HUMOR0US/ SATIRE SHER
akbar dabe nahīñ kisī sultāñ kī fauj se
lekin shahīd ho ga.e biivī kī nauj se
akbar dabe nahin kisi sultan ki fauj se
lekin shahid ho gae biwi ki nauj se
ham aisī kul kitābeñ qābil-e-zabtī samajhte haiñ
ki jin ko paḌh ke laḌke baap ko ḳhabtī samajhte haiñ
we do deem all those books fit for confiscation
that sons read and think their father
hum aisi kul kitaben qabil-e-zabti samajhte hain
ki jin ko paDh ke laDke bap ko KHabti samajhte hain
we do deem all those books fit for confiscation
that sons read and think their father
ham kyā kaheñ ahbāb kyā kār-e-numāyāñ kar ga.e
B.A hue naukar hue pension milī phir mar ga.e
hum kya kahen ahbab kya kar-e-numayan kar gae
BA hue naukar hue pension mili phir mar gae
-
Tags: Famous shayariand 1 more
lipaT bhī jā na ruk 'akbar' ġhazab kī beauty hai
nahīñ nahīñ pe na jā ye hayā kī duty hai
lipaT bhi ja na ruk 'akbar' ghazab ki beauty hai
nahin nahin pe na ja ye haya ki duty hai
ġhazab hai vo ziddī baḌe ho ga.e
maiñ leTā to uTh ke khaḌe ho ga.e
ghazab hai wo ziddi baDe ho gae
main leTa to uTh ke khaDe ho gae
vasl ho yā firāq ho 'akbar'
jāgnā raat bhar musībat hai
whether in blissful union or in separation
staying up all night, is a botheration
wasl ho ya firaq ho 'akbar'
jagna raat bhar musibat hai
whether in blissful union or in separation
staying up all night, is a botheration
-
Tags: Hijrand 2 more
haqīqī aur majāzī shā.erī meñ farq ye paayā
ki vo jaame se bāhar hai ye pājāme se bāhar hai
haqiqi aur majazi shaeri mein farq ye paya
ki wo jame se bahar hai ye pajame se bahar hai
jo vaqt-e-ḳhatna maiñ chīḳhā to naa.ī ne kahā hañs kar
musalmānī meñ tāqat ḳhuun hī bahne se aatī hai
jo waqt-e-KHatna main chiKHa to nai ne kaha hans kar
musalmani mein taqat KHun hi bahne se aati hai
is qadar thā khaTmaloñ kā chārpā.ī meñ hujūm
vasl kā dil se mire armān ruḳhsat ho gayā
is qadar tha khaTmalon ka chaarpai mein hujum
wasl ka dil se mere arman ruKHsat ho gaya
batā.ūñ aap ko marne ke ba.ad kyā hogā
polāo khā.eñge ahbāb fātiha hogā
bataun aap ko marne ke baad kya hoga
polao khaenge ahbab fatiha hoga
dhamkā ke bose lūñgā ruḳh-e-rashk-e-māh kā
chandā vasūl hotā hai sāhab dabāv se
dhamka ke bose lunga ruKH-e-rashk-e-mah ka
chanda wasul hota hai sahab dabaw se
mai bhī hotel meñ piyo chanda bhī do masjid meñ
shaiḳh bhī ḳhush raheñ shaitān bhī be-zār na ho
mai bhi hotel mein piyo chanda bhi do masjid mein
shaiKH bhi KHush rahen shaitan bhi be-zar na ho
coat aur patlūn jab pahnā to mister ban gayā
jab koī taqrīr kī jalse meñ leader ban gayā
donning fancy clothes beame a gentlean avowed
and turned into a leader on speaking to a crowd,
coat aur patlun jab pahna to mister ban gaya
jab koi taqrir ki jalse mein leader ban gaya
donning fancy clothes beame a gentlean avowed
and turned into a leader on speaking to a crowd,
raqīboñ ne rapaT likhvā.ī hai jā jā ke thāne meñ
ki 'akbar' naam letā hai ḳhudā kā is zamāne meñ
raqibon ne rapaT likhwai hai ja ja ke thane mein
ki 'akbar' nam leta hai KHuda ka is zamane mein
qaum ke ġham meñ dinner khāte haiñ hukkām ke saath
rañj leader ko bahut hai magar ārām ke saath
qaum ke gham mein dinner khate hain hukkaam ke sath
ranj leader ko bahut hai magar aaram ke sath
barbād gulistāñ karne ko bas ek hī ullū kaafī thā
har shāḳh pe ullū baiThā hai anjām-e-gulistāñ kyā hogā
barbaad gulistan karne ko bas ek hi ullu kafi tha
har shaKH pe ullu baiTha hai anjam-e-gulistan kya hoga
leaderoñ kī dhuum hai aur follower koī nahīñ
sab to general haiñ yahāñ āḳhir sipāhī kaun hai
leaderon ki dhum hai aur follower koi nahin
sab to general hain yahan aaKHir sipahi kaun hai
jab ġham huā chaḌhā liiñ do botaleñ ikaTThī
mullā kī dauḌ masjid 'akbar' kī dauḌ bhaTTī
jab gham hua chaDha lin do botalen ikaTThi
mulla ki dauD masjid 'akbar' ki dauD bhaTTi
baal apne baḌhāte haiñ kis vāste dīvāne
kyā shahr-e-mohabbat meñ hajjām nahīñ hotā
baal apne baDhate hain kis waste diwane
kya shahr-e-mohabbat mein hajjam nahin hota
shaiḳh apnī rag ko kyā kareñ reshe ko kyā kareñ
maz.hab ke jhagḌe chhoḌeñ to peshe ko kyā kareñ
shaiKH apni rag ko kya karen reshe ko kya karen
mazhab ke jhagDe chhoDen to peshe ko kya karen
bose apne āriz-e-gulfām ke
lā mujhe de de tire kis kaam ke
bose apne aariz-e-gulfam ke
la mujhe de de tere kis kaam ke
jab bhī vālid kī jafā yaad aa.ī
apne daadā kī ḳhatā yaad aa.ī
jab bhi walid ki jafa yaad aai
apne dada ki KHata yaad aai
āshiqī kā ho burā us ne bigāḌe saare kaam
ham to a.b meñ rahe aġhyār b.a ho ga.e
aashiqi ka ho bura us ne bigaDe sare kaam
hum to ab mein rahe aghyar ba ho gae
hue is qadar mohazzab kabhī ghar kā muñh na dekhā
kaTī umr hoTaloñ meñ mare aspatāl jā kar
stayed away from home, on being so gentrified
spent ones life in hotels, in hospitals then died
hue is qadar mohazzab kabhi ghar ka munh na dekha
kaTi umr hoTalon mein mare aspatal ja kar
stayed away from home, on being so gentrified
spent ones life in hotels, in hospitals then died
ta.alluq āshiq o māshūq kā to lutf rakhtā thā
maze ab vo kahāñ baaqī rahe biivī miyāñ ho kar
talluq aashiq o mashuq ka to lutf rakhta tha
maze ab wo kahan baqi rahe biwi miyan ho kar
in ko kyā kaam hai muravvat se apnī ruḳh se ye muñh na moḌeñge
jaan shāyad farishte chhoḌ bhī deñ doctor fees ko na chhoḌeñge
in ko kya kaam hai murawwat se apni ruKH se ye munh na moDenge
jaan shayad farishte chhoD bhi den doctor fees ko na chhoDenge
bole ki tujh ko diin kī islāh farz hai
maiñ chal diyā ye kah ke ki ādāb arz hai
bole ki tujh ko din ki islah farz hai
main chal diya ye kah ke ki aadab arz hai
mar.ūb ho ga.e haiñ vilāyat se shaiḳh-jī
ab sirf man.a karte haiñ desī sharāb ko
marub ho gae hain wilayat se shaiKH-ji
ab sirf mana karte hain desi sharab ko
in ko kyā kaam hai muravvat se apnī ruḳh se ye muñh na moḌeñge
jaan shāyad farishte chhoḌ bhī deñ doctor fees ko na chhoḌeñge
in ko kya kaam hai murawwat se apni ruKH se ye munh na moDenge
jaan shayad farishte chhoD bhi den doctor fees ko na chhoDenge
vāqif nahīñ ki paañv meñ paḌtī haiñ beḌiyāñ
dūlhe ko ye ḳhushī hai ki merī barāt hai
waqif nahin ki panw mein paDti hain beDiyan
dulhe ko ye KHushi hai ki meri baraat hai
agar maz.hab ḳhalal-andāz hai mulkī maqāsid meñ
to shaiḳh o barhaman pinhāñ raheñ dair o masājid meñ
agar mazhab KHalal-andaz hai mulki maqasid mein
to shaiKH o barhaman pinhan rahen dair o masajid mein
college se aa rahī hai sadā paas paas kī
ohdoñ se aa rahī hai sadā duur duur kī
college se aa rahi hai sada pas pas ki
ohdon se aa rahi hai sada dur dur ki
but-kade meñ shor hai 'akbar' musalmāñ ho gayā
be-vafāoñ se koī kah de ki haañ haañ ho gayā
but-kade mein shor hai 'akbar' musalman ho gaya
be-wafaon se koi kah de ki han han ho gaya
ek kāfir par tabī.at aa ga.ī
pārsā.ī par bhī aafat aa ga.ī
ek kafir par tabiat aa gai
parsai par bhi aafat aa gai
haqīqat ko chhupāyā ham se kyā kyā us ke make-up ne
jise lailā samajh baiThe the vo lailā kī maañ niklī
haqiqat ko chhupaya hum se kya kya us ke make-up ne
jise laila samajh baiThe the wo laila ki man nikli
begam bhī haiñ khaḌī huī maidān-e-hashr meñ
mujh se mire gunah kā hisāb ai ḳhudā na maañg
begam bhi hain khaDi hui maidan-e-hashr mein
mujh se mere gunah ka hisab ai KHuda na mang
public meñ zarā haath milā lījiye mujh se
sāhab mire īmān kī qīmat hai to ye hai
public mein zara hath mila lijiye mujh se
sahab mere iman ki qimat hai to ye hai
us kī beTī ne uThā rakkhī hai duniyā sar par
ḳhairiyat guzrī ki añgūr ke beTā na huā
us ki beTi ne uTha rakkhi hai duniya sar par
KHairiyat guzri ki angur ke beTa na hua
ḳhilāf-e-shar.a kabhī shaiḳh thūktā bhī nahīñ
magar añdhere ujāle meñ chūktā bhī nahīñ
KHilaf-e-shara kabhi shaiKH thukta bhi nahin
magar andhere ujale mein chukta bhi nahin
shaiḳh kī dāvat meñ mai kā kaam kyā
ehtiyātan kuchh mañgā lī jā.egī
shaiKH ki dawat mein mai ka kaam kya
ehtiyatan kuchh manga li jaegi
butoñ ke pahle bande the misoñ ke ab hue ḳhādim
hameñ har ahd meñ mushkil rahā hai bā-ḳhudā honā
buton ke pahle bande the mison ke ab hue KHadim
hamein har ahd mein mushkil raha hai ba-KHuda hona
hoñT kī shīrīniyāñ college meñ jab baTne lagīñ
chaar din ke chhokre karne lage farhādiyāñ
honT ki shiriniyan college mein jab baTne lagin
chaar din ke chhokre karne lage farhadiyan
tumhāre va.az meñ tāsīr to hai hazrat-e-vā.iz
asar lekin nigāh-e-nāz kā bhī kam nahīñ hotā
tumhaare waz mein tasir to hai hazrat-e-waiz
asar lekin nigah-e-naz ka bhi kam nahin hota
beTe ko cheque samajh liyā state-bank kā
samdhī talāsh karne lage high rank kā
beTe ko cheque samajh liya state-bank ka
samdhi talash karne lage high rank ka
chiin o arab hamārā hindostāñ hamārā
rahne ko ghar nahīñ hai saarā jahāñ hamārā
chin o arab hamara hindostan hamara
rahne ko ghar nahin hai sara jahan hamara
kaho to kyuuñ hai ye banñā-sañvarnā
mirī jaañ jaan loge kyā kisī kī
kaho to kyun hai ye banna-sanwarna
meri jaan jaan loge kya kisi ki
guzrī siyāhkārī meñ yā rab tamām umr
aadhī shabāb meñ kaTī aadhī ḳhizāb meñ
guzri siyahkari mein ya rab tamam umr
aadhi shabab mein kaTi aadhi KHizab mein
boot Dawson ne banāyā maiñ ne ik mazmūñ likhā
mulk meñ mazmūñ na phailā aur juutā chal gayā
boot Dawson ne banaya main ne ek mazmun likha
mulk mein mazmun na phaila aur juta chal gaya
goggle lagā ke aañkh par chalne lage hasīn
vo lutf ab kahāñ nigah-e-nīm-bāz kā
goggle laga ke aankh par chalne lage hasin
wo lutf ab kahan nigah-e-nim-baz ka