aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "suhaanaa"
mez chup-chaap gha.Dii band kitaabe.n KHaamoshapne kamre kii udaasii pe taras aataa haimeraa kamra jo mire dil kii har ik dha.Dkan kosaal-haa-saal se chup-chaap gine jaataa haijohd-e-hastii kii ka.Dii dhuup me.n thak jaane parjis kii aaGosh ne baKHshaa hai mujhe maa.n kaa KHuluusjis kii KHaamosh inaayat kii suhaanii yaade.nloriyaa.n ban ke mire dil me.n samaa jaatii hai.nmerii tanhaa.ii ke ehsaas ko zaa.il karnejis kii diivaare.n mire paas chalii aatii hai.n
ek aayaa gayaa duusraa aa.egaa der se dekhtaa huu.n yuu.nhii raat us kii guzar jaa.egiimai.n kha.Daa huu.n yahaa.n kis liye mujh ko kyaa kaam hai yaad aataa nahii.n yaad bhii TimTimaataahu.aa ik diyaa ban ga.ii jis kii ruktii hu.ii aur jhijaktii hu.ii har kiran be-sadaa qahqaha haimagar mere kaano.n ne kaise use sun liyaa ek aa.ndhii chalii chal ke miTbhii ga.ii aaj tak mere kaano.n me.n maujuud hai saa.e.n saa.e.n machaltii hu.ii aurubaltii hu.ii phailtii phailtii der se mai.n kha.Daa huu.n yahaa.n ek aayaa gayaaduusraa aa.egaa raat us kii guzar jaa.egii ek ha.ngaama barpaa hai dekhe.n jidharaa rahe hai.n ka.ii log chalte hu.e aur Tahalte hu.e aur rukte hu.e phir seba.Dhte hu.e aur lapakte hu.e aa rahe jaa rahe hai.n idhar se udhar aur udhar seidhar jaise dil me.n mire dhyaan kii lahar se ek tuufaan hai vaise aa.nkhe.nmirii dekhtii hii chalii jaa rahii hai.n ki ik TimTimaate diye kii kiran zindagii ko phisaltehu.e aur girte hu.e Dhab se zaahir kiye jaa rahii hai mujhe dhyaanaataa hai ab tiirgii ik ujaalaa banii hai magar is ujaale se ristii chalii jaa rahiihai.n vo amrit kii buu.nde.n jinhe.n mai.n hathelii pe apnii sambhaale rahaa huu.n hatheliimagar TimTimaataa hu.aa ik diyaa ban ga.ii thii lapak se ujaalaa hu.aa lau girii phir a.ndheraa saachhaane lagaa baiThtaa baiThtaa baiTh kar ek hii pal me.n uThtaa hu.aa jaise aa.ndhii ketiikhe thape.Do.n se darvaaze ke taaq khulte rahe.n band hote rahe.npha.D.pha.Daate hu.e taa.ir-e-zaKHm-KHurda kii maanind mai.n dekhtaa hii rahaa ek aayaagayaa duusraa aa.egaa soch aa.ii mujhe paa.nv ba.Dhne se inkaar kartega.e mai.n kha.Daa hii rahaa dil me.n ik buu.nd ne ye kahaa raat yuu.nhii guzar jaa.egiidil kii ik buu.nd ko aa.nkh me.n le ke mai.n dekhtaa hii rahaa pha.D.pha.Daate hu.e taa.irzaKHm-KHurda kii maanind darvaaze ke taaq ik baar jab mil ga.e mujh ko aahista aahistaehsaas hone lagaa ab ye zaKHmii parinda na ta.Dpegaa lekin mire dil ko har vaqtta.Dpaa.egaa mai.n hathelii pe apnii sambhaale rahuu.ngaa vo amrit kii buu.nde.n jinhe.n aa.nkhse merii risnaa thaa lekin mirii zindagii TimTimaataa hu.aa ik diyaa ban ga.ii jis kii ruktii hu.iiaur jhijaktii hu.ii har kiran be-sadaa qahqaha hai ki is tiirgii me.n ko.ii baat aisii nahii.njis ko pahle a.ndhere me.n dekhaa ho mai.n ne safar ye ujaale a.ndhere kaa chaltaarahaa hai to chaltaa rahegaa yahii rasm hai raah kii ek aayaa gayaa duusraaaa.egaa raat aise guzar jaa.egii TimTimaate sitaare bataate the raste kiinaddii bahii jaa rahii hai bahe jaa is uljhan se aise nikal jaa ko.ii siidhaa manzil pe jaataathaa lekin ka.ii qaafile bhuul jaate the anjum ke daur-e-yagaanaa ke mub.ham ishaare magar vobhii chalte hu.e aur ba.Dhte hu.e shaam se pahle hii dekh lete the maqsuud kaa banddarvaaza khulne lagaa hai magar mai.n kha.Daa huu.n yahaa.n mujh ko kyaa kaam hai meraa darvaazakhultaa nahii.n hai mujhe phaile sahraa kii so.ii hu.ii reg kaa zarra zarra yahii kah rahaa haike aise KHaraabe me.n suukhii hathelii hai ik aisaa talvaa ke jis ko kisii KHaar kii nok chubhne pe bhiikah nahii.n saktii mujh ko ko.ii buu.nd apne lahuu kii pilaa do magar mai.n kha.Daa huu.n yahaa.n kis liyekaam ko.ii nahii.n hai to mai.n bhii in aate hu.e aur jaate hu.e ek do tiinlaakho.n baguulo.n me.n mil kar yuu.nhii chalte chalte kahii.n Duub jaataa ke jaise yahaa.nbahtii lahro.n me.n kashtii har ek mauj ko thaam letii hai apnii hathelii ke phaile ka.nvalme.n mujhe dhyaan aataa nahii.n hai ki is raah me.n to har ik jaane vaale ke basme.n hai manzil mai.n chal duu.n chaluu.n aa.iye aa.iye aap kyuu.n is jagahaise chup-chaap tanhaa kha.De hai.n agar aap kahiye to ham ik achhuutii sii Tahnii sedo phuul bas bas mujhe is kii ko.ii zaruurat nahii.n hai mai.n ikdost kaa raasta dekhtaa huu.n magar vo chalaa bhii gayaa hai mujhe phir bhiitaskiin aatii nahii.n hai ki mai.n ek sahraa kaa baashinda maaluum hone lagaa huu.n KHudapnii nazar me.n mujhe ab ko.ii band darvaaza khultaa nazar aa.e ye baat mumkin nahii.n haimai.n ik aur aa.ndhii kaa mushtaaq huu.n jo mujhe apne parde me.n yaksar chhupaa lemujhe ab ye mahsuus hone lagaa hai suhaanaa samaa.n jitnaa bas me.n thaa merevo sab ek bahtaa saa jho.nkaa banaa hai jise haath mere nahii.n rok sakteki merii hathelii me.n amrit kii buu.nde.n to baaqii nahii.n hai.n faqat ek phailaa hu.aaKHushk be-barg be-ra.ng sahraa hai jis me.n ye mumkin nahii.n mai.n kahuu.nek aayaa gayaa duusraa aa.egaa raat merii guzar jaa.egii
aataa hai yaad mujh ko bachpan kaa vo zamaanarahtaa thaa saath mere KHushiyo.n kaa jab KHazaanahar roz ghar me.n milte umda laziiz khaanebe-mehnat-o-mashaqqat haasil thaa aab-o-daanabachcho.n ke saath rahnaa KHushiyo.n ke giit gaanaadil me.n na thii kuduurat thaa sab se dostaanameh.ndii ke patte laanaa aur piis kar lagaanaaphir surKH haath apne har ek ko dikhaanaaaavaaz DugDugii kii juu.n hii sunaa.ii detiius kii taraf lapaknaa bachcho.n kaa vaalihaanahar saal pyaare abbuu laate the ek bakraachaara use khilaanaa maidaan me.n ghumaanaavo duur jaa chukaa hai aataa nahii.n palaT karbachpan kaa vo zamaana lagtaa hai ik fasaanadaadii ko mai.n ne ik din ye mashvara diyaa thaachehre kii jhurriyo.n ko aasaan hai miTaanaachehre pe aap ke hai.n jo be-shumaar shikne.naayaa mirii samajh me.n un se najaat paanaakap.De kii saarii shikne.n miTtii hai.n istirii seaasaan saa amal hai ye istirii chalaanaaik garm istirii ko chehre pe aap phere.numda hai meraa nusKHa hai shart aazmaanaaik roz vaalida se jaa kar kahaa kitchen me.nab chho.Diyegaa ammii ye roTiyaa.n pakaanaaik pe.D roTiyo.n kaa daalaan me.n lagaa.e.nus pe.D ko kahe.nge roTii kaa kaarKHaanashaaKHo.n se taaza taaza phir roTiyaa.n mile.ngiito.De.nge roTiyaa.n ham khaa.e.nge ghar me.n khaanaakaisii ajiib baate.n aatii thii.n mere lab paraaj un ko kah rahaa huu.n baate.n hai.n ahmaqaanavo pyaarii pyaarii baate.n ab yaad aa rahii hai.nbachpan kaa vo zamaana kyaa KHvaab thaa suhaanaa
merii hamdam, mire KHvaabo.n kii sunahrii ta.abiirmuskuraa de ki mire ghar me.n ujaalaa ho jaa.eaa.nkh malte hu.e uTh jaa.e kiran bistar sesub.h kaa vaqt zaraa aur suhaanaa ho jaa.e
har vaqt suhaanaa kyaa kahnaa har raat suhaanii kyaa kahnaabarsaat ke bhiige lamho.n me.n shaadaab javaanii kyaa kahnaa
bhaarat pyaaraa desh hamaaraa sab desho.n se nyaaraa haihar rut har ik mausam is kaa kaisaa pyaaraa pyaaraa haikaisaa suhaanaa kaisaa sundar pyaaraa des hamaaraa haidukh me.n sukh me.n har haalat me.n bhaarat dil kaa sahaaraa haibhaarat pyaaraa desh hamaaraa sab desho.n se nyaaraa hai
vo suhaanaa saa ujaalaajhuumtaa saagar ke paargul-badaamaa.n ek aa.ngan shaam ke taare kaa haimeraa nahii.nvo ghanaa ban bhii puraanaa aashram haijhilmilaatii os kaameraa nahii.nmai.n to guu.nge KHaak-daa.n kiian-kahiiai ajnabiian-kahii se kahnii sun.nii tak pahu.nchnaasahal kab haidarmiyaan haa.il milegaaik KHalaa-e-be-karaa.n
bachpan kaa zamaana tujh me.n haihar lamha suhaanaa tujh me.n haijo KHvaabo.n ko dastak detaa thaavo ahd puraanaa tujh me.n hai
azaa.n par azaa.n murG dene lagaa haiKHushii se har ik jaanvar boltaa haidaraKHto.n ke uupar ajab chahchahaa haisuhaanaa hai vaqt aur ThanDii havaa haiuTho sone vaalo ki mai.n aa rahii huu.n
phir na.e saal kii aamad hai nayaa jaam chalephir barahman ne kahaa hai ki ye saal achchhaa haimere kamre me.n calender jo na.e saal kaa aavezaa.n hainazar aataa hai guzishta kii tarahvahii uljhe hu.e haalaat vahii mah.ngaa.iihai vahii tishna-labii aur vahii tanhaa.iina mohabbat na muravvat na vafaa ke aasaaraadamiyyat ke taqaaze na sadaaqat kii phabanjis tarah aatish-e-imroz me.n jaltii tasviirjaise kajlaa.ii hu.ii dast-e-hinaa.ii kii lakiirmere kamre me.n calender jo na.e saal kaa aavezaa.n hainazar aataa hai guzishta kii tarahek manzar jo suhaanaa hai vo phaile to sahiiraaj KHushiyo.n kaa ho chehro.n pe masarrat chamkeghar ke aa.ngan me.n mohabbat kaa ko.ii gul mahkeaur shaa.ir kaa qalam ek qasiida likkhejis kaa har lafz ho aaGaaz-e-masarrat kii navedThiik hai ham bhii na.e saal kaa naqsha dekhe.nbaab-dar-baab ko.ii KHvaab-e-tamannaa dekhe.nmere kamre me.n calender jo na.e saal kaa aavezaa.n haiKHud tamaasha hai tamaashaa.ii bhii
kaash mai.n hotaa ek parindakaash mai.n hotaa ek parindajagah jagah kii sair ko jaataasab mulko.n kii KHabar bhii laataajab thak jaataa tab mai.n gaataagaate gaate mai.n so jaataakaash mai.n hotaa ek parindakaale baadal jab chhaa jaatega.D ga.D ga.D karte aatepaanii kaa paiGaam sunaatetab mai.n miiThii taan u.Daataakaash mai.n hotaa ek parindaapne ko aazaad mai.n paa kardaana dunkaa sab kuchh khaa karniile se aakaash me.n jaa kardhiire dhiire mai.n ma.nDlaataakaash mai.n hotaa ek parindaga.D ga.D ga.D ga.D baadal aaterim-jhim rim-jhim barsaa laateumda saa ik saaz milaatetab mai.n giit suhaanaa gaataakaash mai.n hotaa ek parindaraam dhanak yaa qaus-e-quzah me.nprithvii se aakaash kii raah me.njhuulaa jo hai ek fazaa me.n'kaukab' us me.n jhuulne jaataakaash mai.n hotaa ek parinda
aa jaa rii chi.Diyaaaa jaa rii chi.Diyaamu.nDer par kyo.nkartii hai chuu.n chuu.naa jaa tujhe mai.ndaana KHilaa.u.nroTii ke bhuurechhat par bikheruu.nle apnaa khaajaakhaa jaa rii chi.Diyaasun le rii chi.Diyaasun le rii chi.Diyaakyaa nanhe nanhebachche hai.n terekarte hai.n chii.n chii.nitne saverele mai.n ne gehuu.nchhat par bikhereye daane dunkechun le rii chi.Diyaasun le rii chi.Diyaasun le rii chi.Diyaaaa pyaarii chi.Diyaaaa pyaarii chi.Diyaau.D-u.D ke aanaamu.D mu.D ke jaanaabachcho.n ko apnedaana khilaanaalagtaa hai jii kokaisaa suhaanaakyaa pyaaraa pyaaraahai teraa gaanaagaa KHuub din bhargaa pyaarii chi.Diyaaaa pyaarii chi.Diyaaaa pyaarii chi.Diyaau.D jaa rii chi.Diyaau.D jaa rii chi.Diyaavo maano billiibaiThii hai dubkiitujh ko paka.D karbas khaa hii legiimiTTii ke uuparjaa baiTh uu.nchiiniiche na aanaamu.D jaa rii chi.Diyaau.D jaa rii chi.Diyaau.D jaa rii chi.Diyaa
prem jagat ke rahne vaalo prem se rishta jo.Dohirdai hai parbhuu kaa Deraa use kabhii na to.DoulTii gangaa bahtii hai bahne do us ko chho.Doapne jiivan dhaaraa ko tum siidhe ruKH par mo.Dokaram karegaa jo achchhaa achchhaa.ii pe vo maregaaaur buraa ko.ii jo karegaa vaisaa hii vo bharegaapun kyaa hai jo bhii kisii ne us ko to vo milegaabaaG me.n us ke jiivan ke vo ban kar phuul khulegaahinduu muslim sikh iisaa.ii sab hai.n bhaa.ii bhaa.iibhaa nahii.n saktii kabhii kisii ko ik-duuje kii judaa.iiaaj hai rakshaa-bandhan kaa din hai ye kitnaa suhaanaabhaa.ii-bahan ke prem kaa ye din sab ko sunaa.e fasaanashiilaa ne arshad kii le lii jaa ke haath me.n kalaa.iiphir ye bolii rakshaa-bandhan aaj hii hai mire bhaa.iipyaar bharaa ye haath jo rakh do sar par aaj hamaarehar dukh har Gam duur ho jaa.e KHushiyaa.n aa.e dvaarepyaar hii puujaa pyaar ibaadat pyaar se rishta jo.Dohar dukh har Gam duur ho jaa.e KHushiyaa.n aa.e dvaarezainab bhii raahul ke haath me.n baa.ndh ke bolii raakhiidukh-sa.nkaT ke saagar kii nayyaa kaa tuu hai maajhiipavitra prem kaa jag me.n dekho kaisaa ye uphaar haiisii pyaar aur prem se bhayyaa sukh-may ye sansaar haikabhii kisii bhii bahan pe bhayyaa sankaT aa nahii.n paa.ephuul na hargiz kabhii kisii kii KHushiyo.n ke murjhaa.esiitaa giitaa shabnam shaahii.n me.n hai bhed na bhaavchaaro.n kaa hai ek charitra aur sab kaa ek subhaavbuu.nd lahuu kii ek rago.n me.n tan bhii ek samaanprem paaTh pa.Dhaayaa sab ne giitaa ho yaa puraanho har din rakshaa-bandhan kaa sab prem kii jot jalaa.e.nprem kii KHushbuu se mahke ghar aa.ngan chaaro.n dishaa.e.n
chho.D aayaa huu.n mai.n apnaa chhoTaa saa gharta.aaqub kartaa hai vo ab meraa umr bharja.ngal kinaare parbato.n ke taleharii-bharii vaadiyo.n me.njahaa.n bahte the barsaatii parnaalechho.D aayaa huu.n mai.n apnaa chhoTaa saa gharhad-e-nigaah tak vo KHushnumaa manzarbaadalo.n kii oT se pahaa.Dii nazaarebijlii kii chamak baadal kii garajkabhii chhat Tapaktii thii to kabhii hiltii thii.n diivaare.nkitaab copiyo.n ko siine me.n chhupaanaasard havaa ke jho.nko.n se charaaG kaa TimTimaanaavo teraa ma.asuum chehravo teraa bhiigii palko.n se muskuraanaavo aazmaa.ish kii kaalii raate.n vo imtihaano.n kaa Darchho.D aayaa huu.n mai.n apnaa chhoTaa saa gharhaafize me.n dafn hai jis kaa ab bhii vo manzarmaTmailii sii thii.n jis kii diivaare.nsurKH thaa jis kaa chhapparja.ngle kii kamzor salaaKHo.n seaa.nkho.n me.n aa.nsuu liyeek la.Dkaa dekhaa kartaa thaaqaumii shaah-raah kaa manzarjahaa.n se diivaana-vaar baso.n aur trako.n kaa kaarvaa.nbhaagtaa dau.Dtaa rahtaa thaa ba.De shahro.n kii samthaa.n ba.De shahro.n kii samtjin kii KHud laapata thii.n samte.n!!aaj chaaliis saal baa'd vo la.Dkaa sochtaa haiba.Daa shahr saraab hai sunahrii hiran kaa KHvaab haiba.De shahr kii chaah me.n dau.Dte dau.Dtevo be-samt be-manzar be-ghar ho gayaa hailekin phir kabhii kabhii use ehsaas hotaa haius kii bhii apnii asaas haius kaa suhaana manzar is ke paas haius kaa bhii apnaa ghar haivo chhoTaa saa ghar vo maTmailii diivaare.nvo surKH chhapparjahaa.n aashnaa nigaahe.njahaa.n mohabbat-aamez baahe.naaj bhii us kaa intizaar kar rahii hai.n
samaa.n suhaanaa thaa ThanDii hu.aa ke jho.nko.n sebadan ko taazgii miltii thii ruuh me.n jaiseizaafa hotaa saa mahsuus ho rahaa thaa mujhefazaa me.n u.Dte hu.e mast abr ke Tuk.Deye lag rahaa thaa bahaaro.n ke hai.n faristaadeKHayaal aayaa ki mausam kaa lutf le.n sab dostmare to jaate hai.n jiine ko aaj khul ke ji.e.naziim shahr kii aaluuda is fazaa se parekahii.n bhii mil ke chale.n saath baiThe.n khaa.e.n piye.nmiraa pa.Dosii ba.Daa pyaaraa aadmii thaa usegalii me.n aan ke aavaaz dii Gulaam-rasuulma.an mujhe ye KHayaal aayaa meraa ham-saayaab is jahaa.n me.n nahii.n ban chukaa hai vaqt kii dhuuljo pichhle saal achaanak bha.Dak uThe the yahaa.nvo firqa-vaarii fasaadaat khaa ga.e us ko
bhaarat pyaaraa desh hamaaraa sab desho.n se nyaaraa haihar rut har mausam is kaa kaisaa pyaaraa pyaaraa haikaisaa suhaanaa kaisaa sundar pyaaraa desh hamaaraa haidukh me.n sukh me.n har haalat me.n bhaarat dil kaa sahaaraa hai
sub.h hu.ii ab uTTho bachchiinii.nd abhii tak kyo.n hai kachchiiraat ga.ii vo suuraj niklaavo phailaa ghar bhar me.n ujaalaauTTho uTTho mu.nh dho Daalosustii ho to jaa ke nahaa loaapaa jaagii.n bhayyaa jaageuThte hii bistar se bhaageabbaa uTThe daadii uTThii.naur namaaze.n sab ne pa.Dh lii.njaag uThaa hai ghar bhar saaraaye kaisaa sonaa hai tumhaaraasub.h savere sustii kaisiiaadat kuchh achchhii nahii.n aisiisub.h kaa manzar hai kyaa achchhaakitnaa suhaanaa kaisaa pyaaraauTh baiTho a.ng.Daa.ii le karaur lapeTo apnaa bistarapne kaam karo tum KHud hiibaat yahii hai sab se achchhiinaashta kar lo jaldii aa karphir pa.Dh aa.o jhaT jhaT jaa karaaj nayaa lenaa hai sabaq phirjaldii ulTe taaki varaq phirustaanii ke ghar hai jaanaakal kaa sabaq un ko hai sunaanaapa.Dhne likhne hii me.n mazaa haikaam isii se sab kaa banaa haihai yahii har la.Dkii kaa gahnaahargiz tum be-kaar na rahnaasiikhnaa hai phir khaanaa pakaanaarang apnaa ghar bhar me.n jamaanaadekho apnii zid pe na u.Dnaasab ko tum se kaam hai pa.Dnaadekho vaqt na apnaa khonaapa.Dhnaa likhnaa sapnaa pironaakaam se hargiz jii na churaa.otaaki jahaa.n me.n izzat paa.oadab tamiiz aur hunar saliiqasiikho ghar me.n beTii rafiiqasiikh lo jaldii khaanaa pakaanaaapnii maa.n kaa haath baTaanaaye sab tum jab siikh chukogiighar aur baahar izzat hogiisab ye kahe.nge vaah rii la.Dkiituu hai kitnii achchhii beTiitujh se kyaa KHush jii hai hamaaraakitnii sugha.D kyaa kaam hai pyaaraajitnaa pyaaraa kaam hai teraaduniyaa bhar me.n naam hai teraa
jab se aa.ii hai diipaavaliihar taraf chhaa.ii hai raushniihar jagah chaahato.n ke diyeshaam hote hii jalne lagephul-jha.Diyo.n kaa baazaar haiye paTaaKHo.n kaa tehvaar haidiipo.n kaa hai suhaanaa samaa.njin se dhartii banii kahkashaa.njitne rocket paTaaKHe chaleaasmaa.n par lage hai.n bhaleho ga.ii.n duur taariikiyaa.nab hai.n raushan zamii.n aasmaa.njab se aa.ii hai.n diipaavaliihar taraf chhaa.ii hai raushniiek mauqa hai pahchaan kaadil milaatii hai insaan kaachaahato.n kii ye tasviir haiik na.e yug kii ta.abiir hai
zindagii KHvaab ik suhaanaa haizindagii dard kaa fasaana haizindagii ranj-o-Gam kaa lamha bhiizindagii hai nashaat-o-naGma bhiizindagii sher-o-naGmagii kaa KHumaarzindagii kaif-o-sarKHushii kii bahaarzindagii naqsh-e-naa-muraadii bhiizindagii raqs bhii hai shaadii bhiizindagii phuul hai kabhii hai KHaartaKHt-e-shaahii hai aur kabhii hai daarsaat rango.n kaa ye nagiina haizindagii be-bahaa KHaziina haiqadr jo ranj-o-Gam kii jaanegaa'shauq' vo zindagii ko maanegaa
tum vo baadal ho ki aakaash pe jab jhuum ke aa.echale purvaa.ii bhii mausam bhii suhaanaa ho jaa.ekabhii ghanghor ghaTaa surma.ii uudii kaaliikabhii ik ruu.ii kaa gaalaa ki bas u.Dtaa jaa.ekabhii bijlii kii ka.Dak ban ke jalaa.e KHirmanga.Dga.Daataa kahii.n bin barse hii guzraa jaa.epaanii tham tham ke pa.De rang dhanak ke bikhre.nhijr kii shaam Dhale vasl kii raat aa jaa.e
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books