Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Aslam Mahmood's Photo'

Aslam Mahmood

Kanpur, India

Sher of Aslam Mahmood

379
Favorite

SORT BY

dekh aa kar ki tire hijr meñ bhī zinda haiñ

tujh se bichhḌe the to lagtā thā ki mar jā.eñge

dekh aa kar ki tere hijr mein bhi zinda hain

tujh se bichhDe the to lagta tha ki mar jaenge

ham dil se rahe tez havāoñ ke muḳhālif

jab tham gayā tūfāñ to qadam ghar se nikālā

hum dil se rahe tez hawaon ke muKHalif

jab tham gaya tufan to qadam ghar se nikala

paañv us ke bhī nahīñ uThte mire ghar taraf

aur ab ke rāsta badlā huā merā bhī hai

panw us ke bhi nahin uThte mere ghar ki taraf

aur ab ke rasta badla hua mera bhi hai

ab ye samjhe ki añdherā bhī zarūrī shai hai

bujh ga.iiñ āñkheñ ujāloñ farāvānī se

ab ye samjhe ki andhera bhi zaruri shai hai

bujh gain aankhen ujalon ki farawani se

guzarte rahe haiñ qāfile zarā ruk

ġhubār-e-rāh tere saath chalnā chāhtā huuñ maiñ

guzarte ja rahe hain qafile tu hi zara ruk ja

ghubar-e-rah tere sath chalna chahta hun main

yahī nahīñ ki kisī yaad ne malūl kiyā

kabhī kabhī to yūñhī be-sabab bhī ro.e haiñ

yahi nahin ki kisi yaad ne malul kiya

kabhi kabhi to yunhi be-sabab bhi roe hain

raat aatī hai to tāqoñ meñ jalāte haiñ charāġh

ḳhvāb zinda haiñ so āñkhoñ meñ jalāte haiñ charāġh

raat aati hai to taqon mein jalate hain charagh

KHwab zinda hain so aankhon mein jalate hain charagh

ḳhatā ye thī ki maiñ āsāniyoñ tālib thā

sazā ye hai ki mirā tīsha-e-hunar bhī gayā

KHata ye thi ki main aasaniyon ka talib tha

saza ye hai ki mera tisha-e-hunar bhi gaya

be-rañg na vāpas kar ik sañg de sar ko

kab se tirā tālib huuñ kab se tire dar par huuñ

be-rang na wapas kar ek sang hi de sar ko

kab se tera talib hun kab se tere dar par hun

maiñ ek ret paikar thā aur bikhar bhī gayā

ajab thā ḳhvāb ki maiñ ḳhvāb meñ Dar bhī gayā

main ek ret ka paikar tha aur bikhar bhi gaya

ajab tha KHwab ki main KHwab hi mein Dar bhi gaya

aa gayā kaun ye aaj us ke muqābil 'aslam'

ā.īna TuuT gayā aks tābānī se

aa gaya kaun ye aaj us ke muqabil 'aslam'

aaina TuT gaya aks ki tabani se

tere kūche havā pūchhe hai ab ham se

naam kyā hai kyā nasab hai ham kahāñ ke haiñ

tere kuche ki hawa puchhe hai ab hum se

nam kya hai kya nasab hai hum kahan ke hain

vo dard huuñ koī chāra nahīñ hai jis kahīñ

vo zaḳhm huuñ ki hai dushvār indimāl mirā

wo dard hun koi chaara nahin hai jis ka kahin

wo zaKHm hun ki hai dushwar indimal mera

teġh-e-nafas ko bahut naaz thā raftār par

ho ga.ī āḳhir mire ḳhuuñ meñ nahā kar ḳhamosh

tegh-e-nafas ko bahut naz tha raftar par

ho gai aaKHir mere KHun mein naha kar KHamosh

mirī kahānī raqam huī hai havā ke aurāq-e-muntashir par

maiñ ḳhaak ke rañg-e-ġhair-fānī ko apnī tasvīr kar rahā huuñ

meri kahani raqam hui hai hawa ke auraq-e-muntashir par

main KHak ke rang-e-ghair-fani ko apni taswir kar raha hun

kahāñ bhaTaktī phiregī añdherī galiyoñ meñ

ham ik charāġh sar-e-kūcha-e-havā rakh aa.e

kahan bhaTakti phiregi andheri galiyon mein

hum ek charagh sar-e-kucha-e-hawa rakh aae

mire shauq-e-sair-o-safar ko ab na.e ik jahāñ numūd kar

tire bahr o bar ko to rakh diyā hai kabhī maiñ ne khañgāl ke

mere shauq-e-sair-o-safar ko ab nae ek jahan ki numud kar

tere bahr o bar ko to rakh diya hai kabhi ka main ne khangal ke

tamām umr jise maiñ ubuur kar na sakā

darūn-e-zāt mire be-kanār kuchh hai

tamam umr jise main ubur kar na saka

darun-e-zat mere be-kanar sa kuchh hai

ruk gayā aa ke jahāñ qāfila-e-rañg-o-nashāt

kuchh qadam aage zarā baḌh ke makāñ hai merā

ruk gaya aa ke jahan qafila-e-rang-o-nashat

kuchh qadam aage zara baDh ke makan hai mera

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now