Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Asghar Gondvi's Photo'

Asghar Gondvi

1884 - 1936 | Gonda, India

One of leading pre-modern poets known for the mystic content of his poetry, close associate of Jigar Moradabadi

One of leading pre-modern poets known for the mystic content of his poetry, close associate of Jigar Moradabadi

Sher of Asghar Gondvi

11.4K
Favorite

SORT BY

chalā jaatā huuñ hañstā kheltā mauj-e-havādis se

agar āsāniyāñ hoñ zindagī dushvār ho jaa.e

I go laughing playing with waves of adversity

If life were to be easy, unbearable it would be

chala jata hun hansta khelta mauj-e-hawadis se

agar aasaniyan hon zindagi dushwar ho jae

I go laughing playing with waves of adversity

If life were to be easy, unbearable it would be

pahlī nazar bhī aap uff kis balā thī

ham aaj tak vo choT haiñ dil par liye hue

pahli nazar bhi aap ki uff kis bala ki thi

hum aaj tak wo choT hain dil par liye hue

zāhid ne mirā hāsil-e-īmāñ nahīñ dekhā

ruḳh par tirī zulfoñ ko pareshāñ nahīñ dekhā

the priest has seen my piety, he hasn't seen your grace

he has not seen your tresses strewn across your face

zahid ne mera hasil-e-iman nahin dekha

ruKH par teri zulfon ko pareshan nahin dekha

the priest has seen my piety, he hasn't seen your grace

he has not seen your tresses strewn across your face

ek aisī bhī tajallī aaj mai-ḳhāne meñ hai

lutf piine meñ nahīñ hai balki kho jaane meñ hai

ek aisi bhi tajalli aaj mai-KHane mein hai

lutf pine mein nahin hai balki kho jaane mein hai

aks kis chiiz ā.īna-e-hairat meñ nahīñ

terī sūrat meñ hai kyā jo merī sūrat meñ nahīñ

aks kis chiz ka aaina-e-hairat mein nahin

teri surat mein hai kya jo meri surat mein nahin

yuuñ muskurā.e jaan kaliyoñ meñ paḌ ga.ī

yuuñ lab-kushā hue ki gulistāñ banā diyā

yun muskurae jaan si kaliyon mein paD gai

yun lab-kusha hue ki gulistan bana diya

jiinā bhī aa gayā mujhe marnā bhī aa gayā

pahchānñe lagā huuñ tumhārī nazar ko maiñ

jina bhi aa gaya mujhe marna bhi aa gaya

pahchanne laga hun tumhaari nazar ko main

aalam se be-ḳhabar bhī huuñ aalam meñ bhī huuñ maiñ

saaqī ne is maqām ko āsāñ banā diyā

aalam se be-KHabar bhi hun aalam mein bhi hun main

saqi ne is maqam ko aasan bana diya

hotā hai rāz-e-ishq-o-mohabbat inhīñ se faash

āñkheñ zabāñ nahīñ haiñ magar be-zabāñ nahīñ

hota hai raaz-e-ishq-o-mohabbat inhin se fash

aankhen zaban nahin hain magar be-zaban nahin

ik adā ik hijāb ik shoḳhī

nīchī nazroñ meñ kyā nahīñ hotā

all, shyness, mischief and coquetry

in her lowered glance, are there to see

ek ada ek hijab ek shoKHi

nichi nazron mein kya nahin hota

all, shyness, mischief and coquetry

in her lowered glance, are there to see

vo naġhma bulbul-e-rañgīñ-navā ik baar ho jaa.e

kalī aañkh khul jaa.e chaman bedār ho jaa.e

wo naghma bulbul-e-rangin-nawa ek bar ho jae

kali ki aankh khul jae chaman bedar ho jae

mā.il-e-sher-o-ġhazal phir hai tabī.at 'asġhar'

abhī kuchh aur muqaddar meñ hai rusvā honā

mail-e-sher-o-ghazal phir hai tabiat 'asghar'

abhi kuchh aur muqaddar mein hai ruswa hona

banā letā hai mauj-e-ḳhūn-e-dil se ik chaman apnā

vo pāband-e-qafas jo fitratan āzād hotā hai

bana leta hai mauj-e-KHun-e-dil se ek chaman apna

wo paband-e-qafas jo fitratan aazad hota hai

suntā huuñ baḌe ġhaur se afsāna-e-hastī

kuchh ḳhvāb hai kuchh asl hai kuchh tarz-e-adā hai

sunta hun baDe ghaur se afsana-e-hasti

kuchh KHwab hai kuchh asl hai kuchh tarz-e-ada hai

riñd jo zarf uThā leñ vahī sāġhar ban jaa.e

jis jagah baiTh ke leñ vahī mai-ḳhāna bane

rind jo zarf uTha len wahi saghar ban jae

jis jagah baiTh ke pi len wahi mai-KHana bane

chhuT jaa.e agar dāman-e-kaunain to kyā ġham

lekin na chhuTe haath se dāmān-e-mohammad

chhuT jae agar daman-e-kaunain to kya gham

lekin na chhuTe hath se daman-e-mohammad

nahīñ dair o haram se kaam ham ulfat ke bande haiñ

vahī ka.aba hai apnā aarzū dil jahāñ nikle

nahin dair o haram se kaam hum ulfat ke bande hain

wahi kaba hai apna aarzu dil ki jahan nikle

zulf thī jo bikhar ga.ī ruḳh thā ki jo nikhar gayā

haa.e vo shaam ab kahāñ haa.e vo ab sahar kahāñ

zulf thi jo bikhar gai ruKH tha ki jo nikhar gaya

hae wo sham ab kahan hae wo ab sahar kahan

mujh se jo chāhiye vo dars-e-basīrat liije

maiñ ḳhud āvāz huuñ merī koī āvāz nahīñ

mujh se jo chahiye wo dars-e-basirat lije

main KHud aawaz hun meri koi aawaz nahin

allāh-re chashm-e-yār mojiz-bayāniyāñ

har ik ko hai gumāñ ki muḳhātab hamīñ rahe

allah-re chashm-e-yar ki mojiz-bayaniyan

har ek ko hai guman ki muKHatab hamin rahe

sau baar tirā dāman hāthoñ meñ mire aayā

jab aañkh khulī dekhā apnā garebāñ thā

sau bar tera daman hathon mein mere aaya

jab aankh khuli dekha apna hi gareban tha

ye bhī fareb se haiñ kuchh dard āshiqī ke

ham mar ke kyā kareñge kyā kar liyā hai ke

ye bhi fareb se hain kuchh dard aashiqi ke

hum mar ke kya karenge kya kar liya hai ji ke

'asġhar' ġhazal meñ chāhiye vo mauj-e-zindagī

jo husn hai butoñ meñ jo mastī sharāb meñ

'asghar' ghazal mein chahiye wo mauj-e-zindagi

jo husn hai buton mein jo masti sharab mein

maiñ kyā kahūñ kahāñ hai mohabbat kahāñ nahīñ

rag rag meñ dauḌī phirtī hai nashtar liye hue

main kya kahun kahan hai mohabbat kahan nahin

rag rag mein dauDi phirti hai nashtar liye hue

ye āstān-e-yār hai sehn-e-haram nahīñ

jab rakh diyā hai sar to uThānā na chāhiye

ye aastan-e-yar hai sehn-e-haram nahin

jab rakh diya hai sar to uThana na chahiye

hal kar liyā majāz haqīqat ke raaz ko

paa.ī hai maiñ ne ḳhvāb ta.abīr ḳhvāb meñ

hal kar liya majaz haqiqat ke raaz ko

pai hai main ne KHwab ki tabir KHwab mein

niyāz-e-ishq ko samjhā hai kyā ai vā.iz-e-nādān

hazāroñ ban ga.e ka.abe jabīñ maiñ ne jahāñ rakh

o foolish priest the offering of love you do not know

a thousand mosques did appear wherever I did bow

niyaz-e-ishq ko samjha hai kya ai waiz-e-nadan

hazaron ban gae kabe jabin main ne jahan rakh di

o foolish priest the offering of love you do not know

a thousand mosques did appear wherever I did bow

log marte bhī haiñ jiite bhī haiñ betāb bhī haiñ

kaun sehr tirī chashm-e-ināyat meñ nahīñ

log marte bhi hain jite bhi hain betab bhi hain

kaun sa sehr teri chashm-e-inayat mein nahin

dāstāñ un adāoñ hai rañgīñ lekin

is meñ kuchh ḳhūn-e-tamannā bhī hai shāmil apnā

dastan un ki adaon ki hai rangin lekin

is mein kuchh KHun-e-tamanna bhi hai shamil apna

maiñ kāmyāb-e-dīd bhī mahrūm-e-dīd bhī

jalvoñ ke izhdihām ne hairāñ banā diyā

main kaamyab-e-did bhi mahrum-e-did bhi

jalwon ke izhdiham ne hairan bana diya

'asġhar' harīm-e-ishq meñ hastī jurm hai

rakhnā kabhī na paañv yahāñ sar liye hue

'asghar' harim-e-ishq mein hasti hi jurm hai

rakhna kabhi na panw yahan sar liye hue

ham us nigāh-e-nāz ko samjhe the neshtar

tum ne to muskurā ke rag-e-jāñ banā diyā

hum us nigah-e-naz ko samjhe the neshtar

tum ne to muskura ke rag-e-jaan bana diya

ālām-e-rozgār ko āsāñ banā diyā

jo ġham huā use ġham-e-jānāñ banā diyā

aalam-e-rozgar ko aasan bana diya

jo gham hua use gham-e-jaanan bana diya

'asġhar' se mile lekin 'asġhar' ko nahīñ dekhā

ash.ār meñ sunte haiñ kuchh kuchh vo numāyāñ hai

'asghar' se mile lekin 'asghar' ko nahin dekha

ashaar mein sunte hain kuchh kuchh wo numayan hai

āriz-e-nāzuk pe un ke rañg kuchh aa gayā

in guloñ ko chheḌ kar ham ne gulistāñ kar diyā

aariz-e-nazuk pe un ke rang sa kuchh aa gaya

in gulon ko chheD kar hum ne gulistan kar diya

mujh ko ḳhabar rahī na ruḳh-e-be-naqāb

hai ḳhud numūd husn meñ shān-e-hijāb

mujh ko KHabar rahi na ruKH-e-be-naqab ki

hai KHud numud husn mein shan-e-hijab ki

lazzat-e-sajda-hā-e-shauq na pūchh

haa.e vo ittisāl-e-nāz-o-niyāz

lazzat-e-sajda-ha-e-shauq na puchh

hae wo ittisal-e-naz-o-niyaz

vo shorisheñ nizām-e-jahāñ jin ke dam se hai

jab muḳhtasar kiyā unheñ insāñ banā diyā

wo shorishen nizam-e-jahan jin ke dam se hai

jab muKHtasar kiya unhen insan bana diya

mirī vahshat pe bahs-ārā.iyāñ achchhī nahīñ zāhid

bahut se bāñdh rakkhe haiñ garebāñ maiñ ne dāman meñ

meri wahshat pe bahs-araiyan achchhi nahin zahid

bahut se bandh rakkhe hain gareban main ne daman mein

qahr hai thoḌī bhī ġhaflat tarīq-e-ishq meñ

aañkh jhapkī qais aur sāmne mahmil na thā

qahr hai thoDi si bhi ghaflat tariq-e-ishq mein

aankh jhapki qais ki aur samne mahmil na tha

rūdād-e-chaman suntā huuñ is tarah qafas meñ

jaise kabhī āñkhoñ se gulistāñ nahīñ dekhā

rudad-e-chaman sunta hun is tarah qafas mein

jaise kabhi aankhon se gulistan nahin dekha

yahāñ kotāhī-e-zauq-e-amal hai ḳhud giraftārī

jahāñ baazū simaTte haiñ vahīñ sayyād hotā hai

yahan kotahi-e-zauq-e-amal hai KHud giraftari

jahan bazu simaTte hain wahin sayyaad hota hai

be-mahābā ho agar husn to vo baat kahāñ

chhup ke jis shaan se hotā hai numāyāñ koī

be-mahaba ho agar husn to wo baat kahan

chhup ke jis shan se hota hai numayan koi

kyā mastiyāñ chaman meñ haiñ josh-e-bahār se

har shāḳh-e-gul hai haath meñ sāġhar liye hue

kya mastiyan chaman mein hain josh-e-bahaar se

har shaKH-e-gul hai hath mein saghar liye hue

us jalva-gāh-e-husn meñ chhāyā hai har taraf

aisā hijāb chashm-e-tamāshā kaheñ jise

us jalwa-gah-e-husn mein chhaya hai har taraf

aisa hijab chashm-e-tamasha kahen jise

kuchh milte haiñ ab puḳhtagi-e-ishq ke āsār

nāloñ meñ rasā.ī hai na aahoñ meñ asar hai

kuchh milte hain ab puKHtagi-e-ishq ke aasar

nalon mein rasai hai na aahon mein asar hai

kyā kyā haiñ dard-e-ishq fitna-tarāziyāñ

ham iltifāt-e-ḳhās se bhī bad-gumāñ rahe

kya kya hain dard-e-ishq ki fitna-taraaziyan

hum iltifat-e-KHas se bhi bad-guman rahe

bistar-e-ḳhāk pe baiThā huuñ na mastī hai na hosh

zarre sab sākit-o-sāmit haiñ sitāre ḳhāmosh

bistar-e-KHak pe baiTha hun na masti hai na hosh

zarre sab sakit-o-samit hain sitare KHamosh

ai shaiḳh vo basīt haqīqat hai kufr

kuchh qaid-e-rasm ne jise īmāñ banā diyā

ai shaiKH wo basit haqiqat hai kufr ki

kuchh qaid-e-rasm ne jise iman bana diya

ye ishq ne dekhā hai ye aql se pinhāñ hai

qatre meñ samundar hai zarre meñ bayābāñ hai

TRANSLATION

What is obscured from the mind, love could witness,

In a droplet there is an ocean, in a speck, wilderness.

Sagar Akbarabadi

ye ishq ne dekha hai ye aql se pinhan hai

qatre mein samundar hai zarre mein bayaban hai

TRANSLATION

What is obscured from the mind, love could witness,

In a droplet there is an ocean, in a speck, wilderness.

Sagar Akbarabadi

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now