POPULAR Sher
Simple & popular Urdu poetry
pahle is meñ ik adā thī naaz thā andāz thā
rūThnā ab to tirī aadat meñ shāmil ho gayā
pahle is mein ek ada thi naz tha andaz tha
ruThna ab to teri aadat mein shamil ho gaya
zindagī shāyad isī kā naam hai
dūriyāñ majbūriyāñ tanhā.iyāñ
zindagi shayad isi ka nam hai
duriyan majburiyan tanhaiyan
maiñ jaatā huuñ dil ko tire paas chhoḌe
mirī yaad tujh ko dilātā rahegā
main jata hun dil ko tere pas chhoDe
meri yaad tujh ko dilata rahega
jahāñ pahuñch ke qadam Dagmagā.e haiñ sab ke
usī maqām se ab apnā rāstā hogā
jahan pahunch ke qadam Dagmagae hain sab ke
usi maqam se ab apna rasta hoga
dushmanoñ kī jafā kā ḳhauf nahīñ
dostoñ kī vafā se Darte haiñ
I do nor fear injury from my enemies
what frightens me is my friend's fidelities
dushmanon ki jafa ka KHauf nahin
doston ki wafa se Darte hain
I do nor fear injury from my enemies
what frightens me is my friend's fidelities
-
Tags: Dostand 2 more
koī vaqt batlā ki tujh se milūñ
mirī dauḌtī bhāgtī zindagī
koi waqt batla ki tujh se milun
meri dauDti bhagti zindagi
yahī hai ibādat yahī diin o īmāñ
ki kaam aa.e duniyā meñ insāñ ke insāñ
yahi hai ibaadat yahi din o iman
ki kaam aae duniya mein insan ke insan
vo vaqt kā jahāz thā kartā lihāz kyā
maiñ dostoñ se haath milāne meñ rah gayā
wo waqt ka jahaz tha karta lihaz kya
main doston se hath milane mein rah gaya
is nahīñ kā koī ilaaj nahīñ
roz kahte haiñ aap aaj nahīñ
ah! this denial, nothing can allay
every day you say no, not today
is nahin ka koi ilaj nahin
roz kahte hain aap aaj nahin
ah! this denial, nothing can allay
every day you say no, not today
jazba-e-ishq salāmat hai to inshā-allāh
kachche dhāge se chale ā.eñge sarkār bañdhe
jazba-e-ishq salamat hai to insha-allah
kachche dhage se chale aaenge sarkar bandhe
-
Tags: Famous shayariand 2 more
irāde bāñdhtā huuñ sochtā huuñ toḌ detā huuñ
kahīñ aisā na ho jaa.e kahīñ aisā na ho jaa.e
irade bandhta hun sochta hun toD deta hun
kahin aisa na ho jae kahin aisa na ho jae
nigāh-e-nāz se saaqī kā dekhnā mujh ko
mirā vo haath meñ sāġhar uThā ke rah jaanā
nigah-e-naz se saqi ka dekhna mujh ko
mera wo hath mein saghar uTha ke rah jaana
hosh o havās o taab o tavāñ 'dāġh' jā chuke
ab ham bhī jaane vaale haiñ sāmān to gayā
consciousness and sanity, zeal, power are no more
it's time for me to go as well, my goods have gone before
hosh o hawas o tab o tawan 'dagh' ja chuke
ab hum bhi jaane wale hain saman to gaya
consciousness and sanity, zeal, power are no more
it's time for me to go as well, my goods have gone before
girte aañsū pochhiye ruḳhsār se
sañg kaT jaate haiñ aksar dhaar se
wipe these tears from your face
drops of water, een stones deface
girte aansu pochhiye ruKHsar se
sang kaT jate hain aksar dhaar se
wipe these tears from your face
drops of water, een stones deface
ai 'zauq' dekh duḳhtar-e-raz ko na muñh lagā
chhuTtī nahīñ hai muñh se ye kāfar lagī huī
ai 'zauq' dekh duKHtar-e-raz ko na munh laga
chhuTti nahin hai munh se ye kafar lagi hui
-
Tags: Famous shayariand 3 more
haa.e 'sīmāb' us kī majbūrī
jis ne kī ho shabāb meñ tauba
hae 'simab' us ki majburi
jis ne ki ho shabab mein tauba
ġhair ko aane na duuñ tum ko kahīñ jaane na duuñ
kaash mil jaa.e tumhāre ghar kī darbānī mujhe
ghair ko aane na dun tum ko kahin jaane na dun
kash mil jae tumhaare ghar ki darbani mujhe
banā kar faqīroñ kā ham bhes 'ġhālib'
tamāshā-e-ahl-e-karam dekhte haiñ
bana kar faqiron ka hum bhes 'ghaalib'
tamasha-e-ahl-e-karam dekhte hain
ham ko ma.alūm hai jannat kī haqīqat lekin
dil ke ḳhush rakhne ko 'ġhālib' ye ḳhayāl achchhā hai
hum ko malum hai jannat ki haqiqat lekin
dil ke KHush rakhne ko 'ghaalib' ye KHayal achchha hai
-
Tags: Famous shayariand 4 more
tañg aa chuke haiñ kashmakash-e-zindagī se ham
Thukrā na deñ jahāñ ko kahīñ be-dilī se ham
tang aa chuke hain kashmakash-e-zindagi se hum
Thukra na den jahan ko kahin be-dili se hum
ishq hai ishq ye mazāq nahīñ
chand lamhoñ meñ faisla na karo
love is love, no joke at all
Rashly, do not make a call
ishq hai ishq ye mazaq nahin
chand lamhon mein faisla na karo
love is love, no joke at all
Rashly, do not make a call
kuchh log to ḳhilāf hoñ hāsid koī to ho
kyā lutf sīdhī saadī mohabbat meñ aa.egā
kuchh log to KHilaf hon hasid koi to ho
kya lutf sidhi sadi mohabbat mein aaega
zidoñ meñ tark-e-ta.alluq to kar liyā lekin
sukūñ use bhī nahīñ be-qarār maiñ bhī haiñ
zidon mein tark-e-talluq to kar liya lekin
sukun use bhi nahin be-qarar main bhi hain
'zafar' aadmī us ko na jāniyegā vo ho kaisā hī sāhab-e-fahm-o-zakā
jise aish meñ yād-e-ḳhudā na rahī jise taish meñ ḳhauf-e-ḳhudā na rahā
'zafar' aadmi us ko na jaaniyega wo ho kaisa hi sahab-e-fahm-o-zaka
jise aish mein yaad-e-KHuda na rahi jise taish mein KHauf-e-KHuda na raha
haiñ aur bhī duniyā meñ suḳhan-var bahut achchhe
kahte haiñ ki 'ġhālib' kā hai andāz-e-bayāñ aur
hain aur bhi duniya mein suKHan-war bahut achchhe
kahte hain ki 'ghaalib' ka hai andaz-e-bayan aur
mirī zabān ke mausam badalte rahte haiñ
maiñ aadmī huuñ mirā e'tibār mat karnā
meri zaban ke mausam badalte rahte hain
main aadmi hun mera e'tibar mat karna
laa.ī hayāt aa.e qazā le chalī chale
apnī ḳhushī na aa.e na apnī ḳhushī chale
lai hayat aae qaza le chali chale
apni KHushi na aae na apni KHushi chale
-
Tags: Famous shayariand 1 more
maut kā ek din muayyan hai
niind kyuuñ raat bhar nahīñ aatī
when for death a day has been ordained
what reason that I cannot sleep all night?
maut ka ek din muayyan hai
nind kyun raat bhar nahin aati
when for death a day has been ordained
what reason that I cannot sleep all night?
-
Tags: Mautand 1 more
sub.h hotī hai shaam hotī hai
umr yūñhī tamām hotī hai
subh hoti hai sham hoti hai
umr yunhi tamam hoti hai
-
Tags: Famous shayariand 2 more
hai dil tirā hai jaañ tirī īmān hai tirā
to kaise mānūñ terā muqaddar nahīñ huuñ maiñ
my heart, my life my faith is yours, this is plain to see
how can I then believe that I am not your destiny
hai dil tera hai jaan teri iman hai tera
to kaise manun tera muqaddar nahin hun main
my heart, my life my faith is yours, this is plain to see
how can I then believe that I am not your destiny
goggle lagā ke aañkh par chalne lage hasīn
vo lutf ab kahāñ nigah-e-nīm-bāz kā
goggle laga ke aankh par chalne lage hasin
wo lutf ab kahan nigah-e-nim-baz ka
piine se kar chukā thā maiñ tauba magar 'jalīl'
bādal kā rañg dekh ke nīyat badal ga.ī
pine se kar chuka tha main tauba magar 'jalil'
baadal ka rang dekh ke niyat badal gai
vaqt-e-nazzāra na ro kahte the ai chashm tujhe
shiddat-e-girya se le ḳhaak na sūjhā, dekhā
waqt-e-nazzara na ro kahte the ai chashm tujhe
shiddat-e-girya se le KHak na sujha, dekha
maqbūl hoñ na hoñ ye muqaddar kī baat hai
sajde kisī ke dar pe kiye jā rahā huuñ maiñ
whether or not accepted, it is up to fate
at her doorstep on and on, I myself prostrate
maqbul hon na hon ye muqaddar ki baat hai
sajde kisi ke dar pe kiye ja raha hun main
whether or not accepted, it is up to fate
at her doorstep on and on, I myself prostrate
na ġharaz kisī se na vāsta mujhe kaam apne hī kaam se
tire zikr se tirī fikr se tirī yaad se tire naam se
na gharaz kisi se na wasta mujhe kaam apne hi kaam se
tere zikr se teri fikr se teri yaad se tere nam se
rah ga.e sab.ha o zunnār ke jhagḌe baaqī
dharm hindū meñ nahīñ diin musalmāñ meñ nahīñ
rah gae sabha o zunnar ke jhagDe baqi
dharm hindu mein nahin din musalman mein nahin
ham se kyā ho sakā mohabbat meñ
ḳhair tum ne to bevafā.ī kī
hum se kya ho saka mohabbat mein
KHair tum ne to bewafai ki
kitne shīrīñ haiñ tere lab ki raqīb
gāliyāñ khā ke be-mazā na huā
how sweet are your honeyed lips, that even though my foe
was abused by you, is not, in an unhappy state
kitne shirin hain tere lab ki raqib
galiyan kha ke be-maza na hua
how sweet are your honeyed lips, that even though my foe
was abused by you, is not, in an unhappy state
ab to ghabrā ke ye kahte haiñ ki mar jā.eñge
mar ke bhī chain na paayā to kidhar jā.eñge
being agitated I express the hope to die, although
in death, if solace is not found, then where shall I go?
ab to ghabra ke ye kahte hain ki mar jaenge
mar ke bhi chain na paya to kidhar jaenge
being agitated I express the hope to die, although
in death, if solace is not found, then where shall I go?
na ḳhudā hī milā na visāl-e-sanam na idhar ke hue na udhar ke hue
rahe dil meñ hamāre ye rañj-o-alam na idhar ke hue na udhar ke hue
na KHuda hi mila na visal-e-sanam na idhar ke hue na udhar ke hue
rahe dil mein hamare ye ranj-o-alam na idhar ke hue na udhar ke hue
ab ye bhī nahīñ Thiik ki har dard miTā deñ
kuchh dard kaleje se lagāne ke liye haiñ
ab ye bhi nahin Thik ki har dard miTa den
kuchh dard kaleje se lagane ke liye hain
kuchh din se zindagī mujhe pahchāntī nahīñ
yuuñ dekhtī hai jaise mujhe jāntī nahīñ
kuchh din se zindagi mujhe pahchanti nahin
yun dekhti hai jaise mujhe jaanti nahin
roz vo ḳhvāb meñ aate haiñ gale milne ko
maiñ jo sotā huuñ to jaag uThtī hai qismat merī
roz wo KHwab mein aate hain gale milne ko
main jo sota hun to jag uThti hai qismat meri
aap pahlū meñ jo baiTheñ to sambhal kar baiTheñ
dil-e-betāb ko aadat hai machal jaane kī
when you come into my arms you should be aware
my restless heart is wont to leap, it may give you a scare
aap pahlu mein jo baiThen to sambhal kar baiThen
dil-e-betab ko aadat hai machal jaane ki
when you come into my arms you should be aware
my restless heart is wont to leap, it may give you a scare
jalve machal paḌe to sahar kā gumāñ huā
zulfeñ bikhar ga.iiñ to siyah raat ho ga.ī
jalwe machal paDe to sahar ka guman hua
zulfen bikhar gain to siyah raat ho gai
donoñ jahān terī mohabbat meñ haar ke
vo jā rahā hai koī shab-e-ġham guzār ke
donon jahan teri mohabbat mein haar ke
wo ja raha hai koi shab-e-gham guzar ke
-
Tags: Famous shayariand 2 more
aag the ibtidā-e-ishq meñ ham
ab jo haiñ ḳhaak intihā hai ye
aag the ibtida-e-ishq mein hum
ab jo hain KHak intiha hai ye
ishrat-e-qatra hai dariyā meñ fanā ho jaanā
dard kā had se guzarnā hai davā ho jaanā
ishrat-e-qatra hai dariya mein fana ho jaana
dard ka had se guzarna hai dawa ho jaana