aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi's Photo'

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

1864 - 1923 | Lucknow, India

Poet, Editor of several literary magazines like Khandag-E-Nazar,Zamana Kanpur and Adeeb

Poet, Editor of several literary magazines like Khandag-E-Nazar,Zamana Kanpur and Adeeb

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

Ghazal 25

Nazm 1

 

Sher-o-Shayari 12

guftugū tum se aadat ho ga.ī hai varna meñ

jāntā huuñ baat kartī hai kahīñ tasvīr bhī

guftugu ki tum se aadat ho gai hai warna mein

jaanta hun baat karti hai kahin taswir bhi

  • Share this

fikr-e-ma.āl thī na ġham-e-rozgār thā

ham the jahāñ meñ aur tirā intizār thā

fikr-e-maal thi na gham-e-rozgar tha

hum the jahan mein aur tera intizar tha

  • Share this

dekhnā hai kis meñ achchhī shakl aatī hai nazar

us ne rakkhā hai mire dal ke barābar ā.īna

dekhna hai kis mein achchhi shakl aati hai nazar

us ne rakkha hai mere dal ke barabar aaina

tum aise be-ḳhabar bhī shaaz hoñge is zamāne meñ

ki dil meñ rah ke andāza nahīñ hai dil hālat

tum aise be-KHabar bhi shaz honge is zamane mein

ki dil mein rah ke andaza nahin hai dil ki haalat ka

fanā hone meñ soz-e-sham.a minnat-kashī kaisī

jale jo aag meñ apnī use parvāna kahte haiñ

fana hone mein soz-e-shama ki minnat-kashi kaisi

jale jo aag mein apni use parwana kahte hain

BOOKS 66

More Poets From "Lucknow"

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now