aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "amrit"
1vo sub.h kabhii to aa.egiiin kaalii sadiyo.n ke sar se jab raat kaa aa.nchal Dhalkegaajab dukh ke baadal pighle.nge jab sukh kaa saagar chhalkegaajab ambar jhuum ke naachegaa jab dhartii naGme gaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiijis sub.h kii KHaatir jug jug se ham sab mar mar kar jiite hai.njis sub.h ke amrit kii dhun me.n ham zahr ke pyaale piite hai.nin bhuukii pyaasii ruuho.n par ik din to karam farmaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiimaanaa ki abhii tere mere armaano.n kii qiimat kuchh bhii nahii.nmiTTii kaa bhii hai kuchh mol magar insaano.n kii qiimat kuchh bhii nahii.ninsaano.n kii izzat jab jhuuTe sikko.n me.n na taulii jaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiidaulat ke liye jab aurat kii ismat ko na bechaa jaa.egaachaahat ko na kuchlaa jaa.egaa Gairat ko na bechaa jaa.egaaapne kaale kartuuto.n par jab ye duniyaa sharmaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiibiite.nge kabhii to din aaKHir ye bhuuk ke aur bekaarii keTuuTe.nge kabhii to but aaKHir daulat kii ijaara-daarii kejab ek anokhii duniyaa kii buniyaad uThaa.ii jaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiimajbuur bu.Dhaapaa jab suunii raaho.n kii dhuul na phaa.nkegaama.asuum la.Dakpan jab gandii galiyo.n me.n bhiik na maa.ngegaahaq maa.ngne vaalo.n ko jis din suulii na dikhaa.ii jaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiifaaqo.n kii chitaa.o.n par jis din insaa.n na jalaa.e jaa.e.ngesiino.n ke dahakte dozaKH me.n armaa.n na jalaa.e jaa.e.ngeye narak se bhii gandii duniyaa jab sovarg banaa.ii jaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egii2vo sub.h hamii.n se aa.egiijab dhartii karvaT badlegii jab qaid se qaidii chhuuTe.ngejab paap gharau.nde phuuTe.nge jab zulm ke bandhan TuuTe.ngeus sub.h ko ham hii laa.e.nge vo sub.h hamii.n se aa.egiivo sub.h hamii.n se aa.egiimanhuus samaajii Dhaa.ncho.n me.n jab zulm na paale jaa.e.ngejab haath na kaaTe jaa.e.nge jab sar na uchhaale jaa.e.ngejailo.n ke binaa jab duniyaa kii sarkaar chalaa.ii jaa.egiivo sub.h hamii.n se aa.egiisansaar ke saare mehnat-kash kheto.n se milo.n se nikle.ngebe-ghar be-dar be-bas insaa.n taariik bilo.n se nikle.ngeduniyaa amn aur KHush-haalii ke phuulo.n se sajaa.ii jaa.egiivo sub.h hamii.n se aa.egii
gulaabii lab, muskuraate aariz, jabii.n kushaada, buland qaamatnigaah me.n bijliyo.n kii jhil-mil, adaa.o.n me.n shabnamii lataafatdha.Daktaa siina, mahaktii saa.nse.n, navaa me.n ras, a.nkh.Diyo.n me.n amrithama halaavat, hama malaahat, hama tarannum, hama nazaakatlachak lachak gungunaa rahii hoye KHvaab kaisaa dikhaa rahii ho
jo jism kaa ii.ndhan thaagulnaar kiyaa ham nevo zahr ki amrit thaajii bhar ke piyaa ham nesau zaKHm ubhar aa.ejab dil ko siyaa ham nekyaa kyaa na mohabbat kiikyaa kyaa na jiyaa ham nelo kuuch kiyaa ghar selo jog liyaa ham nejo kuchh thaa diyaa ham neaur dil se kahaa ham neruknaa nahii.n darveshaayuu.n hai ki safar apnaathaa KHvaab na afsaanaaa.nkho.n me.n abhii tak haifardaa kaa parii-KHaanasad-shukr salaamat haipindaar-e-faqiiraanais shahr-e-KHamoshii me.nphir naara-e-mastaanaai himmat-e-mardaanasad-KHaaraa-o-yak-teshaai ishq-e-junuu.n-peshaai ishq-e-junuu.n-pesha
vo sub.h kabhii to aa.egiiun kaalii sadiyo.n ke sar se jab raat kaa aa.nchal Dhalkegaajab dukh ke baadal pighle.nge jab sukh saagar chhalkegaajab ambar jhuum ke naachegaa jab dhartii naGme gaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiijis sub.h kii KHaatir jug jug se ham sab marmar ke jiite hai.njis sub.h ke amrit kii dhun me.n ham zahr ke pyaale piite hai.nin bhuukii pyaasii ruuho.n par ik din to karam farmaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiimaanaa ki abhii tere mere armaano.n kii qiimat kuchh bhii nahii.nmiTTii kaa bhii hai kuchh mol magar insaano.n kii qiimat kuchh bhii nahii.ninsaano.n kii izzat jab jhuuTe sikko.n me.n na tolii jaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiidaulat ke liye jab aurat kii ismat ko na bechaa jaa.egaachaahat ko na kuchlaa jaa.egaa Gairat ko na bechaa jaa.egaaapne kaale kartuuto.n par jab ye duniyaa sharmaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiibiite.nge kabhii to din aaKHir ye bhuuk ke aur bekaarii keTuuTe.nge kabhii to but aaKHir daulat kii ijaara-daarii kejab ek anokhii duniyaa kii buniyaad uThaa.e jaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiimajbuur bu.Dhaapaa jab suunii raaho.n kii dhuul na phaa.nkegaama.asuum la.Dakpan jab gandii galiyo.n me.n bhiik na maa.ngegaahaq maa.ngne vaalo.n ko jis din suulii na dikhaa.ii jaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiifaaqo.n kii chitaa.o.n par jis din insaa.n na jalaa.e jaa.e.ngesiine ke dahakte dozaKH me.n armaa.n na jalaa.e jaa.e.ngeye narak se bhii gandii duniyaa jab sovarg bataa.ii jaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egii
aa.o ye soche.n bhii qaatil hai.n to behtar hai yahiiphir se ham apne puraane zahr ko amrit kahe.ntuu agar chaahe to ham ik duusre ko chho.D karapne apne be-vafaa.o.n ke liye rote rahe.n
jis kii jaa.nkaahii se Tapkaatii hai amrit nabz-e-taakjis ke dam se laala-o-gul ban ke itraatii hai KHaak
dayaar-e-hind thaa gahvaara yaad hai hamdambahut zamaana hu.aa kis ke kis ke bachpan kaaisii zamiin pe khelaa hai 'raam' kaa bachpanisii zamiin pe un nanhe nanhe haatho.n nekisii samay me.n dhanush-baan ko sambhaalaa thaaisii dayaar ne dekhii hai 'krishn' kii liilaayahii.n gharo.ndo.n me.n siitaa sulochanaa raadhaakisii zamaane me.n gu.Diyo.n se kheltii ho.ngiiyahii zamii.n yahii dariyaa pahaa.D jangal baaGyahii havaa.e.n yahii sub.h-o-shaam suuraj chaa.ndyahii ghaTaa.e.n yahii barq-o-ra.ad o qaus-e-quzahyahii.n ke giit rivaayaat mausamo.n ke juluushu.aa zamaana ki 'siddhaarth' ke the gahvaareinhii nazaaro.n me.n bachpan kaTaa thaa 'vikram' kaasunaa hai 'bhartarharii' bhii inhii.n se khelaa thaa'bharat' agastya' 'kapil' 'vyaas' 'pashii' 'kautilya''janak' vashishth' 'manu' 'vaalmik' vishvaamitr'kanaad' 'gautam' o ramanuj 'kumaaril-bhatt'mohanjoDaaro ha.Dappaa ke aur ajantaa kebanaane vaale yahii.n ballamo.n se khele theisii hi.nDole me.n 'bhavabhut' o 'kaaliidaas' kabhiihumak humak ke jo tutlaa ke gungunaa.e thesarasvatii ne zabaano.n ko un kii chuumaa thaayahii.n ke chaa.nd va suuraj khilaune the un keinhii.n fazaa.o.n me.n bachpan palaa thaa 'KHusrav' kaaisii zamii.n se uThe 'tansen' aur 'akbar''rahiim' 'nanak' o 'chaitanya' aur 'chishti' neinhii.n fazaa.o.n me.n bachpan ke din guzaare theisii zamii.n pe kabhii shazaada-e-'KHurram'zaraa sii dil-shikanii par jo ro diyaa hogaabhar aayaa thaa dil-e-naazuk to kyaa ajab is me.nin aa.nsu.o.n me.n jhalak taaj kii bhii dekhii ho'ahalyabaa.i' 'daman' 'padmini' o 'raziya' neyahii.n ke pe.Do.n kii shaaKHo.n me.n Daale the jhuuleisii fazaa me.n ba.Dhaa.ii thii pe.ng bachpan kiiinhii nazaaro.n me.n saavan ke giit gaa.e theisii zamiin pe ghuTno.n ke bal chale ho.nge'malik-mohammad' o 'raskhan' aur 'tulsi-das'inhii.n fazaa.o.n me.n guu.njii thii totlii bolii'kabir-das' 'Tukaaraam' 'suur' o 'miiraa' kiiisii hi.nDole me.n 'viddypati' kaa ka.nTh khulaaisii zamiin ke the laal 'miir' o 'Gaalib' bhiiThumak Thumak ke chale the gharo.n ke aa.ngan me.n'aniis' o 'haalii' o 'iqbaal' aur 'vaaris-shaah'yahii.n kii KHaak se ubhre the 'premchand' o 'tagore'yahii.n se uTThe the tahziib-e-hind ke me.amaarisii zamiin ne dekhaa thaa baal-pan in kaayahii.n dikhaa.ii thii.n in sab ne baal-liilaa.e.nyahii.n har ek ke bachpan ne tarbiyat paa.iiyahii.n har ek ke jiivan kaa baalkaa.nD khulaayahii.n se uThte baguulo.n ke saath dau.De hai.nyahii.n kii mast ghaTaa.o.n ke saath jhuume hai.nyahii.n kii madh-bharii barsaat me.n nahaa.e hai.nlipaT ke kiicha.D o paanii se bachpane un keisii zamiin se uTThe vo desh ke saava.ntu.Daa diyaa thaa jinhe.n company ne topo.n seisii zamiin se uThii hai.n an-ginat nasle.npale hai.n hind hi.nDole me.n an-ginat bachchemujh aise kitne hii gumnaam bachche khele hai.nisii zamii.n se isii me.n supurd-e-KHaak hu.ezamiin-e-hind ab aaraam-gaah hai un kiiis arz-e-paak se uTThii.n bahut sii tahziibe.nyahii.n tuluu hu.ii.n aur yahii.n Guruub hu.ii.nisii zamiin se ubhre ka.ii uluum-o-funuunfaraaz-e-koh-e-himaala ye daur-e-ga.ng-o-jamanaur in kii god me.n parvarda kaarvaano.n neyahii.n rumuuz-e-KHiraam-e-sukuu.n-numaa siikhenasiim-e-sub.h-e-tamaddun ne bhairvii.n chhe.Diiyahii.n vatan ke taraano.n kii vo pave.n phuuTe.nvo be-qaraar sukuu.n-zaa tarannum-e-sahariivo kapkapaate hu.e soz-o-saaz ke sho.aleinhii fazaa.o.n me.n a.ng.Daa.iyaa.n jo le ke uThelavo.n se jin ke charaaGaa.n hu.ii thii bazm-e-hayaatjinho.n ne hind kii tahziib ko zamaana hu.aabahut se zaaviyo.n se aa.iina dikhaayaa thaaisii zamii.n pe Dhalii hai mirii hayaat kii shaamisii zamiin pe vo sub.h muskuraa.ii haitamaam sho.ala o shabnam mirii hayaat kii sub.hsunaa.uu.n aaj kahaanii mai.n apne bachpan kiidil-o-dimaaG kii kaliyaa.n abhii na chaTkii thii.nhamesha kheltaa rahtaa thaa bhaa.ii bahno.n me.nhamaare saath mohalle kii la.Dkiyaa.n la.Dkemachaa.e rakhte the baalak udham har ek gha.Diilahuu tara.ng uchhal-phaa.nd kaa ye aalam thaamohalla sar pe uThaa.e phire jidhar guzrehamaare chahchahe aur shor guu.njte rahtechahaar-samt mohalle ke goshe goshe me.nfazaa me.n aaj bhii laa-raib guu.njte ho.ngeagarche duusre bachcho.n kii tarah thaa mai.n bhiiba-zaahir auro.n ke bachpan saa thaa miraa bachpanye sab sahii mire bachpan kii shaKHsiyat bhii thii ekvo shaKHsiyat ki bahut shoKH jis ke the KHad-o-KHaaladaa adaa me.n ko.ii shaan-e-infiraadii thiiGaraz kuchh aur hii lachchhan the mere bachpan kemujhe thaa chhoTe ba.Do.n se bahut shadiid lagaavhar ek par mai.n chhi.Daktaa thaa apnii nannhii sii jaa.ndil umDaa aataa thaa aisaa ki jii ye chaahtaa thaauThaa ke rakh luu.n kaleje me.n apnii duniyaa komujhe hai yaad abhii tak ki khel-kuud me.n bhiikuchh aise vaqfe pur-asraar aa hii jaate theki jin me.n sochne lagtaa thaa kuchh miraa bachpanka.ii ma.aanii-e-be-lafz chhuune lagte thebutuun-e-Gaib se mere shu.uur-e-asGar kohar ek manzar-e-maanuus ghar kaa har goshakisii tarah kii ho ghar me.n sajii hu.ii har chiizmire mohalle kii galiyaa.n makaa.n dar-o-diivaarchabuutre ku.e.n kuchh pe.D jhaa.Diyaa.n bele.nvo pherii vaale ka.ii un ke bhaa.nt bhaa.nt ke bolvo jaane buujhe manaazir vo aasmaa.n o zamii.nbadalte vaqt kaa aa.iina garmii-o-KHunkiiGuruub-e-mahr me.n ra.ngo.n kaa jaagtaa jaaduushafaq ke shiish-mahal me.n gudaaz-e-pinhaa.n sejavaahro.n kii chaTaane.n sii kuchh pighaltii hu.ii.nshajar hajar kii vo kuchh sochtii hu.ii duniyaasuhaanii raat kii maanuus ramaziyat kaa fusuu.nalassabaah ufuq kii vo thartharaatii bhave.nkisii kaa jhaa.nknaa aahista phuuTtii pau sevo dopahar kaa samay darja-e-tapish kaa cha.Dhaavthakii thakii sii fazaa me.n vo zindagii kaa utaarhu.aa kii bansiyaa.n ba.nsvaa.Diyo.n me.n bajtii hu.ii.nvo din ke ba.Dhte hu.e saa.e sah-pahar kaa sukuu.nsukuut shaam kaa jab dono.n vaqt milte hai.nGaraz jhalakte hu.e sarsarii manaazir parmujhe gumaan paristaaniyat kaa hotaa thaahar ek chiiz kii vo KHvaab-naak asliyyatmire shu.uur kii chilman se jhaa.nktaa thaa ko.iiliye rubuubiyat-e-kaa.enaat kaa ehsaashar ek jalve me.n Gaib o shuhuud kaa vo milaaphar ik nazaara ik aa.iina-KHaana-e-hairathar ek manzar-e-maanuus ek hairat-zaarkahii.n rahuu.n kahii.n khelo.n kahii.n pa.Dhuu.n likhuu.nmire shu.uur pe ma.nDlaate the manaazir-e-dahrmai.n akasr un ke tasavvur me.n Duub jaataa thaavafuur-e-jazba se ho jaatii thii mizha pur-nammujhe yaqiin hai in unsurii manaazir seki aam bachcho.n se letaa thaa mai.n ziyaada asarkisii samay mirii tiflii rahii na be-parvaana chhuu sakii mirii tiflii ko Gaflat-e-tifliiye khel-kuud ke lamho.n me.n hotaa thaa ehsaasdu.aa.e.n detaa ho jaise mujhe sukuut-e-davaamki jaise haath abad rakh de dosh-e-tiflii parhar ek lamha ke raKHno.n se jhaa.nktii sadiyaa.nkahaaniyaa.n jo sunuu.n un me.n Duub jaataa thaaki aadmii ke liye aadmii kii jag-biitiise ba.Dh ke kaun sii shai aur ho hii saktii haiinhii fasaano.n me.n pinhaa.n the zindagii ke rumuuzinhii fasaano.n me.n khulte the raaz-haa-e-hayaatunhe.n fasaano.n me.n miltii thii.n ziist kii qadre.nrumuuz-e-besh-bahaa TheTh aadmiyat kekahaaniyaa.n thii.n ki sad-dars-gaah-e-riqqat-e-qalbhar ik kahaanii me.n shaa.istagi-e-Gam kaa sabaqvo unsur aa.nsu.o.n kaa daastaan-e-insaa.n me.nvo nal-daman kii kathaa sarguzasht-e-savitrii'shakuntlaa' kii kahaanii 'bharat' kii qurbaaniivo marg-e-bhishm-pitaamah vo sej tiiro.n kiivo paan.cho paa.nDav kii sovarg-yaatraa kii kathaavatan se ruKHsat-e-'siddhaarth' 'raam' kaa ban-baasvafaa ke baa'd bhii 'siitaa' kii vo jalaa-vataniivo raato.n-raat 'sirii-krishn' ko uThaa.e hu.ebalaa kii qaid se 'basdev' kaa nikal jaanaavo a.ndhkaar vo baarish, ba.Dhii hu.ii jamunaaGam-e-aafriin kahaanii vo 'hiir' 'raa.njhaa' kiishu.uur-e-hind ke bachpan kii yaadgaar-e-aziimki aise vaise taKHayyul kii saa.ns ukha.D jaa.eka.ii muhayyur-e-idraak dev-maalaaye.nhitopdesh ke qisse kathaa sarat-saagarkaro.Do.n siino.n me.n vo guu.njtaa hu.aa aalhaamai.n puuchhtaa huu.n kisii aur malak vaalo.n sekahaaniyo.n kii ye daulat ye be-bahaa daulatfasaane dekh lo in ke nazar bhii aatii haimai.n puuchhtaa huu.n ki gahvaare aur qaumo.n kebase hu.e hai.n kahii.n aisii daastaano.n sekahaaniyaa.n jo mai.n suntaa thaa apne bachpan me.nmire liye vo na thii.n mahz baa.is-e-tafriihfasaano.n se mire bachpan ne sochnaa siikhaafasaano.n se mujhe sanjiidgii ke dars milefasaano.n me.n nazar aatii thii mujh ko ye duniyaaGam o KHushii me.n rachii pyaar me.n basaa.ii hu.iifasaano.n se mire dil ne ghulaavaTe.n paa.ii.nyahii nahii.n ki mashaahiir hii ke afsaanezaraa sii umr me.n karte ho.n mujh ko muta.assirmohalle Tole ke gumnaam aadamiyyo.n kekuchh aise sun.ne me.n aate the vaaqi.aat-e-hayaatjo.n yuu.n to hote the farsuuda aur ma.amuuliimagar the aa.iine iKHlaas aur sharaafat keye chand aa.ii ga.ii baate.n aisii baate.n thii.nki jin kii oT chamaktaa thaa dard-e-insaaniiye vaardaat nahii.n razmiyye hayaat ke theGaraz ki ye hai.n mire bachpane kii tasviire.nnadiim aur bhii kuchh KHatt-o-KHaal hai.n un keye merii maa.n kaa hai kahnaa ki jab mai.n bachcha thaamai.n aise aadmii kii god me.n na jaataa thaajo bad-qimaar ho aibii ho yaa ho bad-suuratmujhe bhii yaad hai nau das baras hii kaa mai.n thaato mujh pe kartaa thaa jaaduu saa husn-e-insaaniikuchh aisaa hotaa thaa mahsuus jab mai.n dekhtaa thaashagufta rang tar-o-taaza ruup vaalo.n kaaki un kii aa.nch mirii haDDiyaa.n galaa degiiik aazmaa.ish-e-jaa.n thii ki thaa shu.uur-e-jamaalaur us kii nashtariyyat us kii ustuKHaa.n-soziiGam o nashaat lagaavaT mohabbat o nafratik intishaar-e-sakuu.n iztiraab pyaar itaabvo be-panaah zakii-ul-hisii vo hilm o Guruurkabhii kabhii vo bhare ghar me.n hiss-e-tanhaa.iivo vahshate.n mirii maahaul-e-KHush-gavaar me.n bhiimirii sarisht me.n ziddain ke ka.ii jo.Deshuruu.a hii se the maujuud aab-o-taab ke saathmire mizaaj me.n pinhaa.n thii ek jadaliyyatrago.n me.n chhuuTte rahte the be-shumaar anaarnadiim ye hai.n mire baal-pan ke kuchh aasaarvafuur o shiddat-e-jazbaat kaa ye aalam thaaki kau.nde jast kare.n dil ke aabgiine me.nvo bachpanaa jise bardaasht apnii mushkil hovo bachpanaa jo KHud apnii hii tevriyaa.n sii cha.Dhaa.enadiim zikr-e-javaanii se kaa.np jaataa huu.njavaanii aa.ii dabe paa.nv aur yuu.n aa.iiki us ke aate hii big.Daa banaa-banaayaa khelvo KHvaahishaat ke jazbaat ke umaDte hu.evo ho.nkte hu.e be-naam aag ke tuufaa.nvo phuuTtaa hu.aa jvaalaa-mukhii javaanii kaarago.n me.n uThtii hu.ii aa.ndhiyo.n ke vo jhaTkeki jo tavaazun-e-hastii jhi.njho.D ke rakh de.nvo zalzale ki pahaa.Do.n ke pair ukha.D jaa.e.nbuluuGiyat kii vo Tiise.n vo karb-e-nashv-o-numaaaur aise me.n mujhe byaahaa gayaa bhalaa kis sejo ho na saktii thii hargiz mirii shariik-e-hayaatham ek duusre ke vaaste bane hii na thesiyaah ho ga.ii duniyaa mirii nigaaho.n me.nvo jis ko kahte hai.n shaadii-e-KHaanaa-aabaadiimire liye vo banii bevgii javaanii kiiluTaa suhaag mirii zindagii kaa maa.nDo me.nnadiim khaa ga.ii mujh ko nazar javaanii kiibalaa-e-jaan mujhe ho gayaa shu.uur-e-jamaaltalaash-e-shola-e-ulfat se ye hu.aa haasilki nafrato.n kaa agan-ku.nD ban ga.ii hastiivo halq o siina o rag rag me.n be-panaah chubhaanadiim jaise nigal lii ho mai.n ne naag-phaniiz ishq-zaadam o ishqam kamusht zaar-o-dareGKHabar na burd ba-rustam kase ki sohraabamna puuchh aalam-e-kaam-o-dahan nadiim miresamar hayaat kaa jab raakh bin gayaa mu.nh me.nmai.n chaltii-phirtii chitaa ban gayaa javaanii kiimai.n kaa.ndhaa detaa rahaa apne jiite murde koye sochtaa thaa ki ab kyaa karuu.n kahaa.n jaa.uu.nbahut se aur masaa.ib bhii mujh pe TuuT pa.Demai.n Dhuu.nDhne lagaa har samt sachchii jhuuTii panaahtalaash-e-husn me.n sher-o-adab me.n dostii me.nru.ndhii sadaa se mohabbat kii bhiik maa.ngii haina.e sire se samajhnaa pa.Daa hai duniyaa koba.De jatan se sambhaalaa hai KHud ko mai.n ne nadiimmujhe sambhalne me.n to chaaliis saal guzre hai.nmerii hayaat to vish-paan kii kathaa hai nadiimmai.n zahr pii ke zamaane ko de sakaa amritna puuchh mai.n ne jo zahraaba-e-hayaat piyaamagar huu.n dil se mai.n is ke liye sipaas-guzaarlarazte haatho.n se daaman KHuluus kaa na chhaTaabachaa ke rakkhii thii mai.n ne amaanat-e-tifliiise na chhiin sakii mujh se dast-burd-e-shabaabba-qaul shaa.er-e-mulk-e-fara.ng har bachchaKHud apne ahd-e-javaanii kaa baap hotaa haiye kam nahii.n hai ki tiflii-e-rafta chho.D ga.iidil-e-hazii.n me.n ka.ii chhoTe chhoTe naqsh-e-qadammirii anaa kii rago.n me.n pa.De hu.e hai.n abhiina jaane kitne bahut narm u.ngliyo.n ke nishaa.nhanuuz vaqt ke be-dard haath kar na sakehayaat-e-rafta kii zinda nishaaniyo.n ko fanaazamaana chhiin sakegaa na merii fitrat semirii safaa mire tahtush-shu.uur kii ismattaKHaiyyulaat kii doshiizgii kaa radd-e-amaljavaan ho ke bhii be-laus tifl-vash jazbaatsyaanaa hone pe bhii ye jibillate.n meriiye sarKHushii o Gam be-riyaa ye qalb-gudaazbaGair bair ke an-ban Garaz se paak tapaakGaraz se paak ye aa.nsuu Garaz se paak ha.nsiiye dasht-e-dahr me.n hamdardiyo.n kaa sar-chashmaqubuuliyat kaa ye jazba ye kaa.enaat o hayaatis arz-e-paak par iimaan ye ham-aaha.ngiihar aadmii se har ik KHvaab o ziist se ye lagaavye maa.n kii god kaa ehsaas sab manaazir me.nqariib o duur zamii.n me.n ye buu-e-vataniyyatnizaam-e-shams-o-qamar me.n payaam-e-hifz-e-hayaatba-chashm-e-shaam-o-sahar maamtaa kii shabnam siiye saaz o dil me.n mire naGma-e-analkaunainhar iztiraab me.n ruuh-e-sukuun-e-be-paayaa.nzamaana-e-guzaraa.n me.n davaam kaa sargamye bazm-e-jashn-e-hayaat-o-mamaat sajtii hu.iikisii kii yaad kii shahnaa.iyaa.n sii bajtii hu.iiye ramaziiyat ke anaasir shu.uur-e-puKHta me.nfalak pe vajd me.n laatii hai jo farishto.n kovo shaa.erii bhii buluuG-e-mizaaj-e-tiflii haiye nashtariyyat-e-hastii ye is kii sheriyatye pattii pattii pe gulzaar-e-zindagii ke kisiilatiif nuur kii parchhaa.iyaa.n sii pa.Dtii hu.iibaham ye hairat o maanuusiyat kii sargoshiibashar kii zaat ki mahr-e-uluuhiyat ba-jabii.nabad ke dil me.n ja.De.n maartaa hu.aa sabzaGam-e-jahaa.n mujhe aa.nkhe.n dikhaa nahii.n saktaaki aa.nkhe.n dekhe hu.e huu.n mai.n ne apne bachpan kiimire lahuu me.n abhii tak sunaa.ii detii hai.nsukuut-e-huzn me.n bhii ghu.nghru.o.n kii jhankaare.nye aur baat ki mai.n is pe kaan de na sakuu.nisii vadii.at-e-tiflii kaa ab sahaaraa haiyahii hai.n marham-e-kaafuur dil ke zaKHmo.n parunhii ko rakhnaa hai mahfuuz taa-dam-e-aaKHirzamiin-e-hind hai gahvaara aaj bhii hamdamagar hisaab kare.n das karo.D bachcho.n kaaye bachche hind kii sab se ba.Dii amaanat hai.nhar ek bachche me.n hai.n sad-jahaan-e-imkaanaatmagar vatan kaa hal-o-aqd jin ke haath me.n hainizaam-e-zindagii-e-hind jin ke bas me.n hairavayya dekh ke un kaa ye kahnaa pa.Dtaa haikise pa.Dii hai ki samjhe vo is amaanat kokise pa.Dii hai ki bachcho.n kii zindagii ko bachaa.eKHaraab hone se Talne se suukh jaane sebachaa.e kaun in aazurda honhaaro.n kovo zindagii jise ye de rahe hai.n bhaarat kokaro.Do.n bachcho.n ke miTne kaa ik alamiyya haichuraa.e jaate hai.n bachche abhii gharo.n se yahaa.nki jism to.D diye jaa.e.n un ke taaki milechuraane vaalo.n ko KHairaat maagh-mele kiijo is azaab se bach jaa.e.n to gale pa.D jaa.e.nvo la.ante.n ki hamaare karo.Do.n bachcho.n kiinadiim KHair se miTTii KHaraab ho jaa.evo muflisii ki KHushii chhiin le vo be-bargiiudaasiyo.n se bharii zindagii kii be-ra.ngiivo yaasiyaat na jis ko chhu.e shu.aa-e-umiidvo aa.nkhe.n dekhtii hai.n har taraf jo be-nuuriivo TukTukii ki jo pathraa ke rah ga.ii ho nadiimvo be-dilii kii ha.nsii chhiin le jo ho.nTo.n sevo dukh ki jis se sitaaro.n kii aa.nkh bhar aa.evo gandagii vo kasaafat maraz-zada paikarvo bachche chhin ga.e ho.n jin se bachpane un kehamii.n ne gho.nT diyaa jis ke bachpane kaa galaajo khaate-piite gharo.n ke hai.n bachche un ko bhii kyaasamaaj phuulne-phalne ke de sakaa saadhanvo saa.ns lete hai.n tahziib-kush fazaa.o.n me.nham un ko dete hai.n be-jaan aur Galat ta.aliimmilegaa ilm-e-jihaalat-numaa se kyaa un konikal ke madraso.n aur universitiyyo.n seye bad-nasiib na ghar ke na ghaaT ke ho.ngemai.n puuchhtaa huu.n ye ta.aliim hai ki makkaariikaro.Do.n zindagiyo.n se ye be-panaah daGaanisaab aisaa ki mehnat kare.n agar is parbajaa.e ilm jahaalat kaa iktisaab kare.nye ulTaa dars-e-adab ye sa.Dii hu.ii ta.aliimdimaaG kii ho Gizaa yaa Gizaa-e-jismaaniihar ik tarah kii Gizaa me.n yahaa.n milaavaT haivo jis ko bachcho.n kii ta.aliim kah ke dete hai.nvo dars ulTii chhurii hai gale pe bachpan kezamiin-e-hind hi.nDolaa nahii.n hai bachcho.n kaakaro.Do.n bachcho.n kaa ye des ab janaaza haiham inqalaab ke KHatro.n se KHuub vaaqif hai.nkuchh aur roz yahii rah ga.e jo lail-o-nahaarto mol lenaa pa.Degaa hame.n ye KHatra bhiiki bachche qaum kii sab se ba.Dii amaanat hai.n
(1)ai sab se avval aur aaKHirjahaa.n-tahaa.n, haazir aur naazirai sab daanaa.o.n se daanaasaare tavaanaa.o.n se tavaanaaai baalaa, har baalaa-tar sechaa.nd se suuraj se ambar seai samjhe buujhe bin suujhejaane-pahchaane bin buujhesab se anokhe sab se niraaleaa.nkh se ojhal dil ke ujaaleai andho.n kii aa.nkh ke taareai la.ng.De luulo.n ke sahaarenaatiyo.n se chhoTo.n ke naatiisaathiyo.n se bichh.Do.n ke saathiinaav jahaa.n kii khene vaaledukh me.n tasallii dene vaalejab ab tab tujh saa nahii.n ko.iitujh se hai.n sab tujh saa nahii.n ko.iijot hai terii jal aur thal me.nbaas hai terii phuul aur phal me.nhar dil me.n hai teraa baseraatuu paas aur ghar duur hai teraaraah tirii dushvaar aur suk.Diinaam tiraa rah-giir kii lak.Diituu hai Thikaanaa miskiino.n kaatuu hai sahaaraa Gamgiino.n kaatuu hai akelo.n kaa rakhvaalaatuu hai a.ndhere ghar kaa ujaalaalaaguu achchhe aur bure kaaKHvaahaa.n khoTe aur khare kaabed niraase biimaaro.n kaagaahak mande baazaaro.n kaasoch me.n dil bahlaane vaalebiptaa me.n yaad aane vaale(2)ai be-vaaris gharo.n ke vaarisbe-baazuu be-paro.n ke vaarisbe-aaso.n kii aas hai tuu hiijaagte sote paas hai tuu hiibas vaale hai.n yaa be-bas hai.ntuu nahii.n jin kaa vo be-kas hai.nsaathii jin kaa dhyaan hai teraadusraayat kii vahaa.n nahii.n parvaadil me.n hai jin ke terii ba.Daa.iiginte hai.n vo parbat ko raa.iibekas kaa Gam-KHvaar hai tuu hiiburii banii kaa yaar hai tuu hiidukhiyaa dukhii yatiim aur bevatere hii haath un sab kaa hai khevaatuu hii maraz de tuu hii davaa detuu hii davaa-daaruu me.n shifaa detuu hii pilaa.e zahr ke pyaaletuu hii phir amrit zahr me.n Daaletuu hii dilo.n me.n aag lagaa.etuu hii dilo.n kii lagii bujhaa.echumkaare chumkaar ke maaremaare maar ke phir chumkaarepyaar kaa tere puuchhnaa kyaa haimaar me.n bhii ik terii mazaa hai(3)ai rahmat aur haibat vaaleshafqat aur dabaaGat vaaleai aTkal aur dhyaan se baaharjaan se aur pahchaan se baaharaql se ko.ii paa nahii.n saktaabhed tire hukmo.n me.n hai.n kyaa kyaaek ko tuu ne shaad kiyaa haiek ke dil ko daaG diyaa haius se na teraa pyaar kuchh aisaaus se na tuu bezaar kuchh aisaahar dam terii aan na.ii haijab dekho tab shaan na.ii haiyahaa.n pachhu.aa hai vahaa.n purvaa haighar ghar teraa hukm nayaa haiphuul kahii.n kumlaa.e hu.e hai.naur kahii.n phal aa.e hu.e hai.nkhetii ek kii hai lahraatiiek kaa har dam KHuun sukhaatiiek pa.De hai.n dhan ko Dubo.eek hai.n gho.De bech ke so.eek ne jab se hosh sambhaalaara.nj se us ko pa.Daa na paalaaek ne is janjaal me.n aa karchain na dekhaa aa.nkh uThaa karme.nh kahii.n daulat kaa hai barastaahai ko.ii paanii tak ko tarastaaek ko marne tak nahii.n deteek uktaa gayaa lete letehaal Garaz duniyaa kaa yahii haiGam pahle aur baa'd KHushii haira.nj kaa hai duniyaa ke gilaa kyaatohfa yahii le de ke hai yaa.n kaayahaa.n nahii.n bantii ranj sahe binra.nj nahii.n sab ek se lekinek se yahaa.n ranj ek hai baalaaek se hai dard ek niraalaaghaav hai go naasuur kii suuratpar use kyaa naasuur se nisbattap vahii diq kii shakl hai lekindiq nahii.n rahtii jaan liye bindiq ho vo yaa naasuur ho kuchh hode na jo ab ummiid kisii koroz kaa Gam kyuu.n-kar sahe ko.iiaas na jab baaqii rahe ko.iituu hii kar insaaf ai mire maulaakaun hai jo be-aas hai jiitaago ki bahut bande hai.n pur-armaa.nkam hai.n magar maayuus hai.n jo yaa.nKHvaah dukhii hai KHvaah sukhii haijo hai ik ummiid us ko ba.ndhii haikhetiyaa.n jin kii kha.Dii hai.n suukhiiaas vo baa.ndhe baiThe hai.n me.nh kiighaTaa jin kii asaa.Dii me.n haisaavanii kii ummiid nahii.n haiDuub chukii hai un kii agetiidetii hai Dhaaras un ko pachhetiiek hai is ummiid pe jiitaaab hu.ii beTii ab hu.aa beTaaek ko jo aulaad milii haius ko uma.ng shaadiyo.n kii haira.nj hai yaa qismat me.n KHushii haikuchh hai magar ik aas ba.ndhii haiGam nahii.n un ko Gamgii.n hai.njo dil naa-umiid nahii.n hai.nkaal me.n kuchh saKHtii nahii.n aisiikaal me.n hai jab aas samay.n kiisahal hai maujo.n se chhuTkaaraajab ki nazar aataa hai kinaaraapar nahii.n uTh saktii vo musiibataa.egii jis ke baa'd na raahatshaad ho us rah-giir kaa kyaa dil?mar ke kaTegii jis kii manzilun uj.Do.n ko kal pa.De kyuu.n-karghar na basegaa jin kaa janam bharun bichh.Do.n kaa kyaa hai Thikaanaa?jin ko na milne degaa zamaanaab ye balaa Taltii nahii.n Taaliimujh pe hai jo taqdiir ne Daaliiaa.ii.n bahut duniyaa me.n bahaare.naish kii ghar ghar pa.Dii.n pukaare.npa.De bahut baaGo.n me.n jhuuleDhaak bahut jangal me.n phuulega.ii.n aur aa.e.n chaa.ndnii raate.nbarsii.n khulii.n bahut barsaate.npar na khilii hargiz na khilegiivo jo kalii murjhaa.ii thii dil kiiaas hii kaa bas naam hai duniyaajab na rahii yahii to rahaa kyaa?aise bidesii kaa nahii.n Gam kuchhjis ko na ho milne kii qasam kuchhronaa un ban-baasiyo.n kaa haides nikaalaa jin ko milaa haihukm se tere par nahii.n chaaraka.Dvii miiThii sab hai gavaaraazor hai kyaa patte kaa havaa parchaahe jidhar le jaa.e u.Daa kartinkaa ik aur saat samundarjaa.e kahaa.n maujo.n se nikal karqismat hii me.n jab thii judaa.iiphir Taltii kis tarah ye aa.ii?aaj kii big.Dii ho to bane bhiiazal kii big.Dii KHaak banegiituu jo chaahe vo nahii.n Taltaabande kaa yaa.n bas nahii.n chaltaamaare aur na de tuu ronethapke aur na de tuu soneThahre ban aatii hai na bhaageterii zabardastii ke aagetujh se kahii.n gar bhaagnaa chaahe.nband hai.n chaaro.n khuu.nT kii raahe.ntuu maare aur KHvaah navaazepa.Dii hu.ii huu.n mai.n tere darvaazetujh ko apnaa jaantii huu.n mai.ntujh se nahii.n to kis se kahuu.n mai.nmaa.n hii sadaa bachche ko maareaur bachcha maa.n maa.n hii pukaare(4)ai mire zor aur qudrat vaalehikmat aur hukuumat vaalemai.n lau.nDii terii dukhyaaredarvaaze kii terii bhikaariimaut kii KHvaahaa.n jaan kii dushmanjaan apnii hai aap ajiiranapne paraa.e kii dhutkaariimaike aur sasuraal pe bhaariisah ke bahut aazaar chalii huu.nduniyaa se bezaar chalii huu.ndil par mere daaG hai.n jitnemu.nh me.n bol nahii.n hai.n utnedukh dil kaa kuchh kah nahii.n saktiiis ke sivaa kuchh kah nahii.n saktiitujh pe hai raushan sab dukh dil kaatujh se haqiiqat apnii kahuu.n kyaabyaah ke dam paa.ii thii na lenelene ke yaa.n pa.D ga.e deneKHushii me.n bhii dukh saath na aayaaGam ke sivaa kuchh haat na aayaaek KHushii ne Gam ye dikhaa.eek ha.nsii ne gul hii khilaa.ekaisaa thaa ye byaah ninaavaa.njuu.nhii pa.Daa is kaa parchaavaa.nchain se rahne diyaa na jii kokar diyaa maliyaameT KHushii koro nahii.n saktii ta.ng huu.n yaa.n takaur ro.uu.n to ro.uu.n kahaa.n takha.ns ha.ns dil bahlaa.uu.n kyuu.n-karoso.n pyaas bujhaa.uu.n kyuu.n-karek kaa kuchh jiinaa nahii.n hotaaek na ha.nstaa bhalaa na rotaaleTe gar sone ke bahaanepaa.entii kal hai aur na sirhaanejaagiye to bhii ban nahii.n pa.Dtiijaagne kii aaKHir ko.ii had bhiiab kal ham ko pa.Degii mar kargor hai suunii sej se behtarbaat se nafrat kaam se vahshatTuuTii aas aur bujhii tabii.ataabaadii jangal kaa namuunaduniyaa suunii aur ghar suunaadin hai bhayaanak aur raat Daraaniiyuu.n guzrii saarii ye javaaniibahne.n aur bahneliyaa.n meriisaath kii jo thii.n kheliyaa.n meriimil na sakii.n jii khol ke mujh seKHush na hu.ii.n ha.ns bol ke mujh sejab aa.ii.n ro-dho ke ga.ii.n vojab ga.ii.n be-kal ho ke ga.ii.n voko.ii nahii.n dil kaa bahlaavaaaa nahii.n chuktaa meraa bulaavaaaaTh pahar kaa hai ye julaapaakaaTuu.ngii kis tarah ra.nDaapaathak ga.ii dukh sahte sahtetham ga.e aa.nsuu bahte bahteaag khulii dil kii na kisii parghul ga.ii jaan andar hii andardekh ke chup jaanaa na kisii nejaan ko phuu.nkaa dil kii lagii nedabii thii bhobhal me.n chi.ngaariilii na kisii ne KHabar hamaariiqaum me.n vo KHushiyaa.n biyaaho.n kiishahr me.n vo dho.e.n saaho.n kiityauhaaro.n kaa aa.e din aanaaaur sab kaa tyauhaar manaanaavo chait aur phaagun kii havaa.e.nvo saavan bhaado.n kii ghaTaa.e.nvo garmii kii chaa.ndnii raate.nvo armaan bharii barsaate.nkis se kahuu.n kis taur se kaaTe.nKHair kaTe.n jis taur se kaaTe.nchaav ke aur KHushiyo.n ke samay sabaate hai.n KHush kal jaan ko ho jabra.nj me.n hai.n saamaan KHushii keaur jalaane vaale hii keghar barkhaa aur piyaa bidesiiaa.iyo barkhaa kahii.n na aisiidin ye javaanii ke kaTe aisebaaG me.n panchhii qaid ho jaiserut ga.ii saarii sar Takraateu.D na sake par hote saarekisii ne hogii kuchh kal paa.iimujhe to shaadii raas na aa.iiaas ba.ndhii lekin na milaa kuchhphuul aayaa aur phal na lagaa kuchhrah gayaa de kar chaa.nd dikhaa.iichaa.nd hu.aa par iid na aa.iiphal kii KHaatir barchhii khaa.iiphal na milaa aur jaan ga.nvaa.iiret me.n zarre dekh chamaktedau.D pa.Dii me.n jhiil samajh kechaaro.n khuu.nT nazar dau.Daa.iipar paanii kii buu.nd na paa.ii
aa rahaa thaa mai.n ka.ii kuucho.n se Thokar khaa karek aavaaz ne rokaa mujh kokisii miinaar se niiche aa karallaahu-akbar allaahu-akbarhu.aa dil ko ye gumaa.nki ye pur-josh azaa.nmaut se degii amaa.nphir to pahu.nchaa mai.n jahaa.nmai.n ne dohraa.ii kuchh aise ye azaa.nguu.nj uThaa saaraa jahaa.nallaahu-akbar allaahu-akbarisii aavaaz me.n ik aur bhii guu.njaa elaankullo-man-alaihaa-faanik taraf Dhal gayaa KHurshiid-e-jahaa.n-taab kaa sarhu.aa faalij kaa asarphaT ga.ii nas ko.ii shiryaano.n me.n KHuu.n jam saa gayaaho gayaa zaKHmii dimaaGaisaa lagtaa thaa ki bujh jaa.egaa jaltaa hai jo sadiyo.n se charaaGaaj a.ndheraa mirii nas nas me.n utar jaa.egaaye samundar jo ba.Dii der se tuufaanii thaaaisaa ta.Dpaa ki mire kamre ke andar aayaaaate aate vo mire vaaste amrit laayaaaur lahraa ke kahaashiv ne ye bhejvaayaa hai lo piyo auraaj shiv ilm hai amrit hai amalab vo aasaa.n hai jo dushvaar thaa kalraat jo maut kaa paiGaam liye aa.ii thiibiivii bachcho.n ne mireus ko khi.Dkii se pare phe.nk diyaaaur jo vo zahr kaa ik jaam liye aa.ii thiius ne vo KHud hii piyaasub.h utrii jo samundar me.n nahaane ke liyeraat kii laash milii paanii me.n
maa.n baap aur ustaad sab hai.n KHudaa kii rahmathai rok-Tok un kii haq me.n tumhaare ne.amatka.Dvii nasiihato.n me.n un kii bharaa hai amritchaaho agar ba.Daa.ii to kahnaa ba.Do.n kaa maanomaa.n baap kaa aziizo maanaa na jis ne kahnaadushvaar hai jahaa.n me.n izzat se us kaa rahnaaDar hai pa.De na sadma zillat kaa us kaa sahnaachaaho agar ba.Daa.ii to kahnaa ba.Do.n kaa maanotum ko KHabar nahii.n kuchh apne bhale-bure kiijitnii hai umr chhoTii utnii hai aql chhoTiihai behtarii usii me.n hai jo ba.Do.n kii marziichaaho agar ba.Daa.ii to kahnaa ba.Do.n kaa maano
ek aayaa gayaa duusraa aa.egaa der se dekhtaa huu.n yuu.nhii raat us kii guzar jaa.egiimai.n kha.Daa huu.n yahaa.n kis liye mujh ko kyaa kaam hai yaad aataa nahii.n yaad bhii TimTimaataahu.aa ik diyaa ban ga.ii jis kii ruktii hu.ii aur jhijaktii hu.ii har kiran be-sadaa qahqaha haimagar mere kaano.n ne kaise use sun liyaa ek aa.ndhii chalii chal ke miTbhii ga.ii aaj tak mere kaano.n me.n maujuud hai saa.e.n saa.e.n machaltii hu.ii aurubaltii hu.ii phailtii phailtii der se mai.n kha.Daa huu.n yahaa.n ek aayaa gayaaduusraa aa.egaa raat us kii guzar jaa.egii ek ha.ngaama barpaa hai dekhe.n jidharaa rahe hai.n ka.ii log chalte hu.e aur Tahalte hu.e aur rukte hu.e phir seba.Dhte hu.e aur lapakte hu.e aa rahe jaa rahe hai.n idhar se udhar aur udhar seidhar jaise dil me.n mire dhyaan kii lahar se ek tuufaan hai vaise aa.nkhe.nmirii dekhtii hii chalii jaa rahii hai.n ki ik TimTimaate diye kii kiran zindagii ko phisaltehu.e aur girte hu.e Dhab se zaahir kiye jaa rahii hai mujhe dhyaanaataa hai ab tiirgii ik ujaalaa banii hai magar is ujaale se ristii chalii jaa rahiihai.n vo amrit kii buu.nde.n jinhe.n mai.n hathelii pe apnii sambhaale rahaa huu.n hatheliimagar TimTimaataa hu.aa ik diyaa ban ga.ii thii lapak se ujaalaa hu.aa lau girii phir a.ndheraa saachhaane lagaa baiThtaa baiThtaa baiTh kar ek hii pal me.n uThtaa hu.aa jaise aa.ndhii ketiikhe thape.Do.n se darvaaze ke taaq khulte rahe.n band hote rahe.npha.D.pha.Daate hu.e taa.ir-e-zaKHm-KHurda kii maanind mai.n dekhtaa hii rahaa ek aayaagayaa duusraa aa.egaa soch aa.ii mujhe paa.nv ba.Dhne se inkaar kartega.e mai.n kha.Daa hii rahaa dil me.n ik buu.nd ne ye kahaa raat yuu.nhii guzar jaa.egiidil kii ik buu.nd ko aa.nkh me.n le ke mai.n dekhtaa hii rahaa pha.D.pha.Daate hu.e taa.irzaKHm-KHurda kii maanind darvaaze ke taaq ik baar jab mil ga.e mujh ko aahista aahistaehsaas hone lagaa ab ye zaKHmii parinda na ta.Dpegaa lekin mire dil ko har vaqtta.Dpaa.egaa mai.n hathelii pe apnii sambhaale rahuu.ngaa vo amrit kii buu.nde.n jinhe.n aa.nkhse merii risnaa thaa lekin mirii zindagii TimTimaataa hu.aa ik diyaa ban ga.ii jis kii ruktii hu.iiaur jhijaktii hu.ii har kiran be-sadaa qahqaha hai ki is tiirgii me.n ko.ii baat aisii nahii.njis ko pahle a.ndhere me.n dekhaa ho mai.n ne safar ye ujaale a.ndhere kaa chaltaarahaa hai to chaltaa rahegaa yahii rasm hai raah kii ek aayaa gayaa duusraaaa.egaa raat aise guzar jaa.egii TimTimaate sitaare bataate the raste kiinaddii bahii jaa rahii hai bahe jaa is uljhan se aise nikal jaa ko.ii siidhaa manzil pe jaataathaa lekin ka.ii qaafile bhuul jaate the anjum ke daur-e-yagaanaa ke mub.ham ishaare magar vobhii chalte hu.e aur ba.Dhte hu.e shaam se pahle hii dekh lete the maqsuud kaa banddarvaaza khulne lagaa hai magar mai.n kha.Daa huu.n yahaa.n mujh ko kyaa kaam hai meraa darvaazakhultaa nahii.n hai mujhe phaile sahraa kii so.ii hu.ii reg kaa zarra zarra yahii kah rahaa haike aise KHaraabe me.n suukhii hathelii hai ik aisaa talvaa ke jis ko kisii KHaar kii nok chubhne pe bhiikah nahii.n saktii mujh ko ko.ii buu.nd apne lahuu kii pilaa do magar mai.n kha.Daa huu.n yahaa.n kis liyekaam ko.ii nahii.n hai to mai.n bhii in aate hu.e aur jaate hu.e ek do tiinlaakho.n baguulo.n me.n mil kar yuu.nhii chalte chalte kahii.n Duub jaataa ke jaise yahaa.nbahtii lahro.n me.n kashtii har ek mauj ko thaam letii hai apnii hathelii ke phaile ka.nvalme.n mujhe dhyaan aataa nahii.n hai ki is raah me.n to har ik jaane vaale ke basme.n hai manzil mai.n chal duu.n chaluu.n aa.iye aa.iye aap kyuu.n is jagahaise chup-chaap tanhaa kha.De hai.n agar aap kahiye to ham ik achhuutii sii Tahnii sedo phuul bas bas mujhe is kii ko.ii zaruurat nahii.n hai mai.n ikdost kaa raasta dekhtaa huu.n magar vo chalaa bhii gayaa hai mujhe phir bhiitaskiin aatii nahii.n hai ki mai.n ek sahraa kaa baashinda maaluum hone lagaa huu.n KHudapnii nazar me.n mujhe ab ko.ii band darvaaza khultaa nazar aa.e ye baat mumkin nahii.n haimai.n ik aur aa.ndhii kaa mushtaaq huu.n jo mujhe apne parde me.n yaksar chhupaa lemujhe ab ye mahsuus hone lagaa hai suhaanaa samaa.n jitnaa bas me.n thaa merevo sab ek bahtaa saa jho.nkaa banaa hai jise haath mere nahii.n rok sakteki merii hathelii me.n amrit kii buu.nde.n to baaqii nahii.n hai.n faqat ek phailaa hu.aaKHushk be-barg be-ra.ng sahraa hai jis me.n ye mumkin nahii.n mai.n kahuu.nek aayaa gayaa duusraa aa.egaa raat merii guzar jaa.egii
siine me.n jo de kaa.nTo.n ko bhii jaa us gul kii lataafat kyaa kahiyejo zahar piye amrit kar ke us lab kii halaavat kyaa kahiye
tishnagii zahr bhii pii jaatii hai amrit kii tarahjaane kis jaam pe ruk jaa.e nigaah-e-ma.asuumDuubte dekhaa hai jin aa.nkho.n me.n mai-KHaana bhiipyaas un aa.nkho.n kii bujhe yaa na bujhe kyaa ma.aluum
Tuk.De Tuk.De din biitaadhajjii dhajjii raat miliijis kaa jitnaa aa.nchal thaautnii hii sauGaat miliirim-jhim rim-jhim buu.ndo.n me.nzahr bhii hai amrit bhii haiaa.nkhe.n ha.ns dii.n dil royaaye achchhii barsaat miliijab chaahaa dil ko samjhe.nha.nsne kii aavaaz suniijaise ko.ii kahtaa hole phir tujh ko maat miliimaate.n kaisii ghaate.n kyaachalte rahnaa aaTh pahardil saa saathii jab paayaabechainii bhii saath miliiho.nTo.n tak aate aatejaane kitne ruup bharejaltii bujhtii aa.nkho.n me.nsaada sii jo baat milii
siyaah baalo.n kii tiirgii me.n tumhaaraa maathaa chamak rahaa haitumhaarii aa.nkho.n me.n ik kiran naach naach kar mujh se kah rahii haiki mere ho.nTo.n me.n hai vo amrithazaaro.n saalo.n ke faasle se jo ris rahaa haimagar ye sab saal nuur ke saal to nahii.n tiirgii ke bhii saal ye nahii.n hai.nye saal to faasle kii pechiida silvaTe.n hai.na.ndheraa kamra a.ndheraa kyuu.n haitumhaare baalo.n kii tiirgii mai.n nigaah gum haiye band juu.Daa jo khul ke bikhre to phir kiran bhii sa.nvar ke nikhretumhaaraa malbuus ik sapiidii pe dhaariyo.n se sujhaa rahaa haia.ndhere kamre me.n jab kiran aa.ii tiirgii dhaariyaa.n banegiiaur us kiran se a.ndheraa pal-bhar ujaalaa ban kar pukaar uThegaaki bhuulii-bhaTkii yahaa.n kabhii tiirgii bhii aa.ehazaaro.n saalo.n kaa faasla tiirgii banaa hai
duniyaa me.n ko.ii shaad ko.ii dard-naak haiyaa KHush hai yaa alam ke sabab siina-chaak haihar ek dam se jaan kaa har-dam tapaak hainaapaak tan paliid najis yaa ki paak haijo KHaak se banaa hai vo aaKHir ko KHaak haihai aadmii kii zaat kaa us jaa ba.Daa zuhuurle arsh taa-ba-farsh chamaktaa hai jis kaa nuurguzre hai un kii qabr pe jab vahsh aur tuyuurro ro yahii kahe hai har ik qabr ke huzuurjo KHaak se banaa hai vo aaKHir ko KHaak haiduniyaa se jab ki ambiyaa aur auliyaa uTheajsaam-e-paak un ke isii KHaak me.n raheruuhe.n hai.n KHuub jaan me.n ruuho.n ke hai.n mazepar jism se to ab yahii saabit hu.aa mujhejo KHaak se banaa hai vo aaKHir ko KHaak hai.nvo shaKHs the jo saat vilaayat ke baadshaahhashmat me.n jin kii arsh se uu.nchii thii baargaahmarte hii un ke tan hu.e galiyo.n kii KHaak-e-raahab un ke haal kii bhii yahii baat hai gavaahjo KHaak se banaa hai vo aaKHir ko KHaak haikis kis tarah ke ho ga.e mahbuub-e-kaj-kulaahtan jin ke misl-e-phuul the aur mu.nh bhii rashk-e-maahjaatii hai un kii qabr pe jis-dam mirii nigaahrotaa huu.n jab to mai.n yahii kah kah ke dil me.n aahjo KHaak se banaa hai vo aaKHir ko KHaak haivo gore gore tan ki jinho.n kii thii dil me.n jaa.ehote the maile un ke ko.ii haath gar lagaa.eso vaise tan ko KHaak banaa kar havaa u.Daa.eronaa mujhe to aataa hai ab kyaa kahuu.n mai.n haa.ejo KHaak se banaa hai vo aaKHir ko KHaak haiumdo.n ke tan ko taa.nbe ke sanduuq me.n dharaamuflis kaa tan pa.Daa rahaa maaTii-upar pa.Daaqaa.em yahaa.n ye aur na saabit vo vaa.n rahaadono.n ko KHaak khaa ga.ii yaaro kahuu.n me.n kyaajo KHaak se banaa hai vo aaKHir ko KHaak haigar ek ko hazaar ruupe kaa milaa kafanaur ek yuu.n pa.Daa rahaa hai be-kas barhana-tankii.De mako.De khaa ga.e dono.n ke tan-badandekhaa jo ham ne aah to sach hai yahii suKHanjo KHaak se banaa hai vo aaKHir ko KHaak haijitne jahaa.n me.n naach hai.n ka.ngnii se taa-gehuu.naur jitne meva-jaat hai.n tar KHushk guunaaguu.nkap.De jahaa.n talak hai.n sapiida o siyah numuu.nkim-KHvaab taash baadila kis kis kaa naam luu.njo KHaak se banaa hai vo aaKHir ko KHaak haijitne daraKHt dekho ho buuTe se taa-ba-jhaa.Dba.D piipal aa.nb niib chhu.aaraa khajuur taa.Dsab KHaak ho.nge jab ki fanaa Daalegii ukhaa.Dkiyaa buuTe Dhe.Dh paat ke kyaa jhaa.D kyaa pahaa.Djo KHaak se banaa hai vo aaKHir ko KHaak haijitnaa ye KHaak kaa hai tilismaat ban rahaaphir KHaak us ko hotaa hai yaaro judaa judaatarkaarii saag paat zahr amrit aur davaazar siim kau.Dii laal zamurrad aur in savaajo KHaak se banaa hai vo aaKHir ko KHaak haiga.D.h coat top rahakla teG o kamaan-o-tiirbaaG-o-chaman mahall-o-makaanaat dil-paziirhonaa hai sab ko aah isii KHaak me.n KHamiirmerii zabaa.n pe ab to yahii baat hai 'naziir'jo KHaak se banaa hai vo aaKHir ko KHaak hai
kal magar phone kii ghanTii ne mujheapne maahaul se bedaar kiyaazindagii se mujhe do-chaar kiyaaek amrit bharaa lahja mire kaano.n me.n ghulaa''ammaa.n kal shaam dikhaayaa ham neapne bachcho.n ko chamaktaa taaraa''
barkhaa aa.ii baadal aa.eo.Dhe kaale kambal aa.eThanDii ThanDii aa.ii.n havaa.e.nkaalii kaalii chhaa.ii.n ghaTaa.e.ngarmii ne Deraa uThvaayaadhuup pe saaya Gaalib aayaabaadal se amrit jal barsaaamrit jal kaisaa komal barsaaho ga.ii zinda murda khetiiDhal ga.e zarre chamkii khetiidariyaa aur samundar ubhretaaza mauje.n le kar ubhrebaaGo.n me.n sabza lahraayaaphuulo.n kaliyo.n me.n ras aayaaphir shaaKHo.n ne KHil.at pahniiphir paa.e hariyaale gahnephuul khile kaliyaa.n lahraa.ii.nko.nple.n phir shaaKHo.n me.n aa.ii.nmotii baadal ne barsaa.epatto.n ne daaman phailaa.etaalaabo.n me.n me.nDak bolesiipo.n ne mu.nh apne kholebaadal garjaa bijlii chamkiiaa.ii sadaa rim-jhim rim-jhim kii
davaa.o.n kii almaariyo.n se sajii ik dukaa.n me.nmariizo.n ke amboh me.n muzmahil saaik insaa.n kha.Daa haijo ik niilii kub.Dii sii shiishii ke siine pe likkhe hu.eek ik harf ko Gaur se pa.Dh rahaa haimagar us pe to ''zahr'' likhkhaa hu.aa haius insaan ko kyaa maraz haiye kaisii davaa hai?
hindostaaniiyo.n kii hamdam hai tuu puraaniiduniyaa me.n ko.ii dariyaa teraa nahii.n hai saaniihai teraa saaf paanii amrit kii dhaar gangaaai shaandaar gangaaai pur-bahaar gangaa
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books