TOP 20 KHAMOSHI SHAYARI


info iconClick on any word for its meaning


asar bhī le rahā huuñ terī chup


tujhe qaa.il bhī kartā rahā huuñ

chaTaḳh ke TuuT ga.ī hai to ban ga.ī āvāz


jo mere siine meñ ik roz ḳhāmushī huī thī

chup-chaap suntī rahtī hai pahroñ shab-e-firāq


tasvīr-e-yaar ko hai mirī guftugū pasand

ek din merī ḳhāmushī ne mujhe


lafz oT se ishāra kiyā

ham laboñ se kah na paa.e un se haal-e-dil kabhī


aur vo samjhe nahīñ ye ḳhāmushī kyā chiiz hai

ham ne avval to kabhī us ko pukārā nahīñ


aur pukārā to pukārā bhī sadāoñ ke baġhair

ham un ko soch meñ gum dekh kar vāpas chale aa.e


vo apne dhyān meñ baiThe hue achchhe lage ham ko

har taraf thī ḳhāmoshī aur aisī ḳhāmoshī


raat apne saa.e se ham bhī Dar ke ro.e the

kah rahā hai shor-e-dariyā se samundar sukūt


jis jitnā zarf hai utnā vo ḳhāmosh hai

ḳhāmushī terī mirī jaan liye letī hai


apnī tasvīr se bāhar tujhe aanā hogā

ḳhamosh rahne aadat bhī maar detī hai


tumheñ ye zahr to andar se chaaT jā.egā

ḳhamoshī se musībat aur bhī sañgīn hotī hai


taḌap ai dil taḌapne se zarā taskīn hotī hai

kitnī lambī ḳhāmoshī se guzrā huuñ


un se kitnā kuchh kahne koshish

mustaqil boltā rahtā huuñ


kitnā ḳhāmosh huuñ maiñ andar se

nikāle ga.e is ke ma.anī hazār


ajab chiiz thī ik mirī ḳhāmushī

rañg darkār the ham ko tirī ḳhāmoshī ke


ek āvāz tasvīr banānī thī hameñ

ragoñ meñ zahr-e-ḳhamoshī utarne se zarā pahle


bahut taḌpī koī āvāz marne se zarā pahle

sab hoñge us se apne ta.āruf fikr meñ


mujh ko mire sukūt se pahchān jā.egā

use bechain kar jā.ūñgā maiñ bhī


ḳhamoshī se guzar jā.ūñgā maiñ bhī

zor qismat pe chal nahīñ saktā


ḳhāmushī iḳhtiyār kartā huuñ


These verses on silence have a voice of their own. They convey a mood and a state which reflect human condition on the whole. As silence is more eloquent than voice sometimes, it is quite a challenge to the poets to represent those silences and eloquences in poetry. Here is a small selection for you that you might like.

comments powered by Disqus