath me.n KHurshiid ke saaGar kii tarahshaaKH-e-KHuu.n-ra.ng-e-tamannaa me.n gul-e-tar kii tarahtum nahii.n aa.oge jab tab bhii to tum aa.ogeyaad kii tarah dha.Dakte hu.e dil kii suuratGam ke paimaana-e-sar-shaar ko chhalkaate hu.ebarg-haa-e-lab-o-ruKHsaar ko mahkaate hu.edil ke bujhte hu.e a.ngaare ko dahkaate hu.ezulf-dar-zulf bikhar jaa.egaa phir raat kaa ra.ngshab-e-tanhaa.ii me.n bhii lutf-e-mulaaqaat kaa ra.ngroz laa.egii sabaa kuu-e-sabaahat se payaamroz gaa.egii sahar tahniyat-e-jashn-e-firaaqaa.o aane kii kare.n baate.n ki tum aa.e hoab tum aa.e ho to mai.n kaun sii shai nazr karoki mire paas ba-juz mehr o vafaa kuchh bhii nahii.nek KHuu.n-gashta tamannaa ke sivaa kuchh bhii nahii.n
dil terii bazm-e-naaz me.n jab se hai baaryaabhar KHaar ek gul hai to har zarra aaftaabik lashkar-e-nashaat hai har Gam ke ham-rikaabzer-e-nagii.n hai aalam-e-taamkiin-o-iztiraabbaad-e-muraad o chashmak-e-tuufaa.n liye hu.ehuu.n buu-e-zulf-o-jumbish-e-mizhgaa.n liye hu.e
zulf zid kar ke kisii ne jo haTaa.ii hogiiruuThe jalvo.n pe KHizaa.n aur bhii chhaa.ii hogiibarq ashvo.n ne ka.ii din na giraa.ii hogiira.ng chehre pe ka.ii roz na aayaa hogaa
ai himaala ai fasiil-e-kishvar-e-hindustaanchuumtaa hai terii peshaanii ko jhuk kar aasmaa.ntujh me.n kuchh paidaa nahii.n deriina rozii ke nishaa.ntuu javaa.n hai gardish-e-shaam-o-sahar ke darmiyaa.nek jalva thaa kaliim-e-tuur-e-siinaa ke liyetuu tajallii hai saraapaa chashm-e-biinaa ke liyeimtihaan-e-diida-e-zaahir me.n kohistaa.n hai tuupaasbaa.n apnaa hai tuu diivaar-e-hindustaa.n hai tuumatla-e-avval falak jis kaa ho vo diivaa.n hai tuusuu-e-KHalvat-gaah-e-dil daaman-kash-e-insaa.n hai tuubarf ne baa.ndhii hai dastaar-e-faziilat tere sarKHanda-zan hai jo kulaah-e-mehr-e-aalam-taab parterii 'umr-e-rafta kii ik aan hai ahd-e-kuhanvaadiyo.n me.n hai.n tirii kaalii ghaTaa.e.n KHema-zanchoTiyaa.n terii surayyaa se hai.n sargarm-e-suKHantuu zamii.n par aur pahnaa-e-falak teraa vatanchashma-e-daaman tiraa aa.iina-e-sayyaal haidaaman-e-mauj-e-havaa jis ke liye ruumaal haiabr ke haatho.n me.n rahvaar-e-havaa ke vaastetaaziyaana de diyaa barq-e-sar-e-kohsaar neai himaala ko.ii baazii-gaah hai tuu bhii jisedast-e-qudrat ne banaayaa hai 'anaasir ke liyehaa.e kyaa fart-e-tarab me.n jhuumtaa jaataa hai abrfiil-e-be-zanjiir kii suurat u.Daa jaataa hai abrjumbish-e-mauj-e-nasiim-e-sub.h gahvaara baniijhuumtii hai nashsha-e-hastii me.n har gul kii kaliiyuu.n zabaan-e-barg se goyaa hai us kii KHaamushiidast-e-gul-chii.n kii jhaTak mai.n ne nahii.n dekhii kabhiikah rahii hai merii KHaamoshii hii afsaana miraakunj-e-KHalvat KHaana-e-qudrat hai kaashaana miraaaatii hai naddii faraaz-e-koh se gaatii hu.iikausar o tasniim kii maujo.n ko sharmaatii hu.iiaa.iina saa shaahid-e-qudrat ko dikhlaatii hu.iisa.ng-e-rah se gaah bachtii gaah Takraatii hu.iichhe.Dtii jaa is iraaq-e-dil-nashii.n ke saaz koai musaafir dil samajhtaa hai tirii aavaaz kolaila-e-shab kholtii hai aa ke jab zulf-e-rasaadaaman-e-dil khii.nchtii hai aabshaaro.n kii sadaavo KHamoshii shaam kii jis par takallum ho fidaavo daraKHto.n par tafakkur kaa samaa.n chhaayaa hu.aakaa.nptaa phirtaa hai kyaa rang-e-shafaq kohsaar parKHush-numaa lagtaa hai ye Gaaza tire ruKHsaar parai himaala daastaa.n us vaqt kii ko.ii sunaamaskan-e-aabaa-e-insaa.n jab banaa daaman tiraakuchh bataa us siidhii-saadhii zindagii kaa maajraadaaG jis par Gaaza-e-ra.ng-e-taklluf kaa na thaahaa.n dikhaa de ai tasavvur phir vo sub.h-o-shaam tuudau.D piichhe kii taraf ai gardish-e-ayyaam tuu
ye kaisii baad-e-bahaar hai jis me.n shaaKH-e-urdu na phal sakegiivo kaisaa ruu-e-nigaar hogaa na zulf jis par machal sakegiihame.n vo aazaadii chaahiye jis me.n dil kii miinaa ubal sakegii
mire baazuu pe jab vo zulf-e-shab-guu.n khol detii thiizamaana nik.hat-e-KHuld-e-barii.n me.n Duub jaataa thaamire shaane pe jab sar rakh ke ThanDii saa.ns letii thiimirii duniyaa me.n soz-o-saaz kaa tuufaan aataa thaa
vo baaG me.n meraa muntazir thaaaur chaa.nd tuluu.a ho rahaa thaazulf-e-shab-e-vasl khul rahii thiiKHushbuu saa.nso.n me.n ghul rahii thiiaa.ii thii mai.n apne pii se milnejaise ko.ii gul havaa se khilneik umr ke baa'd mai.n ha.nsii thiiKHud par kitnii tavajjoh dii thii!
zulf us co-operative silsile kii hai daraazchhe.Dte hai.n ham kabhii to vo kabhii rishvat kaa saazgaah ham bante hai.n qumrii gaah vo bante hai.n baazaap ko ma.aluum kyaa aapas kaa ye raaz-o-niyaaz
shamiim-e-zulf se us kii mahak jaatii thii kul vaadiinigaah-e-mast se us kii bahak jaatii thii kul vaadiihavaa.e.n par-fishaa.n ruuh-e-mai-o-mai-KHaana rahtii thiiyahii vaadii hai vo hamdam jahaa.n 'rehaana' rahtii thii
aah jab dil se nikaltii hai asar rakhtii haigulshan-e-ziist jalaane ko sharar rakhtii haitop talvaar na ye teG-o-tabar rakhtii haibint-e-havvaa kii tarah tiir-e-nazar rakhtii haiitnaa pur-soz hu.aa naala-e-saffaak miraakar gayaa dil pe asar shikva-e-bebaak miraaye kahaa sun ke sasur ne ki kahii.n hai ko.iisaas chupke se ye bolii.n ki yahii.n hai ko.iisaaliyaa.n kahne lagii.n qurb-o-qarii.n hai ko.iisaale ye bole ki marduud-o-la.ii.n hai ko.iikuchh jo samjhaa hai to ham-zulf ke behtar samjhaamujh ko begam kaa sataayaa hu.aa shauhar samjhaaapne haalaat pe tum Gaur zaraa kar lo agarjald khul jaa.egii phir saarii haqiiqat tum parmai.n ne ugne na diyaa zehn me.n nafrat kaa shajartum pe Daalii hai sadaa mai.n ne mohabbat kii nazarkah ke sartaaj tumhe.n sar pe biThaayaa mai.n netum to beTe the faqat baap banaayaa mai.n nemai.n ne sasuraal me.n har shaKHs kii izzat kii haisaas sasure nahii.n nando.n kii bhii KHidmat kii haijeTh devar se jeThaanii se mohabbat kii haimai.n ne din raat mashaqqat hii mashaqqat kii haiphir bhii ho.nTo.n pe ko.ii shikva gila kuchh bhii nahii.nmere din raat kii mehnat kaa sila kuchh bhii nahii.nsub.h-dam bachcho.n ko tayyaar karaatii huu.n mai.nnaashta sab ke liye roz banaatii huu.n mai.nbaasii tum khaate nahii.n taaza pakaatii huu.n mai.nchho.Dne bachcho.n ko school bhii jaatii huu.n mai.nmai.n ki insaan huu.n insaan nahii.n jin ko.iimerii taqdiir me.n chhuTTii kaa nahii.n din ko.iivo bhii din the ki dulhan ban ke mai.n jab aa.ii thiisaath me.n jiine kii marne kii qasam khaa.ii thiipyaar aa.ankho.n me.n thaa aavaaz me.n shahnaa.ii thiikabhii mahbuub tumhaarii yahii harjaa.ii thiiapne ghar ke liye ye hastii miTaa dii mai.n nezindagii raah-e-mohabbat me.n luTaa dii mai.n nekis qadar tum pe giraa.n ek faqat naarii haidaal roTii jise denaa bhii tumhe.n bhaarii haimujh se kab pyaar hai aulaad tumhe.n pyaarii haitum hii kah do yahii aa.iin-e-vafaadaarii haighar to biivii se hai biivii jo nahii.n ghar bhii nahii.nye double bed ye takiya nahii.n chaadar bhii nahii.nmai.n ne maanaa ki vo pahlii sii javaanii na rahiihar shab-e-vasl na.ii ko.ii kahaanii na rahiiqulzum-e-husn me.n pahlii sii ravaanii na rahiiab mai.n pahle kii tarah raat kii raanii na rahiiapnii aulaad kii KHaatir mai.n javaa.n huu.n ab bhiijis ke qadmo.n me.n hai jannat vahii maa.n huu.n ab bhiithe jo ajdaad tumhaare na thaa un kaa ye shi.aartum ho biivii se pareshaan vo biivii pe nisaartum kyaa karte ho har vaqt ye jo tum bezaartum ho guftaar ke Gaazii vo saraapaa kirdaarapne ajdaad kaa tum ko to ko.ii paas nahii.nham to behis hai.n magar tum bhii to hassaas nahii.nnahii.n jin mardo.n ko parvaa-e-nasheman tum hoachchhii lagtii hai jise roz hii uljhan tum hoban ga.e apnii grihastii ke jo dushman tum hoho ke Gairo.n pe fidaa biivii se bad-zan tum hophir se aabaad na.ii ko.ii bhii vaadii kar lokisii kalbisnii se ab duusrii shaadii kar lo
ye kaun muskuraahaTo.n kaa kaarvaa.n liye hu.eshabaab-e-sher-o-ra.ng-o-nuur kaa dhu.aa.n liye hu.edhu.aa.n ki barq-e-husn kaa mahaktaa sho.ala hai ko.iichaTiilii zindagii kii shaadmaaniyaa.n liye hu.elabo.n se pa.nkhu.Dii gulaab kii hayaat maa.nge haika.nval sii aa.nkh sau nigaah-e-mehrbaa.n liye hu.eqadam qadam pe de uThii hai lau zamiin-e-rah-guzaradaa adaa me.n be-shumaar bijliyaa.n liye hu.enikalte baiThte dino.n kii aahaTe.n nigaah me.nrasiile ho.nT fasl-e-gul kii daastaa.n liye hu.eKHutuut-e-ruKH me.n jalva-gar vafaa ke naqsh sar-ba-sardil-e-Ganii me.n kul hisaab-e-dostaa.n liye hu.evo muskuraatii aa.nkhe.n jin me.n raqs kartii hai bahaarshafaq kii gul kii bijliyo.n kii shoKHiyaa.n liye hu.eadaa-e-husn barq-paash shola-zan nazaara-sozfazaa-e-husn uudii uudii bijliyaa.n liye hu.ejagaane vaale naGma-e-sahar labo.n pe maujzannigaahe.n nii.nd laane vaalii loriyaa.n liye hu.evo nargis-e-siyaah-e-niim-baaz, mai-kada-ba-doshhazaar mast raato.n kii javaaniyaa.n liye hu.etaGaaful-o-KHumaar aur be-KHudii kii oT me.nnigaahe.n ik jahaa.n kii hoshiyaariyaa.n liye hu.eharii-bharii rago.n me.n vo chahaktaa boltaa lahuuvo sochtaa hu.aa badan KHud ik jahaa.n liye hu.eza-farq taa-qadam tamaam chehra jism-e-naaznii.nlatiif jagmagaahaTo.n kaa kaarvaa.n liye hu.etabassumash takallume takallumash tarannumenafas nafas me.n thartharaataa saaz-e-jaa.n liye hu.ejabiin-e-nuur jis pe pa.D rahii hai narm chhuuT siiKHud apnii jagmagaahTo.n kii kahkashaa.n liye hu.e''sitaara-baar o mah-chakaa.n o KHuur-fishaa.n'' jamaal-e-yaarjahaan-e-nuur kaarvaa.n-ba-kaarvaa.n liye hu.evo zulf-e-KHam-ba-KHam shamiim-e-mast se dhu.aa.n dhu.aa.nvo ruKH chaman chaman bahaar-e-jaavedaa.n liye hu.eba-mastii-e-jamaal-e-kaa.enaat, KHvaab-e-kaa.enaatba-gardish-e-nigaah daur-e-aasmaa.n liye hu.eye kaun aa gayaa mire qariib uzv uzv me.njavaaniyaa.n, javaaniyo.n kii aa.ndhiyaa.n liye hu.eye kaun aa.nkh pa.D rahii hai mujh par itne pyaar sevo bhuulii sii vo yaad sii kahaaniyaa.n liye hu.eye kis kii mahkii mahkii saa.nse.n taaza kar ga.ii.n dimaaGshabo.n ke raaz nuur-e-mah kii narmiyaa.n liye hu.eye kin nigaaho.n ne mire gale me.n baahe.n Daal dii.njahaan bhar ke dukh se dard se amaa.n liye hu.enigaah-e-yaar de ga.ii mujhe sukuun-e-be-karaa.nvo be-kahii vafaa.o.n kii gavaahiyaa.n liye hu.emujhe jagaa rahaa hai maut kii Gunuudgii se kaunnigaaho.n me.n suhaag-raat kaa samaa.n liye hu.emirii fasurda aur bujhii hu.ii jabii.n ko chhuu liyaaye kis nigaah kii kiran ne saaz-e-jaa.n liye hu.esute se chehre par hayaat rasmasaatii muskuraatiina jaane kab ke aa.nsu.o.n kii daastaa.n liye hu.etabassum-e-sahar hai aspataal kii udaas shaamye kaun aa gayaa nashaat-e-be-karaa.n liye hu.etire na aane tak agarche mehrbaa.n thaa ik jahaa.nmai.n ro ke rah gayaa huu.n sau Gam-e-nihaa.n liye hu.ezamiin muskuraa uThii ye shaam jagmagaa uThiibahaar lahlhaa uThii shamiim-e-jaa.n liye hu.efazaa-e-aspataal hai ki ra.ng-o-buu kii karvaTe.ntire jamaal-e-laala-guu.n kii daastaa.n liye hu.e'firaaq' aaj pichhlii raat kyuu.n na mar rahuu.n ki abhayaat aisii shaame.n hogii phir kahaa.n liye hu.e(2)magar nahii.n kuchh aur maslahat thii us ke aane me.njamaal-o-diid-e-yaar the nayaa jahaa.n liye hu.eisii na.e jahaa.n me.n aadmii bane.nge aadmiijabii.n pe shaahkaar-e-dahr kaa nishaa.n liye hu.eisii na.e jahaa.n me.n aadmii bane.nge devtaatahaarato.n kaa farq-e-paak par nishaa.n liye hu.eKHudaa.ii aadmii kii hogii is na.e jahaan parsitaaro.n ke hai.n dil ye pesh-go.iiya.n liye hu.esulagte dil sharar-fishaa.n o sho.ala-baar barq-paashguzarte din hayaat-e-nau kii surKHiyaa.n liye hu.etamaam qaul aur qasam nigaah-e-naaz-e-yaar thiituluu-e-zindagii-e-nau kii daastaa.n liye hu.enayaa janam hu.aa miraa ki zindagii na.ii miliijiyuu.ngaa shaam-e-diid kii nishaaniyaa.n liye hu.ena dekhaa aa.nkh uThaa ke ahd-e-nau ke parda-daaro.n neguzar gayaa zamaana yaad-e-raftagaa.n liye hu.eham inqilaabiyo.n ne ye jahaa.n bachaa liyaa magarabhii hai ik jahaa.n vo bad-gumaaniyaa.n liye hu.e
dard-o-Gam-e-hayaat kaa darmaa.n chalaa gayaavo KHizr-e-asr-o-iisa-e-dauraa.n chalaa gayaahinduu chalaa gayaa na musalmaa.n chalaa gayaainsaa.n kii justujuu me.n ik insaa.n chalaa gayaaraqsaa.n chalaa gayaa na Gazal-KHvaa.n chalaa gayaasoz-o-gudaaz o dard me.n Galtaa.n chalaa gayaabarham hai zulf-e-kufr to iimaa.n hai sar-niguu.nvo faKHr-e-kufr-o-naazish-e-iimaa.n chalaa gayaabiimaar zindagii kii kare kaun dil-dahiinabbaaz o chaarasaaz-e-mariizaa.n chalaa gayaakis kii nazar pa.Degii ab 'isyaa.n pe lutf kiivo mahram-e-nazaakat-e-isyaa.n chalaa gayaavo raaz-daar-er-mahfil-e-yaaraa.n nahii.n rahaavo Gam-gusaar-e-bazm-e-ariifaa.n chalaa gayaaab kaafirii me.n rasm-o-raah-e-dilbarii nahii.niimaa.n kii baat ye hai ki iimaa.n chalaa gayaaik be-KHud-e-suruur-e-dil-o-jaa.n nahii.n rahaaik aashiq-e-sadaaqat-e-pinhaa.n chalaa gayaabaa-chashm-e-nam hai aaj zuleKHaa-e-kaa.enaatzindaa.n-shikan vo yuusuf-e-zindaa.n chalaa gayaaai aarzuu vo chashma-e-haivaa.n na kar talaashzulmaat se vo chashma-e-haivaa.n chalaa gayaaab sang-o-KHisht o KHaak o KHazaf sar-buland hai.ntaaj-e-vatan kaa la.al-e-daraKHshaa.n chalaa gayaaab ahrman ke haath me.n hai teG-e-KHuu.n-chakaa.nKHush hai ki dast-o-baazuu-e-yazdaa.n chalaa gayaadev-e-badii se maark-e-saKHt hii sahiiye to nahii.n ki zor-e-javaanaa.n chalaa gayaakyaa ahl-e-dil me.n jazba-e-Gairat nahii.n rahaakyaa azm-e-sar-faroshii-e-mardaa.n chalaa gayaakyaa baaGiyo.n kii aatish-e-dil sard ho ga.iikyaa sarkasho.n kaa jazba-e-pinhaa.n chalaa gayaakyaa vo junuun-o-jazba-e-bedaar mar gayaakyaa vo shabaab-e-hashr-badaamaa.n chalaa gayaaKHush hai badii jo daam ye nekii pe Daal kerakh de.nge ham badii kaa kaleja nikaal ke
aaj bhii jab mai.n bike pe baiThuu.naaj bhii mere pahluu pe ik haath dikhaa.ii detaa haiaaj bhii mere kaano.n ko ik giit sunaa.ii detaa haiaaj bhii ko.ii zulf miraa dil KHushbuu se mahkaatii haiyaad kisii kii aaj bhii mere piichhe baiTh ke jaatii hai
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books