join rekhta family!
Ghazal 38
Nazm 64
Sher 49
aa.ina dekh kar tasallī huī
ham ko is ghar meñ jāntā hai koī
aaina dekh kar tasalli hui
hum ko is ghar mein jaanta hai koi
-
Share this
- See Ghazal
-
Tag : Aaina
shaam se aañkh meñ namī sī hai
aaj phir aap kī kamī sī hai
sham se aankh mein nami si hai
aaj phir aap ki kami si hai
-
Share this
- See Ghazal
Short story 2
BOOKS 17
Image shayari 14
mere kap.Do.n me.n Ta.ngaa hai teraa KHush-ra.ng libaas! ghar pe dhotaa huu.n har baar use aur sukhaa ke phir se apne haatho.n se use istrii kartaa huu.n magar istrii karne se jaatii nahii.n shikne.n us kii aur dhone se gile-shikvo.n ke chikte nahii.n miTte! zindagii kis qadar aasaa.n hotii rishte gar hote libaas aur badal lete qamiizo.n kii tarah!
har ek Gam nicho.D ke har ik baras jiye do din kii zindagii me.n hazaaro.n baras jiye sadiyo.n pe iKHtiyaar nahii.n thaa hamaaraa dost do chaar lamhe bas me.n the do chaar bas jiye sahraa ke us taraf se ga.e saare kaarvaa.n sun sun ke ham to sirf sadaa-e-jaras jiye ho.nTo.n me.n le ke raat ke aa.nchal kaa ik siraa aa.nkho.n pe rakh ke chaa.nd ke ho.nTo.n kaa mas jiye mahduud hai.n du.aa.e.n mire iKHtiyaar me.n har saa.ns pur-sukuun ho tuu sau baras jiye
phuulo.n kii tarah lab khol kabhii KHushbuu kii zabaa.n me.n bol kabhii alfaaz parakhtaa rahtaa hai aavaaz hamaarii tol kabhii anmol nahii.n lekin phir bhii puuchh to muft kaa mol kabhii khi.Dkii me.n kaTii hai.n sab raate.n kuchh chauras thii.n kuchh gol kabhii ye dil bhii dost zamii.n kii tarah ho jaataa hai Daa.nvaa-Dol kabhii