Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Shoaib Kiani's Photo'

Shoaib Kiani

Islamabad, Pakistan

Shoaib Kiani

Ghazal 6

Nazm 11

Sher-o-Shayari 6

kuchh mas.ala to tere jahāñ meñ zarūr hai

jaañ lag ga.ī hamārī magar lagā nahīñ

kuchh masala to tere jahan mein zarur hai

jaan lag gai hamari magar ji laga nahin

  • Share this

maiñ akelā rah gayā to maiñ ne kuchh rishte banā.e

maiñ ne kuchh rishte banā.e maiñ akelā rah gayā

main akela rah gaya to main ne kuchh rishte banae

main ne kuchh rishte banae main akela rah gaya

marte rahnā mirā har roz yuuñ thoḌā thoḌā

qatl hai jis ko maiñ sābit nahīñ kar pā.ūñgā

marte rahna mera har roz yun thoDa thoDa

qatl hai jis ko main sabit nahin kar paunga

  • Share this

un se ḳhudā ko chhīn ke badle meñ kuchh to do

vo jin ke paas kuchh bhī ḳhudā ke sivā nahīñ

un se KHuda ko chhin ke badle mein kuchh to do

wo jin ke pas kuchh bhi KHuda ke siwa nahin

  • Share this

ulTā mujh ko uThā leñge uThāne vaale

lāpata pyāroñ ke baare meñ agar pūchhūñgā

ulTa mujh ko hi uTha lenge uThane wale

lapata pyaron ke bare mein agar puchhunga

  • Share this

More Poets From "Islamabad"

Recitation

Speak Now