Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Zaheer Kashmiri's Photo'

Zaheer Kashmiri

1919 - 1994 | Lahore, Pakistan

Poet and film screenwriter. Associated with Progressive Writers' Association

Poet and film screenwriter. Associated with Progressive Writers' Association

Sher of Zaheer Kashmiri

3.4K
Favorite

SORT BY

aah ye mahkī huī shāmeñ ye logoñ ke hujūm

dil ko kuchh biitī huī tanhā.iyāñ yaad aa ga.iiñ

aah ye mahki hui shamen ye logon ke hujum

dil ko kuchh biti hui tanhaiyan yaad aa gain

sīrat na ho to āriz-o-ruḳhsār sab ġhalat

ḳhushbū uḌī to phuul faqat rañg rah gayā

sirat na ho to aariz-o-ruKHsar sab ghalat

KHushbu uDi to phul faqat rang rah gaya

koī dastak koī aahaT na shanāsā āvāz

ḳhaak uḌtī hai dar-e-dil pe bayābāñ tarah

koi dastak koi aahaT na shanasa aawaz

KHak uDti hai dar-e-dil pe bayaban ki tarah

hameñ ḳhabar hai ki ham haiñ charāġh-e-āḳhir-e-shab

hamāre ba.ad añdherā nahīñ ujālā hai

hamein KHabar hai ki hum hain charagh-e-aKHir-e-shab

hamare baad andhera nahin ujala hai

farz barsoñ ibādat adā ho jaise

but ko yuuñ puuj rahe haiñ ki ḳhudā ho jaise

farz barson ki ibaadat ka ada ho jaise

but ko yun puj rahe hain ki KHuda ho jaise

ishq jab tak na ās-pās rahā

husn tanhā rahā udaas rahā

ishq jab tak na aas-pas raha

husn tanha raha udas raha

kitnā dilkash hai tirī yaad paalā huā ashk

sīna-e-ḳhāk pe mahtāb girā ho jaise

kitna dilkash hai teri yaad ka pala hua ashk

sina-e-KHak pe mahtab gira ho jaise

jab ḳhāmushī bazm dastūr ho ga.ī

maiñ aadmī se naqsh-ba-dīvār ban gayā

jab KHamushi hi bazm ka dastur ho gai

main aadmi se naqsh-ba-diwar ban gaya

apne gale meñ apnī bāñhoñ ko Dāliye

jiine ab to ek yahī Dhañg rah gayā

apne gale mein apni hi banhon ko Daliye

jine ka ab to ek yahi Dhang rah gaya

maiñ ne us ko apnā masīhā maan liyā

saarā zamāna jis ko qātil kahtā hai

main ne us ko apna masiha man liya

sara zamana jis ko qatil kahta hai

baḌh ga.e haiñ is qadar qalb o nazar ke fāsle

saath ho kar ham-safar se ham-safar milte nahīñ

baDh gae hain is qadar qalb o nazar ke fasle

sath ho kar ham-safar se ham-safar milte nahin

mirī zaat mirī ruuh mirā husn-e-kalām

dekh ab na badal gardish-e-daurāñ tarah

tu meri zat meri ruh mera husn-e-kalam

dekh ab tu na badal gardish-e-dauran ki tarah

mujh se bichhaḌ kar pahroñ royā kartā thā

vo jo mere haal pe hañstā rahtā hai

mujh se bichhaD kar pahron roya karta tha

wo jo mere haal pe hansta rahta hai

tanhā.iyoñ meñ aatī rahī jab bhī us yaad

saaya ik qarīb mire Doltā rahā

tanhaiyon mein aati rahi jab bhi us ki yaad

saya sa ek qarib mere Dolta raha

suune paḌe haiñ dil ke dar-o-bām ai 'zahīr'

lahore jab se chhoḌ ke jān-e-ġhazal gayā

sune paDe hain dil ke dar-o-baam ai 'zahir'

lahore jab se chhoD ke jaan-e-ghazal gaya

hamāre ishq se dard-e-jahāñ ibārat hai

hamārā ishq havas se buland-o-bālā hai

hamare ishq se dard-e-jahan ibarat hai

hamara ishq hawas se buland-o-baala hai

tamām umr tirī ham-rahī shauq rahā

magar ye rañj ki maiñ mauja-e-sabā na huā

tamam umr teri ham-rahi ka shauq raha

magar ye ranj ki main mauja-e-saba na hua

ishq ik hikāyat hai sarfarosh duniyā

hijr ik masāfat hai be-nigār sahrā

ishq ek hikayat hai sarfarosh duniya ki

hijr ek masafat hai be-nigar sahra ki

unhīñ hasrat-e-rafta yādgār huuñ maiñ

jo log rah ga.e tanhā bharī bahāroñ meñ

unhin ki hasrat-e-rafta ki yaadgar hun main

jo log rah gae tanha bhari bahaaron mein

dil bhī sanam-parast nazar bhī sanam-parast

is āshiqī meñ ḳhāna hama-āftāb thā

dil bhi sanam-parast nazar bhi sanam-parast

is aashiqi mein KHana hama-aftab tha

baḌe dil-kash haiñ duniyā ke ḳham o pech

nazar meñ zulf lahrā rahī hai

baDe dil-kash hain duniya ke KHam o pech

nazar mein zulf si lahra rahi hai

ham ḳhud be-libās rahe is ḳhayāl se

vahshat baḌhī to sū-e-garebāñ bhī aa.egī

hum KHud hi be-libas rahe is KHayal se

wahshat baDhi to su-e-gareban bhi aaegi

is daur-e-āfiyat meñ ye kyā ho gayā hameñ

pattā samajh ke le uḌī vahshī havā hameñ

is daur-e-afiyat mein ye kya ho gaya hamein

patta samajh ke le uDi wahshi hawa hamein

vo bazm se nikāl ke kahte haiñ ai 'zahīr'

jaao magar qarīb-e-rag-e-jāñ rahā karo

wo bazm se nikal ke kahte hain ai 'zahir'

jao magar qarib-e-rag-e-jaan raha karo

ham ne apne ishq ḳhātir zanjīreñ bhī dekhīñ haiñ

ham ne un ke husn ḳhātir raqs bhī zer-e-dār kiyā

hum ne apne ishq ki KHatir zanjiren bhi dekhin hain

hum ne un ke husn ki KHatir raqs bhi zer-e-dar kiya

kul kā.enāt fikr se āzād ho ga.ī

insāñ misāl-e-dast-e-tah-e-sañg rah gayā

kul kaenat fikr se aazad ho gai

insan misal-e-dast-e-tah-e-sang rah gaya

hotī na ham ko sāya-e-dīvār talāsh

lekin muhīt-e-zīst bahut tañg rah gayā

hoti na hum ko saya-e-diwar ki talash

lekin muhit-e-zist bahut tang rah gaya

hamāre paas koī gardish-e-daurāñ nahīñ aatī

ham apnī umr-e-fānī sāġhar-o-mīnā meñ rakhte haiñ

hamare pas koi gardish-e-dauran nahin aati

hum apni umr-e-fani saghar-o-mina mein rakhte hain

barq-e-zamāna duur thī lekin mish.al-e-ḳhāna duur na thī

ham to 'zahīr' apne ghar aag meñ jal kar ḳhaak hue

barq-e-zamana dur thi lekin mishal-e-KHana dur na thi

hum to 'zahir' apne hi ghar ki aag mein jal kar KHak hue

hijr ke daur meñ har daur ko shāmil kar leñ

is meñ shāmil yahī ik umr-e-gurezāñ kyuuñ hai

hijr ke daur mein har daur ko shamil kar len

is mein shamil yahi ek umr-e-gurezan kyun hai

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now