SEARCH RESULTS
Showing search results for "maamuur"
Nazm MATCHES FOR "maamuur"
Nazm
shikwa
saaz KHaamosh hai.n fariyaad se maamuur hai.n ham
naala aataa hai agar lab pe to ma.azuur hai.n ham
Allama Iqbal
Nazm
walida marhuma ki yaad mein
mauj-e-duud-e-aah se aa.iina hai raushan miraa
ganj-e-aab-aavrd se maamuur hai daaman miraa
Allama Iqbal
Nazm
o des se aane wale bata
ma.amuur hai.n gulzaar ab ki nahii.n
baazaar me.n maalan laatii hai
Akhtar Shirani
Nazm
hubb-e-watan
hu.ii.n yuusuf kii saKHtiyaa.n jab duur
aur hu.aa mulk-e-misr par maamuur
Altaf Hussain Hali
Nazm
goristan-e-shahi
zindagii se thaa kabhii ma.amuur ab sunsaan hai
ye KHamoshii us ke ha.ngaamo.n kaa goristaan hai
Allama Iqbal
Nazm
shikast-e-saz
aasmaa.n nuur ke naGmaat se ma.amuur sahii
mai.n ne ghaTtii hu.ii chiiKHo.n ke sune hai.n nauhe
Ada Jafarey
Nazm
numaish-e-aligarh
mohabbat ke jalvo.n se ma.amuur ho kar
hu.i jaarii rahii thii ajab haalat-e-dil
Shakeel Badayuni
Nazm
adl-e-faruqi ka ek namuna
apne hisse se ziyaada jo liyaa tuu ne to ab
tuu KHilaafat ke na qaabil hai na ham hai.n maamuur
Shibli Nomani
Nazm
meri shaeri
tahii-dastii o pastii o KHasta-haalii
baguulo.n se ma.amuur phuulo.n se KHaalii
Hafeez Jalandhari
Nazm
siri kirshn
kyaa zamaane ko ma.amuur apne naGmo.n se
sikhaa.e ishq ke dastuur apne naGmo.n se
Seemab Akbarabadi
Nazm
nur-jahan ka mazar
ma.amuur hai yuu.n mahfil-e-jaanaa.n na kisii kii
aabaad rahe gor-e-Gariibaa.n na kisii kii
Tilok Chand Mahroom
Nazm
naya sal
uThe.n aur dukhiyo.n kaa dukh duur kar de.n
masarrat se har dil ko ma.amuur kar de.n
Syeda Farhat
Nazm
holi
sunaa ke holii jo zohra bajaatii hai tambuur
to us ke raag se baarah buruuj hai.n maamuur
Nazeer Akbarabadi
Nazm
tur
suruur-e-sarmadii se zindagii ma.amuur hotii thii
hamaarii KHalvat-e-ma.asuum rashk-e-tuur hotii thii
Makhdoom Mohiuddin
Nazm
bulbul
tujhe is aag se ma.amuur kar diyaa kis ne
ye dil ye dard ye saudaa kahaa.n se laa.ii hai