aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for ".rizl"
hadaf ho.nge tumhaaraa kaun tum kis ke hadaf hogena jaane vaqt kii paikaar me.n tum kis taraf hogehai ran ye zindagii ik ran jo barpaa lamha lamha haihame.n is ran me.n kuchh bhii ho kisii jaanib to honaa haiso ham bhii is nafas tak hai.n sipaahii ek lashkar kehazaaro.n saal se jiite chale aa.e hai.n mar mar keshuhuud ik fan hai aur merii adaavat be-fano.n se haimirii paikaar azal seye 'KHusro' 'miir' 'Gaalib' kaa KHaraaba bechtaa kyaa haihamaaraa 'Gaalib'-e-aazam thaa chor aaqa-e-'bedil' kaaso rizq-e-faKHr ab ham khaa rahe hai.n 'miir'-e-bismil kaasidhaarat bhii thaa sharminda ki do-aabe kaa baasii thaatumhe.n ma.aluum hai urdu jo hai paalii se niklii haivo goyaa us kii hii ik pur-numuu Daalii se niklii hai
ma.iishat duusro.n ke haath me.n hai mere qabze me.njuz ik zehn-e-rasaa kuchh bhii nahii.n phir bhii magar mujh koKHarosh-e-umr ke itmaam tak ik baar uThaanaa haianaasir muntashir ho jaane nabze.n Duub jaane taknavaa-e-sub.h ho yaa naala-e-shab kuchh bhii gaanaa haizafar-mando.n ke aage rizq kii tahsiil kii KHaatirkabhii apnaa hii naGma un kaa kah kar muskuraanaa haivo KHaama-sozii shab-bedaariyo.n kaa jo natiija house ik khoTe sikke kii tarah sab ko dikhaanaa haikabhii jab sochtaa huu.n apne baare me.n to kahtaa huu.nki tuu ik aabla hai jis ko aaKHir phuuT jaanaa haiGaraz gardaa.n huu.n baad-e-sub.h-gaahii kii tarah lekinsahar kii aarzuu me.n shab kaa daaman thaamtaa huu.n jabye la.Dkaa puuchhtaa hai aKHtar-ul-iimaan tum hii hoye la.Dkaa puuchhtaa hai jab to mai.n jhallaa ke kahtaa huu.nvo aashufta-mizaaj andoh-parvar iztiraab-aasaajise tum puuchhte rahte ho kab kaa mar chukaa zaalimuse KHud apne haatho.n se kafan de kar farebo.n kaaisii kii aarzuu.o.n kii lahad me.n phe.nk aayaa huu.nmai.n us la.Dke se kahtaa huu.n vo sho.ala mar chukaa jis nekabhii chaahaa thaa ik KHaashaak-e-aalam phuu.nk Daalegaaye la.Dkaa muskuraataa hai ye aahista se kahtaa haiye kizb-o-iftiraa hai jhuuT hai dekho mai.n zinda huu.n
kahii.n nahii.n hai kahii.n bhii nahii.n lahuu kaa suraaGna dast-o-naaKHun-e-qaatil na aastii.n pe nishaa.nna surKHi-e-lab-e-KHanjar na ra.ng-e-nok-e-sinaa.nna KHaak par ko.ii dhabbaa na baam par ko.ii daaGkahii.n nahii.n hai kahii.n bhii nahii.n lahuu kaa suraaGna sarf-e-KHidmat-e-shaahaa.n ki KHuu.n-bahaa detena dii.n kii nazr ki bai.aana-e-jazaa detena razm-gaah me.n barsaa ki mo'tabar hotaakisii alam pe raqam ho ke mushtahar hotaapukaartaa rahaa be-aasraa yatiim lahuukisii ko bahr-e-samaa.at na vaqt thaa na dimaaGna mudda.ii na shahaadat hisaab paak hu.aaye KHuun-e-KHaak-nashiinaa.n thaa rizq-e-KHaak hu.aa
marg-e-israafiil par aa.nsuu bahaa.ovo KHudaa.o.n kaa muqarrab vo KHudaavand-e-kalaamsaut-e-insaanii kii ruuh-e-jaavedaa.naasmaano.n kii nidaa-e-be-karaa.naaj saakit misl-e-harf-e-naa-tamaammarg-e-israafiil par aa.nsuu bahaa.oaa.o israafiil ke is KHvaab-e-be-ha.ngaam par aa.nsuu bahaa.e.naaramiida hai vo yuu.n qarnaa ke paasjaise tuufaa.n ne kinaare par ugal Daalaa usereg-e-saahil par chamaktii dhuup me.n chup chaapapne suur ke pahluu me.n vo KHvaabiida haius kii dastaar us ke gesuu us kii riishkaise KHaak-aaluuda hai.nthe kabhii jin kii tahe.n buud-o-nabuudkaise is kaa suur is ke lab se duurapnii chiiKHo.n apnii fariyaado.n me.n gumjhilmilaa uThte the jis se dair-o-zuudmarg-e-israafiil par aa.nsuu bahaa.ovo mujassam hamhama thaa vo mujassam zamzamavo azal se taa abad phailii hu.ii Gaibii sadaa.o.n kaa nishaa.nmarg-e-israafiil sehalqa dar halqa farishte nauha garibn-e-aadam zulf-dar-KHaak-o-nazaarhazrat-e-yazdaa.n kii aa.nkhe.n Gam se taaraasmaano.n kii safiir aatii nahii.naalam-e-laahuut se ko.ii nafiir aatii nahii.nmarg-e-israafiil seis jahaa.n par band aavaazo.n kaa rizqmutribo.n kaa rizq aur saazo.n kaa rizqab muGannii kis tarah gaa.egaa aur gaa.egaa kyaasun.ne vaalo.n ke dilo.n ke taar chupab ko.ii raqqaas kyaa thirkegaa lahraa.egaa kyaabazm ke farsh-o-dar-o-diivaar chupab KHatiib-e-shahr farmaa.egaa kyaamasjido.n ke aastaan-o-gumbad-o-miinaar chupfikr kaa sayyaad apnaa daam phailaa.egaa kyaataa.iraan-e-manzil-o-kohsaar chupmarg-e-israafiil haigosh-e-shanvaa kii lab-e-goyaa kii mautchashm-e-biinaa kii dil-e-daanaa kii mautthii isii ke dam se durvesho.n kii saarii haav-huuahl-e-dil kii ahl-e-dil se guftuguuahl-e-dil jo aaj gosha-giir-o-surma-dar-guluuab tanaa taa-huu bhii Gaa.eb aur yaa-rab haa bhii gumab galii kuucho.n kii har aavaa bhii gumye hamaaraa aaKHirii maljaa bhii gummarg-e-israafiil seis jahaa.n kaa vaqt jaise so gayaa pathraa gayaajaise ko.ii saarii aavaazo.n ko yaksar khaa gayaaaisii tanhaa.ii ki husn-e-taam yaad aataa nahii.naisaa sannaaTaa ki apnaa naam yaad aataa nahii.nmarg-e-israafiil sedekhte rah jaa.e.nge duniyaa ke aamir bhiizabaa.n-bandii ke KHvaabjis me.n majbuuro.n kii sargoshii to hous KHudaavandii ke KHvaab
mirii jaa.n rizq kii taqsiim me.ntafriiq kaa qaanuun to sadiyo.n puraanaa haiviraasat baa.nTne vaalo.n ne jo bhii faisla likkhaause ham ne bajaa samjhaa bajaa likkhaahamaaraa alamiya ye haiki apnii raah kii diivaar ham KHud hai.nye aurat haiki jo aurat ke haq me.n ab bhii guu.ngii haiye aurat haiki jo aurat kii ummiido.n kii qaatil hai
musaahib-e-shaah se kaho kifaqiih-e-aazam bhii aaj tasdiiq kar ga.e hai.nki fasl phir se gunaahgaaro.n kii pak ga.ii haihuzuur kii jumbish-e-nazar ketamaam jallaad muntazir hai.nki kaun sii had janaab jaarii kare.nto taamiil-e-bandagii hokahaa.n pe sar aur kahaa.n pe dastaar utaarnaa ahsan-ul-amal haikahaa.n pe haatho.n kahaa.n zabaano.n ko qat.a kiijiyekahaa.n pe darvaaza rizq kaa band karnaa hogaakahaa.n pe aasaa.isho.n kii bhuuko.n ko maar diijekahaa.n baTegii lu.aan kii chhuuTaur kahaa.n parrajm ke ahkaam jaarii ho.ngekahaa.n pe nau saala bachchiyaa.n chahal saala mardo.n ke saathsa.ngiin me.n pirone kaa hukm hogaakahaa.n pe iqbaalii mulzimo.n kokisii tarah shak kaa faa.eda ho
KHizaa.n mausam nahii.n haiek lamha hai ki jis kii aarzuu me.nsabz pattehavaa kii aahaTo.n par kaan dharte hai.nguzarte vaqt me.n saa.at-ba-saa.atna.e pairaahano.n me.ngulaabii aur gahre surKH unnaabiidahakte KHushnumaa ra.ngo.n se le kar zard hone takkabhii dhiime kabhii uu.nche suro.n me.n baat kartiiKHushbu.o.n me.n bas-basaa karhavaa ke saath mahv-e-raqs honaa chaahte hai.nzamii.n kaa rizq ban jaane se pahlevahii ik ajnabii vaaraftagii aur raqs kaa lamhakahii.n par daur-e-aa.inda ke mausam kii samaa.at me.nkisii so.e hu.e ik biij me.nKHvaahish numuu kii sar uThaatii haibahut hii pyaar se har shaaKH ke patte se kahtii haiki ab rizq-e-zamii.n ban karkisii ik narm ko.npal kii numuu kaa aasraa ban jaaKHizaa.n mausam nahii.n haiik masarrat-KHez taKHliiq-e-amal kaa aasraa hai
mere aabaa-o-ajdaad ne hurmat-e-aadmii ke liyetaa-abad raushnii ke liyekalma-e-haq kahaamaqtalo.n qaid-KHaano.n saliibo.n me.n bahtaa lahuu un ke hone kaa ailaan kartaa rahaavo lahuu hurmat-e-aadmii kii zamaanat banaataa-abad raushnii kii alaamat banaaaur mai.n paa-barahna sar-e-kuucha-e-ehtiyaajrizq kii maslahat kaa asiir aadmiisochtaa rah gayaajism me.n mere un kaa lahuu hai to phir ye lahuu boltaa kyuu.n nahii.n?
sitaare jitne bhii aasmaa.n parmirii tamannaa ke zau-fishaa.n thezamii.n ke andar utar ga.e hai.njo log raato.n ko jaagte the vo mar ga.e hai.nvo phuul vo titliyaa.n ki jin sebahaar kii dilkashii sivaa thiivo rizq-e-KHaashaak ban chuke thetamaam manzar tamaam chehre jo dhiire dhiire sulag rahe theso ab vo sab raakh ban chuke hai.nmai.n raftagaa.n kii udaas yaado.n ke saa.e me.n din guzaartaa huu.nagarche KHvaabo.n kaa pairahan taar taar saa haipa mai.n use kab utaartaa huu.nmirii sadaa kaa javaab ab ko.ii bhii na degaaye jaantaa huu.n magar musalsal kisii ko ab tak pukaartaa huu.najiib ye khel hai ki jis ko na jiit.taa huu.n na haartaa huu.nmirii kahaanii me.n ko.ii shai bhii na.ii nahii.n haiye nanhe munne hasiin KHvaabo.n se hai ibaaratmirii kahaanii me.n narm din KHush-gavaar shaamo.nudaas raato.n kii ek rau haivajuud meraa kisii diye kii haqiir lau haimai.n yuu.n to kahne ko aql o mantiq ke daur kaa aadmii huu.n lekinmiraa ravayya hai zindagii ko guzaarne kaa bahut puraanaamai.n sochtaa huu.n ki ik sadii qabl paidaa hotaa to Thiik rahtaaki mujh se ko.ii bhii kuchh na kahtaajo KHaak kaa rizq ho chuke hai.nmai.n un zamaano.n kaa nauhagar huu.nvisaal o hijraa.n kii daastaano.n kaa nauhagar huu.njinhe.n ye duniyaa hazaar-haa baar sun chukii hai
KHaamoshii meraa lashkar hailafzo.n kii daldalaur us me.n palne vaalii jo.nke.nye muta.affin aavaaze.nmerii yalGaar ke aage saabit-qadam rahe.ngii?kyaa tum vaaqa.ii aisaa samajhte hoki tumhaare maidaan itne faraaKH hai.nki mere asp-e-asiil ko thakaa de.ngetumhaare samundar itne mavvaaj hai.nki meraa rizq ulaT de.ngeaur tumhaare pahaa.D itne sa.nglaaKH hai.nki meraa jhanDaa na thaame.nge
kuchh suuraj aise phir bhiiapnii apnii shaam me.n jo is dasht-e-ufuq kaa rizq hu.e hai.nlekin ab tak raushan hai.n gahnaa.e nahii.nphuul hai.n jin ko chhuune vaalii sabz havaa.e.n KHaak hu.ii.nlekin ab tak taaza hai.n kumhlaa.e nahii.naisaa hii ik suuraj thaa vo aadam-zaadaTuuTii ii.nTo.n ke malbe se jaada jaadaTuk.Daa Tuk.Daa yakjaa kar keek imaarat kii buniyaade.n Daal rahaa thaasaat samundar jaise dil me.nun ke Gam ko paal rahaa thaajin ke kaale ta.ng gharo.n me.n ko.ii suuraj chaa.nd nahii.n thaaphuulo.n kii mahkaar nahii.n thii baadal kaa imkaan nahii.n thaasub.h kaa naam nishaan nahii.n thaanii.nd bharii aa.nkho.n ke lawn me.nvo KHud suuraj ban kar ubhraaDhaltii shab me.n puure chaa.nd kii suurat niklaasub.h ke pahle darvaaze par dastak ban kar guu.nj uThaa
vo ik musaafir thaa jaa chukaa haibataa gayaa thaa ki be-yaqiino.n kii bastiyo.n me.n kabhii na rahnaakabhii na rahnaa ki un pe itne azaab utre.nge jin kii gintii adad se baaharvo apne murde tumhaare kaa.ndho.n pe rakh ke tum ko judaa kare.ngetum un janaazo.n ko qarya qarya liye phirogefalak bhii jin se naa-aashnaa hai jinhe.n zamiine.n bhii rad kare.ngiivo kah gayaa thaa hamesha zillat se duur rahnaaki bad-nasiibo.n kaa rizq-e-avval unhii.n zamiino.n se paidaa hotaa haijin zamiino.n pe bhuurii giddho.n kii nochii haDDii ke reze bikhrii.ntum apnii raa.e ko istaqaamat kii aab denaajise pahaa.Do.n kii KHushk sa.ngii.n bulandiyo.n se KHiraaj bheje.nGulaam zehno.n pe aisii laanat kii rasm rakhnaajo terii naslo.n phir un kii naslo.n phir un kii naslo.n talak bhii jaa.etumhe.n KHabar ho shariif logo.n kii uu.nchii gardan lachak se aise hii be-KHabar haisavaad-e-Gurbat me.n KHema-gaaho.n kii jaise gaa.Dii ho.n KHushk chobe.nkabhii na shaane jhukaa ke chalnaaki past-qaamat tumhaare qadmo.n se apne qadmo.n ko jo.D de.ngevahii nahuusat tumhe.n KHaraabo.n kii paasbaanii ataa karegiisaraab-aa.nkho.n ke raasto.n se tumhaare gurdo.n me.n ret phe.nke.nge aur siine ko kaaT de.ngevo kah gayaa thaa yahii vo illat ke maare vahshii hai.n jin kii apnii zabaa.n nahii.n haiye jhaag u.Daate hai.n apne jab.Do.n se lajlaje kaa to ga.Dga.DaahaT kaa shor uThtaa haiaur badbuu bikhertaa haiyahii vo bad-baKHt be-hunar aur be-yaqii.n hai.n ki jin kii diyat na KHuu.n-bahaa haiso in kii qurbat se duur rahnaa najaat-e-dil kaa sabab banegaavo ik musaafir thaa kah gayaa hai
nazar uThaa.o safiir-e-lailaa bure tamaasho.n kaa shahr dekhoye meraa qarya ye vahshato.n kaa amiin qaryatumhe.n dikhaa.uu.nye sehan-e-masjid thaa yaa.n pe aayat-farosh baiThe du.aa.e.n KHilqat ko bechte theyahaa.n adaalat thii aur qaazii amaan dete the rahzano.n koaur is jagah par vo KHaan-qaahe.n thii.n aab o aatish kii manDiyaa.n thii.njahaa.n pe amrad-parast baiThe safaa-e-dil kii namaaze.n pa.Dh karKHayaal-e-duniyaa se jaa.n haTaatesafiir-e-lailaa mai.n kyaa bataa.uu.n ki ab to sadiyaa.n guzar chukii hai.nmagar suno ai Gariib-e-saaya ki tum shariifo.n ke raaz-daa.n hoyahii vo din the mai.n bhuul jaa.uu.n to mujh pe laanatyahii vo din the safiir-e-lailaa hamaarii bastii me.n chhe taraf se fareb utredaro.n se aage gharo.n ke biicho.n phir us se chuulho.n kii haa.nDiyo.n me.njavaan-o-piir-o-zanaan-e-qarya KHushii se raqsaa.ntamaam raqsaa.nhujuum-e-tiflaa.n thaa yaa tamaashe the bozno.n keki ko.ii diivaar-o-dar na chho.Daavo un pe cha.Dh kar shariif chehro.n kii gardano.n ko phalaa.ngte theDaraaz-qaamat lahiim baunerazaa-e-baaham se kolhu.o.n me.n jute hu.e theKHraaste the vo zard Galla to us ke pisne se KHuun bahtaa thaa pattharo.n semagar na aa.nkhe.n ki dekh paa.ii.n na un kii naake.n ki suu.nghte vofaqat vo bailo.n kii chakkiyaa.n thii.n saro.n se KHaaliifareb khaate the KHuun piite the aur niinde.n thii.n bajju.o.n kiisafiir-e-lailaa ye daastaa.n hai isii kha.nDar kiiisii kha.nDar ke tamaash-biino.n fareb-KHurdo.n kii daastaa.n haimagar suno ajnabii shanaasaakabhii na kahnaa ki mai.n ne qarno.n ke faaslo.n ko nahii.n sameTaafasiil-e-qarya ke sar pe phe.nkii ga.ii kamande.n nahii.n utaarii.ntumhe.n dikhaa.uu.n tabaah bastii ke ek jaanib buland Tiilabuland Tiile pe baiThe baiThe havannaqo.n-saakabhii to rotaa thaa apnii aa.nkho.n pe haath rakh kar kabhii musalsal mai.n uu.nghtaa thaamai.n uu.nghtaa thaa ki saa.ns le luu.nmagar vo chuulho.n pe haa.nDiyo.n me.n fareb paktesiyaah saa.npo.n kii aisii kaayaa-kalap hu.ii thii ki merii aa.nkho.n pe jam ga.e theso yaa.n pe baiThaa mai.n aane vaale dhu.e.n kii talKHii bataa rahaa thaaKHabar ke aa.nsuu bahaa rahaa thaamagar mai.n tanhaa safiir-e-lailaafaqat KHayaalo.n kii baadshaahii mirii viraasattamaam qarye kaa ek shaa.ir tamaam qarye kaa ik la.ii.n thaayahii sabab hai safiir-e-lailaa mai.n yaa.n se niklaa to kaise ghuTno.n ke bal uThaa thaanasiib-e-hijrat ko dekhtaa thaasafar kii saKHtii ko jaantaa thaaye sabz qariyo.n se sadiyo.n piichhe kii manzilo.n kaa safar thaa mujh kojo gard-e-sahraa me.n lipTe KHaaro.n kii tez noko.n pe jald karnaa thaa aurvo aisaa safar nahii.n thaa jahaa.n pe saa.e kaa rizq hotaajahaa.n havaa.o.n kaa lams miltaafarishte aavaaz-e-al-amaa.n me.n mire liye hiiajal kii rahmat ko maa.ngte theyahii vo lamhe the jab shafaq ke taviil Tiilo.n pe chalte chaltemai.n dil ke zaKHmo.n ko saath le karsafar ke parbat se paar utraa
bayaa se chi.Diyaachi.Diyaa se toteaur tote se kavveniil-ka.nTh woodpeckeraur laalii takparindo.n jaanvaro.naur insaano.n kaarizq aur jiivanbaahamaapas me.n ju.De hu.e hai.ndaraKHto.n paudo.nphuulo.n aur phalo.n seham sab kaa jiivan haidaraKHto.n kii hariyaalii takham sab hariyal hai.nkal jabdaraKHt nahii.n ho.ngetokuchh bhii na hogaabad-baKHtii ham parkutte kii suurat bhau.nkegii
mumtaaz espen me.njaa.ez aur naa-jaa.ez chiize.ndar-aamad baraamad kar kerizq-e-halaal aur akl-e-haraam kamaataa thaaus ke jaan.ne vaalo.n me.nkuchh aise vaise log bhii shaamil themagar apnii apnii pardesii duniyaa.o.n me.ndono.n aaraam se the
aane vaale kal me.n shaayad KHvaabo.n kii ta.abiir milebhuukii KHilqat rizq ko dekhe insaa.n ko tauqiir mile
dayaar-e-Gariibaa.n se aayaa hu.aa ik udhe.D umr chuhaajo bas rizq kii buu ko pahchaantaa haijo har vaqt biimaar har vaqt bezaar chuhiyaa se ta.ng aa chukaa haiuse dekh legaa to jii jaa.egaashauq-e-vaaraftagii tarz-e-aamaadgiius ko billii ke nazdiik le jaa.egaalamha-e-qurb me.nsaa.at-e-vasl me.nus hasiina ke naaKHun nikal aa.e.ngeus udhe.D umr chuuhe se shoKHii kare.ngeuse haa.nptaa-kaa.nptaa adh-mu.aa chho.D karphir se malbuus-e-maKHmal me.n chhup jaa.e.nge
ham unhe.n paalte hai.napne bachcho.n kii tarahapnaa KHuun pilaa karapne hisse kaa rizq khilaa karunhe.n sair karaate hai.nmele Thele aur baazaaro.n kiiapnii u.nglii thamaa kar
ba.Daa shauq thaaki base.n shahr-e-lahore me.nchho.D kar zindagii ye mazaafaat kiichal rahe.n us nigaar-e-vatan me.nki jis me.n hai.n har-suu mahaktii fazaa.e.nbarastii hai.n maKHmuur kaalii ghaTaa.e.nye lahore thaamere KHvaabo.n kaa maskanmirii chaahato.n kaa KHutanguzaare the ahd-e-javaanii me.n mai.n neyahaa.n sai.nka.Do.n dinbaras-haa-baras takrahaa mai.n muqayyadbahut duur is ek chhoTe nagar me.nvo chhuuTaa nagar jis ne aasuudgii diidiyaa rizq bhii garche mujh ko faraavaa.nmagar mere dil me.n vo utraa nahii.n ek din bhiizamiin chaa.nd mausam sitaaresabhii ek se themagar phir bhii mujh ko vo bhaayaa nahii.n ek din bhiimujhe aaKHirash zindagii le hii aa.iiisii mere KHvaabo.n ke ghar me.nsamundar kii suurat ufuq-taa-ufuqduur phaile nagar me.nva-lekin vo shahr-e-nigaaraa.n vo shahr-e-KHutanmerii yaado.n kaa maskanna jaane kahaa.n hai?use aaj tak Dhuu.nD paayaa nahii.n mai.nna vo mall hai na vo shimla pahaa.Diina TamTam na Taa.nga na ik aadh gaa.Diijamaal-e-sahar hai na mahkii fazaa.e.nsamaa.at pe baar-e-garaa.n motoro.n kii sadaa.e.nhai shor-e-qayaamat dhu.aa.n hii dhu.aa.n haimiraa shahr lahore jaane kahaa.n hai
mere nazdiik mohabbat ilhaamii shai haiye aasmaano.n se utartii haidil kii paak shaffaaf zamiin parye mohabbat azaan-e-fajr ke baad utartii hu.ii paak sahar haiye itnii paak hai jitnaa jis kaa taKHayyul paak haimohabbat is qadar paakiiza hotii hai jitnaa jis kaa KHuun paak hotaa haimohabbat us ko kahte hai.n jab roza-daar iftaar ke vaqtik paanii kaa gilaas saamne rakhe us aavaaz kaa intizaar kartaa hai ki kab hukm hous aavaaz kaa intizaar mohabbat haimohabbat vo manzil hai jis ke raaste pe chalne vaale dil aab-e-zamzam se dhule hote hai.nmohabbat rizq hai un aa.nkho.n kaa jo mahbuub kaa diidaar baa-vazuu ho kar kartii hai.nun logo.n ke chahaar-jaanib bahaar-e-mohabbat ke gulaab khilte hai.n jin pe KHizaa.n nahii.n aatiimohabbat kaa gulshanizzat kii KHushbuu se mahaktaa haiye mohabbat vo jazba hai jis ke tahat garmii kii shiddat pyaas kii hiddat me.nchhaa.nv kii jagah par parindo.n ko paanii rakhaa jaa.eye mohabbat vo manzil hai jis pe pahu.nchne ke liye ik pyaase kutte ko paanii pilaanaa pa.Dtaa haimohabbat naam zabaan pe aane se pahle soch ko baa-vazuu ho jaanaa chaahiyeaur jinho.n ne naam-e-mohabbat ko utran kii tarah pahnaa haijinho.n ne mohabbat ko hii dhoka diyaa haiun pe phir mohabbat azaab ban ke utartii haimohabbat ruuTh jaatii haikyuu.nki ye izzat haiaisii izzat jo mohabbat se pahle dil kii sarzamiin pe utreaur izzate.n buland rahe.n hamesha mohabbato.n sejahaa.n izzat kii sar-bulandii rahegii vahaa.n mohabbat hamesha zinda rahegiiaur jin logo.n nemohabbat ko kaarobaar banaayaa haivo log mohabbat kii miim se naa-balad hai.nun ke vaaste mohabbat naam ke chand din hote hai.nphir bahaane aur apnii Galiiz fitrat ke pesh-e-nazarkabhii ik dar kabhii duusraa darkabhii yahaa.n jhukaa kabhii vahaa.n jhukaaare sunomohabbat ke naam pe ta'alluqaat ko libaas se jald badalne vaale insaantauhiin mat karo mohabbat kiiis ilhaamii shai ko is paak jazbe ko paak rahne doaur yaad rakho tauhiin-e-mohabbat ke murtakibtum se to ab nafrat bhii mere shaayaan-e-shaan nahii.n
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books