Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ahmad Mushtaq's Photo'

Ahmad Mushtaq

1933 | USA

One of the leading and reputed Pakistani poets known for his neo-classical tone, equally well-known in India, lives in Houston USA.

One of the leading and reputed Pakistani poets known for his neo-classical tone, equally well-known in India, lives in Houston USA.

Sher of Ahmad Mushtaq

50.2K
Favorite

SORT BY

yaar sab jam.a hue raat ḳhāmoshī meñ

koī ro kar to koī baal banā kar aayā

yar sab jama hue raat ki KHamoshi mein

koi ro kar to koi baal bana kar aaya

kisī jānib nahīñ khulte darīche

kahīñ jaatā nahīñ rasta hamārā

kisi jaanib nahin khulte dariche

kahin jata nahin rasta hamara

umr bhar dukh sahte sahte āḳhir itnā to huā

apnī chup ko dekh letā huuñ sadā bante hue

umr bhar dukh sahte sahte aaKHir itna to hua

apni chup ko dekh leta hun sada bante hue

bahtā aañsū ek jhalak meñ kitne ruup dikhā.egā

aañkh se ho kar gaal bhigo kar miTTī meñ mil jā.egā

bahta aansu ek jhalak mein kitne rup dikhaega

aankh se ho kar gal bhigo kar miTTi mein mil jaega

ik zamāna thā ki sab ek jagah rahte the

aur ab koī kahīñ koī kahīñ rahtā hai

ek zamana tha ki sab ek jagah rahte the

aur ab koi kahin koi kahin rahta hai

mil jā.egā kabhī dil ko yaqīñ rahtā hai

vo isī shahr galiyoñ meñ kahīñ rahtā hai

mil hi jaega kabhi dil ko yaqin rahta hai

wo isi shahr ki galiyon mein kahin rahta hai

chhat se kuchh qahqahe abhī tak

jāloñ tarah laTak rahe haiñ

chhat se kuchh qahqahe abhi tak

jalon ki tarah laTak rahe hain

milne ye kaun ghaḌī thī

bāhar hijr raat khaḌī thī

milne ki ye kaun ghaDi thi

bahar hijr ki raat khaDi thi

koī tasvīr mukammal nahīñ hone paatī

dhuup dete haiñ to saayā nahīñ rahne dete

koi taswir mukammal nahin hone pati

dhup dete hain to saya nahin rahne dete

ye paanī ḳhāmushī se bah rahā hai

ise dekheñ ki is meñ Duub jaa.eñ

ye pani KHamushi se bah raha hai

ise dekhen ki is mein Dub jaen

jahāñ Daale the us ne dhuup meñ kapḌe sukhāne ko

Tapaktī haiñ abhī tak rassiyāñ āhista āhista

jahan Dale the us ne dhup mein kapDe sukhane ko

Tapakti hain abhi tak rassiyan aahista aahista

fazā-e-dil pe kahīñ chhā na jaa.e yaas rañg

kahāñ ho tum ki badalne lagā hai ghaas rañg

faza-e-dil pe kahin chha na jae yas ka rang

kahan ho tum ki badalne laga hai ghas ka rang

tire aane din hai tere raste meñ bichhāne ko

chamaktī dhuup meñ saa.e ikaTThe kar rahā huuñ maiñ

tere aane ka din hai tere raste mein bichhane ko

chamakti dhup mein sae ikaTThe kar raha hun main

hotī hai shaam aañkh se aañsū ravāñ hue

ye vaqt qaidiyoñ rihā.ī vaqt hai

hoti hai sham aankh se aansu rawan hue

ye waqt qaidiyon ki rihai ka waqt hai

tum aa.e ho tumheñ bhī aazmā kar dekh letā huuñ

tumhāre saath bhī kuchh duur kar dekh letā huuñ

tum aae ho tumhein bhi aazma kar dekh leta hun

tumhaare sath bhi kuchh dur ja kar dekh leta hun

vahī gulshan hai lekin vaqt parvāz to dekho

koī taa.ir nahīñ pichhle baras ke āshiyānoñ meñ

wahi gulshan hai lekin waqt ki parwaz to dekho

koi tair nahin pichhle baras ke aashiyanon mein

dukh ke safar pe dil ko ravāna to kar diyā

ab saarī umr haath hilāte raheñge ham

dukh ke safar pe dil ko rawana to kar diya

ab sari umr hath hilate rahenge hum

mujhe ma.alūm hai ahl-e-vafā par kyā guzartī hai

samajh kar soch kar tujh se mohabbat kar rahā huuñ maiñ

mujhe malum hai ahl-e-wafa par kya guzarti hai

samajh kar soch kar tujh se mohabbat kar raha hun main

guzre hazār bādal palkoñ ke saa.e saa.e

utre hazār sūraj ik shah-nashīn-e-dil par

guzre hazar baadal palkon ke sae sae

utre hazar suraj ek shah-nashin-e-dil par

jhilmilāte rahe vo ḳhvāb jo puure na hue

dard bedār Tapaktā rahā aañsū aañsū

jhilmilate rahe wo KHwab jo pure na hue

dard bedar Tapakta raha aansu aansu

dil bhar aayā kāġhaz-e-ḳhālī sūrat dekh kar

jin ko likhnā thā vo sab bāteñ zabānī ho ga.iiñ

dil bhar aaya kaghaz-e-KHali ki surat dekh kar

jin ko likhna tha wo sab baaten zabani ho gain

vahāñ salām ko aatī hai nañge paañv bahār

khile the phuul jahāñ tere muskurāne se

wahan salam ko aati hai nange panw bahaar

khile the phul jahan tere muskurane se

ahl-e-havas to ḳhair havas meñ hue zalīl

vo bhī hue ḳharāb, mohabbat jinhoñ ne

ahl-e-hawas to KHair hawas mein hue zalil

wo bhi hue KHarab, mohabbat jinhon ne ki

ishq meñ kaun batā saktā hai

kis ne kis se sach bolā hai

ishq mein kaun bata sakta hai

kis ne kis se sach bola hai

vo jo raat mujh ko baḌe adab se salām kar ke chalā gayā

use kyā ḳhabar mire dil meñ bhī kabhī ārzū-e-gunāh thī

wo jo raat mujh ko baDe adab se salam kar ke chala gaya

use kya KHabar mere dil mein bhi kabhi aarzu-e-gunah thi

ne to chāhā thā ki miltā rahūñ tujh se

terī yahī marzī hai to achchhā nahīñ miltā

tu ne hi to chaha tha ki milta rahun tujh se

teri yahi marzi hai to achchha nahin milta

dhueñ se āsmāñ rañg mailā hotā jaatā hai

hare jañgal badalte rahe haiñ kār-ḳhānoñ meñ

dhuen se aasman ka rang maila hota jata hai

hare jangal badalte ja rahe hain kar-KHanon mein

ek lamhe meñ bikhar jaatā hai tānā-bānā

aur phir umr guzar jaatī hai yakjā.ī meñ

ek lamhe mein bikhar jata hai tana-bana

aur phir umr guzar jati hai yakjai mein

jo muqaddar thā use to roknā bas meñ na thā

un kyā karte jo bāteñ nā-gahānī ho ga.iiñ

jo muqaddar tha use to rokna bas mein na tha

un ka kya karte jo baaten na-gahani ho gain

ham apnī dhuup meñ baiThe haiñ 'mushtāq'

hamāre saath hai saaya hamārā

hum apni dhup mein baiThe hain 'mushtaq'

hamare sath hai saya hamara

ye tanhā raat ye gahrī fazā.eñ

use DhūñDeñ ki us ko bhuul jaa.eñ

ye tanha raat ye gahri fazaen

use DhunDen ki us ko bhul jaen

ham un ko soch meñ gum dekh kar vāpas chale aa.e

vo apne dhyān meñ baiThe hue achchhe lage ham ko

hum un ko soch mein gum dekh kar wapas chale aae

wo apne dhyan mein baiThe hue achchhe lage hum ko

bhuul ga.ī vo shakl bhī āḳhir

kab tak yaad koī rahtā hai

bhul gai wo shakl bhi aaKHir

kab tak yaad koi rahta hai

paanī meñ aks aur kisī āsmāñ hai

ye naav kaun hai ye dariyā kahāñ hai

pani mein aks aur kisi aasman ka hai

ye naw kaun si hai ye dariya kahan ka hai

chāñd bhī niklā sitāre bhī barābar nikle

mujh se achchhe to shab-e-ġham ke muqaddar nikle

chand bhi nikla sitare bhi barabar nikle

mujh se achchhe to shab-e-gham ke muqaddar nikle

rone lagtā huuñ mohabbat meñ to kahtā hai koī

kyā tire ashkoñ se ye jañgal harā ho jā.egā

rone lagta hun mohabbat mein to kahta hai koi

kya tere ashkon se ye jangal hara ho jaega

nīndoñ meñ phir rahā huuñ use DhūñDhtā huā

shāmil jo ek ḳhvāb mire rat-jage meñ thā

nindon mein phir raha hun use DhunDhta hua

shamil jo ek KHwab mere rat-jage mein tha

balā chamak us ke chehre pe thī

mujhe kyā ḳhabar thī ki mar jā.egā

bala ki chamak us ke chehre pe thi

mujhe kya KHabar thi ki mar jaega

jaise pau phaT rahī ho jañgal meñ

yuuñ koī muskurā.e jaatā hai

jaise pau phaT rahi ho jangal mein

yun koi muskurae jata hai

hamārā kyā hai jo hotā hai udaas bahut

to gul tarāshte haiñ titliyāñ banāte haiñ

hamara kya hai jo hota hai ji udas bahut

to gul tarashte hain titliyan banate hain

chup kahīñ aur liye phirtī thī bāteñ kahīñ aur

din kahīñ aur guzarte the to rāteñ kahīñ aur

chup kahin aur liye phirti thi baaten kahin aur

din kahin aur guzarte the to raaten kahin aur

vo vaqt bhī aatā hai jab āñkhoñ meñ hamārī

phirtī haiñ vo shakleñ jinheñ dekhā nahīñ hotā

wo waqt bhi aata hai jab aankhon mein hamari

phirti hain wo shaklen jinhen dekha nahin hota

agar paas nahīñ hai kahīñ maujūd to hai

tere hone se baḌe kaam hamāre nikle

tu agar pas nahin hai kahin maujud to hai

tere hone se baDe kaam hamare nikle

roz milne pe bhī lagtā thā ki jug biit ga.e

ishq meñ vaqt ehsās nahīñ rahtā hai

roz milne pe bhi lagta tha ki jug bit gae

ishq mein waqt ka ehsas nahin rahta hai

bahut udaas ho tum aur maiñ bhī baiThā huuñ

ga.e dinoñ kamar se kamar lagā.e hue

bahut udas ho tum aur main bhi baiTha hun

gae dinon ki kamar se kamar lagae hue

ab shuġhl hai yahī dil-e-īzā-pasand

jo zaḳhm bhar gayā hai nishāñ us dekhnā

ab shughl hai yahi dil-e-iza-pasand ka

jo zaKHm bhar gaya hai nishan us ka dekhna

jahān-e-ishq se ham sarsarī nahīñ guzre

ye vo jahāñ hai jahāñ sarsarī nahīñ koī shai

jahan-e-ishq se hum sarsari nahin guzre

ye wo jahan hai jahan sarsari nahin koi shai

tanhā.ī meñ karnī to hai ik baat kisī se

lekin vo kisī vaqt akelā nahīñ hotā

tanhai mein karni to hai ek baat kisi se

lekin wo kisi waqt akela nahin hota

maut ḳhāmoshī hai chup rahne se chup lag jā.egī

zindagī āvāz hai bāteñ karo bāteñ karo

maut KHamoshi hai chup rahne se chup lag jaegi

zindagi aawaz hai baaten karo baaten karo

khoyā hai kuchh zarūr jo us talāsh meñ

har chiiz ko idhar se udhar kar rahe haiñ ham

khoya hai kuchh zarur jo us ki talash mein

har chiz ko idhar se udhar kar rahe hain hum

Recitation

Speak Now