aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "'faarig'"
duniyaa ke rang anokhe hai.njo mere saamne rahtaa hai us ke ghar me.n ghar-vaalii haiaur daa.e.n pahluu me.n ik manzil kaa hai makaa.n vo KHaalii haiaur baa.e.n jaanib ik ayyaash hai jis ke haa.n ik daashta haiaur in sab me.n ik mai.n bhii huu.n lekin bas tuu hii nahii.nhai.n aur to sab aaraam mujhe ik gesu.o.n kii KHushbuu hii nahii.nfaariG hotaa huu.n naashte se aur apne ghar se nikaltaa huu.ndaftar kii raah par chaltaa huu.nraste me.n shahr kii raunaq hai ik taa.nga hai do kaare.n hai.nbachche maktab ko jaate hai.n aur taa.ngo.n kii kyaa baat kahuu.nkaare.n to chhichhaltii bijlii hai.n taa.ngo.n ke tiiro.n ko kaise sahuu.nye maanaa in me.n shariifo.n ke ghar kii dhan-daulat hai maayaa haikuchh shoKH bhii hai.n ma.asuum bhii hai.nlekin raste par paidal mujh se bad-qismat maGmuum bhii hai.ntaa.ngo.n par barq-e-tabassum haibaato.n kaa miiThaa tarannum haiuksaataa hai dhyaan ye rah rah kar qudrat ke dil me.n tarahhum haihar chiiz to hai maujuud yahaa.n ik tuu hii nahii.n ik tuu hii nahii.naur merii aa.nkho.n me.n rone kii himmat hii nahii.n aa.nsuu hii nahii.n
kal hamesha kii tarah us ne kahaa ye phone parmai.n bahut masruuf huu.n mujh ko bahut se kaam hai.nis liye tum aa.o milne mai.n to aa saktii nahii.nhar rivaayat to.D kar is baar mai.n ne kah diyaatum jo ho masruuf to mai.n bhii bahut masruuf huu.ntum jo ho mash.huur to mai.n bhii bahut ma.aruuf huu.ntum agar Gamgiin ho mai.n bhii bahut ranjuur huu.ntum thakan se chuur to mai.n bhii thakan se chuur huu.njaan-e-man hai vaqt meraa bhii bahut hii qiimtiikuchh puraane dosto.n ne milne aanaa hai abhiimai.n bhii ab faariG nahii.n mujh ko bhii laakho.n kaam hai.nvarna kahne ko to sab lamhe tumhaare naam hai.nmerii aa.nkhe.n bhii bahut bojhal hai.n sonaa hai mujheratjago.n ke baa'd ab nii.ndo.n me.n khonaa hai mujhemai.n lahuu apnii anaa.o.n kaa bahaa saktaa nahii.ntum nahii.n aatii.n to milne mai.n bhii aa saktaa nahii.nus ko ye kah ke 'vasii' mai.n ne receiver rakh diyaaaur phir apnii anaa ke paa.nv pe sar rakh diyaa
sard silo.n parzard silo.n partaaza garm lahuu kii suuratguldasto.n ke chhii.nTe hai.nkatbe sab be-naam hai.n lekinhar ik phuul pe naam likhaa haiGaafil sone vaale kaayaad me.n rone vaale kaaapne farz se faariG ho karapne lahuu kii taan ke chaadarsaare beTe KHvaab me.n hai.napne Gamo.n kaa haar piro karammaa.n akelii jaag rahii hai
qatl-e-aam jaarii haiagle pa.Daav takkaar-e-mohabbat mauquuf kar diyaa gayaa haiqismat ko kaaGaz ke Tuk.Do.naur baaruud se munsalik kar diyaa gayaa haiaabaadii kaa mas.ala darpesh haimohabbat ko kisii faariG vaqt par uThaa diyaa gayaa haibahaar aane takye mausam to tai karnaa pa.Degaa
jab KHudaa kaa Dar nahii.n to fikr-e-uqbaa kyuu.n rahefaariG-ul-baalii me.n ko.ii bhuukaa pyaasaa kyuu.n rahe
ye sochtaa huu.n joKHudaa kabhii diidaar baKHshegaaaur apne fazl se degaa ijaazat maa.ngne kii kuchhto na dastaar-o-qabaa na jibh-o-KHirqana daulat na mahal na sar pe taaj maa.nguu.ngaana ohda-o-mansab na ko.ii jaah-o-jalaalna ilm-o-aagahii na masnad na eqtidaar maa.nguu.ngaafaraavaanii Gam se najaat na faariG-ul-baaliina sehat na shifaa na achchhii maut maa.nguu.ngaana takmiil-e-aarzuu kii du.aa na nafs-e-mutma.inna kiina umr-e-KHizr na shohrat na KHvaab kii ta.abiir maa.nguu.ngaana dushmano.n ke zarar se na shar se dosto.n kena kibr-sinii na zo.af na laachaarii se panaah maa.nguu.ngaana duniyaa jahaan kii KHushiyaa.n na shaan-o-shaukat hiina KHush-nasiibii na dil kaa chain na sukuun-e-ruuh maa.nguu.ngaana KHush-gavaar raate.n na tuul-e-shabaab na nii.nd na aaGosh-e-mahbuubna saamaan-e-aish-o-tarab na huur-o-qusuur maa.nguu.ngaana rusvaa.ii se bachne kii na izzat aabruu kii KHvaahish haina shohrat-o-maqbuuliyat na achchhii image maa.nguu.ngaana qarz ke bojh na KHauf na dahshat sena kisii ke jabr se na zulm se hifaazat kii du.aa maa.nguu.ngaaab aap sochte ho.ngeki ye baavlaa ye diivaana ye paagal shaKHsna jaane aaKHir KHudaa se kyaa maa.ngegaaso mire hamdam mire dosto mire yaarozaraa qariib aa.o aa.o bataa.uu.n raaz tumhe.n dukhii dil kaamai.n KHudaa-e-qaadir-e-mutlaq rahiim-o-akram sejunuun-e-mazhabii ke KHaatme aur amn kii fazaa maa.nguu.ngaa
ye Ganiimat hai ki vo KHvaab adhuure hii rahevo jo ik umr talakmerii be-KHvaab nigaaho.n kaa u.Daate the mazaaqvo jinhe.n saada-dilii samjhii junuu.n kaa tiryaakjo kabhii baam pe chamkekabhii dar se jhaa.nkekabhii rauzan kabhii chilman se numuudaar hu.ejo kabhii zulf kaa jaaduuto kabhii shola-e-ruKHsaar hu.ejo kabhii chashm-e-fusuu.n-kaar hu.ekhol kar band dariiche chaman-aaraa.ii kiiaarzuu bante ga.e jo Gam-e-tanhaa.ii kiiye Ganiimat hai ki vo KHvaab adhuure hii rahemarg-e-ta.abiir kaa unvaa.n na banevarna ye tohmat-e-rusvaa.ii kahaa.n se aatiimere fan me.n ye masiihaa.ii kahaa.n se aatii
tere Gam me.n kitnaa naazuk ho gayaa hai dil ki abis bhare baazaar me.nhar sadaa ik ajnabii ehsaas kaa aa.iina haiaaj tere Gam se faariG ho ke mai.nbah rahaa huu.n lazzat-e-iz.haar ke sailaab me.nla.Dkha.Daate re.ngte la.ng.Daate ha.nste boltelafz aur un kaa dhu.aa.n KHushbuu chamakchal rahe hai.n mil ke be-aaha.ng aavaazo.n ke ra.ngajnabii ho.nTo.n ke lafzaarzu.o.n ke Gubaare hasrato.n kii titliyaa.nchaar-suu u.Dtii hai.n mai.n KHaamosh huu.nguftuguu ke daa.ero.n me.n phail karra.ng bhartaa jaa rahaa hai un tamannaa.o.n kaa KHuu.njin ke lafzo.n ne zabaa.n dii sun.ne vaalo.n kaa KHayaalun me.n Duubaa jaa rahaa hai bolte lafzo.n kaa saharus ko apne daam me.n laataa hu.aaphail kar aataa hai mujh tak pech-o-KHam khaataa hu.aaaur mai.nus kii kaifiyat kaa Gaaza apne chehre par lagaa.eik na.ii aavaaz ke saa.e me.n huu.nchaahtaa huu.n band aa.nkho.n se mai.n us sailaab me.nkuud jaa.uu.n aur nazzaara karuu.napne kaano.n se dilo.n ke tarjumaa.n alfaaz kaasuurat goyaa se ba.Dh kar hai suKHan-andaaz kaa
sadaaqato.n ke junuu.n kaaham aisaa aa.iina hai.njo apne akso.n kaa maan kho karshikastagii kaa azaab sahne me.n mubtalaa haiham aise tuufaa.n kaa maajraa hai.njo TuuTte phuuTte chaTaKHte seapne a.asaab ke bikharne kii aas me.n hai.njo tishna-lab saahilo.n kii maanindapne dariyaa kii pyaas me.n hai.njo dasht-e-imkaan kii havaa.o.n kiibarguziida magar dariida libaas me.n hai.n
ajab safar thaaajab pur-asraar marhala thaaajiib ha.ngaam-e-rah-e-navardiiajiib shauq-e-jahaa.n-numaa thaana ko.ii saut-e-daraa sadaa-e-rahiil thiiaur na ko.ii manzil na kaarvaa.n thaaajiib KHuu-e-safar thiijo zaad-e-raah thiiham-safar thiirahrav thiiraahbar thiina dil me.n andesha-e-maraahilna KHauf-e-jaadana intizaar-e-savaad-e-manzilhar us tuufaan-e-baad-o-baaraa.nna paa.e rah-e-aafrii.n me.n laGzishna raah-e-gum-kardagii kaa sadmabas ek bebaak hausla thaajo saarii hastii pe chhaa gayaa thaaki jaan mahshar-ba-dast thiipech-o-KHam rah-e-pur-KHatar ke uqda-kushaa thedil faariG-e-KHatar thaaajab safar thaaajab balaa-KHez marhala thaaki duur taksarhad-e-ufuq taksamundar-o-sabza-zaar-o-waadii-o-koh-o-sahraa-o-dasht-o-dariyaa theaur mai.n thiimusaafirat thiisafar baraa.e-safar thaaik pyaas kaa samundar thaajo rag-e-jaa.n me.n maujzan thaavo arsa-e-motabar thaayaa ahd-e-muKHtasar thaavo jo bhii thaaik ajab safar thaaajab balaa-KHez marhala thaa
saare din ke mel kojism se utaarnaa mushkil lagtaa haisar ko din bhar kii dhuul sefaariG karnaaaur phir gardan ke kaale daa.ere kohalkaa karnaasaabun ke bulbulo.n sephir aahista aahista un golaa.iyo.n kii tarafba.Dhnaajin par mel kabhii nahii.n cha.Dhtaazaraa sii tirchhiiek taraf ko jhukii hu.iisadaa kii chamkii-chamkaa.iiunhe.n mai.n ab nahii.n dhotiiphir ubhre hu.e peT parbarso.n kaa pasiinajame hu.e chewing-gum kii tarahkabhii nahii.n utartaa
daa.ero.n me.n chalte chalteham kahaa.n tak aa ga.euu.nghte hii uu.nghteKHvaab-e-giraa.n tak aa ga.egahre paanii me.n utar karpaar hone ke bajaa.eDarte Darte ab toKHatre ke nishaa.n tak aa ga.e
aachaanakKHud me.n ye kaisii tabdiiliyaa.n mahsuus kar rahaa huu.n mai.nmere baal daraaz aur ghane ho ga.e hai.nmai.n ab do choTiyaa.n baa.ndhne lagaa huu.nmerii aa.nkhe.n pahle se ziyaada maKHmuur ho ga.ii hai.nvo ab dekhne ke bajaa.e ziyaada rone lagii hai.nmere ho.nT kohre kii ThanD kii tarah safed pa.D ga.e hai.nvo ab bolne ke bajaa.e ziyaada kapkapaane lage hai.nmeraa siina pahle sapaaT thaaab is par do uThaane.n uTh aa.ii hai.nduudh sii ko.ii shai is me.n ThaaThe.n maarne lagii haimai.n pahle qamiis aur painT pahantaa thaaab mai.n shalvaar aur jampar pahan.ne lagaa huu.nlagtaa hai abhii gyaarah september hii ko mai.nGusl-e-janaabat se faariG hu.aa huu.naachaanakachaanak KHud me.n ye kaisii tabdiiliyaa.nmahsuus kar rahaa huu.n mai.nabhii abhii tho.Dii der pahle mujhe ek zabardast qai hu.ii thiidaa.ii aa.ii thiius ne meraa jampar utaar ke merii kokh kemerii kokh parThanDaa Thaar qabr saa haath rakh ke kahaa thaamubaarak ho tum maa.n ban.ne vaale ho
(Gabriel Garciamarcuez ke andaaz me.n)jab vo paidaa hu.aato us kii dono.n aa.nkhe.n dahak rahii thii.ndono.n papoTe phaTe hu.e theputlii kii diivaar se laTkeaa.nkho.n ke parde aage se haTe hu.e thejab us kii aa.nkhe.n hiltii.nto diivaaro.n pe un kii lau hilne lagtii thiivo paidaa hone se pahlesaare dhone dho aayaa thaaapne janm kaa saaraa ronaa ro aayaa thaa
vo zindagii kaa ajiib-o-Gariib mausam thaabahaare.n TuuT pa.Dii thii.n suhaane jismo.n parnafas nafas me.n fusuu.n thaa nazar nazar me.n junuu.ntasavvur-e-mai-isyaa.n se chuur chuur badannujuum-e-fikr-o-nazar TimTimaa ke Duub ga.e
khulii kitaab ke huruufsharmgii.n nigaah sedekhte hai.n yuu.n mujheki jaise ye na.e pa.Dosii jaane kab semerii uljhano.n ke raazdaar hai.nhar ek lafz dard ban ke KHalvato.n me.n guu.njtaa hai raat bhar
abhii mujh se kisii ko mohabbat nahii.n hu.iiso dil ke baaG me.n phuul bhii nahii.n khilemujhe har aurat ke siine par pistaanaur raano.n ke biich qaus nazar aatii haiabhii mohabbat shuruu.a nahii.n hu.iimai.n har ham-bistarii ke baad be-zaaraur phir se is kaam par tayyaar ho jaataa huu.npistaano.n aur raano.n me.nmohabbat talaash karne ke kaar-e-be-suud me.n masruufmohabbat ke mausam takishrat ke raste jaayaa jaa saktaato kab kaa pahu.nch gayaa hotaanazar kartaa huu.n to lagtaa haizindagii se kuchh aur bhii duur nikal aaya huu.nmujhe maut se Dar lagne lagaa haikyo.n ki abhii mujh se kisii ko mohabbat nahii.n hu.iiqatl-e-aam jaarii haiagle pa.Daav takkaar-e-mohabbat mauquufqismat ko kaaGaz ke Tuk.Do.naur baaruud se munsalik kar diyaa gayaa haiaabaadii kaa mas.ala darpesh haimohabbat ko kisii faariG vaqt par uThaa diyaa gayaa haibahaar aane takye mausam to tai karnaa pa.Degaa
rasm-e-andesha se faariG hu.e hamapne daamaa.n kii shikan me.n simTekaf-e-ayyaam kii pur-pech lakiiro.n me.n kahii.napne aa.inda-e-naadiida se sahme hu.e ham
ye dastii paarcha-baafii hamaare ghar kii san'at haiye san'at iftiKHaar-e-qaum hai bhaarat kii 'azmat haiyahii san'at hame.n baKHshegii KHushiyaa.n aur KHush-haaliiisii fan se hamaare ghar me.n hogii faariG-ul-baaliihamaarii dast-baafii bhaa ga.ii hai zauq vaalo.n kobahut marGuub hai.n kap.De hamaare mah-jamaalo.n kobanaavaT me.n numaayaa.n chand sadiyo.n ke KHazaane hai.nellora ke namuune hai.n ajantaa ke fasaane hai.nkahii.n hai.n naqsh muGlo.n raajputo.n kii saqaafat kekahii.n manzar hai.n dilkash hind kii qaumii vajaahat kezabaa.n-zad ho rahii hai aaj-kal in kii dil-aaveziiba.Daa dilkash hai in kap.Do.n kaa tarz-e-rang-aameziivo america ho yaa europe har ik jaa is kaa charchaa haihamaarii dast-baafii kaa jahaa.n me.n bol-baalaa haimubaarak 'taahira' hafta manaanaa dast-kaaro.n koKHudaa aabaad rakkhe mulk ke in honhaaro.n ko
na jaane aariba kyuu.n aa.e kyuu.n musta.araba aa.emuzir ke log to chhaane hii vaale the so vo chhaa.emire jad haashim-e-aalii ga.e gazza me.n dafnaa.emai.n naaqe ko pilaa.uu.ngaa mujhe vaa.n tak vo le jaa.eliduu lilmauti vabnuu lilhizaabi san KHaraabaatiivo mard-e-uus kahtaa hai haqiiqat hai KHuraafaatiiye zaalim tiisraa paig ik aqaaniimii bidaayat haiuluuhii harzaa-farmaa.ii kaa sirr-e-tuur-e-luknat haibhalaa huurab kii jhaa.Dii kaa vo ramz-e-aatishii.n kyaa thaamagar huurab kii jhaa.Dii kyaa ye kis se kis kii nisbat haiye nisbat ke bahut se qaafiye hai.n hai gilaa is kaamagar tujh ko to yaaraa! qaafiyo.n kii be-tarah lat haigumaa.n ye hai ki shaayad bahr se KHaarij nahii.n huu.n mai.nzaraa bhii haal ke aaha.ng me.n haarij nahii.n huu.ntanaa-tan tan tanaa-tan tan tanaa-tan tan tanaa-tan tantanaa-tan tan nahii.n mehnat-kasho.n kaa tan na pairaahanna pairaahan na puurii aadhii roTii ab rahaa saalanye saale kuchh bhii khaane ko na paa.e.n gaaliyaa.n khaa.e.nhai in kii be-hisii me.n to muqaddas-tar haraamii-pan
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books