SEARCH RESULTS
Showing search results for "banda-e-dargaah"
Ghazal MATCHES FOR "banda-e-dargaah"
Ghazal
agar vo fitna jo tujh se mile 'haatim' to kah diijo
ki mansuube tire sab banda-e-dargaah jaane hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
Ghazal
sheKH saahab aap ko but-KHaane me.n laayaa 'muniir'
piir-o-murshid banda-e-dargaah ne dhokaa diyaa
Muneer Shikohabadi
Ghazal
jo raa.nda-e-dargaah the vo taKHt-nashii.n hai.n
me'yaar-e-faqiirii nahii.n daryuuza-garii hai
Badr-e-Alam Khan Azmi
Ghazal
us kaa kyaa Thiik ki logo.n ne ba-yak-vaqt 'jamaal'
sar-e-mai-KHaana-o-dargaah use dekhaa thaa
Jamal Ehsani
Ghazal
haram-o-dair ke logo.n kii KHushii kyaa kahnaa
banda-e-KHaaliq-o-dil-daada-e-raam aayaa hai
Darshan Singh
Ghazal
sahbaa-e-haqiiqat kaa huu.n sarmast azal se
ik banda-e-aazaad-e-tilismaat-o-fusuu.n huu.n
Nasir Zaidi
Ghazal
mai.n aur niyaaz-mandii-e-dargaah-e-husn-o-ishq
ai dost jo hu.aa tirii imdaad se hu.aa
Saqib Rampuri
Ghazal
aaj bhii hai kohkan banda-e-be-daam-e-zar
ishq Gariib-ud-dayaar dekhiye kab tak rahe
Mujeeb Khairabadi
Ghazal
banda-e-KHaak-nashiinaan-e-mohabbat huu.n 'ravish'
KHaak ko masnad-e-aashufta-saraa.n kahtaa huu.n
Ravish Siddiqi
Ghazal
aazaad ho sakaa na giraftaar-e-shash-jahat
dil muft banda-e-havas-e-baal-o-par hu.aa
Yagana Changezi
Ghazal
be-fikr rahe banda-e-naqaab-e-ruKH-e-jaanaa.n
ham se kabhii qufl-e-dar-e-gulzaar na TuuTe
Karamat Ali Shaheedi
Ghazal
mai.n huu.n 'sarosh' banda-e-majbuur-o-naa-tavaa.n
mujh me.n bhii teraa aks hai parvardigaar kyaa
Rifat Sarosh
Ghazal
mere nazdiik to ye kam nahii.n izzat merii
mujh ko vo banda-e-be-daam-o-diram kahte hai.n
Alamgir Khan Kaif
Ghazal
ham banda-e-be-yaar-o-madadgaar the KHaamosh
KHaamosh rahaa kuucha-e-qaatil me.n KHudaa tak
Moid Rasheedi
Ghazal
banda-e-aalam-e-KHaraab huu.n mai.n
zindagaanii kaa inqalaab huu.n mai.n
Syed Aneesuddin Ahmad Rizvi Amrohvi
Ghazal
jaan o dil sii.n mai.n giraftaar huu.n kin kaa un kaa
banda-e-be-zar-o-diinaar huu.n kin kaa un kaa
Siraj Aurangabadi
Ghazal
koshish-e-banda-e-daanaa nahii.n kaamil hotii
sohbat-e-banda-e-majzuub se din Dhaltaa hai