Sher on Dussehra Shayari 1
Dussehra is the festival symbolizing the victory of good over evil. Celebrate it with these selected Urdu shayari.
hai raam ke vajūd pe hindostāñ ko naaz
ahl-e-nazar samajhte haiñ us ko imām-e-hind
hai ram ke wajud pe hindostan ko naz
ahl-e-nazar samajhte hain us ko imam-e-hind
ek siitā kī rifāqat hai to sab kuchh paas hai
zindagī kahte haiñ jis ko raam kā ban-bās hai
ek sita ki rifaqat hai to sab kuchh pas hai
zindagi kahte hain jis ko ram ka ban-bas hai
jo sunte haiñ ki tire shahr meñ dashrā hai
ham apne ghar meñ divālī sajāne lagte haiñ
jo sunte hain ki tere shahr mein dashra hai
hum apne ghar mein diwali sajaane lagte hain
hai dasahre meñ bhī yuuñ gar farhat-o-zīnat 'nazīr'
par divālī bhī ajab pākīza-tar tyauhār hai
hai dasahre mein bhi yun gar farhat-o-zinat 'nazir'
par diwali bhi ajab pakiza-tar tyauhaar hai
ab naam nahīñ kaam kā qaa.el hai zamāna
ab naam kisī shaḳhs kā rāvan na milegā
ab nam nahin kaam ka qael hai zamana
ab nam kisi shaKHs ka rawan na milega
vahī jiine kī āzādī vahī marne kī jaldī hai
divālī dekh lī ham ne dasahre kar liye ham ne
wahi jine ki aazadi wahi marne ki jaldi hai
diwali dekh li hum ne dasahre kar liye hum ne
kyā sitam karte haiñ miTTī ke khilaune vaale
raam ko rakkhe hue baiThe haiñ rāvan ke qarīb
kya sitam karte hain miTTi ke khilaune wale
ram ko rakkhe hue baiThe hain rawan ke qarib
dard ghanerā hijr kā sahrā ghor añdherā aur yādeñ
raam nikāl ye saare rāvan merī raam kahānī se
dard ghanera hijr ka sahra ghor andhera aur yaaden
ram nikal ye sare rawan meri ram kahani se
qadam qadam haiñ rāvan lekin
nirbal ke bas raam bahut haiñ
qadam qadam hain rawan lekin
nirbal ke bas ram bahut hain
achchhoñ se pata chaltā hai insāñ ko buroñ kā
rāvan kā pata chal na sakā raam se pahle
achchhon se pata chalta hai insan ko buron ka
rawan ka pata chal na saka ram se pahle
raam ma.ashūq agar hove āshiq
toḌ de sar raqīb rāvan kā
ram mashuq agar howe aashiq
toD de sar raqib rawan ka
ab bhī khaḌī hai soch meñ Duubī ujyāloñ kā daan liye
aaj bhī rekhā paar hai rāvan siitā ko samjhā.e kaun
ab bhi khaDi hai soch mein Dubi ujyalon ka dan liye
aaj bhi rekha par hai rawan sita ko samjhae kaun
chāhat kī bhalā kaun sune rām-kahānī
is shahr ke sab log haiñ bahre use kahnā
chahat ki bhala kaun sune ram-kahani
is shahr ke sab log hain bahre use kahna
ammāñ kī bātoñ meñ āñkheñ sukh-dukh sapne sab to haiñ
rām-kahānī us ke paas kabira-bānī us ke paas
amman ki baaton mein aankhen sukh-dukh sapne sab to hain
ram-kahani us ke pas kabira-bani us ke pas
'nazr' phir aayā hai ik rasm nibhāne kā din
saj sañvar ke sabhī rāvan ko jalāne nikle
'nazr' phir aaya hai ek rasm nibhane ka din
saj sanwar ke sabhi rawan ko jalane nikle
ye manzil-e-haq ke dīvāno kuchh soch karo kuchh kar guzro
kyā jaane kab kyā kar guzre ye vaqt kā rāvan kyā kahiye
ye manzil-e-haq ke diwano kuchh soch karo kuchh kar guzro
kya jaane kab kya kar guzre ye waqt ka rawan kya kahiye
adab itnā ki qadmoñ meñ paḌe haiñ
anā itnī ki lanka ḳhaak kar deñ
adab itna ki qadmon mein paDe hain
ana itni ki lanka KHak kar den
guzrā thā apne shahr se rāvan fasād kā
zālim mohabbatoñ kī kathā.eñ bhī le gayā
guzra tha apne shahr se rawan fasad ka
zalim mohabbaton ki kathaen bhi le gaya
-
Tags: Shahrand 1 more
na rāvan hai kahānī meñ na siitā zindagānī meñ
magar banvās phir bhī chal rahā hai kyā kiyā jaa.e
na rawan hai kahani mein na sita zindagani mein
magar banwas phir bhi chal raha hai kya kiya jae
-
Tags: Hijrand 1 more
jis paap kī duniyā meñ hai rāvan kā baserā
us svarg sī dhartī pe koī raam nahīñ hai
jis pap ki duniya mein hai rawan ka basera
us swarg si dharti pe koi ram nahin hai
yahāñ lachhman kī rekhā hai na siitā hai magar phir bhī
bahut phere hamāre ghar ke ik sādhū lagātā hai
yahan lachhman ki rekha hai na sita hai magar phir bhi
bahut phere hamare ghar ke ek sadhu lagata hai
kis se pūchhūñ kho ga.ī siitā kahāñ
ban kā har saaya hī rāvan ho gayā
kis se puchhun kho gai sita kahan
ban ka har saya hi rawan ho gaya
duniyā meñ har burā.ī kā ḳhatma bhī saath hai
rāvan ke saath saath yahāñ raam bhī to hai
duniya mein har burai ka KHatma bhi sath hai
rawan ke sath sath yahan ram bhi to hai
pal meñ manush hai raam pujārī pal meñ chelā rāvan kā
paap aur pun ke biich kā dhāgā dekho kitnā kachchā hai
pal mein manush hai ram pujari pal mein chela rawan ka
pap aur pun ke bich ka dhaga dekho kitna kachcha hai
-
Tags: Besabatiand 1 more
khīñchte ho har jānib kis liye lakīreñ sī
maiñ na koī rāvan huuñ maiñ na koī siitā huuñ
khinchte ho har jaanib kis liye lakiren si
main na koi rawan hun main na koi sita hun
taḳht-e-lankā diyā vibhīshan ko
jab huā qatl rāvan-e-maqhūr
taKHt-e-lanka diya wibhishan ko
jab hua qatl rawan-e-maqhur
annyā.e ne bhar dī hai bahut aag diloñ meñ
lanka hī kahīñ is meñ jo jal jaa.e to achchhā
annyae ne bhar di hai bahut aag dilon mein
lanka hi kahin is mein jo jal jae to achchha
raam vo vahī rahmān haiñ sabhī maqām us ke
muḳhtalif zabānoñ meñ muḳhtalif haiñ naam us ke
ram wo wahi rahman hain sabhi maqam us ke
muKHtalif zabanon mein muKHtalif hain nam us ke