Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Anjum Khaleeq's Photo'

Anjum Khaleeq

1950

A poet and journalist from Pakistan

A poet and journalist from Pakistan

Sher of Anjum Khaleeq

2.3K
Favorite

SORT BY

bas ai nigār-e-zīst yaqīñ aa gayā hameñ

ye terī be-ruḳhī ye ta.ammul na jā.egā

bas ai nigar-e-zist yaqin aa gaya hamein

ye teri be-ruKHi ye tammul na jaega

insān niyyat bharosa nahīñ koī

milte ho to is baat ko imkān meñ rakhnā

insan ki niyyat ka bharosa nahin koi

milte ho to is baat ko imkan mein rakhna

biite hue lamhāt ko pahchān meñ rakhnā

murjhā.e hue phuul bhī gul-dān meñ rakhnā

bite hue lamhat ko pahchan mein rakhna

murjhae hue phul bhi gul-dan mein rakhna

kyā jāneñ safar ḳhair se guzre ki na guzre

tum ghar pata bhī mire sāmān meñ rakhnā

kya jaanen safar KHair se guzre ki na guzre

tum ghar ka pata bhi mere saman mein rakhna

zarfishāñ hai mirī zarḳhez zamīnoñ badan

zarra zarra mire punjab pāras niklā

zarfishan hai meri zarKHez zaminon ka badan

zarra zarra mere punjab ka paras nikla

kaisā firāq kaisī judā.ī kahāñ hijr

vo jā.egā agar to ḳhayāloñ meñ aa.egā

kaisa firaq kaisi judai kahan ka hijr

wo jaega agar to KHayalon mein aaega

haiñ aur bhī duniyā meñ suḳhnavar bahut achchhe

ham jaisā magar zauq-e-qavāfī nahīñ rakhte

hain aur bhi duniya mein suKHnawar bahut achchhe

hum jaisa magar zauq-e-qawafi nahin rakhte

vahshat-e-hijr bhī tanhā.ī bhī maiñ bhī 'anjum'

jab ikaTThe hue sab ek ġhazal aur kahī

wahshat-e-hijr bhi tanhai bhi main bhi 'anjum'

jab ikaTThe hue sab ek ghazal aur kahi

ik ġhazal likkhī to ġham koī purānā jaagā

phir usī ġham ke sabab ek ġhazal aur kahī

ek ghazal likkhi to gham koi purana jaga

phir usi gham ke sabab ek ghazal aur kahi

mirī ḳhātir se ye ik zaḳhm jo miTTī ne khāyā hai

zarā kuchh aur Thahro is ke bharte chale jaanā

meri KHatir se ye ek zaKHm jo miTTi ne khaya hai

zara kuchh aur Thahro is ke bharte hi chale jaana

maiñ ab to shahr meñ is baat se pahchānā jaatā huuñ

tumhārā zikr karnā aur karte chale jaanā

main ab to shahr mein is baat se pahchana jata hun

tumhaara zikr karna aur karte hi chale jaana

saroñ se taaj baḌe jism se abā.eñ baḌī

zamāne ham ne tirā intiḳhāb dekh liyā

saron se taj baDe jism se abaen baDi

zamane hum ne tera intiKHab dekh liya

zarā maiñ ne tarjīhāt tartīb badlī thī

ki aapas meñ ulajh kar rah ga.e duniyā o diiñ mere

zara si main ne tarjihat ki tartib badli thi

ki aapas mein ulajh kar rah gae duniya o din mere

so merī pyaas donoñ taraf ilaaj nahīñ

udhar hai ek samundar idhar hai ek sarāb

so meri pyas ka donon taraf ilaj nahin

udhar hai ek samundar idhar hai ek sarab

aziyyatoñ bhī apnī ek lazzat hai

maiñ shahr shahr phirūñ nekiyāñ talāsh karūñ

aziyyaton ki bhi apni hi ek lazzat hai

main shahr shahr phirun nekiyan talash karun

mirī havas ke muqābil ye shahr chhoTe haiñ

ḳhalā meñ ke na.ī bastiyāñ talāsh karūñ

meri hawas ke muqabil ye shahr chhoTe hain

KHala mein ja ke nai bastiyan talash karun

haath aa.egā kyā sāhil-e-lab se hameñ 'anjum'

jab dil samundar guhar-bār nahīñ hai

hath aaega kya sahil-e-lab se hamein 'anjum'

jab dil ka samundar hi guhar-bar nahin hai

ḳhātir se jo karnā paḌī kaj-fahm tā.īd

lagtā thā ki inkār-kushī ek hunar hai

KHatir se jo karna paDi kaj-fahm ki taid

lagta tha ki inkar-kushi ek hunar hai

ye kaun nikal aayā yahāñ sair-e-chaman ko

shāḳhoñ se mahakte hue zevar nikal aa.e

ye kaun nikal aaya yahan sair-e-chaman ko

shaKHon se mahakte hue zewar nikal aae

un sañg-zanoñ meñ koī apnā bhī thā shāyad

jo Dher se ye qīmtī patthar nikal aa.e

un sang-zanon mein koi apna bhi tha shayad

jo Dher se ye qimti patthar nikal aae

allāh ke ghar der hai andher nahīñ hai

yaas ke mausam meñ bhī ummīd fan siikh

allah ke ghar der hai andher nahin hai

tu yas ke mausam mein bhi ummid ka fan sikh

ye kaun hai ki jis ko ubhāre hue hai mauj

vo shaḳhs kaun thā jo tah-e-āb rah gayā

ye kaun hai ki jis ko ubhaare hue hai mauj

wo shaKHs kaun tha jo tah-e-ab rah gaya

naḳhl-e-anā meñ zor-e-numū kis ġhazab thā

ye peḌ to ḳhizāñ meñ bhī shādāb rah gayā

naKHl-e-ana mein zor-e-numu kis ghazab ka tha

ye peD to KHizan mein bhi shadab rah gaya

zamīñ god meñ itnā sukūn thā 'anjum'

ki jo gayā vo safar thakān bhuul gayā

zamin ki god mein itna sukun tha 'anjum'

ki jo gaya wo safar ki thakan bhul gaya

ḳhumār-e-qurbat-e-manzil thā nā-rasī javāz

galī meñ aa ke maiñ us makān bhuul gayā

KHumar-e-qurbat-e-manzil tha na-rasi ka jawaz

gali mein aa ke main us ka makan bhul gaya

bahut sābit-qadam nikleñ ga.e vaqtoñ tahzībeñ

ki ab un ke havāloñ se khañDar ābād hote haiñ

bahut sabit-qadam niklen gae waqton ki tahziben

ki ab un ke hawalon se khanDar aabaad hote hain

mirī ta.amīr behtar shakl meñ hone ko hai 'anjum'

ki jañgal saaf hone se nagar ābād hote haiñ

meri tamir behtar shakl mein hone ko hai 'anjum'

ki jangal saf hone se nagar aabaad hote hain

zabāñ-bandī ke mausam meñ galī-kūchoñ mat pūchho

parindoñ ke chahakne se shajar ābād hote haiñ

zaban-bandi ke mausam mein gali-kuchon ki mat puchho

parindon ke chahakne se shajar aabaad hote hain

kaho kyā baat kartī hai kabhī sahrā ḳhāmoshī

kahā us ḳhāmushī meñ bhī to ik taqrīr hotī hai

kaho kya baat karti hai kabhi sahra ki KHamoshi

kaha us KHamushi mein bhi to ek taqrir hoti hai

kaho kyā mehrbāñ nā-mehrbāñ taqdīr hotī hai

kahā maañ duāoñ meñ baḌī tāsīr hotī hai

kaho kya mehrban na-mehrban taqdir hoti hai

kaha man ki duaon mein baDi tasir hoti hai

firāq-rut meñ bhī kuchh lazzateñ visāl haiñ

ḳhayāl meñ tire ḳhāl-o-ḳhad ubhārā kareñ

firaq-rut mein bhi kuchh lazzaten visal ki hain

KHayal hi mein tere KHal-o-KHad ubhaara karen

usī sharar ko jo ik ahd-e-yās ne baḳhshā

kabhī diyā kabhī jugnū kabhī sitāra kareñ

usi sharar ko jo ek ahd-e-yas ne baKHsha

kabhi diya kabhi jugnu kabhi sitara karen

mire junūñ ko havas meñ shumār kar legā

vo mere tiir se mujh ko shikār kar legā

mere junun ko hawas mein shumar kar lega

wo mere tir se mujh ko shikar kar lega

ham aise log bahut ḳhush-gumān hote haiñ

ye dil zarūr tirā e'tibār kar legā

hum aise log bahut KHush-guman hote hain

ye dil zarur tera e'tibar kar lega

agar aatā huuñ sāhil par to āñdhī gher letī hai

samundar meñ utartā huuñ to tuġhyānī nahīñ jaatī

agar aata hun sahil par to aandhi gher leti hai

samundar mein utarta hun to tughyani nahin jati

tahayyur hai balā ye pareshānī nahīñ jaatī

ki tan dhakne pe bhī jismoñ uryānī nahīñ jaatī

tahayyur hai bala ka ye pareshani nahin jati

ki tan dhakne pe bhi jismon ki uryani nahin jati

ḳhud ko aziyyateñ na de mujh ko aziyyateñ na de

ḳhud pe bhī iḳhtiyār rakh mujh pe bhī e'tibār kar

KHud ko aziyyaten na de mujh ko aziyyaten na de

KHud pe bhi iKHtiyar rakh mujh pe bhi e'tibar kar

jin ko kahā na sakā jin ko sunā nahīñ gayā

vo bhī haiñ kuchh hikāyateñ un ko bhī shumār kar

jin ko kaha na ja saka jin ko suna nahin gaya

wo bhi hain kuchh hikayaten un ko bhi tu shumar kar

sitam to ye hai ki fauj-e-sitam meñ bhī 'anjum'

bas apne log dekhūñ jidhar nigāh karūñ

sitam to ye hai ki fauj-e-sitam mein bhi 'anjum'

bas apne log hi dekhun jidhar nigah karun

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now