aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Irfan Siddiqi's Photo'

Irfan Siddiqi

1939 - 2004 | Lucknow, India

One of the most-prominent modern poets, famous for his neo-classical poetry.

One of the most-prominent modern poets, famous for his neo-classical poetry.

TOP 20 SHAYARI of Irfan Siddiqi

uTho ye manzar-e-shab-tāb dekhne ke liye

ki niiñd shart nahīñ ḳhvāb dekhne ke liye

uTho ye manzar-e-shab-tab dekhne ke liye

ki nind shart nahin KHwab dekhne ke liye

badan meñ jaise lahū tāziyāna ho gayā hai

use gale se lagā.e zamāna ho gayā hai

badan mein jaise lahu taziyana ho gaya hai

use gale se lagae zamana ho gaya hai

hoshiyārī dil-e-nādān bahut kartā hai

rañj kam sahtā hai elaan bahut kartā hai

hoshiyari dil-e-nadan bahut karta hai

ranj kam sahta hai elan bahut karta hai

raat ko jiit to paatā nahīñ lekin ye charāġh

kam se kam raat nuqsān bahut kartā hai

raat ko jit to pata nahin lekin ye charagh

kam se kam raat ka nuqsan bahut karta hai

tum parindoñ se ziyāda to nahīñ ho āzād

shaam hone ko hai ab ghar taraf lauT chalo

tum parindon se ziyaada to nahin ho aazad

sham hone ko hai ab ghar ki taraf lauT chalo

badan ke donoñ kināroñ se jal rahā huuñ maiñ

ki chhū rahā huuñ tujhe aur pighal rahā huuñ maiñ

badan ke donon kinaron se jal raha hun main

ki chhu raha hun tujhe aur pighal raha hun main

jo kuchh huā vo kaise huā jāntā huuñ maiñ

jo kuchh nahīñ huā vo batā kyuuñ nahīñ huā

jo kuchh hua wo kaise hua jaanta hun main

jo kuchh nahin hua wo bata kyun nahin hua

sar agar sar hai to nezoñ se shikāyat kaisī

dil agar dil hai to dariyā se baḌā honā hai

sar agar sar hai to nezon se shikayat kaisi

dil agar dil hai to dariya se baDa hona hai

ajab harīf thā mere saath Duub gayā

mire safīne ko ġharqāb dekhne ke liye

ajab harif tha mere hi sath Dub gaya

mere safine ko gharqab dekhne ke liye

hameñ to ḳhair bikharnā thā kabhī na kabhī

havā-e-tāza jhoñkā bahāna ho gayā hai

hamein to KHair bikharna hi tha kabhi na kabhi

hawa-e-taza ka jhonka bahana ho gaya hai

sarhadeñ achchhī ki sarhad pe na ruknā achchhā

sochiye aadmī achchhā ki parinda achchhā

sarhaden achchhi ki sarhad pe na rukna achchha

sochiye aadmi achchha ki parinda achchha

ret par thak ke girā huuñ to havā pūchhtī hai

aap is dasht meñ kyuuñ aa.e the vahshat ke baġhair

ret par thak ke gira hun to hawa puchhti hai

aap is dasht mein kyun aae the wahshat ke baghair

apne kis kaam meñ lā.egā batātā bhī nahīñ

ham ko auroñ pe gañvānā bhī nahīñ chāhtā hai

apne kis kaam mein laega batata bhi nahin

hum ko auron pe ganwana bhi nahin chahta hai

maiñ chāhtā huuñ yahīñ saare faisle ho jaa.eñ

ki is ke ba.ad ye duniyā kahāñ se lā.ūñgā maiñ

main chahta hun yahin sare faisle ho jaen

ki is ke baad ye duniya kahan se launga main

ruuh ko ruuh se milne nahīñ detā hai badan

ḳhair ye biich dīvār girā chāhtī hai

ruh ko ruh se milne nahin deta hai badan

KHair ye bich ki diwar gira chahti hai

sho.ala-e-ishq bujhānā bhī nahīñ chāhtā hai

vo magar ḳhud ko jalānā bhī nahīñ chāhtā hai

shoala-e-ishq bujhana bhi nahin chahta hai

wo magar KHud ko jalana bhi nahin chahta hai

ham ne dekhā thā duniyā ko abhī us ke baġhair

lījiye biich meñ phir dīda-e-tar aa ga.e haiñ

hum ne dekha hi tha duniya ko abhi us ke baghair

lijiye bich mein phir dida-e-tar aa gae hain

kahā thā tum ne ki laatā hai kaun ishq taab

so ham javāb tumhāre savāl ke to haiñ

kaha tha tum ne ki lata hai kaun ishq ki tab

so hum jawab tumhaare sawal hi ke to hain

hamāre dil ko ik āzār hai aisā nahīñ lagtā

ki ham daftar bhī jaate haiñ ġhazal-ḳhvānī bhī karte haiñ

hamare dil ko ek aazar hai aisa nahin lagta

ki hum daftar bhi jate hain ghazal-KHwani bhi karte hain

magar giraft meñ aatā nahīñ badan us

ḳhayāl DhūñDhtā rahtā hai isti.āra koī

magar giraft mein aata nahin badan us ka

KHayal DhunDhta rahta hai istiara koi

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now