Sher of Ameer Minai
kisī ra.iis kī mahfil kā zikr hī kyā hai
ḳhudā ke ghar bhī na jā.eñge bin bulā.e hue
kisi rais ki mahfil ka zikr hi kya hai
KHuda ke ghar bhi na jaenge bin bulae hue
hue nāmvar be-nishāñ kaise kaise
zamīñ khā ga.ī āsmāñ kaise kaise
hue namwar be-nishan kaise kaise
zamin kha gai aasman kaise kaise
kashtiyāñ sab kī kināre pe pahuñch jaatī haiñ
nāḳhudā jin kā nahīñ un kā ḳhudā hotā hai
kashtiyan sab ki kinare pe pahunch jati hain
naKHuda jin ka nahin un ka KHuda hota hai
pūchhā na jā.egā jo vatan se nikal gayā
be-kār hai jo daañt dahan se nikal gayā
puchha na jaega jo watan se nikal gaya
be-kar hai jo dant dahan se nikal gaya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ka.aba bhī ham ga.e na gayā par butoñ kā ishq
is dard kī ḳhudā ke bhī ghar meñ davā nahīñ
kaba bhi hum gae na gaya par buton ka ishq
is dard ki KHuda ke bhi ghar mein dawa nahin
haath rakh kar mere siine pe jigar thaam liyā
tum ne is vaqt to girtā huā ghar thaam liyā
hath rakh kar mere sine pe jigar tham liya
tum ne is waqt to girta hua ghar tham liya
yaar pahlū meñ hai tanhā.ī hai kah do nikle
aaj kyuuñ dil meñ chhupī baiThī hai hasrat merī
my love beside me, solitude, tell them to play a part
why do my desires cower hidden in my heart
yar pahlu mein hai tanhai hai kah do nikle
aaj kyun dil mein chhupi baiThi hai hasrat meri
my love beside me, solitude, tell them to play a part
why do my desires cower hidden in my heart
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
shab-e-visāl bahut kam hai āsmāñ se kaho
ki joḌ de koī TukḌā shab-e-judā.ī kā
shab-e-visal bahut kam hai aasman se kaho
ki joD de koi TukDa shab-e-judai ka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tiir khāne kī havas hai to jigar paidā kar
sarfaroshī kī tamannā hai to sar paidā kar
tir khane ki hawas hai to jigar paida kar
sarfaroshi ki tamanna hai to sar paida kar
ḳhushāmad ai dil-e-betāb is tasvīr kī kab tak
ye bolā chāhtī hai par na bolegī na bolī hai
KHushamad ai dil-e-betab is taswir ki kab tak
ye bola chahti hai par na bolegi na boli hai
maanī haiñ maiñ ne saikaḌoñ bāteñ tamām umr
aaj aap ek baat mirī maan jā.iye
All my life I have agreed to everything you say
merely one request of mine please accept today
mani hain main ne saikaDon baaten tamam umr
aaj aap ek baat meri man jaiye
All my life I have agreed to everything you say
merely one request of mine please accept today
-
Tag : Iltija
-
Share this
- Translation
- Critique
- Comments
- Download
ḳhanjar chale kisī pe taḌapte haiñ ham 'amīr'
saare jahāñ kā dard hamāre jigar meñ hai
KHanjar chale kisi pe taDapte hain hum 'amir'
sare jahan ka dard hamare jigar mein hai
achchhe iisā ho marīzoñ kā ḳhayāl achchhā hai
ham mare jaate haiñ tum kahte ho haal achchhā hai
achchhe isa ho marizon ka KHayal achchha hai
hum mare jate hain tum kahte ho haal achchha hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
bāteñ nāseh kī sunīñ yaar ke nazzāre kiye
āñkheñ jannat meñ rahīñ kaan jahannam meñ rahe
I listened to the preacher, eyes on my Dear did dwell
My eyes remained in paradise, my ears remained in hell
baaten naseh ki sunin yar ke nazzare kiye
aankhen jannat mein rahin kan jahannam mein rahe
I listened to the preacher, eyes on my Dear did dwell
My eyes remained in paradise, my ears remained in hell
-
Tag : Love, Longing, Loss
-
Share this
- Translation
- Critique
- Comments
- Download
dekh le bulbul o parvāna kī betābī ko
hijr achchhā na hasīnoñ kā visāl achchhā hai
dekh le bulbul o parwana ki betabi ko
hijr achchha na hasinon ka visal achchha hai
jī lage aap kā aisā ki kabhī jī na bhare
dil lagā kar jo suneñ aap fasāna dil kā
ji lage aap ka aisa ki kabhi ji na bhare
dil laga kar jo sunen aap fasana dil ka
girah se kuchh nahīñ jaatā hai pī bhī le zāhid
mile jo muft to qaazī ko bhī harām nahīñ
girah se kuchh nahin jata hai pi bhi le zahid
mile jo muft to qazi ko bhi haram nahin
us kī hasrat hai jise dil se miTā bhī na sakūñ
DhūñDne us ko chalā huuñ jise pā bhī na sakūñ
The one that I desire, this heart cannot displace
The one who is unattainable I seek to embrace
us ki hasrat hai jise dil se miTa bhi na sakun
DhunDne us ko chala hun jise pa bhi na sakun
The one that I desire, this heart cannot displace
The one who is unattainable I seek to embrace
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jab kahīñ do gaz zamīñ dekhī ḳhudī samjhā maiñ gor
jab na.ī do chādareñ dekhīñ kafan yaad aa gayā
jab kahin do gaz zamin dekhi KHudi samjha main gor
jab nai do chadaren dekhin kafan yaad aa gaya
ulfat meñ barābar hai vafā ho ki jafā ho
har baat meñ lazzat hai agar dil meñ mazā ho
ulfat mein barabar hai wafa ho ki jafa ho
har baat mein lazzat hai agar dil mein maza ho
ḳhushk seroñ tan-e-shā.er kā lahū hotā hai
tab nazar aatī hai ik misra-e-tar kī sūrat
KHushk seron tan-e-shaer ka lahu hota hai
tab nazar aati hai ek misra-e-tar ki surat
aahoñ se soz-e-ishq miTāyā na jā.egā
phūñkoñ se ye charāġh bujhāyā na jā.egā
aahon se soz-e-ishq miTaya na jaega
phunkon se ye charagh bujhaya na jaega
āñkheñ dikhlāte ho joban to dikhāo sāhab
vo alag bāñdh ke rakkhā hai jo maal achchhā hai
show me not your anger dear show me your youthful prime
the wealth that you have covered up is truly sublime
aankhen dikhlate ho joban to dikhao sahab
wo alag bandh ke rakkha hai jo mal achchha hai
show me not your anger dear show me your youthful prime
the wealth that you have covered up is truly sublime
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
phir baiThe baiThe vāda-e-vasl us ne kar liyā
phir uTh khaḌā huā vahī rog intizār kā
phir baiThe baiThe wada-e-wasl us ne kar liya
phir uTh khaDa hua wahi rog intizar ka
ho gayā band dar-e-mai-kadā kyā qahr huā
shauq-e-pā-bos-e-hasīnāñ jo tujhe thā ai dil
ho gaya band dar-e-mai-kada kya qahr hua
shauq-e-pa-bos-e-hasinan jo tujhe tha ai dil
tūl-e-shab-e-firāq kā qissa na pūchhiye
mahshar talak kahūñ maiñ agar muḳhtasar kahūñ
tul-e-shab-e-firaq ka qissa na puchhiye
mahshar talak kahun main agar muKHtasar kahun
hai javānī ḳhud javānī kā siñgār
sādgī gahna hai is sin ke liye
youthfullness is itself an ornament forsooth
innocence is the only jewel needed in ones youth
hai jawani KHud jawani ka singar
sadgi gahna hai is sin ke liye
youthfullness is itself an ornament forsooth
innocence is the only jewel needed in ones youth
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sau sher ek jalse meñ kahte the ham 'amīr'
jab tak na sher kahne kā ham ko shu.ūr thā
sau sher ek jalse mein kahte the hum 'amir'
jab tak na sher kahne ka hum ko shuur tha
apnī mahfil se abas ham ko uThāte haiñ huzūr
chupke baiThe haiñ alag aap kā kyā lete haiñ
apni mahfil se abas hum ko uThate hain huzur
chupke baiThe hain alag aap ka kya lete hain
tiir par tiir lagāo tumheñ Dar kis kā hai
siina kis kā hai mirī jaan jigar kis kā hai
tir par tir lagao tumhein Dar kis ka hai
sina kis ka hai meri jaan jigar kis ka hai
-
Tag : Jafa
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
shab-e-furqat kā jaagā huuñ farishto ab to sone do
kabhī fursat meñ kar lenā hisāb āhista āhista
I haven't slept since parting eve, O Angels, I request
I'll settle your accounts at leisure for now let me rest
shab-e-furqat ka jaga hun farishto ab to sone do
kabhi fursat mein kar lena hisab aahista aahista
I haven't slept since parting eve, O Angels, I request
I'll settle your accounts at leisure for now let me rest
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
putliyāñ tak bhī to phir jaatī haiñ dekho dam-e-naz.a
vaqt paḌtā hai to sab aañkh churā jaate haiñ
putliyan tak bhi to phir jati hain dekho dam-e-naza
waqt paDta hai to sab aankh chura jate hain
furqat meñ muñh lapeTe maiñ is tarah paḌā huuñ
jis tarah koī murda lipTā huā kafan meñ
furqat mein munh lapeTe main is tarah paDa hun
jis tarah koi murda lipTa hua kafan mein
nāvak-e-nāz se mushkil hai bachānā dil kā
dard uTh uTh ke batātā hai Thikānā dil kā
nawak-e-naz se mushkil hai bachana dil ka
dard uTh uTh ke batata hai Thikana dil ka
'amīr' ab hichkiyāñ aane lagī haiñ
kahīñ maiñ yaad farmāyā gayā huuñ
'amir' ab hichkiyan aane lagi hain
kahin main yaad farmaya gaya hun
mushkil bahut paḌegī barābar kī choT hai
ā.īna dekhiyegā zarā dekh-bhāl ke
a problem you will face, you'll find an equal there
look into the mirror with caution and with care
mushkil bahut paDegi barabar ki choT hai
aaina dekhiyega zara dekh-bhaal ke
a problem you will face, you'll find an equal there
look into the mirror with caution and with care
kaun sī jā hai jahāñ jalva-e-māshūq nahīñ
shauq-e-dīdār agar hai to nazar paidā kar
where in this world does ones beloved's beauty not reside
if the zeal for sight you have, the vision too provide
kaun si ja hai jahan jalwa-e-mashuq nahin
shauq-e-didar agar hai to nazar paida kar
where in this world does ones beloved's beauty not reside
if the zeal for sight you have, the vision too provide
-
Tag : Husn
-
Share this
- Translation
- Critique
- Comments
- Download
kahte ho ki hamdard kisī kā nahīñ sunte
maiñ ne to raqīboñ se sunā aur hī kuchh hai
kahte ho ki hamdard kisi ka nahin sunte
main ne to raqibon se suna aur hi kuchh hai
shāḳhoñ se barg-e-gul nahīñ jhaḌte haiñ baaġh meñ
zevar utar rahā hai urūs-e-bahār kā
shaKHon se barg-e-gul nahin jhaDte hain bagh mein
zewar utar raha hai urus-e-bahaar ka
vasl kā din aur itnā muḳhtasar
din gine jaate the is din ke liye
wasl ka din aur itna muKHtasar
din gine jate the is din ke liye
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
maañg luuñ tujh se tujhī ko ki sabhī kuchh mil jaa.e
sau savāloñ se yahī ek savāl achchhā hai
mang lun tujh se tujhi ko ki sabhi kuchh mil jae
sau sawalon se yahi ek sawal achchha hai
pahlū meñ mere dil ko na ai dard kar talāsh
muddat huī ġharīb vatan se nikal gayā
pahlu mein mere dil ko na ai dard kar talash
muddat hui gharib watan se nikal gaya
aa.e but-ḳhāne se ka.abe ko to kyā bhar paayā
jā paḌe the to vahīñ ham ko paḌā rahnā thā
aae but-KHane se kabe ko to kya bhar paya
ja paDe the to wahin hum ko paDa rahna tha
ye kahūñgā ye kahūñgā ye abhī kahte ho
sāmne un ke bhī jab hazrat-e-dil yaad rahe
ye kahunga ye kahunga ye abhi kahte ho
samne un ke bhi jab hazrat-e-dil yaad rahe
aafat to hai vo naaz bhī andāz bhī lekin
martā huuñ maiñ jis par vo adā aur hī kuchh hai
aafat to hai wo naz bhi andaz bhi lekin
marta hun main jis par wo ada aur hi kuchh hai
āne-jāne pe saañs ke hai madār
saḳht nā-pā.edār hai duniyā
aane-jaane pe sans ke hai madar
saKHt na-paedar hai duniya
sīdhī nigāh meñ tirī haiñ tiir ke ḳhvās
tirchhī zarā huī to haiñ shamshīr ke ḳhvās
sidhi nigah mein teri hain tir ke KHwas
tirchhi zara hui to hain shamshir ke KHwas
saarā parda hai duī kā jo ye parda uTh jaa.e
gardan-e-shaiḳh meñ zunnār barhaman Daale
sara parda hai dui ka jo ye parda uTh jae
gardan-e-shaiKH mein zunnar barhaman Dale
zāhid umīd-e-rahmat-e-haq aur hajv-e-mai
pahle sharāb pī ke gunāh-gār bhī to ho
zahid umid-e-rahmat-e-haq aur hajw-e-mai
pahle sharab pi ke gunah-gar bhi to ho
haTāo aa.ina ummīd-vār ham bhī haiñ
tumhāre dekhne vāloñ meñ yaar ham bhī haiñ
haTao aaina ummid-war hum bhi hain
tumhaare dekhne walon mein yar hum bhi hain
-
Tag : Deedar
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download